NUZOOL-E-BAARI TA'LA HAQ HAI!


NUZOOL-E-BAARI TA'LA HAQ HAI!
Tahreer: AZAM MUBARAKI hafizahuah
(AL-HADIS Shumaarah No.76, page:49)
Roman Script : Abu Umaimah Owais

Al-Hamdulillahi Rabbil Aalameen Wassalato Wasallamu Ala Rasoolihil Kareem Wa Ala Aalihi Wa As'habihi Ajmayeen, Amma Ba'ad:

ALLAH TA'ALA ne farmaaya:
وَجَاءَ رَبُّكَ وَالْمَلَكُ صَفًّا صَفًّا
"Aur aayega tera RABB aur farishte saf dar saf."(Surah al-Fajr:22)

FIQHUL QURAN:
Syidina Abu Hurairah raziallahu-anhu se riwaayat hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya:

‏ يَنْزِلُ اللَّهُ إِلَى السَّمَاءِ الدُّنْيَا كُلَّ لَيْلَةٍ حِينَ يَمْضِي ثُلُثُ اللَّيْلِ الأَوَّلُ فَيَقُولُ أَنَا الْمَلِكُ أَنَا الْمَلِكُ مَنْ ذَا الَّذِي يَدْعُونِي فَأَسْتَجِيبَ لَهُ مَنْ ذَا الَّذِي يَسْأَلُنِي فَأُعْطِيَهُ مَنْ ذَا الَّذِي يَسْتَغْفِرُنِي فَأَغْفِرَ لَهُ فَلاَ يَزَالُ كَذَلِكَ حَتَّى يُضِيءَ الْفَجْرُ
"ALLAH TABARK O TA'ALA har raat ke pahle tahaayi hiss eke guzar naahe ke ba'ad aasmaan-e-dunya par naazil hota hai aur farmaata hai: main baadeshaah hon, main baadeshaah. Kon hai jo mujh se dua kare to mein is ki dua qobool karon, kon hai jo mujh se sawaal kare to mein is ko ataa karon, kon hai jo mujh se bakhshish talab kare to mein is ko muaaf kardon. Fajar ke tulo hone tak ALLAH TA'ALA isee tarah farmaata rahta hai."(Sahih Muslim:758, Darussalam No.1773)

Syidina Abu Hurairah raziallahu-anhu se riwaayat hai ke RASOOLULLAH sallallahu alaihi wasallam ne farmaaya:

يَجْمَعُ اللَّهُ النَّاسَ يَوْمَ الْقِيَامَةِ فَيَقُولُ مَنْ كَانَ يَعْبُدُ شَيْئًا فَلْيَتَّبِعْهُ‏.‏ فَيَتْبَعُ مَنْ كَانَ يَعْبُدُ الشَّمْسَ الشَّمْسَ، وَيَتْبَعُ مَنْ كَانَ يَعْبُدُ الْقَمَرَ الْقَمَرَ، وَيَتْبَعُ مَنْ كَانَ يَعْبُدُ الطَّوَاغِيتَ الطَّوَاغِيتَ، وَتَبْقَى هَذِهِ الأُمَّةُ فِيهَا شَافِعُوهَا ـ أَوْ مُنَافِقُوهَا شَكَّ إِبْرَاهِيمُ ـ فَيَأْتِيهِمُ اللَّهُ فَيَقُولُ أَنَا رَبُّكُمْ‏.‏ فَيَقُولُونَ هَذَا مَكَانُنَا حَتَّى يَأْتِيَنَا رَبُّنَا فَإِذَا جَاءَنَا رَبُّنَا عَرَفْنَاهُ
"Qyaamat ke din ALLAH TA'ALA logon ko jama karega aur farmaayega: tum mein jo koi jis ki ibaadat karta tha woh us ke piche lag jaaye. Chunancheh jo soraj ki ibaadat karta tha woh soraj ke piche lag jaayega, jo chaand ki ibaadat karta tha woh chaand ke piche lag jaayega aur jo taaghoton ki ibaadat karta tha woh in ke piche lag jayega. Phir ye Ummat baqi rah jaayegi is mien bade darje ke shafa'at karne wale bhi honge yaa munaafiq bhi honge[Ibrahim(raawi-e-hadis) ko in lafzon mien shak tha] phir ALLAH TA'ALA in ke paas aayega aur farmaayega ke mein tumhara RABB hon, woh jawaab deinge: hum isee muqaam par rahenge hatta ke hamara RABB aajayega. Pass jab hamara RABB aayega to hum usey pahchaan lenge…."(Sahih Bukhari:7437)

Mazkorah aayaat se malom howa ke ALLAH TA'ALA apni zaat ke saath har jagah maujod nahi hai balke who apne arsh par Mustawi hai jaisa ke Quran o Hadis aur ijmaa-e-salaf saliheen se saabit hai.
 
Top