TAKABBUR KARNE WAALA AUR SHARMAANE WAALA ILM HAASIL NAHIN KAR SAKTA


TAKABBUR KARNE WAALA AUR SHARMAANE WAALA ILM HAASIL NAHIN KAR SAKTA

بِسْمِ ٱللَّٰهِ ٱلرَّحْمَٰنِ ٱلرَّحِيمِ

• Imaam Bukhaari (Rahimahullaah) ne baab baandha hai ke "Is bayaan mein ke Husool e ILM mein sharmaana munaasib nahin hai." Aur ta'leeqan qaul naqal kiya hai jo neeche mazkoor hai.

وَقَالَ مُجَاهِدٌ لاَ يَتَعَلَّمُ الْعِلْمَ مُسْتَحْيٍ وَلاَ مُسْتَكْبِرٌ

Mujaahid kehte hain ke Mutakabbir aur Sharmaane waala aadmi ILM haasil nahin kar sakta.


[Source: Saheeh Al-Bukhaari, Kitaabul-'Ilm, Hadees: 130 ke oopar]

TASHREEH: Mutakabbir apne Takabbur ki himaaqat mein mubtilaa hai jo kisi se ILM haasil karne ko apni shaan ke khilaaf samajhta hai aur Sharm karne waala apni kam aqli se aisi jagah Sharm waala banraha hai jahaan Hayaa wa Sharm ka koi maqaam nahin.

• Imaam Mujaahid ke qaul ka maf'hoom ye hai ke agar ILM seekhne ke zaraaye maujood rehne ke baawajood koi ILM haasil nahin kar raha hai toh woh Mutakabbir hai Ya nahin toh phir bila wajah Sharma raha hai.

ولله الحمد والمنة وأعلم

Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
 

Similar threads


Top