Baal transplant karne ka hukm


Ibnatu Ali

Member
Baal transplant karne ka hukm

بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ​
Sar par baal lagwane ke liye operation karane ka hukm

Romanised By: Umar Asari

Kya mere liye sar ke baal lagwane ka operation karwana jaayez hai, yeh ilm mein rahe ki main ganjaa-pan ka shikar hun, aur kya yeh (wasl) baal milaane ki tarah haraam hai ya nahi?

Alhamdulillah:
Baal ugana yeh hai ki: Ek jagah se baal le kar usi shakhs ke sar mein laga diye jayen, aur is ka hukm jawaaz ka hai kiunki yeh aib door karne mein shaamil hota hai, na ki yeh Allah Taala ki takhleeq ko badalna hai.

Shaikh Mohammad bin Uthaimeen Rahimahullah se darj zail sawal kiya gaya:
Ganjey-pan ke shikar shakhs ko baal lagaye jaate hain, woh is tarah ki sar ke pichle hisse se baal le kar usay gunjay-pan waali jagah par sar mein laga diya jaata hai, to kya yeh amal jaayez hai?

Shaikh Rahimahullah ka jawab tha:
Ji haan yeh jaayez hai, kiunki yeh to Allah Taala ki paida ki hue cheez ko wapas laane, aur aib o nuqs door karne mein shaamil hota hai, na ki khoobsoorti ya Allah Taala ki takhleeq mein ziyadti mein shaamil hota hai, to is tarah yeh Allah Taala ki takhleeq mein tabdeeli mein shaamil nahi hota, yeh to nuqs (kamk) khatam karne, aur aib door karne mein shaamil hoga.

Aur Hadees mein warid teen (3) logon ka qissa koi bahut mash-hoor hai jis mein ek shakhs ganjaa bhi tha, aur Hadees mein hai us is ne kaha ki woh yeh pasand karta hai ki Allah Taala us ke baal wapas kar de, to farishte ne us ke sar par haath phera to Allah Taala ne us ke baal wapas kar diye, aur usay khoobsoorat aur achche baal de diye.
(Dekhen: Fatawa Ulama balad al Haram. Page No: 1185)

Jis hadees ki taraf Shaikh Rahimahullah ne jawab mein ishara kiya hai woh Hadees Imam Bukhari aur Imam Muslim Rahimahumallah Allah ne riwayat ki hai, dekhen Sahih Bukhari Hadees No: 3464 aur Sahih Muslim Hadees No: 2964.
Islamqa

والله أعلم بالصواب​
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Masail 0
Ibnatu Ali Masail 0

Similar threads


Top