Teesri Talaaq Ke Ahkaam


Teesri Talaaq Ke Ahkaam

Sheikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Islamic Dawah Center Taif KSA
Romanised By: Khadija Muhammadi

Islaam Me Talaaq Ka Nizaam Beshak Maujood Hai Jo Hamesha Se Gair Muslimon Ki Nazar Me Khatakta Raha Hai, Jadeed Zahan Ke Kuch Musalmaan Bhi Shak Aur Shubah Me Rehte Hain. Allaah Ka Qaanoon, Fitrat Ke Bilkul Mutaabiq Hai Aur Usme Insaan Hi Ki Bhalaai Hai, Is Par Hamara Imaan Hona Chaahiye. Qaanoon e Talaaq Bhi Insaani Fitrat Ke Mutaabiq Hai Chaahe Uski Hikmat Samajh Me Aaye Ya Na Aaye. Uska Hargiz Matlab Yah Nahi Hai Ke Talaaq Ka Ghalat Istemaal Kare. Baat Baat Par Biwi Ko Talaaq Ki Dhamki Dena, Mukhtalif Kaamo Ko Talaaq Se Jod Dena. Hamein Aurton Ke Baare Me Allaah Se Darna Chaahiye Aur Apne Ahl o Ayaal Ke Liye Behtareen Kirdaar Ada Karna Chaahiye.
Abdullaah Bin Abbas Radhiallahu Anhu Se Rivayat Hai Ke Rasoolullaah ﷺ Ne Farmaya:
خيركم خيركم لأهله وانا خيركم لأهلي​
Tarjumah: Tum Me Se Behtar Woh Hai Jo Apne Ghar Walon Ke Liye Behtar Ho Aur Tum Me Se Sab Se Behtar Apne Ghar Walon Se Husn e Suluk Karne Wala Main Khud Hun.
(Sunan Ibn e Majah: 1621)

Is Liye Mard Aur Aurat Doni Aapas Me Ek Dusre Ko Bardashat Karne Ki Koshish Karen Aur Jahan Tak Ho Sake Talaaq Ki Naubat Aane Se Bachen. Islaami Zaabata e Talaaq Ke Mutabiq Ek Aadmi Ko 3 Talaaq Ka Ikhtiyaar Mila Hai Jo Ek Majlis Me Teeno Nahi De Sakta Hai. Agar Ghalati Se Kisi Ne Ek Majlis Me 3 Talaaq De Bhi Diya To Ek Hi Hogi KuyKe Jis Tarah Insaan Ke Ikhtiyaar Me 4 Talaaq Nahi Hai Usi Tarah Uske Ikhtiyaar Me Ek Majlis Me 3 Talaaq Dene Ka Ikhtiyaar Bhi Nahi Hai. Jis Ne Apni Biwi Ko Pehle Ek Ek Kar Ke Do Talaaq De Di Ho Aur Us Ne Ab Teesri Talaaq Bhi De Di To Us Se Mutalliq Ahkaam Niche Zikar Kiye Jaate Hai.

Teesri Talaaq Ke Baad Rujoo:
Teesri Talaaq Ke Baad Mard Ko Rujoo’ Ka Haq Nahi Hota, Rujoo’ Sirf Pehli Aur Doosri Talaaq Par Hota Hai. Iski Daleel Allaah Ka Yah Farmaan Hai:
الطلاق مرتان فامساك بمعروف أو تسريح بأحسان​
Tarjumah: Talaaq (e Raja’ee) Do Martaba Hai Fir Do Talaqon Ke Baad Ya To Dustoor Ke Mutabiq Apni Biwi Ko Rukhsat Kar De.
(Surah Al Baqarah: 229)

TEESRI TALAQ AKI IDDAT:

Teesri Talaq Ke Baad Aurat Ki Iddat 3 Haiz Hai(Agar Hamala Nahi)Jaisa Ki Allaah Ka Farmaan Hai: والمطلقات يتربصن بانفسهن ثلاثة قروء.(بقرة:٢٢٨) Tarjumah: Aur Jin Aurto Ko Talaq Di Gai Ho Woh 3 Haiz Chaahe 3 Mahina Me Aae Ya Us Se Kam Aur Ziyadah Muddat Me,Atibaar Haiz Ka Hoga. Hamal Wali Aurat Ki Iddat Wazae Hamal Hai Allaah Ka Farmaan Hai:
واولات الاحمال اجلهن أن يضعن حملهن.(At Talaaq:4)
Tarjumah: Aur Hamila Aurto Ki Iddat Unke Wazae Hamal Hai. Jinhe Haiz Na Aata Ho Uski Iddat 3 Month Hai۔
Allaah Ka Farmaan Hai:
واللائي يئسن من المحيض من نسائكم إن ارتبتم فعدتهن ثلاثة أشهر واللائي لم يحضن. (SURAH AT TALAAQ:4)
Tarjumah: Tumhari Aurto Me Se Jo Aurte Haiz Se Na Ummid Ho Gai Ho Agar Tumhe Shuba Ho To Unki Iddat 3 Mahina Hai Aur Unki Bhi Jinhe Haiz Aana Shuru Hi Na Hua Ho.

IDDAT GUZAARNE KI JAGAH:
Teesri Talaaq Ki Iddat Aurat Apne Maike Me Guzaare Gi Kuy Ke Teesri Talaaq Ke Baad Aurat Ko Talaaq E Mugaliza Padh Jaati Hai Jis Ke Baad Mard Na Rujoo Kar Sakta Hai Aur Na Hi(Bagair Halalah Shariya Ke)Nikaah Kar Sakta Hai. Is Liye Is Iddat Me Aurat Naan Aur Nafqah Aur Sakni Ka Mustahiq Nahi(Siwaae Hamila Ki Ke Uske Liye Rahaaish Aur Nafqah Dono Hai.) Fatimah Bin Qais Se Manqool Hai Kehti Hai Ke Me Ne Kaha:
يا رسول الله! زوجي طلقني ثلاثا وأخاف أن يقتحم علي. قال: فأمرها فتحولت. (Muslim Sharif:1482)
Tarjumah: Ay Allaah Ke Rasool! Mere Khavind Ne Mujhe 3 Talaaqe De Di Hai(Yani Alag Alag) Mujhe Khatrah Hai Ke Koi Chor Uchakka Diwaar Na Phalang Ke Aae Lihaaza Aap Ne Mujhe Ijaazat De Di Aur Me Khaavind Ke Ghar Se Muntaqeel Ho Gai.

NAAN AUR NAFAQAH KA HUKAM:
Teesri Talaaq Ke Baad Jaise Sakani Ka Aurat Mustahiq Nahi Isi Tarah Nafqah Ka Bhi Mustahiq Nahi,Uski Daleel Yah Hadees Hai:
عن النبي صلى الله عليه وسلم، في المطلقة ثلاثا. قال ليس لها سكنى ولا نفقة. (Muslim Sharif:1480)
Tarjumah: Fatimah Bint Qais Se Manqool Hai Kehti Hai Ke Rasool SAV Ne Mutalliqa Salasa Ke Mutalliq Farmaya Hai: Iske Liye Na To Sakani (Rahaish)Hai Na Hi Nafaqah(Kharach) Hamal Wali Aurat Ka Nafaqah Wazae Hamal Tak Mard Ko Bardashat Karna Hoga۔
Allaah Ka Farmaan Hai:
وإن كن اولات حمل فانفقوا عليهن حتى يضعن حملهن.
Tarjumah:Aur Agar Woh Hamal Se Ho To Jab Tak Bachcha Paida Hole Unhe Kharach Dete Raha Karo.
Nafaqah Me Aurat Ki Rihaaish,Wilaadat Ka Kharcha,Khaane Pine Aur Pehnne Ka Kharcha,Dudh Pilane Ki Ujrat Aur Bachcha Ke Liye Dawa Wagairah Ka Kharcha Wazae Hamal Tak Mard Ke Zimma Hai.

AURAT KA MAAL:
Talaaq Ke Baad Aurat Ke Zaati Maal Me Se Ya Jo Mahar Ki Surat Me Ya Hadiyah Ki Shakal Me Use Diya Tha Usme Se Kuch Bhi Nahi Le Sakta Hai Allaah Ka Farmaan Hai:
الطلاق مرتان فامساك بمعروف أوتسريح بأحسان ولا يحل لكم أن تأخذوا مما آتيتموهن شيئا. (AL BAQARAH:229)
Tarjumah: Talaq E Rajai Do Martaba Hai Uske Baad Ya To Nek Niyyati Ke Saath Biwi Ko Roke Rakho,Ya Bhalaai Ke Saath Use Chod De Us Surat Me Tumhare Liye Halaal Nahi Ke Tum Ne Jo Kuch Unhe De Rakha Hai Usme Se Kuch Wapis Lo.
Yah To Us Mard Ka Mamla Hai Jis Ne Pehle Mahar Ki Adaaegi Kar Di Ho Aaj Kal Mahar Sirf Tay Kiya Jata Hai Ada Karne Ki Koshish Kam Hi Log Karte Hai Jab Ke Mahar Aurat Ka Haq Hai Use Jald Az Jald Ada Kar Dena Chaahiye. Talaaq Ki Naubat Aane Tak Jis Ne Mahar Ada Na Kiya Ho Woh Tay Shuda Mahar Ki Raqam Mukammal Ada Kare. Isi Tarah Jo Maal Aurat Ne Shohar Ko Bataure Qarz Diya Tha Chaahe Ghar Banane Me, Kuch Saman Wagairah Kharidne Me Use Bhi Lautana Wajib Hai Lekin Jo Maal Aurat Me Ayse Hi Khush Dili Se Diya Tha Uska Mutalba Karna Jaaiz Nahi Hai Albatta Mard Agar Chahe To Lauta Sakta Hai. Us Waqt Aurat Be Sahara Hone Ki Wajah Se Maal Ka Ziyadah Mohtaaj Hoti Hai.

MEERAAS:
Pehli Ya Dusri Talaaq Ki Iddat Ke Dauraan Agar Shohar Faut Ho Jaae To Aurat Shohar Ke Meeraas Ka Mustahiq Hogi Lekin Agar Teesri Talaaq (Baain)Ho Jaae To Uski Iddat Ya Baad Me Kabhi,Mard Ke Intiqaal Hone Se Meeraas Ka Mustahiq Nahi Hogi Kuy Ke Miya Biwi Ki Qarabat Khatam Ho Chuki Hai Jo Meeraas Ka Sabab Banti Hai.

AULAAD KI PARWARISH KA HAQDAAR:
Talaaq Ke Baad Aulaad Ki Parwarish Ka Mas'ala Paish Aata Hai Ke Uski Parwarish Ka Ziyadah Haqdaar Kon Hai? Islaam Me Aurat Ko Hi Bachche Ki Parwarish Ka Ziyadah Haq Mila Hai Lekin Aurat Iddat Guzaar Kar Kisi Aur Mard Se Dusri Shaadi Kar Le To Us Surat Me Bachche Ki Parwarish Ka Haqdaar Bachcho Ka Baap Hoga. Abdullaah Bin Amar RA Bayan Karte Hai:
ان امرأة قالت يا رسول الله إن ابني هذا كان بطني له وعاء وثديي له سقاء وحجري له حواء وإن اباه طلقني وأراد أن ينتزعه مني فقال لها رسول الله صلى الله عليه وسلم انت احق به ما لم تنكحي. (Abu Dawood:2276)
Tarjumah: Ek Aurat Ne Nabi SAV Ki Khidmat Me Arz Kiya Yah Mera Beta Hai Uske Wasate Mera Pet Bartan Tha Aur Us Ke Wasate Meri Chhati Mushak Thi Aur Meri God Uske Liye Khari Hui Rahi Uske Waalid Ne Mujh Ko Talaaq De Di Hai Aur Ab Woh Use Mujh Se Lene Ka Iradah Karta Hai Nabi SAV Ne Farmaya:To Uski Parwarish Karne Ki Ziyadah Haq Daar Hai Jab Tak Ke Tu Kisi Se Nikaah Na Kare.
Lekin Jab Bachcha Ba-Shaur Ho Jaae To Use Ikhtiyaar Hai Maa Baap Me Se Jise Ikhtiyaar Kare. Abu Maimoona Salmi Ka Bayan Hai Ke Ek Farsi Aurat Nabi SAV Ke Paas Aai Us Haal Me Ki Us Ke Shohar Ne Use Talaaq De Diya Tha Aur Miya Biwi Dono Bachche Ke Da'wedaar The To Nabi SAV Ne Bachche Se Kaha:
هذا ابوك وهذه امك فخذ بيد أيهما شئت فأخذ بيد امه فانطلقت به. (Abu Dawood: 2277)
Tarjumah: Yah Tere Waalid Hai Aur Yah Teri Walidah Hai To Dono Me Se Jis Ka Chaahe Haath Pakad Le Us Ladke Ne Apni Maa Ka Haath Pakad Liya Woh Usko Le Gai.
Bachcha Wilaadat Ke Baad Jaha Bhi Rahe Us Waqt Se Buloogat Tak Uska Kharach Baap Ke Zimma Hai Jo Us Aayat Se Pata Chalta Hai. Allaah Ka Farmaan Hai:
وعلى المولود رزقهن وكسوتهن بالمعروف لا تكلف نفس إلا وسعها لا تضار والدة بولدها ولا مولود له بولده وعلى الوارث مثل ذالك.(Al Baqarah:233)
Tarjumah: Aur Bachche Ke Baap Par Unka Khana Kapda Hai Dastoor Ke Muwafiq Kisi Shakhas Ko Uski Gunjaaish Se Ziyadah Takleef Na Di Jaae Gi Na Maa Ko Uske Bachche Ki Wajah Se Nuqsaan Diya Jaae Ga,Maa Baap Ko Uske Bachche Ki Wajah Se Aur(Agar Bachche Ka Baap Na Ho To Baap Ke)Waaris Par Aysa Hi(Khana,Kapda)Hai.

TEESRI TALAAQ KE BAAD NIKAAH:
Teesri Talaaq Dete Hi Aurat Mard Se Alag Ho Jaae Gi Ab Woh Aurat Us Mard Se Shadi Bhi Nahi Kar Sakti. Shadi Karne Ki Ek Surat Hai Uska Tariqah Yah Hai Ke Woh Aurat Dusre Mard Se Shaadi Kare(Yah Shaadi Ghar Basane Ki Niyyat Se Ho Na Ke Saazishi)Woh Mard Us Aurat De Jima Kar Le Aur Fir(Kisi Ke Kehne Se Nahi) Apni Marzi De Talaaq De De To Iddat Guzaar Kar Aurat Pehle Mard Se Shaadi Kar Sakti Hai. Allaah Ka Farmaan Hai.
فإن طلقها فلا تحل له من بعد حتى تنكح زوجا غيره فإن تلقها فلا جناح عليهما أن يتراجعا إن ظنا أن يقيما حدود الله وتلك حدود الله يبينها لقوم يعلمون. (Al Baqarah:230) Tarjumah:Fir Agar Usko (3ri Baar)Talaaq De De To Ab Uske Liye Halaal Nahi Jab Tak Ke Woh Aurat Uske Siwa Dusre Se Nikaah Na Kare,Fir Agar Woh Bhi Talaaq De De To Un Dobi Ko Mail Jhol Kar Lene Me Koi Gunaah Nahi Bashart Yah Jaan Le Ke Allaah Ki Hudood Ko Qaaim Rakh Saken Ge,Yah Allaah Ki Hudood Hai Jinhe Woh Janne Walo Ke Liye Bayan Farma Raha Hai.

TEESRI TALAAQ PAR MURAVVIJAH HALALAH:
Apne Smaaj Me 3 Talaq Ya 3ri Talaaq Par Halala Ka Yah Tariqah Raaij Hai Ke Kisi Qareebi Mard Se Ek Raat Ke Liye Mutalliqa Ki Shadi Kara Deta Hai Aur Subah Use Talaaq Dila Kar Pehle Mard Se Fir Se Shaadi Kara Deta Hai. Is Tariqah Se Aurat Apne Pehle Shohar Ke Liye Halaal Nahi Hogi Kuy Ke Sharai Halalah Huva Hi Nahi,Muravvijah Halalah Zina Hai Aur Isi Taraah Halalah Karne Karaane Walo Par Allaah Ki La'anat Hau Sharai Halalah Ka Tariqah Yah Hai Ke Aurat Ghar Basaane Ki Garaz Se Kisi Mard Se Shadi Kare Woh Mard Aurat Se Jim'a Bhi Kare Aur Agar Kabhi Talaaq Ki Naubat Aa Jaae To Yah Aurat Pehle Shohar Se Shaadi Kar Sakti Hai.

EK SAATH 3 TALAAQ KA HUKAM:
Yaha Yah Baat Bhi Waazeh Rahe Ke Jis. Aurat Ko Ek Lafz Me 3 Talaaq Di Gai Ya Ek Majlis Me 3 Talaaq Di Gai Ho Woh 3 Shumaar Nahi Hogi,Ek Hi Shumaar Hogi. Aysi Surat Se Mard 3 Haiz Ke Dauraan Rujoo Kar Sakta Hai,Agar Rujoo Ki Muddat(3 Haiz)Guzar Jaae To Naye Shadi Ke Zariya Fir Se Biwi Bana Sakta Hai.
 
Top