ALLAH TALA AUR RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam KE LIYE LAFZ "ISHQ" KA ISTEMAAL


ALLAH TALA AUR RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam KE LIYE LAFZ "ISHQ" KA ISTEMAAL
Tahreer : FAZILAT-USH-SHAIKH ABUL HASAN MUBASSHIR AHMED RABBANI hafizahullah
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

SAWAL:
Kya lafz-E- "ISHQ" ALLAH TA'ALA keliye ya RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke liye istemaal karna jaaiz hai?

JAWAB:
Quran Hakeem aur hadees RASOOL sallallahu alaihi wasallam mein ALLAH TA'ALA ke liye aur is ke RASOOL sallallahu alaihi wasallam ke liye jo lafz kasrat se aaya hai woh "MOHABBAT" hai jaisa ke irshad BAARI TA'ALA hai:

يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا مَنْ يَرْتَدَّ مِنْكُمْ عَنْ دِينِهِ فَسَوْفَ يَأْتِي اللَّـهُ بِقَوْمٍ يُحِبُّهُمْ وَيُحِبُّونَهُ
"Aye imaan walo! jo koi tum mein se apne deen se phir jaye ga(yaad rakhiye!) anqareeb ALLAH TA'ALA aisi qoum le aaye ga jin se woh MOHABBAT karta hoga aur woh is se MOHABBAT karte hon ge."(Surah al-Mayidah:54)

"RASOOL sallallahu alaihi wasallam ne ek din syedna Muaz Bin Jabal raziallahu-anhu ka haath pakad kar farmaya :ae Muaz! yaqeenan mein tere sath mohabbat karta hon.“ Muaz razi Allah anho raziallahu-anhu RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam se kehnay lagey :ae ALLAH ke RASOOL! mere maa baap aap par qurbaan hon, mein bhi aap ke sath mohabbat karta hon."(Musnad Ahmed:5/245, Haid No.22119. /wa Sahih Ibn Khuzaimah:751. /wa Sahih Ibn Hibban:2020. /wa Sunan Abu Dawod:1522)

Quran Hakeem mein mohabbat wali kayi ek ayaat hain aur isi terhan sahih ahadees se bhi maloom hota hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam aur AAP sallallahu alaihi wasallam ke sahaba raziallahu-anhum ajmayeen ek dosre ke liye mohabbat ka lafz istemaal karte the. Lehaza hamein ALLAH , is ke RASOOL sallallahu alaihi wasallam aur ahal imaan ke liye yahi lafz istemaal karna chahiye aur yeh bhi yaad rahe ke Quran Hakeem aur RASOOL sallallahu alaihi wasallam ki kisi bhi sahih hadees mein lafz ISHHQ istemaal nahi kya gaya. Albata ek masnoi, banawati aur jaali riwayat mein lafz ishhq istemaal howa hai. Syedna abdullah Bin Abbas raziallah-anhuma ki taraf mansoob kar ke yun bayan kya gaya hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaya:

"Jis ne ishq kya aur chupaya aur pakbaaz raha aur mar gaya woh shaheed hai."(Tareekh Baghdad: 5/ 166. 262, 2 / 50, 11 / 298. /wa Tareekh Dimashq aur Al-Ilala Al-Mutanahiyyah)

Allama Muhaddis Albani rahimahullah ne is riwayat ko mauzo qarar diya hai.( Silsilat Al Ahadees Al Za'eefa:309)

Maloom hota hai ke jehaad se baaghi aur kisi ishhq ke mareez ne yeh riwayat banai hai. RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne maidan kaar-zaar mein qatal hone walon ke ilawa jal kar, ghark ho kar, pet ke marz se, zab-ul-janub(The Side Melted) walay aur aisi aurat ko shaheed qarar diya hai jo nifaas mein bachay ki wiladat par faut ho jaye, Maqtool-e-ishhq ko kahin bhi shaheed Qarad nahi diya. Yeh kisi qateel lailah ki karwai maloom hoti hai. Imam Ibn Qaiyim rahimahulla ne is par badi nafees behas ki hai aur farmaya hai:
''Is mauzo riwayat se dhoka mat khayen yeh RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam se sahih saabit nahi hai aur is ka aap ke kalaam mein se hona jaaiz nahi. Is liye ALLAH ke haan shahadat ek buland darja hai jo SIDDIQIYAT ke rutbah ke sath milaya gaya hai, is ke liye aamaal aur ahwaal hain jo is ke husool ki Sharot hain. Is ki do qismain hain ek aam aur doosri khaas aur khaas to shahadat fi Sabeelillah hai aur aam shadatain paanch hain jo sahih hadees mein bayan howi hain aur ishhq un mein se ek bhi nahi hai. Ishhq un mein se kaise ho sakta hai? yeh to MOHABBAT mein ALLAH ke sath shirk hai. Yeh dil aur rooh par control karta hai aur ghair ke liye mohabbat paida karta hai is ke zariye shahadat kaise payi ja sakti hai? yeh muhaal hai. Ishhq ka fasaad har fasaad se badh kar hai balkay yeh rooh ki khamee (sharaab) hai jo is ko mast kar deti hai aur ALLAH ke zikar aur is ki MOHABBAT aur is ki munajat se lazzat aur ons haasil karne mein rukawat banti hai aur dil ki Obodiyat ko ghairullah ke liye wajib kar deti hai, aashiq ka dil mashooq ki ibadat karta hai. Batao jo kisi dosray aadmi ki aurat ke sath ishhq karta hai ya Amrad larkon aur zaaniyah o badkaar aurat se ishhq karta hai kya woh is ishhq ki wajah se shahadat ka darja pa le ga? yeh to Sareeh RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ke deen ke khilaaf hai aur phir ishhq to un bimarion mein se ek bemari hai jin ke liye ALLAH TA'ALA ne sharayi aur qudrati ilaaj muqarrar kya hai jabkay shahadat hadees mein bayan ki gayi hai is ka koi ilaaj nahi hai.“ mazeed tafseel ke liye dekhieye:(Zaad al-Ma'aad:3/306-307)

Algaraz lafz-e ISHHQ Quran o Hadees mein kahin waarid nahi howa aur ISHHQ ek bemari hai jis ka ilaaj kiya jaana chahiye aur phir yeh hamaray urf mein ache aur bure dono mano mein mustamil hai. Is liye aisay lafz ka istemaal ALLAH aur is ke RASOOL sallallahu alaihi wasallam ke liye nahi karna chahiye. Koi shakhs bhi yeh lafz apni maa, behan aur beti ke liye istemaal karna pasand nahi karta to phir ALLAH aur is ke RASOOL sallallahu alaihi wasallam ke liye kaisay pasand karta hai?
 

Similar threads


Top