JANNAT MEIN JANNATIYO KI UMAR 30 YA 33 BARAS KI HOGI


Salafiyyah

New member
JANNAT MEIN JANNATIYO KI UMAR 30 YA 33 BARAS KI HOGI

Shiekh Muhammad Saalih Al Munajjid
Alhumdulilah: Jannat mein jannati mukammal khobsoorti aur jamal ke sath daakhil honge, aur unki shakl apne baap Aadam Alaihissalam par hogi jinhein Allah taala ney apne hath se paida farmaya aur unki takhleeq mukammal aur khoobsurat tasweer banai, to har ek jannati Aadam Alaihissalam ki soorat aur khilqat par hoga.
Abu Hurairah razi Allah taala anho bayan karte hain ki Nabi Sallallahu alaihe wasalam ney farmaya: (Allah azza wajal ney ibn e Aadam ko apni soorat par paida farmaya unki lambai saat(60)haath thi. .. toh jo bhi jannat mein daakhil hoga woh Aadam Alaihissalam ki soorat par aur uski lambai saat(60) haath hogi...)
( sahih bukhari hadees number ) 5873
( sahih muslim hadees number ) 7092 .
aur jannatiyo ki umrein quwwat aur taaqat ki Umar hogi jo ke jawani mein hoti hai unki umrein 33 saal ki hogi. Maaz bin Jabal razi Allah taala anho bayan karte hain ke nabi Sallallahu alaihe wasalam ney farmaya :
‏ يَدْخُلُ أَهْلُ الْجَنَّةِ الْجَنَّةَ جُرْدًا مُرْدًا مُكَحَّلِينَ أَبْنَاءَ ثَلاَثِينَ أَوْ ثَلاَثٍ وَثَلاَثِينَ سَنَةً ‏​
jannati jannat mein jism par balon ke bagair aur naujawani ki halat mein surmagi aankhon walay tees ya tentees baras ki umroon ki haalat mein daakhil honge.
sunan tirmizi (2545) Sheikh albani Rahimhullah ney sahih al jami (7928) mein isay sahih qarar diya hai. aur imam Ahmed Rahimahullah ney Abu Hurairah razi Allah taala anho se yeh alfaaz shak ke baghair (yani او ke lafz ke baghair) naqal karte hain (ابناء ثلاث وثلاثین) ke woh tentees (33) baras ke jawan mard honge. Musnad Ahmed (8505) Sheikh Ahmed Shakir ney is sanad ko hasan qarar diya hai.)
(جردا) ka maiena yeh hai ke woh jis ke jism par baal na hon.
(مردا) us naujawan ko kehte hain jis ki abhi daarhi na ho.
Aye Allah hum tujh se jannat aur jannat ke qareeb karne walay qaul o amal ka sawal karte hain.
Wallahu aalam.
 

Similar threads


Top