Shona shaikh

Active member
بسم الله الرحمن الرحيم

TAUHEED E SIFAAT.


KAINAAT KI HAR CHEEZ KA HAQEEQI MALIK AUR BAADSHAH SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.

"Wo Allah ta'ala hi hai jiske alawa koi ila (mabood) nahi wo baadshah hai nihayat muqaddas hai, sarasar salamati aur aman dene wala, nigehbaan, sab par gaalib, zabardast badayi wala, paak hai Allah ta'ala us shirk se jo loog kar rahe hai".
(Surah Hashr Surah no. 59 Ayat no. 23)

Hazrat Abdullah bin Umar Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Qayamat k rooz Allah ta'ala aasmaano ko lapaitega phir unhe apne daaye hath mein lega phir farmayega mein hu baadshah aaj kaha hai (dunya mein) bade ban'ne wale aur takabbur karne wale? phir zameeno ko apne baaye hath main lapait lega".
(Sahih Muslim, Mishkaat Kitabul Faan)


KAINAAT MEIN HUKUMAT AUR TAMAAM IKHTAYARAAT SIRF ALLAH TA'ALA HI K PAAS HAI.

"Hukm dena sirf Allah ta'ala hi ka haq hai usi ne hukm diya hai k uske siwa kisi ki ibadat na ki jaye, yahi seedha raasta hai lekin aksar loog nahi jaante".
(Surah Yousuf Surah no. 12 Ayat no. 40)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam se farmaya: "Tum jitni martaba hamare paas aatey ho us se zayada martaba kyu nahi aate? is par ye aayat nazil hue "Ae Nabi hum tumhare rabb k hukm k bagair nahi aatey jo kuch hamare aagey aur pichey hai neez jo kuch uske darmiyaan hai uska malik wahi hai aur tumhara rabb boolne wala nahi" ye ayat Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k mutaalbey ka jawab thi (jo Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Jibraeel Alaihis Salaam se kiya tha).
(Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)
WAZAHAT:
Mazkoora Ayat Surah Maryam Surah no. 19 Ayat no. 64 ki hai.


NIZAM E KAINAAT AUR UMOOR E KAINAAT KA MUDABBIR SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.

"Wo Allah hi hai jisne aasmano ko aese satoono k bagair qayam kiya jo tumko nazar nahi aatey hai phir wo arsh par julu (qaayam) farma hua, sooraj aur chaand ko (ek kanoon ka) paband banaya, (kainaat ki) har cheez (uske hukm se) ek waqt muqarrar tak k liye chal rahi hai Allah ta'ala hi (kainaat k) saare umoor ki tadbeer farma raha hai, Allah ta'ala (apni tauheed ki) nishaniya khool khool kar bayan kar raha hai takey tum apne rabb se mulaqaat ka yaqeen kar lo".
(Surah Raad Surah no. 13 Ayat no. 2)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu kehte hai Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai k "Allah ta'ala azz wa jall farmata hai ibne Adam zamaney ko gaali deta hai halankey wo zamana to mein hu din raat mere qabzey qudrat mein hai".
(Sahih Muslim Kitabul Faaz minal Adab)


ZAMEEN AUR AASMAAN K TAMAAM KHAZAANO KA MALIK SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
.
"Ae Nabi! in se kaho mein tumse ye nahi kehta k mere paas Allah ta'ala k khazaane hai na mein gaib ka ilm rakhta hu aur na ye kehta hu k mein farishta hu mein to sirf us wahi ki pairvi karta hu jo mujh par nazil ki jaati hai phir unse pucho, kya andha aur aanhko wala dono barabar ho sakte hai? kya tum gaur nahi karte".
(Surah Anaam Surah no. 6 Ayat no. 50)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala ka haath bhara hua hai kharch karne se usme kami nahi aati raat din uski bakhshish jaari hai" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Zara gaur karo zameen wa aasman ki takhleeq par Allah ta'ala ne kitna kharch kiya lekin us se uske khazane mein kuch bhi kami nahi hui"
(Sahih Bukhari Kitabut Tauheed)


QAYAMAT K ROOZ SIFARISH KARNE KI IJAZAT DENE YA NA DENE NEEZ SIFARISH QUBOOL KARNE YA NA KARNE KA SARA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HOGA.

"Kya Allah ko chood kar un loogo ne doosro ko sifarishi bana rakkha hai? unse kaho wo sifarish karenge khawah unke ikhtayaar mein kuch bhi na ho aur khawah wo (murdey tumhari baatey) samajhte bhi na ho kaho sifarish saari ki saari Allah ta'ala k ikhtayaar mein hai (jise chaahe ijazat de jise chahey na de aur jiski sifarish chahe qubool kare jiski chahey na qubool kare) aasmano aur zameen ki baadshahi ka wahi malik hai phir usi ki taraf tum sab (marne k baad) paltaaye jane wale ho".
(Surah Zumur Surah no. 39 Ayat no. 43-44)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Allah ta'ala qayamat k din loogo ko ikattha karega kahenge k apne parwardigaar k huzoor kisi ki sifarish karwani chahe takey wo us takleef jahannam se nijaat dila de chunanchey loog Hazrat Aadam Alaihis Salaam k paas ayenge aur kahenge Aap wo hai jise Allah ta'ala ne apne haatho se banaya aur phir usme apni rooh phunki farishto ko hukm diya ke Aapko sajdah kare lihaza hamare rabb k huzoor hamare liye sifarish kare, Hazrat Aadam Alaihis Salaam kahenge mein is layak kaha aur apni khataye yaad karenge loogo se kahenge Aap loog Hazrat Nooh Alaihis Salaam k paas jao wo pehle Rasool they jinhey Allah ta'ala ne bheja, loog unke paas (sifarish ka mutalba le kar) jayenge wo kahenge mein is layak nahi aur apni khataye yaad karenge aur loog se kahenge k tum Ibraheem Alaihis Salaam k paas jao unhe Allah ta'ala ne apna doost banaya hai, loog Ibraheem Alaihis Salaam k paas jayenge aur wo kahenge mein is layak nahi aur apni khataye yaad karenge Ibraheem Alaihis Salaam kahenge tum Moosa Alaihis Salaam k paas jao unse Allah ta'ala ne kalaam kiya hai chunchey loog Hazrat Moosa Alaihis Salaam k paas jayenge wo kahenge mein is layak kaha aur apni khataye yaad karenge Moosa Alaihis Salaam kahenge tum loog Isa Alaihis Salaam k paas jao chunanchey loog Isa Alaihis Salaam k paas ayenge wo bhi kahenge mein is layak kaha albatta tum loog Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k paas jao Allah ta'ala ne unke agley pichley saare gunah maaf kar rakkhey hai chunanchey loog mere paas ayenge aur mein apne rabb se haziri ki ijazat talab karunga jab mein Allah ta'ala ko dekhunga to sajdey mein gir jaunga jab tak Allah ta'ala chahega mujhe sajdeh mein pada rehne dega phir farmayega "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam sar uthao aur maango diya jayega, baat kaho to suni jayegi, sifarish karo to maani jayegi, chunanchey (ijazat milne k baad) apna sar sajdey se uthaunga aur apne rabb ki wo hamd wa sana karunga jo us waqt Allah ta'ala mujhe sikhlayega uske baad (loogo k liye) sifarish karunga chunanchey mere liye hadd muqarrar kardi jayegi us hadd k andar jo loog honge (sirf) unko jahannam se nikaal kar bahisht (jannat) mein le jaunga phir mein dobara apne rabb k huzoor hazir hounga aur usi tarah sajdey mein gir jaunga chunanchey teesri ya choothi baar mein arz karunga "Parwardigaar! ab to jahannam se wahi loog baaqi reh gaye hai jo quran k hukm k mutabiq hamesha hamesha jahannam mein rehne wale hai (yaani kafir aur mushrik)".
(Sahih Bukhari Kitabur Riqaaq)


QAYAMAT K ROOZ JAZA WA SAZA DENE KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HOGA.

"Allah ta'ala kafiro k muamaley mein Nooh Alaihis Salaam aur Loot Alaihis Salaam ki beewiyo ko bataur misaal paish karta hai wo hamare 2 saaleh bando ki zojiyat mein thi magar unhone apne un shoharo se khayanat ki (yaani kafiro se saaz baaz ki) aur wo dono (yaani Nooh Alaihis Salaam aur Loot Alaihis Salaam) Allah ta'ala k muqabaley mein un (beewiyo) k kuch bhi kaam na aa sakey dono se keh diya gaya k jao aag mein jaane walo k saath tum bhi (aag mein) chali jao".
(Surah Tahreem Surah no. 66 Ayat no. 10)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam par jab (quran majeed ki) ye aayat nazil hui "Ae Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! apne rishtedaaro ko (qayamat se) darao to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne khade ho kar farmaya Ae quraish k loogo! ya aesa hi koi jumla kaha, apni jaaney bachao (qayamat k din) Allah ta'ala k saamne mein tumhare kisi kaam nahi aa sakunga ae abd e Munaaf k baito! (qayamat k rooz) Allah ta'ala k saamne mein tumhare kisi kaam nahi aa sakunga ae Abbas bin Abdul Muttalib mein Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam na aa sakunga Ae Safeeya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k phoopi! mein Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam nahi aa sakunga aur ae Fatima binte Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam! (dunya mein) mere maal se jo chaho maanglo (lekin qayamat k rooz) Allah ta'ala k saamne tumhare kisi kaam nahi aa sakunga".
(Sahih Bukhari Kitabut Tafseer)


GUNAH MAAF KARNE YA NA KARNE KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HAI.

"Ae Nabi! khawah un (munafiko) k liye maafi darkhwast karo ya na karo (ek hi baat hai) agar tum 70 martaba bhi unhe maaf karne ki darkhwast karoge to Allah ta'ala unhe hargiz maaf nahi karega is liye k unhone Allah ta'ala aur uske Rasool Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath kufr kiya aur Allah ta'ala faasiq loogo ko hidayat nahi deta".
(Surah Tauba Surah no. 9 Ayat no. 80)

Hazrat Ummey Ala Ansariya Razi Allahu Anha kehti hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Allah ki qasam! mein nahi jaanta halankey mein Allah ka Rasool hu (marne k baad) mere saath kya muamla hoga".
(Sahih Bukhari Kitabul Jana'iz)


MASHEEYAT AUR IRADEY KI TAKMEEL KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI K PAAS HAI.


ALLAH TA'ALA APNI MASHEEYAT AUR IRAADAH POORA KARNE K LIYE KISI DOOSRE KI MASHEEYAT YA IJAZAT KA MOHTAAJ NAHI.
"Allah ta'ala jab kisi kaam ka irada karta hai to uska kaam bas ye hai k use hukm de ho ja aur wo ho jata hai".
(Surah Yaseen Surah no. 36 Ayat no. 82)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k ek aadmi Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur guftagu karte hue kaha "Jo Allah ta'ala chahey aur Aap chahey" Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya "Kya toone mujhe Allah ta'ala ka shareek bana liya hai" (ek riwayat mein hamsar k alfaaz hai) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "(aesa na karo) balkey yu kaho jo Allah ta'ala chahey".
(Silsila Ahadees E Saheeyah Hadees no. 139-1)


SHARIYAT SAAZI, HALAAL WA HARAAM JAYEZ WA NA'JAYEZ K TA'AYYUN KA IKHTAYAAR SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HAI.

"Ae Nabi! tum kyu us cheez ko haraam karte ho jo Allah ta'ala ne tumhare liye halal ki hai, (kya) tum apni beewiyo ki khushi chahte ho? Allah ta'ala bakhshaney wala raham farmane wala hai".
(Surah Tahreem Surah no. 66 Ayat no. 1)

Hazrat Adi bin Hatim Razi Allahu Anhu se riwayat hai k mein Nabi E Arkam Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki khidmat mein hazir hua aur meri gardan mein sooney (gold) ki saleeb thi, Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae Adi! is butt (saleeb) ko utaar phenko" mene (us waqt) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko Surah Baqarah ki ye Ayat padhte hue suna "unhone (yaani ahle kitab ne) apne ulama aur darwaisho ko ila (mabood) k siwa apna rabb bana liya" tab (Hazrat Adi k sawal k jawab mein) Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat irshad farmayi k wo (Ahle kitab) apne ulama aur darwaisho ki (zahiri) ibadat na karte they, lekin jab ulama kisi cheez ko halaal kehte to wo use halaal jaan lete aur jab ulama kisi cheez ko haraam tehraatey to wo use haraam jaan lete (aur wahi matlab hai ulama ko Allah ta'ala k siwa rabb banane ka).
(Sahih Sunan Tirmizi,li'albani vol:3, Hadees no. 2471)


ILM E GHAIB SIRF ALLAH TA'ALA HI KO HAI.

"Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam unse kaho mein apni zaat k liye kisi nafa aur nuksan ka ikhtayaar nahi rakhta Allah ta’ala hi jo kuch chahta hai hota hai aur agar mujhe ghaib ka ilm hota to mein bahut se faidey apne liye hasil kar leta aur mujhe kabhi koi nuksan na pahunchta, mein to mehaz ek khabardaar karne wala hu aur khushkhabri sunane wala hu un loogo k liye jo meri baat suney".
(Surah Aaraf Surah no. 7 Ayat no. 188)

Hazrat Abu Hurairah Razi Allahu Anhu farmate hai k ek rooz Raool E Akam Sallallahu Alaihi Wa Sallam Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum k darmiyaan tashreef farma they k ek shaks aya aur arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! qayamat kab ayegi?" Aapne farmaya "jis se puch rahe ho wo puchne wale se jayada nahi jaanta han albatta mein tujhe uski nishaniya bata deta hu (pehli nishani ye hai k) jab aurat apna malik janey to ye qayamat ki nishaniyo mein se hai (doosri nishani ye hai k) jab barhana badan aur barhana pao phirne wale loog sardaar baney to ye qayamat ki nishaniyo mein se hai (teesri nishani ye hai k) jab raiwad charaney wale bade bade mehal taameer kare to ye qayamat ki nishaniyo mein se hai (phir farmaya) qayamat to un paanch cheezo mein se hai jinka ilm Allah ta'ala k siwa kisi no nahi, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne ye aayat tilawat farmayi "INNALLAHA INDAHU ILMUS SAA'AH (Surah Luqman Surah no. 31 Ayat no. 34)"
Tarjuma: (1.) qayamat ka waqt sirf Allah ta'ala hi jaanta hai, (2.) Wahi baarish barsaata hai, (3.) wahi jaanta hai reham e maadar mein kya hai? (4.) koi shaks ye nahi jaanta kal kya karega, aur (5.) koi shakhs ye nahi jaanta k use konsi jagah maut ayegi, beshak Allah ta'ala har baat jaan'ne wal aur ba'khabar hai".
(Sahih Muslim Kitabul Emaan)
WAZAHAT: "Aurat apna malik janey" ka matlab ye hai k aulad apne walidayn ki is qadr nafarmaan hogi k unke saath gulaamo aur loondiyo jesa sulook karegi.


HAR WAQT AUR HAR JAGAH BANDO KI DUA SUN'NE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.

HAR JAGAH HAZIR NAZIR (APNI QUDRAT AUR ILM K SAATH) SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.
"Aur ae Nabi mere bandey jab tumse mere mutalliq puchey to unhe bata do k mein unse qareeb hi hu pukaarne wala jab mujhe pukaarta hai mein uski pukaar sunta hu aur jawab deta hu lihaza unhe chahiye k meri dawat par labbaik kahe aur mujh par emaan laye takey loog raah e raast pa ley".
(Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 186)

"Aur Allah ta'ala tumhare saath hai jaha bhi tum ho aur jo kaam bhi tum karte ho use wo dekh raha hai".
(Surah Hadeed Surah no. 57 Ayat no. 4)

Hazrat Abu Musa Razi Allahu Anhu se riwayat hai k hum Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath ek safar mein they loog buland aawaaz se takbeer kehne lagey to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne farmaya: "Apni jaano par narmi karo, (yaani anpi aawaaz nichi rakkho) kyunki tum kisi behrey ya gayib ko nahi pukaar rahe ho balkey use pukaar rahe ho jo (har jagah) sun'ne wala hai tumhare
nazdeek hai aur (har waqt apne ilm aur qudrat k sabab) tumhare saath hai".
(Sahih Muslim Kitabuz zikr wa dua)


DILO MEIN CHUPEY BHAID SIRF ALLAH TA'ALA HI JAANTA HAI.

"Tum loog khawah aahista baat karo ya unchi aawaaz se (Allah ta'ala k liye yaksa hai kyunki) wo dilo k bhaid jaanta hai, kya wahi na jaanega jisne loogo ko paida kiya hai? halankey wo poshida baato se bhi ba'khabar hai".
(Surah Mulk Surah no. 67 Ayat no. 13-14)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam maheena bhar ruku k baad qunoot padhte rahe jime banu saleem k qaba'il k liye bad'dua farmate rahe Hazrat Anas Razi Allahu Anhu kehte hai k Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne 40 qura (yaani ulama) ko baaz mushriko k paas (deen sikhaane k liye) bhejey banu saleem k loog muqabile mein utar aye aur un qura ko qatal kar daala halankey banu saleem aur Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k darmiyaan ahad tha (lekin banu saleem ne gaddari ki) Hazrat Anas Razi Allahu kehte hai mene Nabi E Akarm Sallallahu Alaihi Wa Sallam ko itna ranjeeda kabhi nahi dekha jitan us maoukey par dekha tha.
(Sahih Bukhari Kitabul Jihaad was Sabr)


DEEN WA DUNYA KI TAMAAM BHALAIYA SIRF ALLAH TA'ALA HI K HAATH MEIN HAI JISE CHAHTA HAI ATA KARTA HAI JIS'SE CHAHTA HAI CHEEN LETA HAI.
"Kaho ae Allah! kainaat k baadshah, tu jise chahey hukumat de, jis’se chahey cheen le jise chahaye izzat bakhshey jisko chahey zaleel kare, bhalayi tere ikhtiyaar mein hai, beshak tu har cheez par qadir hai".
(Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 36)

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu farmate hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ye dua ba'kasrat maanga karte they "RABBANA AATINA FID DUNYA HASANATAU WAFIL AAKHIRATI HASANATAU WA QINA AZAABAN NAAR" "Ya Allah! hame duya mein bhi bhalayi ata farma aur aakhirat mein bhi hame aag k azaab se bacha le".
(Muttafiqun Alai, Mishkaat baab jamey dua fasal awwal)


DILO KO PHAIRNE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.

"Ae loogo jo emaan laye ho, Allah ta'ala aur uske Rasool ki pukaar par labbaik kaho jab k Rasool tumhe us cheez ki taraf bulata hai jo tumhey zindagi bakhshne wali hai aur jaan rakko k Allah ta'ala bandey aur uske dil k darmiyaan hayil hai aur usi ki taraf tum ikhatthey kiye jaoge".
(Surah Anfaal Surah no. 8 Ayat no. 42)

Hazrat Shahar bin Hoshab Razi Allahu Anhu kehte hai mene ummul momineen hazrat e Salma Razi Allahu Anha se arz kiya "Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jab aap k paas hote to konsi dua sabse zayada padhte? Hazrat Ummul Momineed Salma Razi Allahu Anha ne farmaya "Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki zayada tar dua ye hoti "YA MUQALLABIL QULOOBI SABBAT QALBI ALA DEENIKA" (Ae loogo k phairne wale mera dil apne deen par jama de) mein (ummey Salma) ne arz kiya "Ya Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam! Aap aksar ye dua kyu maangte hai aapne irshad farmaya: Ae Ummey Salma! koi aadmi aesa nahi jiska dil Allah ta'ala ki do ungliyo k darmiyaan na ho phir jise wo chaahta hai (deen e haqq par) qayam rakhta hai jise chahta hai (raah e raast) se hata deta hai".
(Sahih Sunan Tirmizi, li'albani vol :3, Hadees no. 2792)


RIZK DENE AUR NA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.


RIZK MEIN TANGI YA FARAKHI KARNE WALA BHI SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.
"Aur apni aulaad ko gurbat k darr se qatal na karo hum unhe bhi rizk denge aur tumhe bhi, darhaqeeqat aulaad ka qatal ek bada gunah hai".
(Surah Bani Israeel Surah no. 17 Ayat no. 31)

"Ae Nabi inse kaho mera rabb jise chahta hai kushaada rizk deta hai jise chahta hai tang deta hai lekin aksar loog (iski haqeeqat) nahi jaante".
(Surah Saba Surah no. 34 Ayat no. 36)

Hazrat Abuzarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam jo Ahadees Allah ta'ala se riwayat karte hai (unmey se ek ye hai) k Allah ta'ala farmata hai "Ae mere bando! tum sab bhookey ho siwaye uske jise mein khilau pas mujse khana maango mein tumhey khilaunga, ae mere bando tum sab nangey ho siwaye uske jise mein pehnaau pas tum mujhse libaas maango mein tumhey (libaas) pehnaaunga".
(Sahih Muslim Baab fi tahreemul zulm)


AULAAD DENE YA NA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.

BETE AUR BETIYA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.
"Allah ta'ala zameen aur aasmaan ki baadshahi ka malik hai jo kuch chaahta hai paida karta hai jise chahta hai ladkiya deta hai jise chahta hai ladkey deta hai jise chahta hai ladkey aur ladkiya mila jula kar deta hai aur jise chahta hai baanj kar deta hai wo sab kuch jaanta hai aur har cheez par qaadir hai".
(Surah Shura Surah no. 42 Ayat no. 49-50)

Ibne Shahaab kehte hai k Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne Hazrat Ruqaiyya Razi Allahu Anha binte Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam k baad unki behan Hazat Ummey Kulsoom Razi Allahu Anha binte Muhammad Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka nikah bhi Hazrat Usman bin Affan Razi Allahu Anhu se hi kar diya, Hazrat Ruqaiya Razi Allahu Anha Hazrat Usman Razi Allahu Anhu k aqd e nikah mein hi faut hui lekin unke han koi aulaad na hui.
(Tibraani, al'walad tahirun nabwiya Hadees no. 75)


SEHAT AUR SHIFA DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI
.
"Allah ta'ala ne mujhe paida kiya wahi meri rehnumayi farmata hai wahi mujhe khilaata hai aur pilaat hai aur jab mein bimaar ho jata hu to mujhe shifa deta hai wahi mujhe maut dega aur phir dobaara zindagi bakhshega usi se mein ummed rakhta hu k rooz e jaza meri khata maaf farmayega".
(Surah Shu’ara Surah no. 26 Ayat no. 78-82)

Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha farmati hai Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam baaz bimaar loogo k jism par dahina haath phairte aur ye dua farmate "AZHIBIL BAASA RABBAN NAASI WASHFI ANTASH SHAAFI LA SHIFA'A ILLA SHIFA’UKA SHIFA'AN LA YUGAADIRU SAQAMA" yaani "Ae loogo k rabb! bimaari door farma aur shifa inayat kar kyunki tu hi shifa dene wala hai asal shifa wahi hai jo tu inayat farmaye aesi sehat ata farma k kisi qism ki bimaari baaqi na rahey".
(Sahih Bukhari Kitabut Tibb)


HIADAYAT DENA SIRF ALLAH TA'ALA HI K IKHTAYAAR MEIN HAI.

"Ae Nabi tum jise chaho use hidayat nahi de sakte lekin Allah jise chahta hai hidayat deta hai aur Allah ta'ala un loogo se khoob wakif hai jo hidayat qubool karne wale hai".
(Surah Qasas Surah no. 28 Ayat no. 56)

Hazrat Abuzarr Razi Allahu Anhu se riwayat hai k jin hadeeso mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam Allah ta'ala se riwayat karte hai unme se ek ye hai k Allah ta'ala farmata hai "Ae mere bando! tum sab gumraah ho siwaye uske jise mein hidayat du pas mujhse hidayat maango mein tumhey hidayat dunga".
(Sahih Muslim Kitabul Ilm Baab Tahreemul Ilm)


NAIKI KARNE AUR GUNAH SE BACHNE KI TOFEEK DENE WALA SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.

"Hazrat Shuyeb Alaihis Salaam ne apni qaum se kaha, mein apni istata'at k mutabiq islaah karna chahta hu aur jo kuch karna chahta hu uska sara inhasaar Allah ta'ala ki tofeek par hai usi par mene bharosa kiya hai aur usi ki taraf ruju karta hu".
(Surah Hood Surah no. 11 Ayat no. 88)

Hazrat Muaaz bin Jabal Razi Allahu Anhu farmate hai Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne mera haath pakad kar farmaya "Ae Muaaz! Allah ta'ala ki qasam mujhe tum se bahut muhabbat hai, phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Ae Muaaz! mein tujhe taakeed karta hu k kisi (farz) namaz k baad ye kalmaat kehna na choodna "ALLAHUMMA INNI ZIKRIKA WA SHUKRIKA WA HUSNI IBAADATIK" Yani "Ya Allah! mujhe, shukr aur behtareen ibadat karne ki tofeeq ata farma".
(Abu Dawood Kitabul Witr Hadees no. 1522)


NAFA AUR NUKSAAN KA MALIK SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.


TAQDEER KA MALIK SIRF ALLAH TA'ALA HI HAI.
"(Ae Nabi Sallallahu Alaihi Wa Sallam) in munafiko se kaho kaun hai jo tumhare muamaley mein Allah ta'ala k faisley ko rookne ka kuch bhi ikhtayaar rakhta hai agar wo tumhey nuksaan pahuchana chahey ya nafa pahuchana chahye? tumhare aamaal se Allah ta'ala poori tarah ba'khabar hai".
(Surah Fatah Surah no. 48 Ayat no. 11)

Hazrat Abdullah bin Abbas Razi Allahu Anhu kehte hai ek din mein Nabi E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam k pichey (sawaar) tha Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallamne irshad farmaya "Ae ladkey mein tujhey chand kalmey sikhata hu (jo ye hai) Allah ta'ala k ahkaam ki hifazat kar Allah ta'ala (deen wa dunya k fitno mein) tumhari hifazat farmayega, Allah ta'ala ko yaad kar tu, to use apne saath payega, jab sawal karna ho to sirf Allah ta'ala se sawal kar, jab madad maangni ho to sirf Allah ta'ala se maang, aur acchi tarah jaan le k agar saare loog tujhe nafa pahuchaane k liye ikatthey ho jaye to kuch bhi nafa nahi pahucha sakenge siwa e uske jo Allah ta'ala ne tumhare liye likh diya hai aur agar saare loog tujhe nuksaan pahuchaana chahey to tujhey kuch bhi nuksan nahi pahucha sakenge siwa e uske jo Allah ta'ala ne tumhare liye likh diya hai, qalam (taqdeer likhne wale) utha liye gaye hai aur saheefey jinme taqdeer likhi gayi hai khushk ho chukey hai".
(Sahih Sunan Tirmizi juzz Saani)
WAZAHAT: Taqdeer ki do qismey hai pehli taqdeer e mubram (yaani faisla kun) ye kisi soorat mein nahi badalti, doosri taqdeer e mu'allaq ye dua karne se badal jaati hai, aur uske baare mein bhi Allah ta'ala k han likha ja chuka hai falah shaks ki falah taqdeer falah dua karne se badal jayegi, taqdeer k baare hi mein Rasool E Akram Sallallahu Alaihi Wa Sallam ka irshad e mubarak hai "Taqdeer nahi badali magar dua se".


ZINDAGI AUR MAUT SIRF ALLAH TA'ALA HI K HAATH MEIN HAI.

"Wo Allah ta'ala hi hai jo zinda karta hai aur maarta hai aur jab kisi baat ka faisla kar leta hai to bas ek hukm deta hai k ho ja aur wo ho jata hai".
(Surah Momin Surah no. 40 Ayat no. 68)

Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu se riwayat hai k gazwa zaatir riqa'a mein hum Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k saath they (dooran e safar) ek ghaney saaye wala darakht aya jise humne Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam k (aaraam k liye) chood diya itne mein ek mushrik aadmi aya aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ki talwar jo, darakht k saath latak rahi thi, soont kar boola "Kya tum mujh se darte ho (ya nahi)?" Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Nahi" mushrik kehne laga tumhey mujhse kaun bachayega? Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah" ise Bukhari ne riwayat kiya hai, Abu Bakr Ismaeel ne apni Sahih mein ye baat bhi riwayat ki hai (k jab) mushrik ne kaha "tumhey mujhse kaun bachayega to Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne irshad farmaya "Allah" is par talwar mushrik k haath se choot kar nichey gir padhi aur Rasool Allah Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne utha li phir Aap Sallallahu Alaihi Wa Sallam ne pucha "Tujhey mujh se kaun bachayega?" mushrik ne kaha "Tum behtar pakadne wale bano" (yaani mujh par raham karo aur chood do)
(Riyazus Saliheen Baab fi yaqeen wa tawakkal, Vol:1, hadees no. 267)

TAUHEED E SIFAAT K BAARE MEIN SHIRKIYA UMOOR:


1. Umoor e qainaat aur nizm e kainaat ki tadbeer mein Allah ta'ala k siwa kisi doosre Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.
2. Zameen wa aasman k tamaam khazano mein tasarruf ka ikhtayaar sirf Allah ta'ala ko hai is mein kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.
3. Qayamat k rooz kisi ko sifarish karne ki ijazat dene ya na dene, sifarish qubool karne ya na karne, kisi ko sawab ya azaab dene, kisi ko pakadne ya choodne ka ikhtayaar sirf Allah ta'ala ko hoga, Allah ta'ala k is ikhtayaar mein kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.
4. Gaib ka ilm rakhne wala aur har jagah hazir wa naazir sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.
5. Dilo ko phairne wala, hidayat dene wala, naiki ki tofeek dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.
6. Rizk ki tangi ya faraakhi, sehat aur beemari, nafa aur nuksan, zindagi aur maut dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal ko shareek samajhna shirk hai.
7. Aulaad dene ya na dene wala bete aur betiyan dene wala sirf Allah ta'ala hi hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ko is par qaadir samajhna shirk hai.
8. Dunya wa akkhirat ki tamaam bhaliya sirf Allah ta'ala k haath mein hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah ko us mein shareek samajhna shirk hai.
9. Dilo mein chupey raaz aur bhaid sirf Allah ta'ala hi jaanta hai kisi Nabi, wali, gaus, qutub ya abdaal wagairah k baare mein ye aqeedah rakhna shirk hai.
 

Similar threads


Top