Ehtekaaf Sirf Masjid Mein Hi Kiya Ja Sakta Hai.


Abdul Adil

Member
Ehtekaaf Sirf Masjid Mein Hi Kiya Ja Sakta Hai.

Asal Mazmoon :- Fiqh Ul Hadees Jild-1 Safa Number - 746 to 747

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

1] Irshad E Baari Ta'ala hai

وَ اَنۡتُمۡ عٰکِفُوۡنَ ۙ فِی الۡمَسٰجِدِ

Aur Tum Masjidon Me Ehtekaaf karne wale ho.

[Surah Al Bakra Aayat Number - 187]

Is Aayat me Ehtekaaf ke liye sirf Masjid ka hi jikr kiya gaya hai.

2] Rasoolullah ﷺ ka bhi yahi mamool tha jaisa ki Hazrat Ayesha Razi Allahu Anha Se marwi hai ki wo Ayyam E Mahawari mein Rasoolullah ﷺ ki maang nikala karti thi aur Aap ﷺ masjid mein Ehtekaaf mein baithe hote the.

[Sahih Bukhari 2029]

3] Hazrat Nafey Rahimahullah Bayan Karte hai ki Hazrat Umar Razi Allahu Anhu ne mujhe masjid ki wo jagah dikhayi Jahan Rasoolullah ﷺ Ehtekaaf karte the.

[Sunan Abu Dawood 2465]

a] Hazrat Ali Razi Allahu Anhu :- Ehtekaaf Sirf Masjid E Haram Aur Masjid E Nabwi me jayez hai.

[اللباب فی علوم ااكتاب " تفسیر القران " ٣١٩/٣]


b] Hazrat Huzaifah Razi Allahu Anhu :- In dono Masjid (Masjid E Haram Aur Masjid E Nabwi) Aur Masjid E Baitul Muqaddas me jayez hai.

[تفسیر الرازی ١٩٧/٥]

c] Imam Johri Rahimahullah :- Sirf Jama Masjid Me Jayez hai.

[تفسیر الرازی ١٩٧/٥]

d] Imam Abu Hanifa Rahimahullah :- Sirf us Masjid me Jayez hai Jahan Imam Aur Muazzin Muqarrar ho, Alawa Khawateen Ghar me Namaz ki jagah bhi Ehtekaaf kar sakti hai.

e] Imam Safayi Rahimahullah & Imam Ahmad bin Hambal Rahimahullah :- Ehtekaaf Tamam Masjid me jayez hai lekin Jama Masjid mein afzal hai.

f] Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah :- Ulema ka Ittefaq hai ki Ehtekaaf ke liye masjid shart hai (Siwaye Muhammad Bin Umar Bin Lubaba Maliki ke , Unhone har jagah jayez karar diya hai)

g] Zamhoor :- Ehtekaaf tamam Masjidon me jayez hai.

[ نیل الأوطار ٢٥٥/٣ ٫ فتح الباری ٨٠٦/٤ ٫ اللباب فی علوم ااكتاب " تفسیر القران " ٣١٩/٣]


h] Razeh Qaul :- Zamhoor Ka Mauquf Razeh hai.


I] Imam Bukhari Rahimahullah :- Tamam Masjid Mein Durust hai Kyunki Allah Ta'ala ne farmaya 👇

لَا تُبَاشِرُوۡہُنَّ وَ اَنۡتُمۡ عٰکِفُوۡنَ ۙ فِی الۡمَسٰجِدِ

Auraton se us waqt mubashirat mat karo jab tum masjid me Ehtekaaf me ho.

[Surah Al Bakrah Aayat Number - 187]


[بخاری ( قبل الحدیث ٢٠٢٥) كتاب الاعتكاف : باب الاعتكاف فی العشر الأواخر]



Note :- Auraten bhi Masjid mein Ehtekaaf karengi.

j] Imam Safayi Rahimahullah & Imam Ahmad Rahimahullah Yahi Mauquf Rakhte hai.

[ المغنی ٤٦٤/٤]
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Ibnatu Ali Masail 0

Similar threads


Top