ALLAAH SIRF EEMAAN WAALON SE HI MUHABBAT KARTA HAI


ALLAAH SIRF EEMAAN WAALON SE HI MUHABBAT KARTA HAI

بسم الله الرحمن الرحيم
• Farmaan e ILaahi hai:

قُلْ أَطِيعُوا اللهَ وَالرَّسُولَ ۖ فَإِن تَوَلَّوْا فَإِنَّ اللَّهَ لَا يُحِبُّ الْكَافِرِينَ

"Keh deejiye! ke Allaah (تعالى) aur Rasool ki itaa'at karo, agar ye munh pheyrlein toh Beshak Allaah (تعالى) Kaafiron se Muhabbat nahin karta." [1]

• Rasool Allaah (ﷺ) ne farmaaya:

لَوْ كَانَتِ الدُّنْيَا تَعْدِلُ عِنْدَ اللَّهِ جَنَاحَ بَعُوضَةٍ مَا سَقَى كَافِرًا مِنْهَا شَرْبَةَ مَاءٍ

"Agar Allaah ke nazdeek Dunya ki qadar (wa qeemat) Machchar ke parr ke baraabar bhi hoti toh kisi Kaafir ko us se Ek qatrah Paani (ki boond) bhi na pilaata." [2]

FAWAAYED: Is Hadees ka maf'hoom ye hai ke Allaah (تعالیٰ) ke nazdeek Dunya ki koi qadar wa qeemat nahin hai balke haqeer se haqeer cheez hai, uski haqaarat ki daleel ye hai ke agar Allaah ke nazdeek Dunya ki koi qadar wa qeemat hoti toh usey sirf apne mehboob Bandon ko nawaazta, jab ke haal ye hai ke usey apne Dushmanon Ya'ni Kuffaar aur Mushrikeen ko deta hai, Ye mumkin hi nahin hai ke dene waala apne Dusmano ko woh cheez dey jo us ke nazdeek qadar wa qeemat waali ho, Kaafiron ko Jannat ki Ek choti si Ni'mat se isi liye mehroom rakha gaya hai kyunke Jannat Allaah ke mehboob Bandon ke liye hai, na ke Uske Dushmanon ke liye.

ولله الحمد والمنة وهو أعلم

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah (عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)

_____________

References:


[1] Soorah No. 3, Aal 'Imraan, Aayah: 32.

[2] Jaami’ Al-Tirmizi, Hadees [Hasan]: 2320; Sunan Ibn Maajah: 4110 [Shawaahid: Saheeh].
 

Similar threads


Top