Umar Asari

Administrator
Staff member
Mard ka beauty product istemal karna kaisa hai?

✵Sawaal✵
Assalam alequm warahmatullahi wabaraqtuh , kya mard apne face ko clean karne k lye beauty product use kar sakte hain???

✪Jawaab✪
Walaikum Assalam Wa Rehmatullahi Wabarakatuhu

Mard ke beauty products waghera ke istemaal ki kayi soortein ho sakti hain, aur is mein ahkaam alag alag hote hain:
Pehli: Agar maqsad sirf khoobsoorati aur sajawat ho to beauty products ka istemaal jaaiz nahi hai. Kiunki khoobsoorati ki zaroorat aurton ko hoti hai. Mardon ke jism se to mardaangi jhalakni chaahiye aur unke andar roughness aur mazbooti honi chaahiye. Aur mardon ko aurton ki tarah dikhna sahih nahi hai.

Doosri: Jo cheezein aurton ki khoobsoorati badhaane ke liye khaas hain jaise lipstick aur nail polish waghera. Yeh sab mardon ke liye jaaiz nahi hain kiunki mardon aur aurton ko ek doosre ki mushaabihat ikhtiyaar karna haraam hai. Is talluq se mazeed tafseel yahan dekhen!

Teesri: Agar maqsad skin ke colour ko halka karna hai jaise kaale rang (black colour) se safeed rang (white colour) karna to agar yeh badlaao waqti (temporary) hai to is mein koi harj nahi (lekin is mein dhoka waghera na ho jaise log shaadi waghera ke liye karte hain to us mein dhoka hota hai. Is mein bhi tafseel hai). Aur agar yeh badlaao waqti na ho balki hamesha ke liye ho to yeh jaaiz nahi hai kiunki yeh Allah Taala ki takhleeq ko badalna hai. Yahan yeh bhi dhiyaan rahe ke is tarah ke beauty products ka istemaal mardon ke liye munasib nahi hai jaisa ke upar bayaan kiya gaya hai.

Chauthi: Agar maqsad ilaaj ho ya kisi bemaari ko door karna ho to iska istemaal jaaiz hai. Jaise chehre par nikle muhanse door karne ke liye koi cream istemaal karna.

Tambeeh: Yeh dhiyaan rahe ke beauty products mein se jo cheezein napaak ya nuqsaandeh cheezon se banaayi gayi hain unka istemal kisi bhi soorat mein jaaiz nahi hai. Mazeed yeh bhi dhiyaan rakhna chaahiye ke in products ke istemaal se koi nuqsaan na ho.
والله أعلم بالصواب​
 
Top