Tauheed Quraan Majeed ki Roshni mein.


Shona shaikh

Active member
بسم الله الرحمن الرحيم

TAUHEED QURAN MAJEED KI ROSHNI MEIN
ALLAH TA'ALA KHUD TAUHEED KI GAWAHI DETA HAI
"Allah ta'ala ne khud shahadat di hai k uske siwa koi ila (mabood) nahi neez farishte aur ilm wale loog jo insaaf par qayim hai wo bhi (yahi shahadat dete hai) waqaye is zabardast aur hakeem k alawa koi ila (mabood) nahi hai"
(Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 18)

QURAN MAJEED NE LOOGO KO SIRF EK ALLAH TA'ALA KI IBADAT AUR BANDAGI KI DAAWAT DI HAI
"Loogo! tumhara ila (mabood) to bas ek hi hai uske siwa koi ila (mabood) nahi wo bada meharbaan aur nihayat raham karne wala hai".
(Surah Baqarah Surah no. 2 Ayat no. 163)

"Allah ta'ala k siwa kisi doosre ila (mabood) ko na pukaaro uske siwa koi ila (mabood) nahi uski zaat k siwa har cheez halaak hone wali hai, usi ka hukm hai aur usi ki taraf tum sab paltaaye jane wale ho".
(Surah Qasas Surah no. 28 Ayat no. 88)

"Uske siwa koi ila (mabood) nahi wahi zindagi ata karta hai wahi maut deta hai wo tumhara bhi rabb hai tumhare aabaa wa ajdaad jo guzar chukey unka bhi rabb hai".
(Surah Dukhaan Surah no. 44 Ayat no. 8)

TAMAAM AMBIYA E KIRAAM AUR RASOOLON NE SAB SE PEHLE APNI APNI UMMATO KO AQEEDAH E TAUHEED KI DAWAT DI.

HAZRAT NOOH ALAIHIS SALAAM:
"Humne Nooh ko uski qaum ki taraf bheja unhone kaha: Ae biraadraan e qaum! Allah ta'ala ki bandagi karo uske siwa tumhara koi ila (mabood) nahi mein tumhare haqq mein ek hoolnaak din k azaab se darata hu".
(Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 59)

HAZRAT HOOD ALAIHIS SALAAM:
"Aur qaum e Aad ki taraf humne unke bhai Hood (Alaihis Salaam) ko bheja, unhone kaha ae biraadraan e qaum! Allah ta'ala ki bandagi karo uske siwa tumhara koi ila (mabood) nahi phir kya tum galat roosh se parhaiz na karoge".
(Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 65)

HAZRAT SAALEH ALAIHIS SALAAM:
"Aur qaum e Samood ki taraf unke bhai Saaleh (Alaihis Salaam) ko bhaja unhone kaha ae biraadraan e qaum! Allah ta'ala ki bandagi karo uske siwa tumhara koi ila (mabood) nahi hai tumhare paas tumhare rabb ki taraf se khuli daleel aa gayi hai ye Allah ta'ala ki ounthni tumhare liye ek nishani hai lihaza use chood do k Allah ta'ala ki zameen mein charti phirey usko kisi bade iradey se haath na lagana warna dardnaak azaab tumhey aa lega".
(Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 73)

HAZRAT SHUYEB ALAIHIS SALAAM:
"Aur madyan walo ki taraf humne unke bhai Shuyeb (Alihis Salaam) ko bheja unhone kaha: Ae biraadraan e qaum! Allah ta'ala ki bandagi karo uske siwa tumhara koi ila (mabood) nahi tumhare paas tumhare rabb ki taraf se wazey daleel aa gayi hai lihaza wazan aur paimaaney purey karo loogo ko unki cheezo mein ghaata na do aur zameen mein fasaad barpa na karo jabkey uski islaah ho chuki usi mein tumhari bhalayi hai agar tum waqayi momin ho".
(Surah Aaraaf Surah no. 7 Ayat no. 85)

HAZRAT IBRAHEEM ALAIHIS SALAAM:
"Aur Ibraheem (Alaihis Salaam) ne apni qaum se kaha: Allah ki bandagi karo aur usi se daro ye tumhare liye behtareen hai agar tum jaano, tum Allah ta'ala ko chood kar jinki ibadat kar rahe ho wo tu mehaz butt hai aur tum ek jhood ghadd rahe ho, dar-haqeeqat Allah ta'ala k siwa jinki tum parastish karte ho wo tumhe rizk tak dene ka ikhtayaar nahi rakhte (lihaza) Allah ta'ala se rizk maango aur usi ki bandagi karo aur usi ka shukr ada karo, usi ki taraf tum bulaye jaane wale ho".
(Surah Ankaboot Surah no. 29 Ayat no. 16-17)

HAZRAT YOUSUF ALIHIS SALAAM:
"Allah ta'ala ko chood kar jinki tum bandagi kar rahe ho wo iske siwa kuch nahi hai k bas chandd naam hai jo tumne aur tumhare aabaa wa ajdaad ne rakh liye hai Allah ta'ala ne unke liye koi sanad nazil nahi ki".
(Surah Yousuf Surah no. 12 Ayat no. 40)

HAZRAT ISA ALAIHIS SALAAM:
"Haqeeqat ye hai k Allah ta'ala mera bhi rabb hai aur tumhara bhi rabb hai lihaza usi ki tum ibadat karo yahi seedha raasta hai".
(Surah Zukhruf Surah no. 43 Ayat no. 64)

HAZRAT MUHAMMAD SALLALLAHU ALAIHI WA SALLAM:
"Ae Muhammad (Sallallahu Alaihi Wa Sallam) keh dijiye mein to bas khabardaar karne wala hu k koi haqeeqi mabood nahi magar Allah ta'ala k alawa, jo yakta (akela) hai, sab par gaalib, aasmano aur zameen ka malik aur un saari cheezo ka malik jo unke darmiyaan hai wo zabardast bhi hai aur bakshne wala bhi".
(Surah Saad Surah no. 38 Ayat no. 65, 66)

DIGAR TAMAAM AMBIYA E KIRAAM AUR RASOOL ALAIHUM ASSALAAM:
"Humne tumse pehle jo rasool bhi bheja hai usko yahi "wahi" ki hai k mere siwa koi ila (mabood) nahi pas tum loog meri hi bandagi karo".
(Surah Ambiya Surah no. 21 Ayat no. 25)

KISI NABI NE ALLAH TA'ALA KI SIWA APNI YA KISI DOOSRE KI BANDAGI KI DAAWAT NAHI DI.
"Kisi insaan ka ye kaam nahi k Allah ta'ala use kitaab aur nabuwat ata farmaye aur wo loogo se kahe k Allah ta'ala ki bajaye tum mere bande ban jao wo to yahi kahega sacchey rabbani bano jesa k uski kitab ki taleem ka taqaaza hai jise tum padhte aur padhaate ho".
(Surah Ale Imran Surah no. 3 Ayat no. 79)

AQEEDAH E TAUHEED INSAAN KI FITRAT MEIN SHAMIL HAI.
"(Ae Nabi!) yakso (ek) ho kar apna rukh uske deen (islam) ki simt jama do aur qayem ho jao uski fitrat par jis par Allah ta'ala ne insaano ko paida kiya hai Allah ta'ala ki banayi hui saakht badli nahi ja sakti yahi seedha deen hai lekin aksar loog nahi jaante".
(Surah Room surah no. 30 Ayat no. 30)

KHALIS AQEEDAH E TAUHEED HI DUNYA WA AKHIRAT MEIN AMAN WA SALAMATI KA ZAAMIN HAI.
"Jo loog emaan laye aur apne emaan ko zulm (shirk) k saath aalood (alag) nahi kiya unhi k liye aman hai aur wahi raah e raast par hai".
(Surah An'aam Surah no. 6 Ayat no. 82)

AQEEDAH E TAUHEED PAR EMAAN LAANE WALE HAMESHA HAMESHA JANNAT MEIN RAHENGE.
"Wo loog jo emaan le aaye aur naik amal kare to unhe hum aese baago mein dakhil karenge jinke nichey nehrey behti hongi aur wo waha hamesha hamesha rahenge ye Allah ta'ala ka saccha wada hai aur Allah ta'ala se badh kar kaun apni baat mein saccha hoga?".
(Surah Nisa Surah no. 4 Ayat no. 122)

AQEEDAH E TAUHEED K LIYE SAARI DUNYA K INSAANO KO QURAN MAJEED KI DAWAT O FIKR.
"(Ae Nabi) unse keho kabhi tumne ye bhi soocha hai k agar Allah ta'ala tumhari beenaayi (aankho ki rooshni) aur tumhari sima'at (sun'na) tumse cheen le aur tumhare dilo par muhar laga de to Allah ta'ala k siwa konsa ila (mabood) hai jo ye quwwatey tumhey wapas dila sakta hai? dekho kis tarah baar baar hum apni dalail unke saamne paish karte hai phir bhi ye muh mood lete hai".
(Surah An'aam Surah no. 6 Ayat no. 46)

"Ae Nabi! unse kaho kabhi tum loogo ne gaur kiya hai k agar Allah ta'ala qayamat tak tum par hamesha k liye raat taari karde to Allah ta'ala k siwa wo konsa ila (mabood) hai jo tumhey rooshni dila de kya tum sunte nahi ho? unse pucho, kabhi tumne soocha k agar Allah ta'ala qayamat tak tum par hamesha k liye din taari karde to Allah ta'ala k siwa wo konsa ila (mabood) hai jo tumhey raat dila de takey tum usme sakoon hasil kar sako kya tum dekhte nahi ho?".
(Surah Qasas Surah no. 28 Ayat no. 71-72)

"Kabhi tumne aankhey khool kar dekha, ye paani jo tum peetey ho use tumne baadal se barsaaya hai ya uske barsaane wale hum hain? hum chahey to use sakht khaari bana kar rakh de phir tum shukr guzaar kyu nahi bante".
(Surah Waqi'ah Surah no. 56 Ayat no. 68-70)

"Kabhi tumne gaur kiya, ye nutfa jo tum daalte ho, us'se baccha tum banaate ho ya uske banane wale hum hai? humne tumhare darmiyaan maut ko taqseem kiya hai, aur hum uske aajiz nahi k tumhari shakley badal de aur kisi aesi shakal mein tumhey paida karde jisko tum nahi jaante, apni pehli paidaish par tum jaante hi ho, phir kyu sabaq nahi lete".
(Surah Waqi'ah Surah no. 56 Ayat no. 58-62)

"Kabhi tumne soocha ye beej jo tum bootey ho, unsey khetiyan tum ugaate ho ya unke ugaane wale hum hai?, hum chahey to un khaitiyo ko bhus bana de aur tum tarah tarah ki baatey banate rah jaoge k hum par to ulti chatti pad gayi, balkey hamare to naseeb hi phoot padey".
(Surah Waqi'ah Surah no. 56 Ayat no. 63-67)

"Aur tumhare liye mawaishiyo mein bhi ek sabaq mojood hai unke pait se gobar aur khoon k darmiyaan se hum ek cheez tumhe pilaate hai yaani k khalis doodh jo peene walo k liye nihayat khushgawaar hai".
(Surah Nahal Surah no. 16 Ayat no. 66)

"jab marne wale ki jaan halaq tak pahunch chuki hoti hai aur tum aankho se dekh rahe hote ho k wo marr raha hai, hum us waqt uske bahut qareeb hote hain lekin tum dekh nahi paate, ab agar tum kisi ke mahkoom nahi ho aur apne khayal me sacche ho toh us waqt uski nikalti hui jaan ko wapas kyu nhi le aatey?".
(Surah Waqi'ah Surah no. 56 Ayat no. 83-87)
 
Last edited:

Similar threads


Top