Usool-e-Hadees


Ibnatu Ali

Member
Usool-e-Hadees

Muqallidon ka yeh ek dawa hai ke agar Da’eef hadith ko Radd karna hai to fir Muhadditheen ne apnj kitaabon me kyun Da’eef hadithein darj ki hai?

Aaiye dekte hain ki iske peeche Muhadditheen ka kya maqsad hai.

[Taken from the magnificent work of Shykah. ZUBAIR ALI ZAI [Rahimahullah] from his tahqiq of the book Fadal as-Salat an-Nabi of Imam Ismaieel bin Ishaq Qadhi page 151 and Ilmi Maqalaat]

A) IMAM AHMAD AND IBN MAEEN :
وحكى الخليلي في الإرشاد بسند صحيح أن أحمد قال ليحيى بن معين وهو يكتب عن عبد الرزاق عن معمر عن أبان نسخة: تكتب هذه وأنت تعلم أن أبان كذاب فقال يرحمك الله يا أبا عبد الله, أكتبها وأحفظها حتى إذا جاء كذاب يرويها عن معمر عن ثابت عن أنس أقول له كذبت، إنما هو أبان​
Khaleeli Rahimahullah “ AL IRSHAD ” me SAHIH SANAD Ke Rivayat karte hain ke:
Imam Ahmed [Rahimahullah] Imam Ibn Ma’een [Rahimahullah] se kehte hain jis waqt woh ek Nuskhah An Abdur Razaq-An Ma’mar- An Abaan likh rahe they:
“ Ap yeh Nukshah likh rahe hain jabki aap jaante hain ABAAN kazzaab hai?

To ispar Ibn Ma’een [Rahimahullah] ne kaha ki....
“ ALLAH ki rahmat ho aap par ! Aye Abu Abdullah, Main yeh likh raha hun aur yaad kar raha hun, To jab kabhi koi kazzaab shakhs aakar is SANAD, An Ma’mar-An Sabit-An Anas se rivayat karega to mai kah sakta hu ke Tum jhoot bol rahe ho. Yeh Abaan hai Saabit nahi.
[TAHDHEEB UT TAHDHEEB 1/101 QUOTE TRANSLATED BY ABDUL RAHEEM SALAFI]

B) AL HAFIZ IBN E HAJAR ASQALANI [RAHIMAHULLAH] :
بل أكثر المحدثين في الأعصار الماضية من سنة مائتين وهلم جراً إذا ساقوا الحديث بإسناده اعتقدوا أنهم برئوا من عهدته​
Asal me, Bahut saare Muhadditheen 200 Hijri ke baad Hadithon ko SANADon ke saath
zikr kiya hai aur unke mutaabik wo is ilzaamat se bari hai.
[LISAN AL MEEZAN UNDER THE TARJUMAH OF SULEMAN BIN AHMAD BIN AYYUB TABRANI 3/75]

C) SAKHAWI [RAHIMAHULLAH] :
Jyadatar Muhadditheen unme Kh’askar Tabrani, Abu Nueem aur Ibn E Mundah ne Hadithon ko Sanadon ke saath Rivayat kiye hai, Sanadon ko rivayat karne ke baad unki kfayat thi ke wo wo is ilzaamat se bari hai.
[FATH UL MUGHEES SHARAH AL FIYYATUL HADEETH VOL 1 PAGE 254]

D) SHAYKH UL ISLAM IBNE TAMIYAH [RAHIMAHULLAH] :
(Abu Nuyeem) aur unke jaise muhadditheen ne ek Kh’as mauzu par Hadithe Rivayat kiye hai [ Koi baat nahi SAHEEH ya DA’EEF ], taaki logonko hadith ke baareme pata chale ke ham unse Daleele [ Da’eef rivayatonse ] nahi lete.

[MINHAJ US SUNNAH VOL # 4 PAGE # 15]

E) SHAYKH ZUBAIR ALI ZAI [RAHIMAHULLAH] :

Sahihyn, SAHEEH AL BUKHARI AUR SAHEEH AL MUSLIM ke siwa poore kitaabe jaise Imam Al Bukhair Rah. Ke Al Adab Wal Mufrad aur Musnad Ahmad wagairah me Da’eef hadithe Maujood hai. Aur Muhadditheen isse Bari hai.

Wo log kabhi Rivayat DALEEL lene ke taur par nahi kiye hai magar Muarifat ke liye kiye hai.

[AL HADITH NO : 68 PAGE 50]
(END QUOTE FROM THE WORK OF SHAYKH ZUBAIR]

F) SHAYKH HAITHAM HAMDAN [RAHIMAHULLAH] MULTAQA FORUM ME FARMATE HAI KE :

1. Agar Da’eef Hadith nahi hothi, tho koi bhi Hasan li Ghayrihi’s hadith nahi hothi.

2. Agar Da’eef Hadith nahi hothi, Taalib E Ilm [ Students ] kabhi Hadithonke Darje aur ya Kisme yeh nahi seekhpaaye.

3. Muhadditheen ne rivayat ki hai kyunki Rivayat me Urwadonki kamzori batane k liye.

4. Muhadditheen ne Da’eef hadithonko rivayat kiya kyunki doosre rivayatonko SAHARA mile, nataake Qayem hojaaye.

5. Muhadditheen Da’eef hadith rivayat kiye hai kyunki wo log ko pata tha ke Kaunsi Hadith Motabar hai aur kaunsi Da’eef, jaise ke Al-Thawri ne ek Da’eef Ravi Al-Kalbi se rivayat karte hai ke..” Muje pata hai ke wo kahase Sach kahraha hai “

6. Muhadditheen ne Da’eef rivayt nakl kiye hai khyunke wo log ko pata tha ke Falan Ravi Da’eef nahi hai.

7. Muhadditheen ne Da’eef rivayt nakl kiye hai kyunki sabko pata chale ke Falan Ravi ne Galti ki hai.

8. Muhadditheen ne Da’eef rivayt nakl kiye hai kyunki Ravi Da’eef hai magar Ek motabar pahlu ke zariyese jaise walid se rivayat karraha hai batane k liye.

9. Da’eef rivayat shayad doosre Motabar Sanad ke sath bhi rivayat hothi ho magar Motabar Sanad badi (Naazil) hothi hai, tho Musannif [ Author ] chote daeef sanad (Aali) se kaafi karte hai.

10. Muhadditheen apne kitaabo me Da’eef hadithe rivayat kiye hai aur fir da’eef hadithonko bayan karneka maqsad zaahir kiya hai jaise Malik, magar pahle wafat pagaye, jaise Hakim aur Bayhaqi [ Akri Hisseke inke kitaaben Pahle hisse se bhi kaafi Da’eef hai. ].

11. Musannif [ Author ] da’eef hadith ke baareme bekhabar the jab wo bayan karrahe the..

12. Kyunki kuch log Hadith me jyada alfaaz ka izaafa kiya Jo darasal Haqiqatan Muhadditheen ke kitaabome aisa kuch nahi milega, jaise Musnad e Imam Ahmed, wo asalme chahte the ke ek shaks ki saare Rivayaten ek jagah jama Karen.

13. Kuch Ulamaone Da’eef hadith ko Be-Usool aur Ba-Khaidah se hatke bayan karne ki Ijaazat di hai.
[ SIrf Bayan karne ko, AML karne par nahi ]

14. Aur Akir me, Mizzi farmate hai ke :

Ibn Ma’een Rah. Farmaya ke : Ham Jhootonke Da’eef hadithe likhte hai kyunki un kagazse ham aag lagakar tazi roti banate hai.

[ (31/557, TATHEEB AL-KAMAAL ]

-----------------

By : Nadeem Shaikh

Source : https://thewayofsalafiyyah.wordpress.com/2015/11/29/kyun-muhadaseen-unki-kitabon-me-daeef-hadees-rivayat-kiya-hy/#more-2091
 

Top