Tauheed-ul-Asmaa wa Sifaat se kya murad hai


Abdul Adil

Member
Tauheed-ul-Asmaa wa Sifaat se murad yeh hai ki ilaah ki tashreeh mein darj shudah tamaam sifaat e baari Ta'ala par eemaan laane ke saath Allah Ta'ala ki un sab sifaat ka bhi iqraar kiya jaye jin se Allah Ta'ala ne Qur'an Majeed mein apne aap ko mousoof kiya, masalan

Allah Ta'ala Arsh par mustawi hai

{Surah Taha Ayat Number - 5}

Allah Ta'ala ne Moosa Alaihissalam se kalam kiya

{Surah Taha Ayat Number - 14}

Allah Ta'alaa ne Aadam Alaihissalam ko apne haathon se banaya

{Surah Sa'ad Ayat Number - 75}


Ya jin sifaat ka zikr ahaadees e-Sahiha mein ho masalan

Allah Ta'ala aasmaan e dunya par nuzool farmata hai.

(Sahih Muslim)

Yeh tamaam sifaat uss kamaal ko pahunchi huyi hain jo sirf Allah Ta'ala hi ke laayeq hai kisi makhlooq ke sath Allah Ta'ala ki sifaat ko tashbih nahi di jaa sakti. Kyunki makhlooq khaaliq ki sifaat ki kaifiyat ko jaanne se qaasir hai.

Allah Ta'ala farmata hai 👇

ليس كمثله شي


(Kaaynaat ki) koi cheez uski misl nahi.

{Surah Shaora Aayat Number - 11}


Allah Ta'ala ki sifaat ko haqeeqat par mahmool karte huwe kisi taweel, kaifiyat, ta'teel aur tamseel ke baghair eeman laana tauheed ul Asmoa wa Sifaat hai.

Taweel:- Aayat wa Ahadees ke zaahiri ma'no ko doosre baatil ma'ne ki taraf pherna taweel kehlata hai, masalan Allah ke Arsh par mustawi hone ka matlab yeh bayaan kiya jaaye ki Allah Arsh par ghaalib hai. Aisi taweel karna jaayez nahin

Kaifiyat:- Allah Ta'ala ki sifaat ki kaifiyat bayaan karna jayeaz nahin. Kyunki uss kaifiyat ko Allah Ta'ala ke siwa koyi nahin jaanta.

Tamseel:- Tamseel se muroad yeh hai ki Allah ki sifaat ko makhlooq ki sifaat ke mushabeh qaraar diya jaye.

Masalan Allah ka Aasmaan-e-duniya par nuzool (utarne ko) hamaare nuzoool ki tarah mana jaye. Aisa maanna haraam hai

Ta'teel:- Allah Ta'ala ki sifaat ki nafi karna ta'teel hai.

Masalan Allah Ta'ala ko arsh par mustawi manne ke bajaye use bataur e zaat har jagah maujood samjha jaye. Aisa samajhna gumraahi hai.


Yaqeenan salaf-e-Saliheen Ya'ni Sahaba, tabeyeen, taba'e Tabeyeen aur aimma-e-kiram ka maslak hi haq hai ki Allah Ta'ala ki sifaat ke haqeeqi mo'ne par eemaan laakar baghair kisi taweel wa tamseel ke un sifaat ki kaifiyat ko Allah Ta'ala par chod dena chahiye


..........Asal Mazmoon..........

Tajdeed e emaan Aao Iman Ki Bate Kare Safa Number => 17-19
 

Similar threads


Top