Valentine's Day Behayayi or Besharmi ka Festival


❌ VALENTINE'S DAY ❌

Behayayi or Besharmi ka Festival

Valentine's Day manana ALLAH ke Azaab ko Dawat dena hai.

Allah Taala Farmaate hain :

إِنَّ الَّذِينَ يُحِبُّونَ أَن تَشِيعَ الْفَاحِشَةُ فِي الَّذِينَ آمَنُوا لَهُمْ عَذَابٌ أَلِيمٌ فِي الدُّنْيَا وَالْآخِرَةِ ۚ

Jo Log ye Chahte hain ki Musalmaano (Momino) mein Behayayi Phaile, Unke liye Duniya aur Akhirat mein Dardnaak Azaab hai.

[Surah Noor 24 Aayat: 19]

Hum sab Jaante hain ki Valentine's Day Yahood-o-Nasara ka amal hai, Allah ke Rasool Sallallaho Alaihe Wasallam ne Kabhi iski Taleem nahi diya, Phir bhi Kuch Na-Samajh Musalmaan Yahood-o-Nasara ki Nakal karte huye Valentine's Day Manate hain

Jiske baare me Rasoolullah ﷺ ne Farmaaya :

مَنْ تَشَبَّهَ بِقَوْمٍ فَهُوَ مِنْهُمْ

Jisne jis Qaum (Religion) ke Tarike ko ikhteyaar kiya, Wo unhi me se hoga.

[Abu Dawood 4031]

Quran mein Allah Taala ye bhi Farmaate hain :

الْخَبِيثَاتُ لِلْخَبِيثِينَ وَالْخَبِيثُونَ لِلْخَبِيثَاتِ ۖ وَالطَّيِّبَاتُ لِلطَّيِّبِينَ وَالطَّيِّبُونَ لِلطَّيِّبَاتِ

Khabees ( Yaani Na-Paak) Auraten Khabees Mardo ke liye hain aur Khabees Mard Khabees Auraton ke liye hain, aur Pakiza Auraten Pakiza Mardo ke liye hain aur Pakiza Mard Pakiza Auraton ke liye hain.

[Surah Noor 24 Aayat :26]

Bahut se log ye bhi kahte hain ki Duniya me itne saare log manate hain, kya itne saare log Galat hain ?

Jabki Allah Ne Quran me Saaf Saaf farmaya diya hai :

وَإِن تُطِعْ أَكْثَرَ مَن فِي الْأَرْضِ يُضِلُّوكَ عَن سَبِيلِ اللَّهِ

"Aksar log jo Zameen par abaad hain wo GUMRAH hain, Agar tum Unka kaha maan loge to wo tumhe Allah ka Raasta Bhula denge."

[Surah Anaam 06 Ayat: 116]

Isliye Musalmaano se guzarish hai ki Besharmi aur Behayayi ke is Festival ko Celebrate na karen Aur Apne aapko Azaab-e-Elaahi se bachayen.

Gair Meheram ko ap chhu nhi skte uske sath zina karna kaisa hoga?

Allah Subhanahu wa TA'ALA hume hidayat de deen ki samjh ata kare aur humare dil ko Deen e islam ke taraf pher de Aameen.


WARNING

وَلَا تَقْرَبُوا الزِّنَا ۖ إِنَّهُ كَانَ فَاحِشَةً وَسَاءَ سَبِيلًا


"Khabardaar ZINA ke qareeb bhi na jana, kyu ke wo badi be-hayaayi hai aur bahuth hee buri raah hai."

[Surah israh 17 : 32]

ALLAH SUBHANAHU WA TA'ALA HUME HAR US AMAL SE BACHAYE JISSE HUM JAHANNAM KE QARIB HO JATE HAI AUR ALLAH SE DUR.

AAMEEN
 
Top