SALAAM KARNE PER NAIKIYA


Ibnatu Ali

Member
SALAAM KARNE PER NAIKIYA

Assalamu Alaikum= 10 nekiyan

Assalamu Alaikum Warahmatullahi= 20 nekiyan

Assalamu Alaikum Warahmatullahi wabarkatahu= 30 nekiyan

✦ Imran bin Hussain Radi Allahu Anhu se rivayat hai ki
Rasoollallah Sallallahu Alaihi Wasallam ke pass ek shaks aaya aur usne kaha Assalamu Alaikum
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne uska jawab diya aur wo baith gaya Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya das (10 nekiyan mil gayee) ,
Phir ek aur shaks aaya aur usne kaha Assalamu Alaikum Warahmatullah
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne usko bhi jawab diya aur wo baith gaya
phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya bees (20 nekiyan mil gayee)
phir ek aur shakhs aaya aur usne kaha Assalamu Alaikum Warahmatullahi wabarkatahu ,
Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne usko bhi jawab diya aur wo baith gaya
phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaya Tees (30 nekiyan mil gayee)
Sunan Abu Dawud, Vol 3, 1752 -Sahih
 

Similar threads


Top