Jamey Tirmizi Ki Hadees Mein Imam Ke Piche Muqtadi ka Surah Fatiha Padhne ki daleel aur Ahnaaf ke etraaz ka Jawab


Abdul Adil

Member
Jamey Tirmizi Ki Hadees Mein Imam Ke Piche Muqtadi ka Surah Fatiha Padhne ki daleel aur Ahnaaf ke etraaz ka Jawab

Tahreer :- Hafiz Zubair Ali Zai Rahimaullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Imam Tirmizi Rahimaullah ne kaha

حَدَّثَنَا هَنَّادٌ، حَدَّثَنَا عَبْدَةُ بْنُ سُلَيْمَانَ، عَنْ مُحَمَّدِ بْنِ إِسْحَاق، عَنْ مَكْحُولٍ، عَنْ مَحْمُودِ بْنِ الرَّبِيعِ، عَنْ عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ، قَالَ:‏‏‏‏ صَلَّى رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ الصُّبْحَ، ‏‏‏‏‏‏فَثَقُلَتْ عَلَيْهِ الْقِرَاءَةُ، ‏‏‏‏‏‏فَلَمَّا انْصَرَفَ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ إِنِّي أَرَاكُمْ تَقْرَءُونَ وَرَاءَ إِمَامِكُمْ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ قُلْنَا:‏‏‏‏ يَا رَسُولَ اللَّهِ إِي وَاللَّهِ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ فَلَا تَفْعَلُوا إِلَّا بِأُمِّ الْقُرْآنِ فَإِنَّهُ لَا صَلَاةَ لِمَنْ لَمْ يَقْرَأْ بِهَا ، ‏‏‏‏‏‏قَالَ:‏‏‏‏ وَفِي الْبَاب عَنْ أَبِي هُرَيْرَةَ،‏‏‏‏ وَعَائِشَةَ،‏‏‏‏ وَأَنَسٍ،‏‏‏‏ وَأَبِي قَتَادَةَ،‏‏‏‏ وَعَبْدِ اللَّهِ بْنِ عَمْرٍوَ،

Hazrat Ubada Bin Shamit Razi Allahu Anhu se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ne fazar padhi , Aap par qirat dushwaar ho gayi , Namaz se faarig hone ke baad Aap ﷺ ne farmaya mujhe lag raha hai ki tum log apne imam ke piche qirat karte ho , hamne arz kiya ji han Allah ki kasam ham qirat karte hai , Aap ﷺ ne farmaya tum aisa na kiya karo siwaye Surah Fatiha ke isliye ki jo ise nahi padhta uski namaz nahi hoti.

[Jamey Tirmizi Hadees Number - 311]

Ye Hadees Ekdam sahih hai iski sehat me koyi shak nahi hai

1] Imam Tirmizi Rahimaullah ne kaha

حَدِيثُ عُبَادَةَ حَدِيثٌ حَسَنٌ

[Jamey Tirmizi Hadees Number - 311]

2] Imam Baihaqi Rahimaullah ne is hadees ko sahih kaha hai

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild-2 Hadees Number 1243]

Mazeed Imam Baihaqi Rahimaullah ne kaha

ہَذَا إِسْنَادٌ حَسَنٌ وَرِجَالُہُ ثِقَاتٌ۔

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild-2 Hadees Number 1247]

3] Ali bin Umar Ne kaha

ہَذَا إِسْنَادٌ حَسَنٌ۔

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild-2 Hadees Number 1243]

4] Imam Daraqutni Rahimaullah ne kaha

كُلُّهُمْ ثِقَاتٌ.

[Sunan Daraqutni Jild-2 Hadees Number - 546 & International Number - 1202]

Mazeed Imam Daraqutni Rahimaullah ne kaha

هَذَا إِسْنَادٌ حَسَنٌ وَرِجَالُهُ ثِقَاتٌ كُلُّهُمْ.

[Sunan Daraqutni Jild-2 Hadees Number - 549 & International Number - 1205]

5] Imam Haqim Rahimaullah ne kaha

«اسناده مستقيم»

[Haaqim fil Mustadrak 1/238]

6] Imam Khatabi Rahimaullah ne is Hadees ke bare me kaha

«اسناده جيد لا مطعن فيه»

[معالم السنن: 177/1]

7] Hafiz Ibne Hajar Rahimaullah ne kaha

«رجاله ثقات»

[دراية لابن حجر:164/1]


8] Abdul Hayi Lakhnawi Rahimaullah ne kaha

«صحيح قوي السند»

[السعايه:303/2]

9] Imam Bukhari Rahimaullah ne is Hadees ko Zuz ul Qira'at me nakal kiya hai

[Zuz Ul Qira'at Safa Number 113-114 Hadees Number - 64]

Ahnaaf Ka Is Hadees Par Etraaz .....

Ahnaaf Ka Etraaz Number - 1 :- Ahnnaf Ka kahna hai ki Isme 'Muhammad Bin Ishaak' hai jo ki Mudallis hai aur 'An' se riwayat kar rhe hai lihaza ye riwayat zaeef hai.

Jawab :- Ye Baat Sahih Hai Ki Muhammad Bin Ishaak Mudallis hai aur 'An' se riwayat kar rhe hai lekin sima'a ki sharahat mauzood hai , Mulahiza farmaye

Imam Baihaqi Rahimaullah Farmate hai

أَخْبَرَنَاہُ أَبُو بَکْرٍ: أَحْمَدُ بْنُ مُحَمَّدِ بْنِ الْحَارِثِ الْفَقِیہُ أَخْبَرَنَا عَلِیُّ بْنُ عُمَرَ الْحَافِظُ حَدَّثَنَا ابْنُ صَاعِدٍ حَدَّثَنَا عُبَیْدُ اللَّہِ بْنُ سَعْدٍ حَدَّثَنَا عَمِّی حَدَّثَنَا أَبِی عَنِ ابْنِ إِسْحَاقَ قَالَ حَدَّثَنِی مَکْحُولٌ بِہَذَا وَقَالَ فِیہِ فَقَالَ: ((إِنِّی لأَرَاکُمْ تَقْرَئُ ونَ خَلْفَ إِمَامِکُمْ إِذَا جَہْرَ))۔ قُلْنَا: أَجَلْ وَاللَّہِ یَا رَسُولَ اللَّہِ ہَذًّا۔ قَالَ: ((فَلاَ تَفْعَلُوا إِلاَّ بِأُمِّ الْقُرْآنِ ، فَإِنَّہُ لاَ صَلاَۃَ لِمَنْ لَمْ یَقْرَأْ بِہَا))۔

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild-2 Hadees Number 1243]

Is hadees me Muhammad Bin Ishaak ne Sima'a ki sharahat ki hai aur apne Ustaad Makhool se ye riwayat 'حَدَّثَنِی' ke sath nakal kiya hai.

Isi Tarah se Sahih Ibne Khuzaimah Me bhi sima'a ki sharahat mauzood hai Muhammad Bin Ishaak se Mulahiza farmaye

[Sahih Ibne Khuzaimah Jild-3 Safa - 117 Hadees Number - 1581 Baab Number - 88]

Ahnaaf Ka Etraaz Number - 2

Ahnaaf Kahna Hai Ki isme Makhool Rahimaullah Mudallis Hai aur 'An' se riwayat kar rhe hai , Sima'a ki sharahat nahi hai lihaza ye hadees zaeef hai.

Jawab :- Makhool Rahimaullah Mudallis nahi hai un par tadlees ka ilzaam hai balki zamhoor ne inhe siq'a kaha hai aur ye Sahih Muslim ke raawi hai .

Inhe Ibne Hibbaan Rahimaullah Aur Hafiz Zahbi Rahimaullah ne Mudallis qarar diya hai .

Ibne Hibbaan Rahimaullah ne inhe
[Tabqaat e Mudalliseen Safa-108 , As-Shiqa'at Jild-6 Safa-98] aur Hafiz Zahbi Rahimaullah ne [Meezan ul Etdeaal Jild-2 Safa- 424-425] dono irsaal par tadlees ka itlaaq karte hai . lihaza in dono ka kisi raawi ko Mudallis karar dena uske Mudallis hone ki daleel nahi hai , Sahih Baat ye hai ki Makhool Rahimaullah Mursal Riwayat bayan karte hai
.

Imam Makhool Rahimaullah Ki "An" wali riwayat Muhaddiseen ke nazdeek sahih hai , Mulahiza Faramaye __________

1] Imam Tirmizi Rahimaullah ne Makhool Rahimaullah se "An" wali RIWAYAT ko nakal karne ke baad kaha

حَدِيثُ عُبَادَةَ حَدِيثٌ حَسَنٌ

[Jamey Tirmizi Hadees Number - 311]

2] Imam Daraqtuni Rahimaullah ne Makhool Rahimaullah se "An" wali RIWAYAT ko nakal karne ke baad kaha

كُلُّهُمْ ثِقَاتٌ.

[Sunan Daraqutni Jild-2 Hadees Number - 546 & International Number - 1202]

Mazeed Imam Daraqutni Rahimaullah ne kaha

هَذَا إِسْنَادٌ حَسَنٌ وَرِجَالُهُ ثِقَاتٌ كُلُّهُمْ.

[Sunan Daraqutni Jild-2 Hadees Number - 549 & International Number - 1205]

3] Imam Baihaqi Rahimaullah Ne Makhool Rahimaullah se "An" wali RIWAYAT ko nakal karne ke baad is hadees ko sahih kaha hai

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild-2 Hadees Number 1243]

Mazeed Imam Baihaqi Rahimaullah ne kaha

ہَذَا إِسْنَادٌ حَسَنٌ وَرِجَالُہُ ثِقَاتٌ۔

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild-2 Hadees Number 1247]

4] Imam Abu Dawood Rahimaullah Ne Makhool Rahimaullah se "An" wali RIWAYAT ko nakal karne ke baad Sukoot Ikhteyaar kiya hai .

[Sunan Abu Dawood Hadees Number - 821]

Note :- Imam Abu Dawood Rahimaullah jis hadees par Sukoot kare Hanfiyon aur Dewbandiyon ke nazdeek SAHEEH aur hasan ki daleel hai , Allama Ibne Hammam Al Hanafi Rahimaullah likhte hai

وسكوت أبي داود والمنذري تصحيح أو تحسين منهما

Aur Abu Dawood Rahimaullah Aur Munziri Rahimaullah ka Sukoot unke nazdeek hadees SAHEEH hoti hai

[Fatah ul Qadeer Jild-2 Safa-75]

5] Imam Bukhari Rahimaullah Makhool Rahimaullah se "An" wali RIWAYAT ko nakal karne ke baad koyi jarah nahi ki dekhiye

[Khal Afa'al ul Iba'ad Safa-102, Hadees Number - 526]

6] Imam Ibne Khuzaimah Rahimaullah Makhool Rahimaullah se "An" wali RIWAYAT ko nakal karne ke baad jarah nahi ki hai dekhiye

[Sahih Ibne Khuzaimah Hadees Number - 1581]

7] Imam Ibne Hibbaan Rahimaullah ne Makhool Rahimaullah se "An" wali RIWAYAT ko nakal karne ke baad koyi jarah nahi ki dekhiye

[Al-Ehshan Hadees Number - 1545]

Note :- Imam Makhool Rahimaullah Sahih Muslim Ke Raawi hai

In Saare Hawalo se sabit hua ki Imam Makhool Rahimaullah Mudallis Nahi hai Unki 'An' wali riwayat muhaddiseen ke nazdeek sahih hai.

Bil-farz agar maan liya jaye ki Makhool Rahimaullah Mudallis hai to unhone Sima'a ki sharahat bhi ki hai Mulahiza Farmaye

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْحَاقَ، نا مُحَمَّدُ بْنُ عُمَرَ، نا أُسَامَةُ بْنُ زَيْدٍ، سَمِعَ مَكْحُولًا، يَقُولُ: نا نَافِعُ بْنُ مَحْمُودِ بْنِ الرَّبِيعِ، عَنْ أَبِيهِ، عَنْ عُبَادَةَ بْنِ الصَّامِتِ، قَالَ: صَلَّى بِنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَعَلَى آلِهِ وَسَلَّمَ فَلَمَّا انْصَرَفَ قَالَ: «هَلْ قَرَأَ مَعِي مِنْكُمْ أَحَدٌ؟» قَالُوا: نَعَمْ يَا رَسُولَ اللَّهِ. قَالَ: ” إِنِّي أَقُولُ: مَا لِي أُنَازَعُ الْقُرْآنَ، وَلَكِنْ لَا يَقْرَأْ مِنْكُمْ مَعَ الْإِمَامِ إِلَّا بِأُمِّ الْقُرْآنِ “

[Al Musnad Lish Shaashi : Jild 3 : Safa 193]

Hazrat Ubaada Razi Allahu Anhu Ki Is Riwayat me Makhool Rahimaullah Ne Sima’a ki Saraahat Toh ki hai, Lekin Jab Unhone Sima’a ki Saraahat ki, Toh Unhone Ek Raawi ka Izaafa kiya hai aur wo Naafe bin Mahmood Rahimaullah hai.

Ahnaaf ke saare etraaz ka jab jawab mil gaya to Ahnnaf ne ek teesra etraaz kiya ki Naafe bin Mahmood Rahimaullah Majhool hai

Ahnaaf Ka Teesra Etraaz :- Naafe bin Mahmood Rahimaullah majhool hai.

Jawab :- Nafey Bin Mahmood Rahimaullah Majhool Nahi Hai . Hanafi Hazrat Nafey Bin Mahmood ko Majhool karar dete huye kahte hai ki Hafiz Ibne Abdul Barr Rahimaullah ne inhe majhool kaha hai , Imam Tahawi Rahimaullah ne لا يعرف kaha hai aur Ibne Qudama Rahimaullah ne لیس بمعروف aur Ibne Hajar Rahimaullah ne مستور kaha hai.

[Ahsanul Kalam Jild-2 Safa-90]

Is tanqeed ke muqable me arz ye hai ki usool ye hadees me ye muqarrar hai ki jis se do siqa'a raawi riwayat kare wo Majhool ul ayin nahi rehta hai balki uski jahalat khatm ho jati hai .

Nafey Bin Mahmood Rahimaullah se do siq'a raawi "Haram Bin Haqeem aur Makhool Rahimaullah" riwayat kar rhe hai aur dono siq'a hai

Jafar Ahmad Thanvi Dewbandi Sahab Likhte hai

”وليس بمجهول من روى عنه ثقتان“

Aur Jisse Do Siq'a riwayat kar le wo mazhool nahi rahta hai .

[Ahla us Sunan Jild-1 Safa-114 , Hadees Number-153]

Lihaza Imam Abdul Barr Rahimaullah ka qaul usool e hadees ke khilaaf hone ki wajah se mardood hai aur لا يعرف Jarah hi nahi hai.

[Dekhiye Lisaan ul Mizaan Jild-2 Safa-175]


Lihaza Imam Tahawi Rahimaullah wagairah ka qaul mardood hai mustawir wo hota hai jiski kisi ne bhi Tauseeq na ki ho.

(دیکھئے نخبتہ الفکرمع نزهة النظرص۸۷)

Nafey Bin Mahmood Rahimaullah ki aksar ulema se tauseeq ki hai Maslan


1] Imam Daraqtuni Rahimaullah ne kaha

ثقہ

[Jild - 1 Safa - 320 Hadees Number - 1207]

2] Imam Haqim Rahimaullah ne inki 1 hadees ko sahih kaha hai

[Mustadrak Al Haqim Jild - 2 Safa - 55 Hadees Number - 3335]

3] Imam Ibne Hajam Rahimaullah ne kaha

ثقہ

[Al-Mohalla Jild - 3 Safa - 241-242 Masla Number - 360]

4] Imam Baihaqi Rahimaullah ne kaha

ثقہ

[Kitab ul Qira'at Safa-64 Hadees Number - 121]

5] Imam Ibne Hibbaan Rahimaullah ne inhe siq'a kaha aur mashoor tabeyin me shumar kiya hai

[Kitab Us Siq'at Jild-5 Safa-470]

6] Imam Zahbi Rahimaullah ne kaha

ثقہ

[Al-Kashif Jild-3 Safa-197]

7] Imam Abu Dawood Rahimaullah , Imam Nasai Rahimaullah , Imam Munziri Rahimaullah ne is hadees par Sukoot Ikhteyaar kiya hai jo Hanfiyon , Dewbandiyon , Aur Barelviyon ke nazdeek nafey ke sahih hone par dalalat karta hai Mulahiza Farmaye

Allama Ibne Hammam Al Hanafi Rahimaullah likhte hai

وسكوت أبي داود والمنذري تصحيح أو تحسين منهما

Aur Abu Dawood Rahimaullah Aur Munziri Rahimaullah ka Sukoot unke nazdeek hadees SAHEEH hoti hai

[Fatah ul Qadeer Jild-2 Safa-75]

Jafar Ahmad Thanvi Sahab Likhte hai

"رواه النسائي وسكت عنه فهو صحيح عنده“

Ise Imam Nasai Rahimaullah ne riwayat kiya hai pas wo unke nazdeek sahih hai

[Ahla us Sunan Jild-1 Safa-105 , Hadees Number - 114]

Ye Qaul Bataur E Iljam pesh kiye gye hai , hamare (Ahle Hadeeson) ke nazdeek Imam Abu Dawood , Imam Nasai , Imam Munziri , Hafiz Ibne Hajar wagairah ka Sukoot hujjat nahi hai , ye Sukoot na to sahih hone ki daleel hai na hasan hone ki , Albatta Hanfiyon , Dewbandiyon , Barelviyon ke nazdeek inka sukoot huzzat hai.

8] Abu Ya'ala Nisa'abori Rahimaullah , Ibne Adi Rahimaullah , Ibne Mandah Rahimaullah , Hafiz Abdul Gani Rahimaullah , Abu La'aa'la Kahili Rahimaullah , Hafiz Khateeb Bagdadi Rahimaullah ne is hadees ko sahih kaha hai .

Joki Nafey Ki Tauseeq par dalalat karti hai , itni badi jamat ek shaksh ko siqa'a karar de to use mazhool wagairah karar kaise diya ja sakta hai?

Lihaza Sabit Hua Ki Mazhool Wali Zarah Kayi Lihaz se mardood hai

1] Zamhoor Ke Khilaaf hai.

2] Mubham hai.

3] Ye Zarah Hi Nahi hai

4] Hanfiyon , Dewbandiyon ke nazdeek Khairul quroon ke mazhool aur mustawir ki riwayat bhi sahih hoti hai

Jafar Ahmad Thanvi Dewbnadi Sahab Likhte hai

”والجهالة في القرون الثلاثة لا يضر عندنا“

Aur Quroon E Salasa (Khairul Quroon) mein jahalat hamare nazdeek mo'atabar nahi

[Ahla us Sunan Jild-3 Safa-161 Hadees Number - 927]

Mazeed Farmate hai

إن رواية المستور من القرون الثلاثة مقبولة عندنا معشر الحنفية

Beshaq Quroon E Shalasha (Pahli Teen Sadi mein) mustawir ki riwayat ham Hanfiyon ke nazdeek maqbool hoti hai

[Ahla us Sunan Jild-3 Safa-165]


Jafar Sahab Mazeed Farmate hai

"أن المستور في القرون الثلاثة مقبول عندنا“

Quroon e Shalasha e mustawir ki riwayat hamare nazdeek maqbool hai.

[Ahla Uus Sunan Jild-1 Safa-316 , Hadees Number - 435]

Ab jab ye sabit ho gya ki Nafey Bin mahmood zamhoor ulema ke nazdeek siqa'a aur maroof hai to unki bayan kardah hadees aksar ulema ke Nazdeek sahih hai to unhe mazhool aur unki hadees ko Moallal kahna galat aur mardood hai
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abdul Adil Namaz 0

Similar threads


Top