Tafseer Dawatul Quran Surah 61


MogammadAzmi

New member
55
Surah As Saf (61)

56
Ayat 1
سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ ١
“Allah ka paak hona bayaan kiya har cheez ne, jo aasmãno mein hai aur jo zameen mein hai aur wo hi sab par ghãlib, kamaal hikmat wãla hai.”
Allah Ta’ala ne farmãya ke aasmãno aur zameen mein jitne haiwãnaat, nabãtaat aur jamãdaat hai sab apne rab ki apne apne andaaz mein paaki aur badaai bayaan karte hai. Aakhir mein farmãya ke woh bada hi qawi hai jo aasmãno aur zameen ki har cheez par ghãlib hai aur usne tamaam maujudaat ko apni hikmat ke mutãbiq munazzam o murattib kiya hai, jis se koi cheez sarmoinhiraf (Serious Deviations) nahi kar sakti.
Ayat 2 & 3
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لِمَ تَقُولُونَ مَا لَا تَفۡعَلُونَ ٢ كَبُرَ مَقۡتًا عِندَ ٱللَّهِ أَن تَقُولُواْ مَا لَا تَفۡعَلُونَ ٣
“Ae logo jo imaan lãye ho! Kyun kahte ho jo tum naheen karte. Allah ke nazdeek nãraaz hone ke aitebaar se badi baat hai ke tum woh kaho jo tum naheen karte.”

Kuchh musalmaan jihãd farz hone se pahle kahte the ke agar hamein maaloom ho jata ke Allah Ta’ala ko sabse ziyãda kaun sa amal pasand hai to ham use karte, to Allah Ta’ala ne bazariye Wahi apne Rasool ko Khabar di ke sabse behtar amal Imaan-Billah aur Jihãad Fi-Sabil-Lillah hai. Jab jihãd farz huwa to un musalmãno par jihãd karna shaak guzra, to ye ãyat nãzil hui jin se Allah ne unhen ataab kiya. Isliye ke imaan sãdiq ka taqãza to yeh hai ke momin na jhoot bole aur na waada Khilãfi kare, jo kahe uske mutãbiq amal kare aur jo nek kaam na kiya ho, use apni taraf mansoob na kare, kyunke Allah ke nazdeek sabse ziyãda mabghoos baat ye hai ke aadmi apni taraf se aisa bhalaai ka kaam mansoob kare jo usne na kiya ho, ya kahe ke main falãh Khair ka kaam karonga aur phir use na kare.
Saiyyadna Abdullah bin Salam (Razi Allahu anhu) bayaan karte hai ke hamne aapas mein muzãkira kiya. Hamne kaha, ham mein se kaun hai jo Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas jãye aur aapse daryaaft kare ke kaun sa amal Allah Ta’ala ko sabse ziyãda mahboob hai, lekin ham mein se har Shakhs jaate huye dar raha tha. Itne mein hamãre paas Allah ke Rasool (ﷺ) ka ek qãsid pahuncha hum mein se ek ek ko bula kar Allah ke Rasool (ﷺ) ke paas le gaya. Jab ham jama hogaye to ek doosre ke taraf ishãra karne lage to Allah ke Rasool (ﷺ) ne hamãre saamne (in ãyat ke ) tilãwat ke :
سَبَّحَ لِلَّهِ مَا فِي ٱلسَّمَٰوَٰتِ وَمَا فِي ٱلۡأَرۡضِۖ وَهُوَ ٱلۡعَزِيزُ ٱلۡحَكِيمُ ١ يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لِمَ تَقُولُونَ مَا لَا تَفۡعَلُونَ ٢ كَبُرَ مَقۡتًا عِندَ ٱللَّهِ أَن تَقُولُواْ مَا لَا تَفۡعَلُونَ ٣
[As-Saf # 61: 1 to 3] phir aapne is (Surah) ko awwal se Aakhir tak mukammal padha. [Musnad Ahmad : 452/5, 23851]
يٰٓاَيُّهَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا لِمَ تَقُوْلُوْنَ مَا لَا تَفْعَلُوْنَ
Irshãd farmãya:
۞أَتَأۡمُرُونَ ٱلنَّاسَ بِٱلۡبِرِّ وَتَنسَوۡنَ أَنفُسَكُمۡ وَأَنتُمۡ تَتۡلُونَ ٱلۡكِتَٰبَۚ أَفَلَا تَعۡقِلُونَ ٤٤
Kya tum logon ko neki ka hukum dete ho aur apne aapko bhool jãte ho, halãnke tum kitaab padhte ho, to kya tum naheen samjhte?” [Al-Baqarah # 2: 44]
Saiyyadna Usãma Bin Zayed (Razi Allahu anhu) bayaan karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmaya : “Ek Shakhs ko qamãyat ke din lãya jãyega, phir use dozakh mein daal diya jãyega, aag mein uske antdhiyaan båhar nikal padhengi aur woh (antdhiyon ke gird) chakki ke ghade ki tarah ghoomta rahega. Dozakhi uske paas jama hokar kahenge, Ae Falah ! yeh tera kya mãmla hai? Kya tu (duniya mein) hamein achi baat ka hukum deta aur buri baat se mana nahi karta tha? Wo kahega beshak mein tumhen achchhi baat ka hukum deta tha, lekin khud nahi karta tha aur tumhen bure kaam se mana karta tha, lekin khud wahi kaam kiya karta tha.” [Bukhari : 3267- Muslim :2989]
Saiyyadna Abdullah bin Masood (Razi Allahu anhu) bayaan karte hai ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya “Allah Ta’ala ne jo nabi bhi kisi ummat mein mujhse pahle bheja to uski ummat mein uske hawãri aur uske ashaab hote the, jo uski sunnat par amal karte aur uske hukum ki tãmeel karte the. Phir uske baad aise naqalf log unke jãnasheen huye jo woh kahte woh karte naheen the aur jo karte uska unhen hukum naheen diya gaya tha. To jo Shakhs aise logon se apne haath se jihaad kare to woh momin hai, jo unse apni zabaan se jihaad kare to woh momin hai aur jo unse dil se jihaad kare woh bhi momin hai, iske baad to rai ke daane ke barãbar bhi imaan nahi rahta”. [Muslim : 50]
Saiyyadna Abdullah bin Umar (Razi Allahu anhu) bayaan karte hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Chaar baaten jis mein ho woh khãlis munãfiq hai aur jismein in chaar mein se koi ek ho usmein nifãq ke ek khaslat hai, Jab tak woh use chhorh na de. (Woh yeh ke) Jab use ameen banãya jãye to khayãnat kare, jab baat kare to jhoot kahe, jab ahed kare use tod daale aur jab jhagde to badzabãni kare”. [Bukhari : 34, Muslim : 58]
Saiyyadna Abdullah bin Amir bin Rabia (Razi Allahu anhu) bayaan karte hai ke hamãre paas Allah ke Rasool (ﷺ) tashreef lãye, jabke main abhi bachcha hi tha. Mein khelne ke liye bãhar nikla, meri ammi ne kaha, Ae Abdullah! Aao main tumhen kuchh doon. Allah ke Rasool (ﷺ) ne unse poochha: “Tum use kya dena chãhti ho?” unhone kaha ke main use khajoor dena chãhti hoon. Aapne farmãya: “agar tum use kuchh na deti to tumhãre naam-e-ãmaal mein ek jhoot likh diya jãta.” [Musnad Ahmad : 447/3, 15807, Abu Dawood : 4991]
Ãyat 4
إِنَّ ٱللَّهَ يُحِبُّ ٱلَّذِينَ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِهِۦ صَفّٗا كَأَنَّهُم بُنۡيَٰنٞ مَّرۡصُوصٞ ٤
“Bila Shubah Allah un Logon Se Mohabbat Karta Hai Jo uski Rãh Mein Saf Bandh Kar ladte Hain, Jaise woh Ek sisa Pilai Hui imãrat hon”
Sisa Pilai Hui Deewar se Murãd yeh Hai Ki Maidãn-E-Jang mein Unki Saf Itni mazboot hoti hai goya woh Sisa Pilai Hui Deewar Ho,Dushman usko Tod Naheen Sakta aur Shikast kha jãta hai. Maidãn-Jihãd ki Saf Mein khada hona Kitna Bais ajr wa sawaab hai, ise jaanne ke liye Darjezail Farãmeen Rasool (ﷺ) ka mutaalla zaruri hai.
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain ke Sahãba Mein Se Ek Shakhs ka Guzar Ek Ghãti Se hua, Jahãn Meethe (Wa-khushgawar) paani ka ek Chashma Behta tha. uska zãiqa use Achchha Laga, usne Soncha, agar main Logon se alag thalag hokar yaha thaher jaaun (Aur Allah Ki Ibãdat karun to kitna Achccha Ho) taaham Main yeh kaam us Waqt Tak Naheen karunga jab tak Allah ke Rasool (ﷺ) se Ijãzat Na Le Lun. Bãde-aza usne Sara Maajra Allah ke Rasool(ﷺ) se Bayaan Kiya To aapne Farmãya:“Aisa Na Karna, beshak Tum mein se Kisi Ka Jihãd Fi-Sabil-Allah Mein Khade hona Ghar ki Sattar (70) sal ki namãzo se behtar hai. kya tum Pasand Naheen karte ke Allah Ta’ala Tumhen Bakhsh De aur Jannat mein daakhil kar de? So Allah Ke Raste Mein Jihãd karo.(Suno) Jo Shakhs ootni ke doodh dohone ke Darmiyaani Waqfa Jitna Bhi Allah Ke Raste Mein lada us per Jannat wãjib ho gai.” [Tirmizi : 1650, Mustadrak Hakim : 2382]
Saiyyadna Sahal Bin Saad saa’di (Razi Allahu anhu) Bayãn Karte Hain ki Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya:“Do Waqt Aise Hain ke Jin Mein Dua Rad Naheen Ki jaati, Ya (farmãya) kam hi Rad Ki Jaati Hai,ek ãzaan ke Waqt aur dusri Jang (Yani Maidãn-E-Jihãd) ke Waqt, Jab log Ek dusre ke saath Bhid Jaate Hain.” [Abu Dawood : 2540]
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain Ki Maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko farmãte Hue suna: “Allah Ke Raaste Mein Ghadi Bhar Khade hona Hajr e Aswad Ke Saamne laylatul qadr ke qãyam se behtar hai.” [Ibne Hibban : 4603]
Saiyyadna Abu Seed Khudri (Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain Ke poochha Gaya, Allah Ke Rasool! Logon mein sabse Afzal Shakhs kaun hai? Aap ne farmãya: “Woh momin Jo Allah Ki Raah Mein Apni Jaan aur apne Maal se Jihãd Kare.” Logon Ne arz ki, phir Kaun? Farmãya: “Woh momin Jo Kisi Pahãd ki Ghãti mein rahe, Allah se dare aur Logon Ko apni Burãi Se Mahfooz Rakhe.” [Bukhari : 2786, Muslim :1888]
Ãyat 5
وَإِذۡ قَالَ مُوسَىٰ لِقَوۡمِهِۦ يَٰقَوۡمِ لِمَ تُؤۡذُونَنِي وَقَد تَّعۡلَمُونَ أَنِّي رَسُولُ ٱللَّهِ إِلَيۡكُمۡۖ فَلَمَّا زَاغُوٓاْ أَزَاغَ ٱللَّهُ قُلُوبَهُمۡۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡفَٰسِقِينَ ٥
“Aur jab Musa ne apni qaum Se Kaha Ae Meri qaum! tum mujhe kyun takleef dete Ho, Halãnke yaqinan Tum jaante ho ke beshak Main Tumhãri Taraf Allah ka Rasool Hoon. Phir Jab woh tehde Ho Gaye to Allah ne unke Dil tehde Kar Diye aur Allah nafarmaan Logon Ko Hidãyat Naheen deta.”
Allah Tãla ne apne abd, Apne Rasool aur apne Kaleem Musa Bin Imran {(AS)Alehis Salãm} ke bãre mein farmãya hai ki unhone apni qaum Se Kaha Ke Tum mujhe Eeza Kyon dete Ho? Halanke Tum is Paighaam ki Sadãqat ko khoob jaante ho Jo Main tumhãre paas Lekar Aaya Hoon. Ismein Allah ke Rasool (ﷺ) ke liye bhi aapki qaum ki taraf se aur Deegar kuffãr ki taraf se Eezar-saniyon per tasalli aur Sabr ka Hukum hai, Jaisa ke Irshãd farmãya:
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ ءَاذَوۡاْ مُوسَىٰ فَبَرَّأَهُ ٱللَّهُ مِمَّا قَالُواْۚ وَكَانَ عِندَ ٱللَّهِ وَجِيهٗا ٦٩
Ae logon Jo Imaan lãye ho! un Logon Ki Tarah na ho jaao jinhone Musa ko takleef pahunchai To Allah ne use usse Pak saabit Kar Diya jo unhone Kaha Tha aur woh Allah ke yahãn bahot martãbe wãla tha.” [Al-Ahzab # 33: 69]
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Musa {(AS)Alehis Salam} Barhe sharmile aur Satar Poshi Karne Wãle aadmi the. Allah se sharm o Haya ki wajah se unke Jism Ka koi bhi (Qãbile satar) hissa Dikhãi Naheen deta tha. Bani Israel ke baaz Logon Ne unko Satãya, Woh Kahne Lage, Musa {(AS)Alehis Salãm} Jo Is qadar Apna Jism chupãte Hain To zarur unmein Koi aeb hai, ya to baras hai ya Fatak hai ya phir Koi Aur Bimãri hai. Allah Tãla ne Chãha ke Musa {(AS)Alehis Salãm} ki Be aebi Logon per zãhir ho jaaye to Ek Roz Aisa ittifaaq Hua ke Musa {(AS)Alehis Salãm} (gusl ke Liye) alag hue. Unhone Apne kapde Ek Pathar par rakhkar nahãna Shuru Kiya, Jab Naha Chuke aur Pathar per se kapde Lene Lage to Pathar unke kapde Lekar Bhãg Pada. Musa {(AS)Alehis Salãm} ne apni Lãthi Li aur Pathar Ke Pichhe yeh Kahte Hue Bhãge, Ae Pathar! Mere kapde, Ae Pathar! Mere kapde,woh Pathar Bani Israel ki ek Majlis mein jaakar ruk gaya aur Bani Israel ne Musa {(AS)Alehis Salãm} ko Barhãna dekh liya. Unhone Dekha ke Allah ne Jo makhlooq paida ki hai usmein woh behtareen Jism Wãle Hain. Algharz Allah Tãla ne Musa {(AS)Alehis Salãm} ko us Aib se Jo woh Unki Taraf Mansoob Karte the, Bari Kar Diya. Saiyyadna Musa {(AS)Alehis Salãm} ne Apne kapde Lekar Pahne aur Pathar ko aasa se maarna shuru Kiya. Allah Ki qasam! Pathar mein Unki Maar se Nishaan Pad Gaye.Teen ya chaar ya Paanch. Allah Tala ke mandar-Ja-Zail Farmaan mein isi Taraf Ishãra hai:
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ لَا تَكُونُواْ كَٱلَّذِينَ ءَاذَوۡاْ مُوسَىٰ فَبَرَّأَهُ ٱللَّهُ مِمَّا قَالُواْۚ وَكَانَ عِندَ ٱللَّهِ وَجِيهٗا ٦٩​
Ae logon Jo Imaan Lãye Ho! un Logon Ki Tarah na ho jaao jinhone Musa ko takleef pahunchai to Allah ne use usse Paak saabit Kar Diya jo unhone Kaha Tha aur woh Allah ke yahãn bahot Martabe wãla tha.” [Bukhari : 3404, Muslim 2371]
Saiyyadna Abdullah Bin Masood (Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne maal-e-ghanimat taqseem kiya, To Ek Shakhs Kahne Laga, Is Taqseem se Allah Ki Raza Mandi Maqsood Naheen Hai. Main ne Nabi (ﷺ) Ke Paas aaya aur aapse ye Baat Byaan ki, to aapko (Sakht) ghhussa aagaya, Yahãn Tak ke main ne aapke Chehre per ghhusse ke Aasãr Pãe. Baharhaal Bad-e-Aza aap (ﷺ) ne farmãya: “Allah Tãla Musa {(AS)Alehis Salãm} par Rahem Kare, unko isse Bhi ziyãda takleef Di gai, Lekin unhone Sabar Kiya.” [Bukhãri : 3405]
فَلَمَّا زَاغُوْٓا اَزَاغَ اللّٰهُ قُلُوْبَهُمْ
Yãni Jab ilm Ke bawajud unhone ittabae Haq se Muh Morh liya to Allah Tãla ne unke Dilon ko Hidayãt Qubool karne se teda Kar Diya aur unmein shak, hairat aur zillat o ruswai Daal Di, Jaisa ke Irshãd farmãya:
وَنُقَلِّبُ أَفۡ‍ِٔدَتَهُمۡ وَأَبۡصَٰرَهُمۡ كَمَا لَمۡ يُؤۡمِنُواْ بِهِۦٓ أَوَّلَ مَرَّةٖ وَنَذَرُهُمۡ فِي طُغۡيَٰنِهِمۡ يَعۡمَهُونَ ١١٠
Aur ham unke Dilon aur Unki Aankhon ko pher Denge, Jaise woh is par pahli baar Imaan Naheen lãe aur unhe Chhorh Denge, apni sarkashi mein bhatakte phirenge.” [Al-An'am # 6: 110] aur Farmãya:
وَمَن يُشَاقِقِ ٱلرَّسُولَ مِنۢ بَعۡدِ مَا تَبَيَّنَ لَهُ ٱلۡهُدَىٰ وَيَتَّبِعۡ غَيۡرَ سَبِيلِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ نُوَلِّهِۦ مَا تَوَلَّىٰ وَنُصۡلِهِۦ جَهَنَّمَۖ وَسَآءَتۡ مَصِيرًا ١١٥
Aur Jo Koi Rasool ki mukhalifat Kare, Iske bad ke iske liye Hidãyat khub wãzeh ho chuki aur momino ke Raaste Ke Siva (Kisi Aur) ki pairvi Kare Ham use usi Taraf pher Denge Jis Taraf woh phirega aur ham use jahannum mein jhokyenge aur woh Buri lautne ki jagah hai.” [An-Nisa # 4: 115]
Ayat 6
وَإِذۡ قَالَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ يَٰبَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ إِنِّي رَسُولُ ٱللَّهِ إِلَيۡكُم مُّصَدِّقٗا لِّمَا بَيۡنَ يَدَيَّ مِنَ ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَمُبَشِّرَۢا بِرَسُولٖ يَأۡتِي مِنۢ بَعۡدِي ٱسۡمُهُۥٓ أَحۡمَدُۖ فَلَمَّا جَآءَهُم بِٱلۡبَيِّنَٰتِ قَالُواْ هَٰذَا سِحۡرٞ مُّبِينٞ ٦
“Aur jab Esaa ibne Mariyam ne Kaha Ae Bani Israel! Bila Shubah Main Tumhari Taraf Allah ka Rasool Hoon, iski tasdeeq karne wala hun jo Mujhse pahle taurat Ki Surat mein hai aur ek Rasool ki basharat dene wala hun, Jo Mere baad aayega, uska naam Ahmad hai. Phir Jab wo unke pass Waze nishaniyan Lekar Aaya To unhone Kaha ya Khula Jadu Hai.”
Esaa {(AS)Alehis Salam} ne apne zamane ke Yahoodiyon Se Kaha, Ae Bani Israel! main Nabi Banakar aur Injeel dekar Tumhari Hidayat ke liye Bheja Gaya Hun. Main wahi Dawat Lekar Aaya hun jo taurat ki Dawat thi, yani Ek Allah Ki Bandagi aur ghairon Ki Ibadat Ka inkar. Mere zariye Se taurat ki tasdiq Yu bhi hoti hai ke Taurat mein Meri beysat ki Khabar maujood hai aur ab main maboos ho chuka hun, to sabit Hua ke taurat Allah Ki Sachi Kitab hai aur Main Tumhen Apne baad aane wale ek Rasool ki basharat deta hun Jinka Naam Ahmad hoga. Yahoodiyon ne Esaa {(AS)Alehis Salam} ke tamam moujazat ka Mushahida karne ke bawajood Unki takzeeb Kardi aur kaha ke ye Jo Kuchh Hamare Samne pesh kar raha hai Khula Jadu Hai.
Saiyyadna Jubair Bin Muta’am (Razi Allahu anhu) Bayan Karte Hain Ke maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko Farmate Hue suna: “Mere Kuchh naam hai, main Mohammad hun, main Ahmed hun, main Mahi hun yani mitane wala, Allah Kufar ko mere zariye se mitaega, main Hashir Hoon Ke Allah Ta’ala Sabko Hashr mein Mere baad jama Karega Aur Main Aaqib (yani sab nabiyon ke baad aane wala) hun.” [Bukhari : 4896, Muslim : 2354]
Saiyyadna Abu Musa (Razi Allahu anhu) Bayan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Apne Kae Naam Hum se Byan Karte The, Aap ne farmaya: “Main Mohammad hun, main Ahmed hun, main maqfi (yani aaqib) hun, Main hashir Hoon, Main Nabi Al-to-bata aur Nabi Al-rahma hun.” [Muslim 2355]
Saiyyadna Abu Umama (Razi Allahu anhu) Bayan Karte Hain maine arz ki, Ae Allah Ke Rasool! aapke mamle ki ibteda kya hai (yani aapki ibtedai nishaniyan kya hai)? Aap ne farmaya: “Main Apne Baap Ibrahim ki Dua hoon, Esaa ki basharat Hoon Aur meri Walda ne Khwab Dekha ke unmein se ek Aisa Noor nikla jisse Shaam Ke Mehlaat Roshan Ho Gaye.” [Musnad Ahmad 262/5 22324].
Ayat 7
وَمَنۡ أَظۡلَمُ مِمَّنِ ٱفۡتَرَىٰ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ وَهُوَ يُدۡعَىٰٓ إِلَى ٱلۡإِسۡلَٰمِۚ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلظَّٰلِمِينَ ٧
“Aur us Shakhs Se ziyãda zãlim kaun hai Jo Allah pãr Jhooth Bãndhe, Jab Ke use Islãm ki Taraf Bulãya ja raha ho aur Allah zãlim Logon Ko Hidãyat Naheen deta.”
Is Ãyat-E-Karima mein mushrikeen aur yahood o nasãra ke Kufr o Shirk Par shadeed nakeer ki gai hai ke Allah Tãla ne Nabi Karim (ﷺ) ko Islãm Jaisa Deen barhaq dekar Duniya Mein bhej diya, Jisne haq o bãtil ko wãze Kar Diya hai. Ab agar koi isse Aankh band kar le aur Allah Tãla par Iftarah pardazi Kare to usse Bada zãlim Kaun Hoga? Ahle Kitaab ne Islãm Qubool na karne ke Kai Bahãne bana Rakhe the, maslan Hum Kisi Nabi par Imaan Naheen lãenge jab tak woh Aisi Qurbãni peish na Karen jise Aag Aakar kha Jaaye, Jaisa ke Irshãd farmãya:
ٱلَّذِينَ قَالُوٓاْ إِنَّ ٱللَّهَ عَهِدَ إِلَيۡنَآ أَلَّا نُؤۡمِنَ لِرَسُولٍ حَتَّىٰ يَأۡتِيَنَا بِقُرۡبَانٖ تَأۡكُلُهُ ٱلنَّارُۗ قُلۡ قَدۡ جَآءَكُمۡ رُسُلٞ مِّن قَبۡلِي بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَبِٱلَّذِي قُلۡتُمۡ فَلِمَ قَتَلۡتُمُوهُمۡ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ ١٨٣ فَإِن كَذَّبُوكَ فَقَدۡ كُذِّبَ رُسُلٞ مِّن قَبۡلِكَ جَآءُو بِٱلۡبَيِّنَٰتِ وَٱلزُّبُرِ وَٱلۡكِتَٰبِ ٱلۡمُنِيرِ ١٨٤
Jinhone Kaha beshak Allah ne Hamein tãkidi Hukum Diya hai ki Hum Kisi Rasool ki baat ka yaqeen na Karen, Yahãn Tak ke woh hamãre paas Aisi Qurbãni lãe jise Aag khaa jaaye, kah De beshak Mujhse pahle kai Rasool tumhãre paas Wãze Daleel Lekar Aaye aur woh cheezen Lekar bhi Jo Tumne kahi hai, phir Tumne unhen Kyun Qatl Kiya, agar tum sachche the. Phir Agar woh Tujhe Jhutlãe to beshak Kai Rasool Tujhse pahle jhutlãe Gaye, Jo wãze Daleel aur Sahife aur Roshan Kitaab Lekar Aaye the.” [Al Imrãn # 3: 183 &184]
Ahle Kitaab Tauraat aur Injeel Mein Tahrif Karke unko Apne mansha Aur maqsad Ke mutãbiq Dhaal lia Karte The, Jaisa ki Irshãd farmãya:
وَإِنَّ مِنۡهُمۡ لَفَرِيقٗا يَلۡوُۥنَ أَلۡسِنَتَهُم بِٱلۡكِتَٰبِ لِتَحۡسَبُوهُ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَمَا هُوَ مِنَ ٱلۡكِتَٰبِ وَيَقُولُونَ هُوَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِ وَمَا هُوَ مِنۡ عِندِ ٱللَّهِ وَيَقُولُونَ عَلَى ٱللَّهِ ٱلۡكَذِبَ وَهُمۡ يَعۡلَمُونَ ٧٨
Aur beshak un mein se yaqinan Kuchh log Aise Hain Jo Kitaab (padhne) ke saath apni Zabãne Marodte Hain, tãke Tum use Kitaab mein se Samjho, halãnke woh Kitaab mein se naheen aur kahte Hain Yeh Allah ki taraf se hai, Halãnke woh Allah ki taraf se naheen aur Allah par Jhooth Kahte Hain, Halãnke woh Jaante Hain.” [Al Imrãn # 3: 78]
Ahle Kitaab Kahte the ki Jannat mein sirf yahoodi ya nasrãni Jãenge, Musalmãn Jannat mein naheen Jãenge, lihãza kya zarurat hai ke Islãm Qabool kiya jaaye? Jaisa ke Irshãd farmãya:
وَقَالُواْ لَن يَدۡخُلَ ٱلۡجَنَّةَ إِلَّا مَن كَانَ هُودًا أَوۡ نَصَٰرَىٰۗ تِلۡكَ أَمَانِيُّهُمۡۗ قُلۡ هَاتُواْ بُرۡهَٰنَكُمۡ إِن كُنتُمۡ صَٰدِقِينَ ١١١ بَلَىٰۚ مَنۡ أَسۡلَمَ وَجۡهَهُۥ لِلَّهِ وَهُوَ مُحۡسِنٞ فَلَهُۥٓ أَجۡرُهُۥ عِندَ رَبِّهِۦ وَلَا خَوۡفٌ عَلَيۡهِمۡ وَلَا هُمۡ يَحۡزَنُونَ ١١٢
Aur unhone Kaha Jannat mein Hargiz dãkhil Naheen Honge magar jo yahoodi Honge ya nasãra. yeh Unki Aarzooen hi hain, kah De lão apni Daleel, agar tum sachche ho. Kyun Naheen, Jisne Apna Chehra Allah keTãbe kar diya aur woh Neki karne wãla ho to uske liye uska Ajr Uske Rab ke paas hai aur na un par Koi khauf hai aur Na woh Ghamgeen Honge.” [Al-Baqarah # 2: 111 and 112]
Ãyat 8
يُرِيدُونَ لِيُطۡفِ‍ُٔواْ نُورَ ٱللَّهِ بِأَفۡوَٰهِهِمۡ وَٱللَّهُ مُتِمُّ نُورِهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡكَٰفِرُونَ ٨
“Woh Chãhte Hain ke allah ke noor ko Apne Munho ke saath Bujha De aur Allah Apne Noor ko pura karne wãla hai, agarche ke kafir log napasand Karen”
Is Ãyat mein unhin adae Deen Yahood nasåra aur Mushrikeen quresh ke bare mein Allah Tåla ne farmãya ke yeh log Allah Ke Chiraaghh ko apni phoonkon se bujhãna Chãhte Hain. Qurãn Karim ko Jãdu aur mere Nabi (ﷺ) ko Jãdugar Kahte Hain. To Jaan Le Ke yeh kãfiro Ki khawãhish ke Ali Al Ragam (Regardless) Unki Kham khayãli hai. Allah ke noor ko shama ki Mãnind phoonko se naheen Bujhãya Ja Sakta, yeh to woh Noor hai Jise Allah Tãla Puri Duniya mein phailakar rahega. Allah ke noor se Murãd Noor Hidãyat yãni Deen Islãm hai, Jaisa ke Irshãd farmãya:
أَفَمَن شَرَحَ ٱللَّهُ صَدۡرَهُۥ لِلۡإِسۡلَٰمِ فَهُوَ عَلَىٰ نُورٖ مِّن رَّبِّهِۦۚ فَوَيۡلٞ لِّلۡقَٰسِيَةِ قُلُوبُهُم مِّن ذِكۡرِ ٱللَّهِۚ أُوْلَٰٓئِكَ فِي ضَلَٰلٖ مُّبِينٍ ٢٢
To Kya Wo Shakhs Jiska Sena Allah ne Islãm ke liye khol diya hai, So woh Apne Rab ki taraf se Ek Roshni par hai (Kisi sakht Dil kãfir Jaisa ho sakta hai?) bas unke liye Halåkat hai Jinke Dil Allah Ki Yaad ki taraf se sakht hain, yeh log Sarih gumråhi mein hain.” [Az-Zumar # 39: 22]
Kãfiron ne bahot koshish ki ke deen Islåm ko nest-o-nãboot karde lekin Unki koshish bekaar Gayi. Allah ne apne Noor ko ghãlib karne ka Jo Vaada Kiya Tha use pura Kar Diya, Jaisa ke irshãd farmãya:
ٱلۡيَوۡمَ أَكۡمَلۡتُ لَكُمۡ دِينَكُمۡ وَأَتۡمَمۡتُ عَلَيۡكُمۡ نِعۡمَتِي وَرَضِيتُ لَكُمُ ٱلۡإِسۡلَٰمَ دِينٗاۚ
Aaj maine Tumhãre Liye Tumhãra Deen Kãmil Kar Diya Aur Tum Par apni neymat Puri kar di aur Tumhãre Liye Islãm Ko deen ki haisiyat se Pasand Kar Liya.” [Al-Ma'idah # 5: 3]
Ãyat 9
هُوَ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ رَسُولَهُۥ بِٱلۡهُدَىٰ وَدِينِ ٱلۡحَقِّ لِيُظۡهِرَهُۥ عَلَى ٱلدِّينِ كُلِّهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡمُشۡرِكُونَ ٩
“Wahi hai Jisne Apne Rasool ko Hidãyat Aur Deen Haq ke saath bheja, tãke use Tamaam Deenon par Ghãlib kar de, Agarche mushrik log napasand Karen”
Is aayat mein farmãya ke Allah ne Apne Rasool (ﷺ) ko Qurãn Aur Deen Islãm ke saath bheja hai aur uska Faisla Hai ke woh deen Islãm ko mushrikeen Ki khwãhish Ke Ali Al Ragam (Regardless) Duniya Ke Tamam adyan o mazãhib pãr ghãlib Karega, Jaisa ke Allah Tãla Ne Irshãd farmãya:
يُرِيدُونَ أَن يُطۡفِ‍ُٔواْ نُورَ ٱللَّهِ بِأَفۡوَٰهِهِمۡ وَيَأۡبَى ٱللَّهُ إِلَّآ أَن يُتِمَّ نُورَهُۥ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡكَٰفِرُونَ ٣٢ هُوَ ٱلَّذِيٓ أَرۡسَلَ رَسُولَهُۥ بِٱلۡهُدَىٰ وَدِينِ ٱلۡحَقِّ لِيُظۡهِرَهُۥ عَلَى ٱلدِّينِ كُلِّهِۦ وَلَوۡ كَرِهَ ٱلۡمُشۡرِكُونَ ٣٣
Woh Chãhte Hain Ke Allah ke noor ko Apne Munho se Bujha de aur Allah Naheen maanta Magar yeh ke apne Noor ko pura Karen, khuwãh Kãfir log Bura Jaane. wahi hai Jisne Apna Rasool Hidãyat Aur Deen Haq De kar bheja, tãke use Har deen par ghãlib kar de, Khuwãh mushrik log Bura Jaane.” [At-Tawbah # 9: 32 & 33]
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya: “Meri aur dusre Paighhambaro ki Misaal, Jo Mujhse pahle guzre Hain, aisi hai Jaise Kisi Shakhs Ne Ek Ghar Banãya aur uski zaibãish-o-aaraish ki, lekin Uske kono mein se Kisi Ek Kone mein Ek eent ki jagah Chhorh De, log (usmein dãkhil hue) aur use ghoom phir kar Chãro Taraf Se Dekhne Lage to unhen woh imãrat bahot pasand aai, Tãham woh Kahne Lage ki yeh Ek eent Yahãn Kyun Naheen Rakh Di gai? Nabi (ﷺ) ne farmãya main wahi eent hun aur main khãtam-ul Nabiyeen hun.” [Bukhari 3535, Muslim 2286]
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu) Bayan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) ne farmãya : Us zaat Ki qasam Jiske Haath Mein Mohammed (ﷺ) Ki Jaan Hai! is ummat mein se koi bhi Shakhs khuwa woh yahoodi ho ya nasrãni (ya Kisi Aur mazhab ka Pairon Kar) woh mere mutãliq Sune Aur meri lãi Hui shariyat par imaan lãe baghair mar Jaaye to woh dozakhi hai.” [Muslim 153]
Ãyat 10 to 13
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ هَلۡ أَدُلُّكُمۡ عَلَىٰ تِجَٰرَةٖ تُنجِيكُم مِّنۡ عَذَابٍ أَلِيمٖ ١٠ تُؤۡمِنُونَ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَتُجَٰهِدُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ بِأَمۡوَٰلِكُمۡ وَأَنفُسِكُمۡۚ ذَٰلِكُمۡ خَيۡرٞ لَّكُمۡ إِن كُنتُمۡ تَعۡلَمُونَ ١١ يَغۡفِرۡ لَكُمۡ ذُنُوبَكُمۡ وَيُدۡخِلۡكُمۡ جَنَّٰتٖ تَجۡرِي مِن تَحۡتِهَا ٱلۡأَنۡهَٰرُ وَمَسَٰكِنَ طَيِّبَةٗ فِي جَنَّٰتِ عَدۡنٖۚ ذَٰلِكَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ ١٢ وَأُخۡرَىٰ تُحِبُّونَهَاۖ نَصۡرٞ مِّنَ ٱللَّهِ وَفَتۡحٞ قَرِيبٞۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ ١٣
“Ae logon Jo Imaan Lãe Ho kya Main Tumhãri Aisi Tijãrat ki taraf rahnumãi Karun Jo Tumhen dardnaak Azaab se bacha le? Tum Allah aur uske Rasool par Imaan lão aur apne maalon aur apni janon ke saath Allah Ki Rah mein Jihãd karo, yeh Tumhãre Liye behtar hai agar tum jaante ho. Woh Tumhen Tumhãre Gunaah maaf kar dega aur Tumhen Aise Bãghhon Mein dãkhil Karega Jinke Niche Se Nehre Bahhti hain aur Rahne ki Pakiza jagãhon mein jo Hamesha Rahne ke Bãghhon mein hai, yahi bahot badi kãmyãbi hai. Aur ek aur cheez Jise Tum Pasand Karte Ho Allah ki taraf se madad aur qareeb fatah hai aur Imaan Wãlon Ko khush khabri Suna De.”
Pahli Aayate kareema Mein Allah Ta’ala Ne Aamaal saleh ko amwaal Tijãrat se tashbi Di hai, isliye ke Jis Tarah Tijãrat se Nafa Haasil hota hai, isi Tarah Aamaal saleh Dhakhool Jannat aur Azab e naar se nijaat ka sabab hote hain, Yãni Agar woh Allah aur uske Rasool par Haqiqi Imaan Rakhenge aur Allah Ki Rãh mein Apne amwaal aur apni janon ke zariya se Jihãd Karenge to unke yeh kaam Maal wa Anjaam ke Aitbaar se unke liye bahot hi nafe Honge. Allah Tãla unke Gunãhon ko maaf kar denge aur unhen un Jannato mein dãkhil Karega Jinke niche Nahre jari hongi, Buland o bala makãnaat aata Karega jin Mein woh Hamesha Rahenge. Haqiqat Mein Ek Insaan Ki Yahi Sabse Badi kãmyãbi Hai Ki uska Rab Uske Gunãhon ko maaf kar de aur use Jannat mein dãkhil kar de. mazkura neymãton ke alãva Allah Tãla Ek Aur neymat Dega Jise Tum Pasand Karte Ho, woh yeh Ke Tum Makka ko fatah Karoge aur uske baad aas paas ke Deegar shahron aur ilãqon ko bhi fatah Karoge aur Allah Ki Nusrat o tãeed tumhare saath Hogi. Aayat ke Aakhir Mein farmãya Ke Mere Nabi! aap momino ko khush khabri de dijiye ke Allah ne Unse Jo Vada Kiya hai woh pura hokar Rahega.
تُنْجِيْكُمْ مِّنْ عَذَابٍ اَلِيْمٍ
Yãni Jab jihãd ki zarurat ho aur Jihãd ke liye Bulaya Jaaye to Jo Shakhs Jihãd se pehlu tai Karen woh dardnaak azaab ka mustahiq hai, Jaisa ke Irshãd farmãya:
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ مَا لَكُمۡ إِذَا قِيلَ لَكُمُ ٱنفِرُواْ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ ٱثَّاقَلۡتُمۡ إِلَى ٱلۡأَرۡضِۚ أَرَضِيتُم بِٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا مِنَ ٱلۡأٓخِرَةِۚ فَمَا مَتَٰعُ ٱلۡحَيَوٰةِ ٱلدُّنۡيَا فِي ٱلۡأٓخِرَةِ إِلَّا قَلِيلٌ ٣٨ إِلَّا تَنفِرُواْ يُعَذِّبۡكُمۡ عَذَابًا أَلِيمٗا وَيَسۡتَبۡدِلۡ قَوۡمًا غَيۡرَكُمۡ وَلَا تَضُرُّوهُ شَيۡ‍ٔٗاۗ وَٱللَّهُ عَلَىٰ كُلِّ شَيۡءٖ قَدِيرٌ ٣٩
Ae Logon Jo Imaan Lãe Ho! Tumhen kya hai ki Jab Tumse Kaha jata hai ke Allah Ke Raaste Mein niklo to Tum zameen ki taraf nihaayat bhojal Ho Jaate Ho? kya tum Aakhirat ke muqãbile Meiln Duniya Ki zindagi per khush ho gaye ho? to duniya ki zindagi ka sãmaan Aakhirat ke muqãbile Mein Naheen Hai Magar bahot thoda. Agar Tum Na nikaloge to wo Tumhen dardnaak Azaab dega aur Badal kar Tumhãre alãva aur log Le aayega aur tum uska Kuchh nuqsaan Na Karoge aur Allah Har cheez par Puri Tarah qãdir hai.” [At-Tawbah # 9: 38-39] aur farmãya:
قُلۡ إِن كَانَ ءَابَآؤُكُمۡ وَأَبۡنَآؤُكُمۡ وَإِخۡوَٰنُكُمۡ وَأَزۡوَٰجُكُمۡ وَعَشِيرَتُكُمۡ وَأَمۡوَٰلٌ ٱقۡتَرَفۡتُمُوهَا وَتِجَٰرَةٞ تَخۡشَوۡنَ كَسَادَهَا وَمَسَٰكِنُ تَرۡضَوۡنَهَآ أَحَبَّ إِلَيۡكُم مِّنَ ٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ وَجِهَادٖ فِي سَبِيلِهِۦ فَتَرَبَّصُواْ حَتَّىٰ يَأۡتِيَ ٱللَّهُ بِأَمۡرِهِۦۗ وَٱللَّهُ لَا يَهۡدِي ٱلۡقَوۡمَ ٱلۡفَٰسِقِينَ ٢٤
kah De Agar Tumhãre Baap aur Tumhãre bete aur Tumhãre bhãi aur Tumhãri biwiyaan aur Tumhãra khãndaan aur woh amwaal jo tumne kamae hain aur woh Tijãrat Jiske Mãnda padne se tum darte ho aur Rehne ke Makãnaat jinhen Tum Pasand Karte Ho, Tumhen Allah aur uske Rasool aur uski Rãh Mein Jihãd Karne Se ziyãda Mahboob Hai To Intezaar karo, Yahãn Tak ke Allah Apna Hukum Le Aaye Aur Allah nafarmaan Logon Ko Hidãyat Naheen deta.” [At-Tawbah # 9: 24]
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmåya “Kãfir aur usko qatal karne wãla jahannam ki aag Mein Kabhi ikhatthe Naheen Honge.” [Muslim 1891]
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu) Bayan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmãya “Donon jahannum Mein Is Tarah ikhatthe Naheen Honge ki ek dusre ko nuqsaan pahuncha Den.” Logon Ne arz ki woh Kaun log Hain Ya Allah ke Rasool? Aap Ne farmãya “Jo Musalman Kisi Kãfir ko qatal Kare, phir neki par qãyam Rahe.” [Muslim 1891]
تُؤْمِنُوْنَ بِاللّٰهِ وَرَسُوْلِهٖ وَتُجَاهِدُوْنَ فِيْ سَبِيْلِ اللّٰهِ بِاَمْوَالِكُمْ وَاَنْفُسِكُمْ ۭ ذٰلِكُمْ خَيْرٌ لَّكُمْ اِنْ كُنْتُمْ تَعْلَمُوْنَ
Irshãd farmãya:
إِنَّمَا ٱلۡمُؤۡمِنُونَ ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ بِٱللَّهِ وَرَسُولِهِۦ ثُمَّ لَمۡ يَرۡتَابُواْ وَجَٰهَدُواْ بِأَمۡوَٰلِهِمۡ وَأَنفُسِهِمۡ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِۚ أُوْلَٰٓئِكَ هُمُ ٱلصَّٰدِقُونَ ١٥
[Al-Hujurat # 49: 15] “Momin to vahi hai jo Allah aur uske Rasool par Imaan lãe, phir unhone shak naheen kiya aur unhone apne maalon aur apni jaanon ke saath Allah Ki rãh mein jihãd Kiya. Yahi log sachche hain” aur farmãya:
۞إِنَّ ٱللَّهَ ٱشۡتَرَىٰ مِنَ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ أَنفُسَهُمۡ وَأَمۡوَٰلَهُم بِأَنَّ لَهُمُ ٱلۡجَنَّةَۚ يُقَٰتِلُونَ فِي سَبِيلِ ٱللَّهِ فَيَقۡتُلُونَ وَيُقۡتَلُونَۖ وَعۡدًا عَلَيۡهِ حَقّٗا فِي ٱلتَّوۡرَىٰةِ وَٱلۡإِنجِيلِ وَٱلۡقُرۡءَانِۚ وَمَنۡ أَوۡفَىٰ بِعَهۡدِهِۦ مِنَ ٱللَّهِۚ فَٱسۡتَبۡشِرُواْ بِبَيۡعِكُمُ ٱلَّذِي بَايَعۡتُم بِهِۦۚ وَذَٰلِكَ هُوَ ٱلۡفَوۡزُ ٱلۡعَظِيمُ ١١١ ٱلتَّٰٓئِبُونَ ٱلۡعَٰبِدُونَ ٱلۡحَٰمِدُونَ ٱلسَّٰٓئِحُونَ ٱلرَّٰكِعُونَ ٱلسَّٰجِدُونَ ٱلۡأٓمِرُونَ بِٱلۡمَعۡرُوفِ وَٱلنَّاهُونَ عَنِ ٱلۡمُنكَرِ وَٱلۡحَٰفِظُونَ لِحُدُودِ ٱللَّهِۗ وَبَشِّرِ ٱلۡمُؤۡمِنِينَ ١١٢
Beshak Allah ne momino se Unki Jaane aur unke amwaal khareed liye hain Iske Badle ke yaqinan unke Liye Jannat Hai woh Allah Ke Raaste Mein ladte Hain bas qatal karte hain aur qatal kiye Jaate Hain, Ya tauraat aur injeel aur qurãn Mein uske zimme pakka wãda hai aur Allah se ziyãda Apna Wãda pura karne wãla Kaun Hai? To Apne is saude par khoob khush ho jão Jo Tumne usse kiya hai aur Yahi bahot badi kãmyãbi hai. (woh momin) Tauba Karne Wãle, Ibãdat Karne Wãle, Hamd Karne Wåle, Roza rakhne wãle, ruku Karne Wãle, Sajda Karne Wãle, neki Ka Hukum Dene Wãle, Burãi Se Mana Karne Wãle aur Allah Ki Hadon Ki Hifãzat Karne Wale Hain aur un momino ko khush khabri de do.” [At-Tawbah # 9: 111-112]
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmãya: “Logon Mein Se behtareen Zindagi us Shakhs ki Hai Jo Jihãd Mein Apne Ghode Ki Peeth par Baitha Lagaam thãme Hue dauda Phirta Hai. Jab Kisi taraf se hamle Ka Shor ya ghabrãhat ki ãwaaz Sunta Hai To us Taraf Daud padta hai, woh Maut ko Maut Ki waadiyon Mein Talaash Karta Phirta Hai.” [Muslim 1889]
Saiyyadna Abu hurairah (Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmãya: “Jis Shakhs Ne Allah Tãla ke Raaste Mein Jihãd Kiya aur woh Apne Ghar Se sirf Allah Ki Rãh mein Jihãd karne aur uske ahkaam ki tasdeeq ke liye Nikãla, To Allah Tãla zamãnat deta hai ki ya to usko Jannat mein dãkhil karega, ya Ajr-o-Ghanimat ke saath use Uske Ghar ki taraf Lautaaega.” [Bukhãri 7463, Muslim 1876]
نَصْرٌ مِّنَ اللّٰهِ وَفَتْحٌ قَرِيْبٌ
Yãni Jab Tum Uske Raaste Mein Jihãd Karoge aur uske Deen Ki madad Karoge To Tumhãri fatah o Nusrat ka Allah Tãla Zãmin Hai, Jaisa ke Irshãd farmãya:
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُوٓاْ إِن تَنصُرُواْ ٱللَّهَ يَنصُرۡكُمۡ وَيُثَبِّتۡ أَقۡدَامَكُمۡ ٧
Aae Logon Jo Imaan Lãe Ho agar tum Allah Ki madad Karoge To woh Tumhãri madad Karega aur Tumhãre qadam Jama dega.” [Muhammad # 47: 7] aur farmãya:
وَلَيَنصُرَنَّ ٱللَّهُ مَن يَنصُرُهُۥٓۚ إِنَّ ٱللَّهَ لَقَوِيٌّ عَزِيزٌ ٤٠
Aur Yaqinan Allah zarur uski madad Karega Jo uski madad Karega, beshak Allah Yaqeenan bahot quwwat wãla, Sab par ghãlib hai.” [Al Ḥajj # 22: 40]
Ãyat 14
يَٰٓأَيُّهَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ كُونُوٓاْ أَنصَارَ ٱللَّهِ كَمَا قَالَ عِيسَى ٱبۡنُ مَرۡيَمَ لِلۡحَوَارِيِّ‍ۧنَ مَنۡ أَنصَارِيٓ إِلَى ٱللَّهِۖ قَالَ ٱلۡحَوَارِيُّونَ نَحۡنُ أَنصَارُ ٱللَّهِۖ فَ‍َٔامَنَت طَّآئِفَةٞ مِّنۢ بَنِيٓ إِسۡرَٰٓءِيلَ وَكَفَرَت طَّآئِفَةٞۖ فَأَيَّدۡنَا ٱلَّذِينَ ءَامَنُواْ عَلَىٰ عَدُوِّهِمۡ فَأَصۡبَحُواْ ظَٰهِرِينَ ١٤
“Ae logon Jo Iman Lãe Ho Allah Ke madadgaar Ban jão, Jis Tarah Esa ibne Mariyam Ne Hawãriyon Se Kaha Allah Ki Taraf Mere madadgaar Kaun Hai? Hawãriyon Ne Kaha Ham Allah Ke madad Gar Hain. To Bani Israel mein se ek giroh Iman le aaya aur ek giroh ne kufr Kiya, phir Hãmne un Logon Ki Jo imaan lãye The unke dushmanon ke khilãf madad ki to woh ghãlib Ho Gaye”
Is ãyate Karima mein Allah Tãla ne apne Momin bando ko Hukum Diya Hai Ke woh Har Haal Mein Apni Jano, Apne maalo aur apne Aqwaal o Afwaal ke zariye se is Deen Haq ki madad Karte Rahe Jise Allah Tãla ne apni tait wa Bandagi ke liye nãzil Kiya Hai, Jaise Esa {(AS)Alehis Salãm} ke Hawãriyo Ne Unki ãwaaz per labbaik Kaha, Dãwat ali allah ke kam Mein Unka Saath Diya aur Unse apni Jaano ki Qurbãni Dene Ka Vada Kiya, isi Tarah woh bhi Allah aur uske Rasool ka Har Tarah Se saath dene ke liye taiyyãr Rahe. Jab Hawariyo Ne Esa {(AS)Alehis Salãm} Se Kaha ke aapki Dãwat Logon Tak pahunchãne ke liye Ham aapki madad Karenge to Esa {(AS)Alehis Salãm} Ne unhen Israeliyun ke paas tauheed ki Dãwat ke saath bheja. Hamãre Rasool (ﷺ) bhi Hajj Ke Dino Mein isi Tarah kahan Karte The, Jaisa ke Saiyyadna jãbir Bin Abdullah (Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain Ke (ibtedãi beysat ke Dino mein) Allah ke Rasool (ﷺ) Maidãn e Arãfåt Mein apne aap ko (yãni apni Dawat ko) Logon Ke Samne pesh Karte The aur Kahte the: “Suno! Koi Mujhe Apni qaum ki taraf Le Jaaye, bila Shubah quraish Ne Mujhe! Apne Rab ka paighhãm pahunchane Se rok Diya Hai.” [Abu Dawood 4734]
Chunãnche Allah Tãla Ne Unki madad ke liye Madeena ke Ous-Wa-Khazraj qabeele Wãlon ke Dilo ko Musakhar kar diya. unhone aapke Hath per bait ki, aapki madad ki aur kaha ke agar aap hijrat Karke Madeena aa Jãenge to ham har Tarah Se aapka difa Karenge, Jab aap wahãn pahunch gaye to unhone Apna wãda pura Kiya. isiliye Allah aur uske Rasool Ne unhen “ansaar” Ka laqab diya jo Unka Naam ban gaya Jaisa ke Saiyyadna Zaid bin Arkam (Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmãya: “Ae Allah! Ansaar ko bakhsh de, ansaar ke beto ko bakhsh de, aur anusar ke poto ko (bhi bakhsh De).” [Muslim 2506]
Saiyyadna Ibne Azib(Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmãya: “Ansaar Se Sivãe momin ke Koi Dosti Nahin rakhega aur Unse Sivãe munãfiq ke Koi Dushmani Naheen rakhega, so Jo Koi ansaar Se Mohabbat Kare Allah bhi usse Mohabbat Karega aur Jo Koi ansaar se Dushmani karen to Allah bhi usse Dushmani Karega.” [Bukhãri 3783]
فَاَيَّدْنَا الَّذِيْنَ اٰمَنُوْا عَلٰي عَدُوِّهِمْ فَاَصْبَحُوْا ظٰهِرِيْنَ
Saiyyadna Imran Bin Hussain (Razi Allahu anhu) bayaan Karte Hain ke Allah ke Rasool (ﷺ) Ne farmãya: “Meri ummat ka ek giroh Hamesha haq ke liye qatal Karta Rahega aur woh apne muqãbil Aane Wãlon per Ghãlib Rahenge, Hatta Ke Unka Aakhri ghiro maseh Dajjãl se Ladãi Karega.” [Abu Dawood 2484, Musnad Ahmad 434/4, 19918]
Saiyyadna tameem Dari (Razi Allahu anhu) Bayaan Karte Hain Ki Maine Allah ke Rasool (ﷺ) ko farmãte Hue Suna: “Bila Shubah yeh deen wahãn tak zarur bazarur pahunch kar rahe ga jahãn tak Din Aur Raat Ki Rasaai hai aur Allah Tãla Kisi Mitti Aur gare Ke Makaan Ko Naheen chhorhega ke usmein is Deen Ko dãkhil na kar de. khavah koi Izzat Ke Saath qubool Karen ya zillat ke saath, Islãm aur Ahle Islãm ko Allah Tãla Izzat De kar rahega Aur kufr Ko zaleel o khuwãr kar ke Rahega.” [Musnad Ahmad 16959]

57

 

Attachments

Last edited:

Similar threads


Top