DEEN AUR ILAAH KA MAF'HOOM DURUST KEEJIYE


DEEN AUR ILAAH KA MAF'HOOM DURUST KEEJIYE

بسم الله الرحمن الرحيم

• Qur'aan toh Ijtemaa'ee zindagi mein "Deen" us rehen sehen ka tareeqah, ma'aashart kehta hai jo kisi qaum mein raayej ho, jis par uski ma'eeshat (rozgaari) aur tamaddun (samaaji zindagi) ustuwaar (ek usool aur zaabte par qaayem) ho. Ye agar Allaah ki Kitaab aur Uske Rasool (ﷺ) ki ta'leemaat par qaayem ho toh us qawm ka "Islaam" hai.

• Phir ILaah aur Ma'bood woh hai (Ya'ni ILaah ke Sifaat mein se ek sifat ye bhi hoti hai) jo Insaanon ke liye zindagi ke Zaabte banaaye. Rabb woh hai (Ya'ni Rabb ke Sifaat mein se ek sifat ye bhi hoti hai) jis se makhlooq ko Jaayez aur Naa Jaayez ke paimaane saadir hote hain.
أَمۡ لَهُمۡ شُرَكَـٰۤؤُا۟ شَرَعُوا۟ لَهُم مِّنَ ٱلدِّینِ مَا لَمۡ یَأۡذَنۢ بِهِ ٱللهُ
"Kya unke liye (Allaah ke siwa) shareek hain jinhone unke liye woh Deen muqarrar kiya hai jiska Allaah ne hukm nahin diya?" [1]

اتَّخَذُوا أَحْبَارَهُمْ وَرُهْبَانَهُمْ أَرْبَابًا مِّن دُونِ اللهِ وَالْمَسِيحَ ابْنَ مَرْيَمَ وَمَا أُمِرُوا إِلَّا لِيَعْبُدُوا إِلَٰهًا وَاحِدًا لَّا إِلَٰهَ إِلَّا هُوَ سُبْحَانَهُ عَمَّا يُشْرِكُونَ۔
"Un logon ne Allaah (تعالى) ko chhord kar apne Ahbaar ('Aalimon) aur Ruhbaan (Darweshon) ko Rabb banaaya hai aur isi tarah Maryam ke bete Maseeh ko (bhi) haalaanke unhein sirf ek akele Allaah hi ki ibaadat ka hukm diya gaya tha jiske siwa koi ma'bood e barhaqq nahin, Woh us Shirk se paak hai jo woh karte hain." [2]

Musnad Ahmad mein riwaayat hai ke 'Adi Bin Haatim (Raziyallaahu 'Anhu) ne, jo pehle Nasraani ('Eesaayi) the, bawaqt qubool e Islaam is amr ka inkaar kiya ke (Hum apne 'Aalimon aur Darweshon ki Ibaadat nahin karte the) toh Rasool Allaah (ﷺ) ne unko ye jawaab diya tha:
بَلَى إِنَّهُمْ حَرَّمُوا عَلَيْهِمُ الْحَلَالَ وَأَحَلُّوا لَهُمُ الْحَرَامَ فَاتَّبَعُوهُمْ فَذَلِكَ عِبَادَتُهُمْ إِيَّاهُمْ
"Kyun nahin! Woh unpar Halaal ko Haraam karte aur Haraam ko Halaal karte toh woh tasleem karlete the. Ye unki Ibaadat hi toh hai." [3]

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ)

_____________

References:


[1] Soorah No. 42, Al-Shooraa, Aayah: 21.

[2] Soorah No. 9, Al-Tawbah, Aayah: 31.

[3] Tafseer Ibn Kaseer, Al-Tawbah, Aayah: 31.
 
Last edited:

Similar threads


Top