HAR IKHTILAAF KA HAL….?


HAR IKHTILAAF KA HAL….?
Tahreer: Muhaddis Hind o Paak Imam-ul-Asr HAFIZ ZUBAIR ALI ZAI rahimahullah
(AL-HADIS shumaarah No.72, page:2-3)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

Msh'hor siqqah Tabaye Abdullah Bin Ubaidullah Bin Abi Mulaikah rahimahullah se riwaayat hai ke Orwah Bin Zubair ne (Syidina Abdullah) Ibn Abbas raziallahu-anhuma se kaha:

ٲضللتَ النَۤاسَ
"Aap ne logon ko ghalati mein mubtila kardiya.!"
Unho(Ibn Abbas raziallahu-anhuma) ne farmaaya: Aye Orwah! kya baat hai? Orwah ne kaha:Aap(zilhajjah ke) in dass dino mein umre ka hokm dete hein aur in(dino) mein umrah nahi hai. (Ibn Abbaas raziallahu-anhuma) ne farmaaya: kya to apni maa(Asmaa Bint-e-Abi Bakr raziallahu-anhuma) se is bare mein nahi pochta? (yani wo batadengi ke NABI sallallahu alaihi wasallam ne is ki ijaazat di hai) Orwah ne kaha: beshak Abu Bakr aur Omer raziallahu-anhuma dono ne aisaa nahi kya thaa.!
To Ibn Abbaas raziallahu-anhuma ne farmaaya:

ھذاالذی ٲھلککم واللہ! ماٲری ٳلا سیعذبکم، ٳني ٲحدثکم عن النبي صلی اللہ علیه وسلم وتجیئوني بابي بکروعمر
"ALLAH ki qasam! isee baat ne tumhe hilaak kya hai, mein yahi samajhta honke woh (ALLAH) tumhen azaab dega, mein tumhen NABI sallallahu alaihi wasallam ki hadis suna ta hon aur tum mere saamne Abu Bakr aur Omer raziallahu-anhuma (ke aqwaal o afaal) ko pesh karte ho. Phir Orwah ne kaha: ALLAH ki qasam! woh dono aap se ziyaadah RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki sunnat ko jaan'ne waale aur zyadah ittiba karne waale the."

Is riwaayat ke raawi Khateeb Baghdadi rahimahullah ne Orwah Bin Zubair rahimahullah ke kalaam par Radd karte howe farmaaya:

قلت:قد کان ٲبوبکروعمر علٰی ماوضفھمابه عروة ٳلا انه لا ینبغي ٲن یقلدٲحدفي ترک ماثبتت بہ سنة رسول اللہ صلی اللہ علیه وسلم
"Maine ne kaha: Abu Bakr aur Omer raziallahu-anhuma inhi sifaat ke saath maosof the jaisaa ke Orwah ne kaha likin RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki saabit shudah ksunnat ke tark karne keliye kisi ki taqleed nahi karni chahiye."(Al-Faqiyyah wal-Muttafiqah:1/145, aur is ki sanad SAHIH hai)

Is sache qisse se kayi baaten malom howin:
1)Quran o Hadis ke khilaaf har shakhs ki baat mardood hai.

2)RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam Masoom hain likin AAP sallallahu alaihi wasallam ke ilaawah dosra koi shakhs Masom Anil-Khata nahi lihazaa bade se bade aalim ki baat ghalat hosakti hai likin RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki Sahih Hadis kabhi ghalat nahi hoti.

3)Hajje Tamatto bilkul jaayez hai balke doosre dalaayil ki ro se bahtar aur afzal hai.

4)Hajje Tamatto ki mumaaniat Syidina Abu Bakr al-Siddiq raziallahu-anhu se saabit nahi balke Orwah ki Syidina Abu Bakr aur Syidina Omer raziallahu-anhuma dono se riwaayat munqata hai kionke woh Syidina Usmaan raziallahu-anhu ke daur-e-khilaafat mein paida howe the.

5)Taqleed Jaayez nahi hai.
Syidina Ali Ibn Abi Talib raziallahu-anhu ne farmaaya:

ماکنتُ لٲدع سنة النبي صلی اللہ علیہ وسلم لقول ٲحد
"Main RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki sunnat kisi ke qaul ki wajah se nahi chodsakta."(Sahih Bukhari:1563)

Ibrahim Bin Yazeed al-Nukhyi rahimahullah ke ssamne kisi ne Sayeed Bin Jubair rahimahullah (Tabayi) ka qaul pesh kya to unho ne farmaaya: RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki hadis ke muqabile mein tum Sayeed Bin Jubair ke qaul ka kya karoge?(Al-Ahkaam li-Ibn Hazam:2/293, aur is ki sanad SAHIH hai)

Imam Hakm Bin Otaibah rahimahullah ne farmaaya: logo mein se har aadmi ki baat aap lesakte hain aur rad bhi karsakte hain siwaaye NABI sallallahu alaihi wasallam ke.(Al-Ahkaam li-Ibn Hazam:2/293, aur is ki sanad SAHIH hai)

Imam Aamer al-Shubi rahimahullah (Tabayi) ne farmaaya: ye log tujhe RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ki jo hadis sunaayen to usey pakad lo aur jo apni raaye se kahen usey kode karkat par phaink do.(Sunan Al-Daarmi:1/67, Hadis No206, aur is ki sanad SAHIH hai)

Ye hai Salaf Saliheen ka Manhaj ke ALLAH aur uske RASOOL sallallahu alaihi wasallam ke muqabile mein har shakhs ki baat mardood hai aur har qisam ke ikhtilaf ki sorat mein kitab o sunnat ki taraf hi rojo karna chahiye.
 

Similar threads


Top