Ulta Paida Hone Waale Bachche Ke Mutalliq Ghalat Aqeedah


Umar Asari

Administrator
Staff member
Ulta Paida Hone Waale Bachche Ke Mutalliq Ghalat Aqeedah

Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Logon mein khaas taur se aurton mein yeh aqeedah paaya jaata hai ke jo maa ke pait se ulta paida ho yani paidaish ke waqt jis ka pair pehle nikle woh kisi mareez ko paon se touch kar de to woh theek ho jaata hai. Logon ka aam ta’assur yeh hai ke haqeeqat mein aisa hota hai.

Is aqeede ko jab hum Quran o Sunnat ki kasoti pe parkhte hain to pata chalta hai ke yeh fasid aqeedah hai. Chunancha Allah Taala ne Ibrahim Alaihissalam ki zabani Quran mein irshad farmaya:
وَإِذَا مَرِضْتُ فَهُوَ يَشفِيْنِ​
Tarjumah: Aur jab main bemaar ho jata hun to wahi Allah mujh ko shifa deta hai.
(Surah Ash-Shu’ara, Surah No: 26 Ayat No: 80)

Is se bhi wazeh andaaz mein Allah ne yeh faisla suna diya ke jise log nafa aur nuqsaan ka maalik samajhte hain woh khud ke liye bhi nuqsaan ko door karne aur nafa ko hasil karne ka zarra barabar bhi ikhtiyar nahi rakhte to doosron ka kya kar sakte hain?

Allah Taala ka farmaan hai:
قُلْ مَنْ رَبُّ السَّمَاوَاتِ وَالْأَرْضِ قُلِ اللَّهُ قُلْ أَفَاتَّخَذْتُمْ مِنْ دُونِهِ أَوْلِيَاءَ لَا يَمْلِكُونَ لِأَنْفُسِهِمْ نَفْعًا وَلَا ضَرًّا​
Tarjumah: Aap poochye ke asmaano aur zameen ka parwardigaar kon hai? Keh dijiye! Allah. Keh dijiye! Kya tum phir bhi us ke siwa auron ko himayati bana rahe ho jo khud apni jaan ke bhi bhale bure ka ikhtiyar nahi rakhte.
(Surah Ar-Ra’d, Surah No: 13 Ayat No: 16)

Is se barh kar aur kya chahiye ke baadshahon ke baadshaah (yani Allah) ne akhiri Nabi Mohammad Sallallahu Alaihi Wasallam ko mukhatab kar ke farmaya ki aap ke ikhtiyar mein bhi kuch nahi.
Allah Taala ka farmaan hai:
لَيْسَ لَكَ مِنَ الْأَمْرِ شَيْءٌ​
Tarjumah: (Aye paighambar!) Aap ke ikhtiyar mein kuch nahi.
(Surah Aal e Imran, Surah No: 3 Ayat No: 128)

Is silsile mein bahut si Ahadees bhi hain. Ek hi hadees kaafi ho jayegi.
Sahihain ki riwayat hai ke Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke paas koi bemari ki shikayat leker aata to aap dayen haath (right hand) se usay choote (touch karte) aur yeh dua parhte:
اللَّهُمَّ ربَّ النَّاسِ، أَذْهِب الْبَأسَ، واشْفِ، أَنْتَ الشَّافي لا شِفَاءَ إِلاَّ شِفَاؤُكَ، شِفاءً لا يُغَادِرُ سقَماً​
Tarjumah: Aye logon ke parwadigaar! Takleef ko door kar de aur shifa de, tu hi shifa dene waala hai, teri hi shifa shifa hai, aisi shifa de jo marz (bemaari) ko na chore.
(Sahih Bukhari: 5750 and Sahih Muslim: 2191)

Is liye musalman ko bemari ke waqt sahih ilaaj karana chahiye aur Allah par bharosa rakhte huwe usi se shifa ki ummeed rakhni chahiye.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Umar Asari Social Media Ki Ghalatfehmiyan 0

Top