WASIYAT MEIN KISI KO NUQSAAN POHONCHAANA


Ibnatu Ali

Member
❍WASIYAT MEIN KISI KO NUQSAAN POHONCHAANA

بسم الله الرحمن الرحيم​

Islaami sahari'at ka ek sunhaira usool ye hai:
◄لَا ضَرَرَ وَ لَا ضِرَارَ​
"Naa nuqsaan saho aur naa hi kisi ko jaani wa maali nuqsaan pohonchaao".

Jiski ek misaal ye hai ke apney tamaam shara'i waarison ko nuqsaan deyna yaa in mein se ba'z ko zarar(nuqsaan) pohonchaana haraam hai, aur Jo iss kaam ka irtekaab karey toh woh Nabiﷺ ke iss irshaad ke tehet daraaya dhamkaaya gaya hai aur usey ye bad du'a sunaayi gayi hai:

◄مَنْ ضَارَّ ضَارَّ اللَّهُ بِهِ، وَمَنْ شَاقَّ شَقَّ اللَّهُ عَلَيْهِ​
"Jo shakhs kisi ko nuqsaan pohonchayega Allahﷻ usey nuqsaan pohonchaaye, aur Jo doosron Par sakhti karega Allahﷻ uss par sakhti karey".
❲Musnad Ahmed 453/3. Sahih ul jaame' 6348❳

Wasiyat mein nuqsaan deyne ki muta'did soorton mein se hi ba'z ye hain:
❶ Kisi waaris ko uskey shara'i haq se mehroom kardey.
❷ Kisi waaris ke liye shari'at ke muqarrar kardah haq ke bar khilaaf wasiyat karey.
❸ Hissey se ziyaadah ki wasiyat karey waghairah.

Jis jagah log shara'i 'adaalaton ke maa tehet zindagi naa guzaar rahey hon aur woh shari'at ke faisley ko naa maanein toh wahan sahib-e-haq ki majboori hai ke woh apna haq nahin le sakta jo ke usey Allah ne diya hai kyunke wahan un courts ki wajah se mushkil pesh aati hai jo shari'at ke khilaaf faisley kartey hain, aur Jo zaalimaana wasiyat wakeel ke paas likhi huwi ho usey hi naafiz karney ka hukum detey hain.

◈فَوَيۡلٌ لَّهُمۡ مِّمَّا کَتَبَتۡ اَيۡدِيۡهِمۡ وَوَيۡلٌ لَّهُمۡ مِّمَّا يَكۡسِبُوۡنَ۝​
"Halaakat hai un ke liye jinke haathon ne ye zulm likha aur jo unhon ne kamaaya".
❲Surah Baqarah:79❳

━━━━━━━━━━━
┃Kitaab: Muharramaat ❨Haraam Ashya wa Umoor❩
Taleef: Fazilat Al Shaykh Mohammad Saalih Al-Munajjid [Hafidahullah]┃
 

Similar threads


Top