Taubah Ki Namaaz


Taubah Ki Namaaz

Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullaah

Aadmi Gunaaho Ka Putla Hai Khataae Hoti Rehti Hai Bani Aadam Ko Hamesha Allah Ki Taraf Ruju Karte Rehna Chahiye Jab Bani Aadam Se Galati Hoti Hai Aur Woh Sharmindah Ho Kar Allah Se Muaafi Mangta Hai To Woh Allah Ko Bahut Ziyadah Muaaf Karne Wala Pata Hai.

Allah Ne Apne Bando Ko Muaafi Par Ubhara Hai Farmaan E Aalishaan Hai:
وتوبوا إلى الله جميعا أيها المؤمنون لعلكم تفلحون​
Tarjumah: Aur Imaan Laane Walo Tum Sab Allah Ki Taraf Taubah(Ruj'u) Karo Taaki Tum Kaamiyaab Ho.
(Surah Noor: 31)

Aur Nabi ﷺ Ne Jaha Taubah Par Ubhara Wahi Aap Ka Is Par Kasrat E Amal Bhi Raha Hai Aap Din Me 100-100 Baar Istighfaar Kiya Karte The.
Taubah Ke Liye Namaaz E Taubah Shart Nahi Mustahab Hai Taubah Ke Liye Nadamat/ Sharmindagi Hi Kaafi Hai Taaham Istighfaar Ka Mustahsan Tariqah Yah Hai Ke Bandah Kisi Khas Ya Aam Gunaah Sarzad Ho Jane Par Taubah Karne Ki Niyyat Se Wazu Kar Ke 2 Rakat Namaaz Ada Karne Ke Baad Nihayat Khuloos E Dil Se Apne Gunaaho Par Sharmindah Ho Aur Allaah Se Maafi Mange Aur Aaindah Us Gunaaho Ko Chhod De Aur Na Karne Ka Azam Kar Le To Allah Rabbul Aalameen Apne Bande Ko Maaf Farma Dete Hai.

Taubah Ki Namaaz Ki Daleel:
Nabi ﷺ Ne Farmaya:
ما من عبد يذنب فيحسن الطهور ثم يقوم فيصلي ركعتين ثم يستغفر الله إلا غفر الله له​
Tarjumah: Koi Aadmi Jab Gunaah Karta Hai Fir Wazu Kar Ke 2 Rakaat Namaaz Padhta Hai Aur Allah Se Istighfaar Karta Hai To Allah Use Muaaf Farma Deta Hai.
(Abu Dawood: 1521)

* Is Hadees Ko Albaani Rahimahullah Ne Sahih Qaraar Diya Hai.
 
Last edited by a moderator:

Similar threads


Top