Tashahud Me Ungli kab uthaye


Abdul Adil

Member
Assalamualaikum Warah Matullah Wa Barkatuhu

Topic :-
Tashahud Me Ungli kab uthaye

Tahreer :- Abdul Adil Ansari


Hamare Hanfi Bhai ka kahna hai ki Tashahud me ungli => Ashhadun An La Ilaaha =< par uthaye aur => Illallah =< Par gira de . aur bakayda us par inka amal hai chahe awam ho ya alim sb isi par amal karte hai halakin is silsile me ek bhi Saheeh Ya Zaeef Riwayat nahi mili muje. Agar kisi bhai ke ilm me ho to jaroor bataye

Tashahud me jaise ap baithe pahle aap ungli se ishara kare

1) Sabse Pahle Ishara karna

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ مَعْمَرِ بْنِ رِبْعِيٍّ الْقَيْسِيُّ، حَدَّثَنَا أَبُو هِشَامٍ الْمَخْزُومِيُّ، عَنْ عَبْدِ الْوَاحِدِ وَهُوَ ابْنُ زِيَادٍ، حَدَّثَنَا عُثْمَانُ بْنُ حَكِيمٍ، حَدَّثَنِي عَامِرُ بْنُ عَبْدِ اللهِ بْنِ الزُّبَيْرِ، عَنْ أَبِيهِ، قَالَ: «كَانَ رَسُولُ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ إِذَا قَعَدَ فِي الصَّلَاةِ، جَعَلَ قَدَمَهُ الْيُسْرَى بَيْنَ فَخِذِهِ وَسَاقِهِ، وَفَرَشَ قَدَمَهُ الْيُمْنَى، وَوَضَعَ يَدَهُ الْيُسْرَى عَلَى رُكْبَتِهِ الْيُسْرَى، وَوَضَعَ يَدَهُ الْيُمْنَى عَلَى فَخِذِهِ الْيُمْنَى، وَأَشَارَ بِإِصْبَعِهِ»

Tarzuma :- Usman Bin Hakeem ne kaha Aamir bin Abdullah bin Jubair Ne apne walid se riwayat karte huye muje hadees sunai unhone kaha Rasoolullah ﷺ jab namaz me baithte to apna bayan paaon apni raan aur apni pindli ke darmiyan kar lete aur apna daayan paaon bicha lete aur apna baaya hanth apne baayen guthne par aur apna daayan hanth apni daayen raan par rakh lete aur apni ungli se ishara karte

{Saheeh Muslim Hadees Number 1307}

Note :- is hadees se maloom chala ki hame Tashahud me baithte hi apni ungli se ishara karna hai na ki => Ashhadunan La Ilaaha Illallah =< par


2) Ab Harkat Dena Sunan Nisai Ki Ye Hadees

ثُمَّ قَعَدَ وَافْتَرَشَ رِجْلَهُ الْيُسْرَى وَوَضَعَ كَفَّهُ الْيُسْرَى عَلَى فَخِذِهِ وَرُكْبَتِهِ الْيُسْرَى وَجَعَلَ حَدَّ مِرْفَقِهِ الْأَيْمَنِ عَلَى فَخِذِهِ الْيُمْنَى ثُمَّ قَبَضَ اثْنَتَيْنِ مِنْ أَصَابِعِهِ وَحَلَّقَ حَلْقَةً ثُمَّ رَفَعَ إِصْبَعَهُ فَرَأَيْتُهُ يُحَرِّكُهَا يَدْعُو بِهَا

Tarzuma :- Lambi Hadees ka akhiri tukda hai

Waayil Bin Huzr Razi Allahu Anhu kahte hai ki Rasoolullah ﷺ Tashahud me baithe , To Apna Baaya paaon bichaya aur apni baayen hatheli apni baayen raan aur guthne par rakhi aur apni daayin kohni ka kinara apni daayen raan par rakha fir haanth ki do ungliyan band ki aur ( darmiyani ungli aur angoothe se ) halka banaya fir apni ( Tashahud ki ) ungli ko uthaya chunancha maine dekha Aap ﷺ use harkat dete the aur iske saath dua karte the .

{Sunan Nisai Hadees Number 890} Saheeh


3) Tashahud Me Ishara aur harqat dena ek Hadees me


وَعَن وَائِلِ بْنِ حَجَرٍ عَنْ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ قَالَ: ثُمَّ جَلَسَ فَافْتَرَشَ رِجْلَهُ الْيُسْرَى وَوَضَعَ يَدَهُ الْيُسْرَى عَلَى فَخِذِهِ الْيُسْرَى وَحَدَّ مِرْفَقَهُ الْيُمْنَى عَلَى فَخِذِهِ الْيُمْنَى وَقَبَضَ ثِنْتَيْنِ وَحَلَّقَ حَلْقَةً ثُمَّ رَفَعَ أُصْبُعَهُ فَرَأَيْتُهُ يُحَرِّكُهَا يَدْعُو بهَا. رَوَاهُ أَبُو دَاوُد والدارمي

Tarzuma :- Hazrat Waayil Bin Huzr Razi Allahu Anhu riwayat karte hai ki unhone bayan kiya fir Nabi ﷺ ( Tashahud ke liye ) baithe Aapne apna baayan paaon bichaya , baayan hanth apni baayen raan par rakha , daayen kohni ko daayen raan se utha kar rakha , do ungliyon ko band kiya aur darmiyani ungli aur angoothe ko mila kar halka banaya fir apni shahadat wali ungli ko uthaya , Maine Aap ﷺ ko dekha ki Aap usko harkat dete aur uske saath ishara karte the

Abu Dawd Wa Darmi

{Mishkat ul Masabeeh Hadees number 911} Saheeh

Note :-
Ibne Hibban me ek riwayat Saheeh sanad ke saath mauzood hai ki Rasoolullah ﷺ Tashahud me baithe to ungli se ishara karte the Harkat nahi dete the



Ulema ne in dono hadees ko dhyan me rakhte huye kaha ki Aap ﷺ Tashahud me kabhi harqat dete the aur kabhi nahi dete the ya ek Tashahud me Harqat dete bhi the aur Nahi Bhi , Lekin Ishara karte the .

Khulasha :- In Hadees se pata chala ki Jo tarika ahnaaf me ra'aez ki Tashahud me ungli => Ashhadun An La Ilaaha =< par uthaye aur => Illallah =< Par gira de. Ye tarika kisi bhi hadees se sabit nahi hai. Namazi ko chahiye jise wo Tashahud me baithe turant ishara kare aur harkat karke Dua kare Aur na bhi kare dono tarika Saheeh Hadees se sabit hai

Wallahu Alam

Mazeed Jankari Ke Liye Is video ko dekhe

Youtube Link 👇

 
Top