Shona shaikh

Active member
بِسْمِ اللَّهِ الرَّحْمَٰنِ الرَّحِيمِ

Kya Sahaba Ne Milaad Manaya?




Tehreer: Shaikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Romanised By: Umar Asari

Milaad manane waale yeh daleel paish karte hain ke Hazrat Abbas Radhiallahu Anhu ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki shaan mein ta’reefi kalimaat kahe hain.
Hazrat Abbas Radhiallahu Anhu ki taraf mansoob qaseeda yeh hai:
مِنْ قَبْلَهَا طِبْتَ فِي الظِّلالِ وَفِي مُسْتَوْدَعٍ حَيْثُ يُخْصَفُ الْوَرَقُ
ثُمَّ هَبَطْتَ الْبِلادَ لا بَشَرٌ أَنْتَ وَلا مُضْغَةٌ وَلا عَلَقُ
بَلْ نُطْفَةٌ تَرْكَبُ السَّفِينَ وَقَدْ أَلْجِمَ نِسْرًا وَأَهْلَهُ الْغَرَقُ
تُنْقَلُ مِنْ صَالِبٍ إِلَى رَحِمٍ إِذَا مَضَى عَلَمٌ بَدَا طَبَقُ
حَتَّى احْتَوَى بَيْتَكَ الْمُهَيْمِنُ مِنْ خِنْدِفِ عَلْيَاءَ تَحْتَهَا النُّطُقُ
وَأَنْتَ لَمَّا وُلِدْتَ أَشْرَقَتْ الأَرْضُ وَضَاءَتْ بِنُورِكَ الأُفُقُ
فَنَحْنُ فِي ذَلِكَ الضِّيَاءِ وَفِي النُّورِ وَسُبُلُ الرَّشَادِ نَخْتَرِقُ​

Yeh Hassan bin saabit Radhiallahu Anhu ki taraf bhi mansoob kiya jaata hai.
Isay Imam Hakim (3/326) aur Tabarani ne Al-Mo’jam Al-Kabeer (4/213) mein riwayat kiya hai magar yeh riwayat Munkar hai.
Agar isay sahih maan bhi lete hain to bhi is se milaad manane ka koi saboot nahi milta kiunki
* Hazrat Abbas Radhiallahu Anhu ne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki ta’reef ki hai is ka Eid Milaad ki mehfhil aur us ki bidaat se koi talluq nahi. Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ki ta’reef to poori duniya karti hai aur karti rahegi.
* Melaadi hazraat neeche zikr kiye jaa rahe aamaal ki daleel kahan se layenge woh bhi khaas 12 Rabi ul Awwal ke din.
Roza e Rasool ki shabeeh banana, shirkiya na’tein padhna, majlis ke aakhir mein qiyam is aqeedat ke tehat karna ke Nabi Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam majlis mein khud haazir hote hain, (Nauzubillah), sheereeni taqseem karna, deegein pakana, darwaze aur pahadiyan banana, imaarton par charaghan karna, jhandiyan lagana, un par Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ki na’lein shareefain ki tasweer banana, makhsoos libaas pehnana, tasweerein utaarna, raqs o wajd ka ehtimaam karna, shab bedaari karna, ijtimai nawafil, ijtimai roze, ijtimai Quran khawani, aurton aur mardon ka ikhtilaat, naujawan ladkon ka juloos mein shirkat karna aur aurton ka un ko dekhna, aatish baazi, chiraagh le kar juloos nikalna, jo ke Isaiyon ka wateera hai, gaane bajane, be-hayai aur bad-kirdari, fisq o fujoor, dikhawa aur riyakaari, manghadat qisse, kahaniyon aur jhooti riwayaat ka bayan, Nabiyon, Farishton aur Sahaba e Kiraam ke baare mein shirkiya aur kufriya aqeede ka izhaar, qawwali, khel kood, maal o doulat aur waqt ki barbaadi waghera, balki ab to in programs mein bad-amni, ladaayi jhagde tak naubat pohanch jaati hai.
* Aise aamaal ko Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam aur Sahaba e Kiraam ki taraf mansoob karne wala bidati fasiq o fajir kehlayega.
* In ke bade to kehte hain ke Milaad baad ki ijaad hai to phir Sahaba ne kaise manayi?
Barelwi Mufti Ahmed Yaar Khan Naeemi likhte hain ke Milaad ki bidat sab se pehle Arbil ke badshah Malik Muzaffar ne ijaad ki. (Jaa-al-Haq)
* Isi tarah Jamia Naeemia Lahore ke ek aur Barelwi Mufti Ghulam Rasool Saeedi bhi yeh baat maante hain ke Milaad manana Sahaba e Kiraam se saabit nahi.
Kul mila kar yahi saabit hota hai ke Eid Milaad ek nai ijaad bidat hai, pait parast molvi lazeez khaano se lutf andooz hone ki gharz se ulti seedhi daleel de kar seedhe saade logon ko gumraah kar raha hain.
Allah Taala Ummat e Muslimah ko Sunnat e Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam ki itteba aur pairwi ki toufeeq farmate huwe unhein har qism ke shirk o bidaat se mehfooz farmaye. Aameeen.
 
Last edited:

Similar threads


Top