Waqt se pehle zakat ada karna


Umar Asari

Administrator
Staff member
Waqt se pehle zakat ada karna

✯Sawaal:✯
Kya waqt se pehle zakat ada ki jaa sakti hai?
(Masalan agar saal july mein khatm ho raha ho aur main saari ya zakat ka kuch hissa April mein nikaalna chahun)?

✹Jawaab✹
Alhamdulillah:
Ji haan, zakat ke wujoob se pehle zakat ki adaaigi karna jaaiz hai, kiunki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam ne Abbas bin Abdul Muttalib Radhiallahu Anhu se do saal ki zakat pehle hi le li thi.

Aur yahan ek tambeeh ki jaati hai ki zakat hijri yaani islaami saal ke poora hone par wajib hoti hai na ki melaadi aur eeswi saal par, aur in dono ke darmiyaan farq bhi har ek ko maloom hai.
Wallahu A’alam.
❦Taken From Islamqa (1966)❦
 
Top