Imam mehdi ka khurooj kab hoga


Umar Asari

Administrator
Staff member
Imam mehdi ka khurooj kab hoga

✵Sawaal:✵
Kya Imam Mehdi Ka zikr Quran me hai ya Sirf hadees me hai.
Imaam mehdi ka kab nuzool hoga. Iski wajahat kar dijiye.

✪Jawaab:✪
➊ Pehli baat: Musalmaan ko is baat ka ilm hona zaroori aur waajib hai ke ittebaa' aur dalaail lene ke aitbaar se Kitaab o Sunnat ek hi darje mein hain to Kitaab o Sunnat dono hi Allah Taala ki taraf se wahi hain aur un ki ittebaa' waajib hai.
Allah Taala ne apne Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ke mutalliq irshaad farmaaya:
وَمَا يَنْطِقُ عَنِ الْهَوَىٰ۞ إِنْ هُوَ إِلَّا وَحْيٌ يُوحَىٰ​
Tarjumah: Aur na woh apni khwaahish se koi baat kehte hain. Woh to sirf Wahi hai jo utari jaati hai.
(Surah An-Najm, Surah No: 53 Ayat No: 3-4)

Hazrat Miqdaam bin Ma'deekarib Radhiallahu Anhu bayaan karte hain ki RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ne farmaaya:
أَلَا إِنِّي أُوتِيتُ الْكِتَابَ وَمِثْلَهُ مَعَهُ، ‏‏‏‏‏‏أَلَا يُوشِكُ رَجُلٌ شَبْعَانُ عَلَى أَرِيكَتِهِ، ‏‏‏‏‏‏يَقُولُ:‏‏‏‏ عَلَيْكُمْ بِهَذَا الْقُرْآنِ فَمَا وَجَدْتُمْ فِيهِ مِنْ حَلَالٍ فَأَحِلُّوهُ وَمَا وَجَدْتُمْ فِيهِ مِنْ حَرَامٍ فَحَرِّمُوهُ​
Tarjumah: “Suno, mujhe kitaab (Quran) di gayi hai aur us ke saath usi ke misl ek aur cheez bhi (yani Sunnat), qareeb hai ke ek aasoodah aadmi apne takht par tek lagaaye huwe kahe: Is Quran ko laazim pakdo, jo kuch tum is mein halaal paao usi ko halaal samjho, aur jo is mein haraam paao, usi ko haraam samjho.
(Abu Dawood: 4604)
❗Allama Albani Rahimahullah ne is Hadees ko Sahih kaha hai.

➋ Doosri baat: Allah Taala ne mustaqil taur par ita'at e Rasool ka hukm diya hai. farmaan e baari Taala hai:
يَا أَيُّهَا الَّذِينَ آمَنُوا أَطِيعُوا اللَّهَ وَأَطِيعُوا الرَّسُولَ وَأُولِي الْأَمْرِ مِنْكُمْ​
Tarjumah: Aye imaan walo! Farmanbardari karo Allah Taala ki aur farmanbardari karo Rasool (Sallallahu Alaihi Wasallam) ki aur tum mein se ikhtiyaar walon ki.
(Surah An-Nisa, Surah No: 4 Ayat No: 59)

Aur Irshaad e Rabbaani hai:
وَمَا آتَاكُمُ الرَّسُولُ فَخُذُوهُ وَمَا نَهَاكُمْ عَنْهُ فَانْتَهُوا​
Tarjumah: Aur tumhein jo kuch Rasool de le lo aur jis se roke ruk jaao.
(Surah Al-Hashr, Surah No: 59 Ayat No: 7)

➌ Teesri baat: Quran o Sunnat mein Imam Mehdi ke nikalne ke waqt ki ta'een aur tehdeed nahi ki gayi itna bayan kiya gaya hai ke woh aakhiri zamaane mein aayenge lekin kuch aisi cheezein hain jin par tambeeh zaroori hai:
Imam Mehdi ka khurooj qayamat e sughra ki aakhiri nishaaniyon mein se hai.

Bahut se logon ne apni shakhsi gharzon ko poora karne ke liye aur apne baatil aur gumraah aqaaid ko phailaane ke liye Imam Mehdi ke khurooj ka dawa kiya hai. Masalan Qaadyaani, Shia aur Bahaai aur doosre munharif firqe. To baaz mutaakhkhireen (aakhir mein aane waalon) ne Imam Mehdi waali Ahadees ka ya to inkaar kiya aur ya phir un ki taweel ki hai ke is se muraad aakhiri zamaane mein Esa bin Maryam Alaihissalam ka nuzool hai aur baaz ne ek Marfoo' Hadees se istedlaal kiya hai ki “Esa bin Maryam Alaihissalam ke alawah koi Mehdi nahi” lekin woh Hadees Za'eef hai aur Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam se sahih saabit nahi hai.

Bahut se ulama e kiraam ne Imam Mehdi ke khurooj ke isbaat par kitaabein likhi hain aur use musalmaan ka aqeedah qaraar diya hai un mein Hafiz Abu Nu'aim, Abu Dawood, Abi Kaseer, Imam Sakhawi aur Imam Shaukaani Rahimahumullah shaamil hain.

Hadees mein yeh saabit hai ke Imam Mehdi Esa bin Maryam Alaihissalam ke saath jama honge aur Esa Alaihissalam un ke peeche namaz padhenge. Jabir bin Abdullah Radhiallahu Anhuma farmaate hain ki main ne RasoolAllah Sallallahu Alaihi Wasallam ko farmaate huwe suna:
لَا تَزَالُ طَائِفَةٌ مِنْ أُمَّتِي يُقَاتِلُونَ عَلَى الْحَقِّ ظَاهِرِينَ إِلَى يَوْمِ الْقِيَامَةِ. قَالَ: فَيَنْزِلُ عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَيَقُولُ أَمِيرُهُمْ: تَعَالَ صَلِّ لَنَا، فَيَقُولُ: لَا، إِنَّ بَعْضَكُمْ عَلَى بَعْضٍ أُمَرَاءُ، تَكْرِمَةَ اللَّهِ هَذِهِ الْأُمَّةَ​
Tarjumah: Meri ummat ka ek giroh musalsal haqq par (qaayem rehte huwe) ladta rahega, woh qayamat ke din tak (jis bhi ma'arke mein hoga) ghaalib rahege, Kaha: Phir Esa Ibn e Maryam Alaihissalam utrenge to us taifah (giroh) ka ameer kahega: Aayen hamein namaz padhayen, is par Esa Alaihissalam jawaab denge: Nahi, Allah ki taraf se is ummat ko bakhshi gayi izzat o sharf ki bina par tum hi ek doosre par ameer ho.
(Sahih Muslim: 156)

To is Hadees mein mazkoor ameer woh imam Mehdi hain. Is ki saraahat Abu Nu'aim aur Haaris bin Usama ki hadees mein in alfaaz ke saath aayi hai (To un ke ameer Mehdi kahenge) Ibn e Qayyim farmaate hain ke is ki sanad Jayyid hai.

Musalmaan par yeh zaroori hai ke woh Imam Mehdi ka intezaar na karta phire balke woh a’maal e saaliha karne ki koshish kare aur deen e Islam ko phailaane mein madad o ta'aawun kare aur jo bhi ho sake deen ki khidmat ke liye pesh kar de aur Imam Mehdi waghera ke khurooj par aitemaad na karta rahe balke woh apne aap aur apne kunbe qabeele aur ird gird ke logon ki islaah kare to agar is haalat mein use maut aa jaaye to woh mazoor hai.
⁌Taken From Islamqa⁍

واللہ اعلم بالصواب​
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Ibnatu Ali Emaan 0

Similar threads


Top