IMAM BUKHARI RH EK FAQEEH THE ULAMA KI GAWAHI


IMAM BUKHARI RH EK FAQEEH THE ULAMA KI GAWAHI


ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUHWABARAKATUH

IMAM BUKHARI RH EK FAQEEH THE ULAMA KI GAWAHI

IS TAHREER KO URDU ME PADHNE KE LIYE YAHA'N CLICK KARE'N




BA’AZ LOGO’N ko dekha gaya ki wo IMAM BUKHARI RH ki FUQAHAT se INKAR karte hain aur kehte hain ki wo FAQEEH nahi the, Aaiye is baat ka UZALA hum JALEEL UL QADR AIMMAH,FUQAHA WA MUHADDISEEN aur DEEGAR ULAMA se karte hain ki IMAM BUKHARI RH ek FAQEEH the,CHUNANCHA



1- IMAM BUKHARI RH ke USTAD ABU MUS’AB AHMAD BIN ABU BAKAR AZZAHRI RH (MUTAWAFFA 242 H) IMAM BUKHARI RH ke BARE me farmate hain



قَالَ لي أبو مصعب أحمد بن أبي بكر المديني: محمد بن إسماعيل افقه عندنا وأبصر من ابن حنبل. فقال رجل من جلسائه: جاوزت الحد. فقال أبو مصعب: لو أدركت مالكا ونظرت إلى وجهه ووجه محمد بن إسماعيل لقلت: كلاهما واحدا في الفقه والحديث.



Ki IMAM BUKHARI RH hamare khyal me IMAM AHMAD IBN HAMBAL RH se FUQAHAT me ZYADAH KAMAAL aur BASEERAT rakhte the, ek SHAKS ne AITERAZ kiya ki ABU MUS’AB ! AAP ne to unhe KHUD se bhi BADHAA diya, ABU MUS’AB bole, agar tum IMAM MALIK RH se mile hote aur IMAM BUKHARI RH aur IMAM MALIK RH dono’n ke CHEHRO’N par GHAUR kiya hota to tum bol uthte ki dono’n FUQAHAT aur BASAARAT BIL HADEES me BARABAR hain.



[[ TAREEKH E BAGHDAD JILD 2 SAFA 339,TAREEKH E DIMASHQ JILD 15 SAFA 50,TAHZEEB UL KAMAL JILD 24 SAFA 455,TAREEKH E ISLAM SAFA 256,SIYAR A’ALAM UN NUBALA JILD 12 SAFA 420,TOHFAT UL AKHBARI SAFA 201, TAGHLEEQ UT TA’LEEQ JILD 5 SAFA 401,MUQADDAMA FATAHUL BARI SAFA 482 ]]



SCAN

2- IMAM BUKHARI RH ke SHUYOOKH IMAM YA’QOB BIN IBRAHEEN DAURQEE RH (MUTAWAFFA 252 H) aur IMAM NU’AIM BIN HAMMAD KHAZA’EE RH dono’n IMAM BUKHARI RH ke bare me farmate hain



محمد بن إسماعيل فقيه هذه الأمة



Ki MUHAMMAD BIN ISMA’EEL RH is UMMAT ke FAQEEH hain.



[[ TAREEKH E BAGHDAD JILD 2 SAFA 342,344,TAHZEEB UL KAMAL JILD 24 SAFA 457,459,TAREEKH E ISLAM SAFA 255,257,SIYAR A’ALAM UN NUBALA JILD 12 SAFA 419,424,TOHFAT UL AKHBARI SAFA 200 (QAUL AD DAURQEE),TAGHLEEQ UT TA’LEEQ JILD 5 SAFA 404,TABQAT US SUBKI JILD 2 SAFA 223,MUQADDAMAH FATAHUL BARI SAFA 483 ]]



SCAN


3- IMAM KHATEEB BAGHDADI RH likhte hain



حاشد بن إسماعيل، يقول: كنت بالبصرة فسمعت قدوم محمد بن إسماعيل، فلما قدم، قَالَ: محمد بن بشار: دخل اليوم سيد الفقهاء.




Ki HAMID BIN ISMA’EEL kehte hain ki mai BASRAH me MAUJOOD tha ki MUHAMMAD BIN ISMA’EEL ki AAMAD ki KHABAR pahuchi, MUHAMMAD BIN BASHAAR (IMAM BUKHARI RH ke USTAD) ne SUN KAR farmaya AAJ SAYYAD UL FUQAHA aaye hain.



[[ TAREEKH E BAGHDAD JILD 2 SAFA 336,TAHZEEB ASMA WAL LUGHAAT JILD 1,1 SAFA 68,MA TAMASSU ILAIHI AL HAAJJAH ALFARI SAFA 26,TAHZEEB UL KAMAL JILD 24 SAFA 449,TAREEKH E ISLAM SAFA 256,SIYAR A’ALAM IN NUBALA JILD 12 SAFA 422,MUQADDAMAH FATAHUL BARI SAFA 483 ]]



SCANhttps://ahlehadithhaq.files.wordpress.com/2016/05/photogrid_14610021763451.jpg

4- IMAM KHATEEB BAGHDADI RH likhte hain



محمد بن أبي حاتم، قَالَ: سمعت علي بن حجر، يقول: أخرجت خراسان ثلاثة: أبا زرعة الرازي بالري، ومحمد بن إسماعيل البخاري ببخارى، وعبد الله بن عبد الرحمن بسمرقند، ومحمد بن إسماعيل عندي أبصرهم، وأعلمهم، وأفقههم.




Ki IMAM MUHAMMAD BIN ABI HATIM RH ne kaha ki mai ne ALI BIN HUJR RH (IMAM BUKHARI RH KE USTAD MUTAWAFFA 244 H) ko farmate hue suna ki KHURASAN ne TEEN SHAKSO’N ko PAIDA kiya,ABU ZUR’AH MUHAMMAD BIN ISMA’EEL AL BUKHARI aur ABDULLAH BIN ABDUL RAHMAN.AUWAL unme IMAM BUKHARI RH hain aur IMAM BUKHARI RH sab me ZYADAH FAQEEH aur ILM me sabse ZYADAH hain, un jaisa mere ILM me KOI NAHI.



[[ TAREEKH E BAGHDAD JILD 2 SAFA 349,TAHZEEB ASMA WAL LUGHAAT JILD 1,1 SAFA 29,TAREEKH E ISLAM SAFA 256,SIYAR A’ALAM IN NUBALA JILD 12 SAFA 421,TAGHLEEQ UT TA’LEEQ JILD 5 SAFA 408,MUQADDAMAH FATAHUL BARI SAFA 484 ]]



SCAN


5- IMAM BUKHARI RH ke USTAD AHMAD BIN IS’HAQ SURMAARI RH farmate hain



وقال أحمد بن إسحاق السرماري من أراد أن ينظر إلى فقيه بحقه وصدقه فلينظر إلى محمد بن إسماعيل



Ki jo SHAKS chahe ki SACHCHE aur WAQA’EE FAQEEH ko dekhe to wo MUHAMMAD BIN IS’MAEEL ko dekhe.



[[ MUQADDAMAH FATAHUL BARI SAFA 484,TAGHLEEQ UT TA’LEEQ JILD 5 SAFA 408 aur MAZEED dekhiye SIYAR A’ALAM IN NUBALA JILD 12 SAFA 417 aur isme kuch AZAFE bhi hain ]]



LINK MUQADDAMAH FATAHUL BARI SAFA 484>> http://islamport.com/d/1/srh/1/57/2509.html



6- IMAM HASHID BIN ABDULLAH BIN ABDUL WAHID RH IMAM BUKHARI RH ke DO SHUYOOKH ke MUTA’ALLIQ farmate hain



حاشد بن عبد الله بن عبد الواحد، يقول: رأيت عمرو بن زرارة، ومحمد بن رافع عند محمد بن إسماعيل وهما يسألان عن علل الحديث، فلما قاما قالا لمن حضر المجلس: لا تخدعوا عن أبي عبد الله فإنه افقه منا واعلم وأبصر.



Ki mai ek ROZ IMAM BUKHARI SAHAB RH ki KHIDMAT me HAZIR tha, AAP ke paas UMRO BIN ZARARAH aur MUHAMMAD BIN RAAFE (IMAM BUKHARI RH ke SHUYOOKH) MAUJOOD the aur IMAM UL MUHADDISEEN par ILLAT E HADEES ke SAWALAT PESH kar rahe the,RUKHSAT ke WAQT in dono’n ne HAZIREEN ko MUKHATIB karke farmaya, IMAM BUKHARI RH ki SHAN me GUSTAKHI na karna,jis PAAYA ke wo FAQEEH hain un ki QADR SHANASI karo,un par hamara RUTBA na BADHAAO,wo humse FUQAHAT aur BASEERAT me aur ILM me BADAY (بڑے) hue hain.



[[ TAREEKH E BAGHDAD JILD 2 SAFA 348,SIYAR A’ALAM IN NUBALA JILD 12 SAFA 429,TAGHLEEQ UT TA’LEEQ JILD 5 SAFA 408,MUQADDAMA FATAHUL BARI SAFA 484 ]]



SCAN


7- IMAM BUKHARI RH ke USTAD ABDULLAH BIN MUHAMMAD BIN SA’EED BIN JAFAR RH IMAM BUKHARI RH ke bare me farmate hain



قَالَ مُحَمَّدُ: وَسَمِعْتُ عَبْدَ اللهِ بنَ سَعِيْدِ بنِ جَعْفَرٍ يَقُوْلُ: لَمَّا مَاتَ أَحْمَدُ بنُ حَرْبٍ النَّيْسَابُوْرِيُّ ركبَ مُحَمَّدٌ وَإِسْحَاقُ يُشَيِّعَانِ جِنَازَتَهُ. فكُنْتُ أَسْمَعُ أَهْلَ المَعْرِفَةِ بِنَيْسَابُوْرَ يَنْظُرُونَ، وَيَقُوْلُوْنَ: مُحَمَّدٌ أَفْقَهُ مِنْ إِسْحَاقَ.



Ki jab AHMAD BIN HARAB NEESHAPOORI RH ka INTEQAL ho gaya to IMAM IS’HAQ BIN RAHWIYAH Aur IMAM BUKHARI RH JANAZAH ke sath ja rahe the,maine AHLE ILM Aur AHLE BASEERAT ko kehte SUNA ki IMAM BUKHARI RH,IMAM IS’HAQ BIN RAHWIYAH RH se ZYADAH FAQEEH hain.



[[ SIYAR A’ALAM IN NUBALA JILD 12 SAFA 418,TAREEKH E ISLAM SAFA 255,TABQAT US SUBKI JILD 2 SAFA 223,TAGHLEEQ UT TA’LEEQ JILD 5 SAFA 409,MUQDDAMAH FATAHUL BARI SAFA 484 ]]



SCAN


8- IMAM BUKHARI RH ke USTAD IMAM RAJAA BIN MURAJJA RH (MUTAWAFFA 249 H) farmaya karte the



رجاء بن المرجى، يقول: فضل محمد بن إسماعيل على العلماء كفضل الرجال على النساء،



Ki IMAM BUKHARI RH ki FAZEELAT saare ULAMA (FUQAHA MUHADDISEEN) par aisi hai jaise MARDO’N ki AURTO’N par.



[[ TAREEKH E BAGHDAD JILD 2 SAFA 346,SIYAR A’ALAM IN NUBALA JILD 12 SAFA 427,TAGHLEEQ UT TA’LEEQ JILD 5 SAFA 406,MUQADDAMAH FATAHUL BARI SAFA 483,484 ]]



SCAN


9- IMAM ABDULLAH BIN ABDURRAHMAN AD DAARMI RH IMAM BUKHARI RH ke bare me farmate hain



عَبْدَ اللهِ بنَ عَبْدِ الرَّحْمَنِ السَّمَرْقَنْديًّ عَنْ مُحَمَّدٍ، فَقَالَ: مُحَمَّدُ بنُ إِسْمَاعِيْلَ أَعْلَمُنَا وَأَفْقَهُنَا وَأَغْوَصُنَا، وَأَكْثَرُنَا طلباً.



Ki IMAM BUKHARI RH humse KAHI’N BADHKAR AALIM FAQEEH DAQEEQ ILM wale aur ILM E HADEES ke TALIB the.



[[ SIYAR A’ALAM IN NUBALA JILD 12 SAFA 426,427,TAGHLEEQ UT TA’LEEQ JILD 5 SAFA 410,MUQADDAMAH FATAHUL BARI SAFA 485 ]]



SCAN


10- IMAM SULAIM BIN MUJAHID RH kehte hain



سليماً يَقُوْلُ: مَا رَأَيْتُ بعينِي مُنْذُ سِتِّيْنَ سَنَةً أَفْقَهَ، وَلاَ أَوْرَعَ، وَلاَ أَزْهَدَ فِي الدُّنْيَا، مِنْ مُحَمَّدِ بنِ إِسْمَاعِيْلَ



Ki SAATH BARAS GUZAR gaye ki maine kisi ko IMAM BUKHARI RH se ZYADAH FAQEEH aur PARHEZGAR nahi dekha.



[[ SIYAR A’ALAM IN NUBALA JILD 12 SAFA 449,TAREEKH E ISLAM SAFA 263,TABQAT US SUBKI JILD 2 SAFA 227,TAGHLEEQ UT TA’LEEQ JILD 5 SAFA 412,MUQADDAMAH FATAHUL BARI SAFA 485 ]]



SCAN


11- IMAM BUKHARK RH ke bare me MUHADDISEEN ka ye MUSALLAMAH JUMLA hai jisko IMAM QASTALANI RH ne NAQAL kiya hai



فقه البخاري في تزاجمة



Ki BUKHARI RH ki FIQH unke TARAJIM me hai.



[[ MUQADDAMAH IRSHAD US SARI JILD 1 SAFA 24 ]]



SCAN


12- IMAM IBN RUSHAID ALBASTI ALFAHRI RH IMAM BUKHARI RH ke TARAJIM E ABWAB ki TAREEF karte hue kehte hain ki jo IMAM BUKHARI RH ke KALAAM me FIQH wa ISTEMBAAT aur ARBIYAT wa LUGHAT ne GHAUR karega wo dekhega ki ek SAMUNDAR me kayi SAMUNDAR SAMOOWE hue hain.unki NIYAT ko ACHA QARAR dena chahiye,is KITAB ke TARAJIM QAYEM karne me unka KHOOBSOORAT KAARNAMA hai.



[[ TARJUMAN UT TARAJIM ALA ABWAB UL BUKBARI ]]



SCAN NOT AVAILABLE



13- Isi MAIDAN me ISMA’EELI RH ne apni KITAB AL MUDKHAL ILA MUSTAKHRAJ me SAHIH BUKHARI ki TAREEF karne ke baad kaha hai wo bahut UMDAH hai,unhone un logo ka TAZKIRAH bhi kiya hai jinhone unki SAHEEH BUKHARI ki PAIRWI ki hai, farmate hain



ﺃﺣﺪﺍ ﻣِﻨْﻬُﻢ ﻟﻢ ﻳﺒﻠﻎ ﻣﻦ ﺍﻟﺘﺸﺪﺩ ﻣﺒﻠﻎ ﺃﺑﻲ ﻋﺒﺪ ﺍﻟﻠﻪ ﻭَﻟَﺎ ﺗﺴﺒﺐ ﺇِﻟَﻰ ﺍﺳﺘﻨﺒﺎﻁ ﺍﻟْﻤﻌَﺎﻧِﻲ ﻭﺍﺳﺘﺨﺮﺍﺝ ﻟﻄﺎﺋﻒ ﻓﻘﻪ ﺍﻟﺤَﺪِﻳﺚ ﻭﺗﺮﺍﺟﻢ ﺍﻟْﺄَﺑْﻮَﺍﺏ ﺍﻟﺪَّﺍﻟَّﺔ ﻋﻠﻰ ﻣَﺎ ﻟَﻪُ ﻭﺻﻠَﺔ ﺑِﺎﻟْﺤَﺪِﻳﺚِ ﺍﻟْﻤَﺮْﻭِﻱّ ﻓِﻴﻪِ ﺗﺴﺒﺒﻪ ﻭَﻟﻠَّﻪ ﺍﻟْﻔﻀﻞ ﻳﺨْﺘَﺺ ﺑِﻪِ ﻣﻦ ﻳَﺸَﺎﺀ



Ki in me se jo ABU ABDULLAH (IMAM BUKHARI RH) ke MAQAAM tak nahi pahuch paya aur ISTEMBAT E MA’ANI,FIQH UL HADEES ki BAAREEKIYO’N se ISTEKHRAJ aur MARWI HADEES se TA’ALLUQ par DALALAT karne wale TARAJIM E ABWAB ko na SAMAJH saka usne AITERAZ kiya hai,ALLAH jise chahta hai KHAAS kar leta hai.



[[ HADYUS SARI MUQADDAMAH FATAHUL BARI SAFA 13 ]]



SCAN


IMAM IBN HAJAR RH IMAM ISMA’EELI RH ka MAZEED QAUL NAQAL karte hain



وقال الإسماعيلي في المدخل له أما بعد فإني نظرت في كتاب الجامع الذي ألفه أبو عبد الله البخاري فرأيته جامعا كما سمي لكثير من السنن الصحيحة ودالا على جمل من المعاني الحسنة المستنبطة التي لا يكمل لمثلها الا من جمع إلى معرفة الحديث نقلته والعلم بالروايات وعللها علما بالفقه واللغة وتمكنا منها كلها وتبحرا فيها



Ki ALLAMA ISMA’EELI RH ne apni KITAB AL MUDKHAL ILA MUSTAKHRAJ me likhte hain ki IMAM BUKHARI RH ki JAAME WAQAYEE “SUNAN SAHEEHA” ki JAAME hai aur MASAIL MUSTAMBIT par HAAWI hai aur aisi KITAB wahi likh sakta hai jo ILM HADEES ka MAAHIR aur RAWAAT E HADEES ke TARAJIM par POORA UBOOR rakhta ho aur jise ILLAL E HADEES,FIQH aur LUGHAT par RUSOOKH HAASIL ho. [[ HADYUS SARI MUQADDAMAH FATAHUL BARI SAFA 13 ]]



SCAN


14- IMAM NASIR UD DEEN DIMASHQI RH farmate hain



Ki IMAM BUKHARI RH ke is KITAB ke TARAJIM E ABWAB ke MAQASID aur unko is ANDAZ me TARTEEB dene me AJEEB O GHAREEB ISRAR WA RUMOOZ aur UMOOR paaye jate hain,un me SOCH O BICHAR karne wale DANG rah jate hain.



[[ AL TANQEEH FI HADEES UT TASBEEH SAFA 141 ]]



SCAN NOT AVAILABLE



15- IMAM IBN HAJAR RH IMAM BUKHARI RH ke bare me farmate hain



امام الدنيا في فقه الحديث



Ki wo HADEES ki FIQH e DUNIYA ke IMAM the.



[[ TAQREEB UT TAHZEEB SAFA 468 RAQAM 5727 ]]

SCAN


MAZEED farmate hain



ثم رأى أن لا يخليه من الفوائد الفقهية والنكت الحكمية فاستخرج بفهمه من المتون معاني كثيرة فرقها في أبواب الكتاب بحسب تناسبها واعتنى فيه بآيات الأحكام فانتزع منها الدلالات البديعة وسلك في الإشارة إلى تفسيرها السبل الوسيعة



Ki IMAM BUKHARI RH ne apni SAHEEH me bahut ZYADA FIQHI FAWAID aur HAKEEMANA NUKAAT BAYAN kiye hain,unhone apne FAHEM se AHAADEES wa AASAR ke MUTOON se KASEER TA’DAD me MA’ANI wa MAFAHEEM ka ISTEKHRAJ kiya hai jinhe unho ne apni KITAB ki ABWAB BANDI me MUNASIB MAQAAMAT par BAYAN kiya hai isi tarah unhone apni SAHEEH me QUR’ANI AAYAAT ke AHTEMAM ke sath sath unse MUTRASHIKH hone wali BADEE’EE DALALAT ka na sirf TAZKIRAH kiya hai balki unki TAFSEER ki taraf ISHARAH karte hue DALAIL ka WASEE’A wa AREEZ ZAKHEERAH bhi BAYAN kiya hai.



[[ HADYUS SARI MUQDDAMAH FATAHUL BARI SAFA 10 ]]



SCAN


16- IMAM IBN HAJAR ASQALANI RH IMAM MUHIUDDIN AN NAWWI RH ka QAUL IMAM BUKHARI RH ke baare me NAQAL karte hain



قال الشيخ محيي الدين نفع الله به ليس مقصود البخاري الاقتصار على الأحاديث فقط بل مراده الاستنباط منها والاستدلال لأبواب ارادها ولهذا المعنى اخلى كثيرا من الأبواب عن إسناد الحديث واقتصر فيه على قوله فيه فلان عن النبي صلى الله عليه وسلم أو نحو ذلك وقد يذكر المتن بغير إسناد وقد يورده معلقا وإنما يفعل هذا لأنه أراد الاحتجاج للمسئلة التي ترجم لها وأشار إلى الحديث لكونه معلوما



Ki IMAM BUKHARI RH ne FAQAT AHAADEES ko NAQAL karne ka hi AHTEMAM nahi kiya balki un AHADEES se ISTEMBAAT aur un par QAAYEM KARDAH ABWAB se ISTEDLAL ka bhi MUKAMMAL AHTEMAM kiya hai isi wajah se aksar ABWAB SANAD E HADEES se KHALI NAZAR aate hain aur IMAM SAHAB “فلان النبی صلی اللہ علیہ وسلم” ya is TARAH ke QAUL par hi INHESAAR karte hain,BASA AWQAT IMAM SAHAB MATAN ko MU’ALLAQ YA’NI BEGHAIR SANAD ke NAQAL kar dete hain,aur IMAM BUKHARI RH Is tarah ka ASLOOB isliye apnate hain taki wo us MASLA par DALEEL HAASIL kar sake’n jin ke liye TARJUMA ALBAAB QAYEM kiya jata hai, BA’AD AZAA’N Us MASLE ke ISBAT ke liye HADEES ki TARAF ISHARAH kar dete hain.



[[ HADYUS SARI MUQADDAMAH FATAHUL BARI SAFA 10 ]]



SCAN


IMAM BUKHARI RH ne ISTEMBAT E FIQH is KHOOBI se kiya hai ki ek hi HADEES se MUKHTALIF MASAIL ka ISTEKHRAJ karte chale gaye is tarah BA’AZ AHADEES MUT’ADDAD ABWAB ke TAHET MUKARRAR AA gayi hain lekin FIQH ISLAMI me TAOSEE’A ka DARWAZAH khula hai aur ye aisa KAARNAMA hai ki



17- SHAH WALIULLAH MUHADDIS DEHLAWI RH is se MUTA’ASIR hokar BARMALA AITERAF karte hain



وأراد أیضا أن یفرغ جھدہ في الاستنباط من حدیث رسول اللہ و یستنبط من کل حدیث مسائل کثیرة



Ki is tarah AAPNE IRADAH kiya ki RASOOL ALLAH SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki HADEES se MASAIL ke ISTEMBAT me apni POORI KOSHISH SARF kar de’n aur har HADEES se bahut ZYADAH MASAIL ISTEMBAT kare’n.



[[ SHARAH TARAJIM ABWAB UL BUKHARI SAFA 19 ]]



SCAN


SHAH WALIULLAH MUHADDIS DEHLAWI EH IMAM BUKHARI RH ki is KOSHISH ki DAAD dete hue Aage farmate hain



وکثیرا ما یستخرج الآداب المفھومة بالعقل من الکتاب والسنة بنحومن الاستدلال والعادات الکالنة في زمانه صلی اللہ علیہ وآلہ وسلم ومن ذلك لا یدرك حسنه إلا من مارس کتاب الآداب و إجمال عقله في میدان آداب قومه ثم طلب لھا من السنة أصلاً



Ki aur UMOOMAN aise TARAJIM E ABWAB ZIKR karte hain jo KITAB O SUNNAT me INTEHAYI GHAUR karne ke baad HAASIL hote hain jis tarah NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ke ZAMANE me hone wali AADAAT aur us me wo bhi CHEEZE’N hain jinke HUSN ka IDRAAK wahi SHAKS kar sakta hai jo SAHAB E FUNN hai aur jisne AADAB ki KITAB par MASHQ aur HAMESHGI ki aur apni AQAL ko apni QAUM ke AADAAB ke MAIDAN me SARGARDAA’N rakha, phir uske liye SUNNAT se DALEEL TALASH ki.



[[ SHARAH TARAJIM ABWAB UL BUKHARI SAFA 22 ]]



SCAN


18- MAULANA ANWAR SHAH KASHMEERI HANAFI RH IMAM BUKHARI RH ke baare me farmate hain



إن المصنف سباق غایات و صاحب آیات في وضع المتراجم لم یسبق به أحد من المتقدمین ولم یستطیع أحد أن یحاکبه أحد من المتأخرین فھو الفاتح لذالك الباب و صار الخاتم، وضع في تراجمه آیات تناسبها مما یتعلق من ھذا الباب ونبه علی مسائل مظان الفقه في القرآن بل أقامھا منه ودل علی طرق التأسیس من القرآن و به یتضح ربط الفقه والحدیث بالقرآن بعضه مع بعض وھذا من رفعة اجتهادہ و ذقته في الاجتهادیات و بسطھا في المتراجم قيل: إن فقه البخاري في تراجمه۔ فکان في تراجم المصنف علوم متفرقة في الفقه و أصوله والکلام أومأ إلیها باختصار و إیجاز



Ki beshak MUSANNIF MAQASID me aage BADHNE wale hain aur MUTAHEER UL UQOOL (متحیر العقول) TARAJIM ZIKR karte hain,MUTAQADDAMEEN me se is KAAM par kisi ne PAHAL nahi ki aur na MUTA’AKHIREEN me se kisi ne AAPKE MUQABLE ki AHMAT ki hai, pas AAP hi is DARWAZE ko KHOLNE wale hain aur AAP is FUNN me AAKHRI SABIT hue,AAP ne apne TARAJIM me BAAB se MUTA’ALLIQ MUNASIB AAYAT bhi ZIKR ki hain aur QUR’AN me MAZKOORAH FIQHI MASAIL ki NISHADAHI bhi ki hai balki QUR’AN se unko SABIT kiya hai aur QUR’AN se AHKAM AKHZ karne ke TAREEQE bataye hain,isi wajah se FIQH aur HADEES ka QUR’AN se aur QUR’AN se BA’AZ hisse ka BA’AZ se RABT WAAZEH hota hai aur ye AAPKE IJTEHAD ki RAF’AT aur IJTEHADIYAAT me SAHAB E ZAUQ hone ki ALAAMAT hai AAPNE un CHEEZO’N ko TARAJIM me BASAT (بسط) ke sath ZIKR kiya hai,MUSANNIF ke TARAJIM me FIQH,USOOL aur ILM E KALAAM ke MUT’ALLIQ MUKHTALIF ULOOM MAUJOOD hain,jiski taraf bade IKHTISAR wa EEJAAZ ke SATH ISHARAH kiya hai.



[[ FAIZ UL BARI JILD 1 SAFA 35 ]]



SCAN


19- AHMAD RAZA BIJNOORI HANAFI likhte hain ki



JAAME SAHEEH BUKHARI MAJ’MOOYI HAISIYAT se apne BAAD ki TAMAM KITABO’N par FAUQIYAT wa IMTEYAZ rakhti hai,uske TARAJIM O ABWAB Ko bhi IMAM BUKHARI RH ki FIQHI ZAKAWAT wa DIQQAT E NAZAR ke BAA’ISS KHUSOOSI FAZEELAT wa BARTARI HAASIL hai,lekin IMAM BUKHARI RH chun’ki khud DARJA E IJTEHAD rakhte the is liye unhone JAMA’A HADEES ka KAAM apne NUQTA E NAZAR se QAYEM kiye hue TARAJIM wa ABWAB ke MUTABIQ kiya.



[[ ANWAR UL BARI JILD 2 SAFA 236 ]]



SCAN


MULLA ALI QARI HANAFI ke MISL balki unhi ki IBARAT ka TARJUMA SHAIKH ABDUL HAQ DEHLAWI HANAFI RH aur unke SAHABZADE SHAIKH NOOR UL HAQ HANAFI RH ne BAYYAK ALFAZ me yu’n kiya hai



20- ABDUL HAQ DEHLAWI HANAFI RH IMAM BUKHARI RH ke bare me farmate hain



وے درزمان خود در حفظ احادیث واتقان آں وفہم معانی کتاب و سنت و حدّت ذہن وجودت قریحت ووفور فقہ وکمال زہد و غایت ورع و کثرت اطلاع برطرق حدیث وعلل آں ووقت نظر و قوت اجتہاد و استنباط فروع از اصول نظیرے نداشت



ki wo apne ZAMANA me HADEES ke HIFZ O ITQAAN,MA’AANI KITAB O SUNNAT ke FAHEM,ZAHEN ki tezi,HAFIZAH ki UMDAGI,WAFOOR FIQH,KAMAL E ZUHD,GHAYAT WAR’A,ASANEED WA ILLAL E HADEES par KASRAT E ITLA’A,WAQT NAZAR,QUWAT E IJTIHAD aur USOOL se FROO’A ISTEMBAT karne me apni MISAAL nahi rakhte the



[[ ASH’ATUL LAM’AAT JILD 1 SAFA 5 ]]



SCAN


21- NOOR UL HAQ HANAFI RH IMAM BUKHARI RH ke bare me farmate hain



وے درزمان خود در حفظ احادیث واتقان آں وفہم معانی کتاب و سنت و حدّت ذہن وجودت قریحت ووفور فقہ وکمال زہد و غایت ورع و کثرت اطلاع برطرق حدیث وعلل آں ووقت نظر و قوت اجتہاد و استنباط فروع از اصول نظیرے نداشت




ki wo apne ZAMANA me HADEES ke HIFZ O ITQAAN,MA’AANI KITAB O SUNNAT ke FAHEM,ZAHEN ki tezi,HAFIZAH ki UMDAGI,WAFOOR FIQH,KAMAL E ZUHD,GHAYAT WAR’A,ASANEED WA ILLAL E HADEES par KASRAT E ITLA’A,WAQT NAZAR,QUWAT E IJTIHAD aur USOOL se FROO’A ISTEMBAT karne me apni MISAAL nahi rakhte the



[[ TAISEER UL QARI JILD 1 SAFA 3 ]]



SCAN


22- QARI MUHAMMAD TAYYAB HANAFI likhte hain ki



IMAM BUKHARI RH MUHADDIS bhi hain aur FAQEEH bhi hain Nez IJTIHAD ke RUTBE ko PAHUCHE hue hain



[[ KHUTBAT E HAKEEM UL ISLAM JILD 5 SAFA 231 ]]



SCAN


23- MULLA ALI QARI RH MOHADDIS SAYYAD JAMAL UD DEEN RH ka QAUL NAQAL karte hain



وَمِنْ حَيْثِيَّةِ حِدَّةِ ذِهْنِهِ، وَرِقَّةِ نَظَرِهِ، وَوُفُورِ فِقْهِهِ، وَكَمَالِ زُهْدِهِ، وَغَايَةِ وَرَعِهِ، وَكَثْرَةِ اطِّلَاعِهِ عَلَى طُرُقِ الْحَدِيثِ، وَعِلَلِهِ، وَقُوَّةِ اجْتِهَادِهِ، وَاسْتِنْبَاطِهِ



Ki aur BAHAISIYAT bahut ZABARDAST ZAHEN aur BAREEK NAZAR rakhne wale the aur FIQH me aur KAMAL E ZUHD me aur PARHEZGARI me bahut bahut BULAND the aur HADEES ke TUROOQ yani ASANEED aur HADEES ki ILLATO’N par bahut MALOOMAT rakhte the aur JABARDAST MUJTAHID THE aur MASLA ke AKHZ karne me bahut ZABARDAST the



[[ MIRQAT UL MAFATEEH SHARAH MISHKAT UL MASABEEH JILD 1 SAFA 57 ]]



SCAN


ALHAMDULILLAH ULAMA KI GAWAHI SE YE SABIT HO GAYA KI IMAM BUKHARI RH EK ZABARDAST FAQEEH THE



ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN

FOR MORE DETAILS CLICK HERE>>ahlehadithhaq.wordpress.com
 

Similar threads


Top