Makan maalik ka advance kiraaya lena kaisa hai?


Umar Asari

Administrator
Staff member
Makan maalik ka advance kiraaya lena kaisa hai?

✵Sawaal✵

Assalam alaikumm Shaikh mera ques ye h ki...kisi Makaan malik ka Apne kirayedaar se Advance 6 Months ya fir 1 year ka kiraaya lena jaiz hai??.. i mean Agr vo shks apni raza aur khushi se agreement krta ho advance kiraye pr to kya Aisa krna sahih hoga... ya hr mahine hi kiraya len... Plzz wazaht kr den...Shukran

✪Jawaab✪
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu

Ji, bilkul durust hai, is mein koi harj nahi, maalik makaan aur kirayedaar apni sahulat (aasaani) ko madd e nazar rakhte huwe, advance, late ya saath saath kisi bhi tarah kiraye ka len den tay kar sakte hain.
Kiunki mu’amlaat mein asal ibahat yani jawaaz hai, kisi bhi jaaiz mu’amle mein insaan apni maslehat aur faide ko madd e nazar rakhte huwe, kisi tarah bhi mu’amla tay kar sakta hai.
Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke farmaan: «الْمُسْلِمُونَ عَلَى شُرُوطِهِمْ»​
(Musalmaan apni sharton par qaaim rahenge)
{Is Hadees ko Imam Abu Dawood Rahimahullah ne Sunan Abi Dawood (3594) mein riwayat kiya hai. Aur Allama Albani Rahimahullah ne isko Hasan Sahih kaha hai}
waghera umoomi dalaail ka yahi matlab hai.
Jawaab by: Shaikh Khizar Hayat Hafizahullah
Wallahu A’lam.
 
Top