Umar Asari

Administrator
Staff member
Ghair muslim ke tehwaar ki koi cheez khaana

Assalamu Alaikum Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu
✵Sawaal:✵
Agar ghair muslim apne tehwar ke mauqe par koi cheez bhejen to hum usey khaa sakte hain ya nahi, halaanki woh cheez market se khareed kar laayi gayi ho sirf tehwar ki wajah se hum tak pahunchi ho?

✯Jawaab:✯
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu!
الحمد لله، والصلاة والسلام علىٰ رسول الله، أما بعد​
Shar’ee taur par musalmanon ko hukm diya gaya hai ke woh yahood o nasaara aur hunood o majoos ke mukhailfat karen. Is mukhalifat ka taqaza hai ke hum kisi bhi pehlu se un ke tehwaron mein shareek na hon. Un ke tehwar ke mauqe par un ke tohfe qubool karna un ki khushi mein shirkat karna hai jis ki shar’an ijazat nahi hai, balki un ki mukhalifat karna Sunnat e Nabwi (ﷺ) hai. Kitne hi mu’amlaat hain jin mein Rasoolullah ﷺ ne un ki mukhalifat ki hai. Agar hum un ke tehwar ke mauqe par bheji hue cheezein qubool karen aur usey istemaal karen to yeh mukhalifat nahi hai, balki un ki hosla afzaayi aur hamnawaayi hai. Hadees mein hai: “Jis ne kisi qaum ki mushabihat ikhitiyar ki to woh unhein mein se hai.”
{Sunan Abi Dawud 4031. Grade: Hasan Sahih (Al-Albani)}

Is wajah se Islami ghairat ka taqaza hai ke hum ghair muslim logon ke tehwaron par un ke tohfe qubool na karen, agarche woh market se khareed kar hi kiun na bheje gaye hon. Yahood o nasara ki har rasm hamari tahzeeb ke liye zehar e qaatil hai. Is se bachna hamara mazhabi fareeza hai. Soorat e mas’oola mein agar koi ghair muslim apne tehwar ke mauqe par hamein koi cheez bhejta hai to hamein qubool nahi karni chahiye aur na hi use kisi istemaal mein laana chahiye. Tehwar ke alawah tohfa lene ya dene mein koi harj nahi jabki maqsad ghair muslim ko Islam ke qareeb lana ho.
(Wallahu A’lam)
ھذا ما عندی واللہ اعلم بالصواب​

Fatawa Ashaab ul Hadees: 2/266
Muhaddis Fatwa
 
Top