Bid'at Ko Pahchaniye


Bid'at Ko Pahchaniye

Fazilatus Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah

Islamic Dawah Center Taif, Saudi Arabia
Romanised By: Iqra Ata Ahmed

Alhamdu Lillah Islaam ek wazeh aur saaf suthra deen hai jis ki taleemaat aur Ahkam o Masaail roshan Deen ki tarah ayan wa bayan hai magar Islam ke naam lewa,aun me se Soofiyaun aur Bid'atiyaun ne is saaf suthrey Deen ko jahan Ghain Muslimon ki nazar me badnaam kiya hai, wahin Aam Musalmanon par bhi ise mushkil bana diya hai. Jo asal Deen hai us ko chhor kar, in Bid'atiyaun ne Deen me nayi nayi Bid'aat wa Khuraafat garh liye aur un par sakhti se amal kiya aur awaam ko bawar karaya ke yahi asal Deen hai, jo is par amal karta hai woh Asli Sunni hai aur jo amal nahi karta hai woh Bad-aqeedah, Murtad aur Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam ka Gustakh hai. (Is bat se Allah ki panah mangta hun)
Kis qadar hairaani wa ta'ajub ki baat hai ke asli Deen ko pase pusht daal diya gaya balke asal Deen par amal karne walo ko Baaghi, Murtad, Gustakh aur Bad'aqeedah kaha jata hai aur Deen ke naam par nayi nayi Bid'aat ko asal Deen samjha jata aur Bid'ati khud ko Asli Sunni kahta hai.

Kherad ka naam jonu rakh diya aur jonu ka kherad
Jo chahe aap ka husne karishma saaz kare

Islam ke liye khatraat, khadshaat aur nuqsaanat ki baat ki jaae to jo Yahood wa Nasara nahi kar sake woh in Bid'atiyaun ne Islam ke liye khatraat paida kiye aur Deen me nit naye Bid'aat riwaj de kar Deene Islaam ke asli chahre ko masakh kiya. Kufar wa Mushrikeen Musalmano ko nuqsaan pahunchaane ki koshish karte hai jab ke Bid'ati Asal Islaam ko nuqsaan pahuncha rahe hai, is lihaaz se Bid'ati Islam ke liye sab se bara khatra hai. Isi khatre ka ahsaas kar ke aaj saada Musalmano ko salees andaaz me Bid'at samjhane ki koshish kar raha hu take un par Bid'at ki haqeeqat munkashf rahe aur shayad kisi Bid'ati ko bhi samjh aa jae aur Islaam ko nuqsaan pahunchane se baaz aa jaye yaa kam az kam khud ko nuqsaan se bachaae.
Bid'aat ki ek lambi list hai, in sab ka naam ginana mushkil hai, chand Bid'aat bohat mashhoor wa ma'aroof hai jin se Bidatiyaun ki asli pehchaan hoti hai, in ko bata kar un ki haqeeqat bataane ki koshish karun ga. Aap dekhte hai ke baaz Musalmaan Nabi Sallallaahu Alyhi Wasallam ka naam aane par anghootha choomte hai, Azan se pehle khudsakhta Darood padte hai, Faatiha khawani karte hai, Meelad manaate hai, Mazaaraat par urso meley lagate hai, juloos nikalte hai, jhandiyaan lagatey hai, qabron par phool wa chaadar chadaate hai, wahan Azaan dete hai, un ka Tawwaf karte hai, Sajdah karte aur wahan Namaz wa Qur'an padte hai. Isi tarah Taaziya manana, murdon ko pukaarna, Ghairullah ki Nazar maan'na, Qull, Teeja, Saata, Daswan, Ekeeswan, Chahallum, Giyarahween manana, Lakhi Roze, Hazaari Roze ,Umme Dawood ki Namaaz, Salat-al-Raghaib, Namaz e Ghousiya, Khatam Qadiriya, Jaafar Sadiq ke Kunde, Shab e Meraaj ka jashan, peero ke bai,at, Imame Zaamin wa Tawizaate Atariya , Noha Khwani wa Sog, Badshugooni wa Nahoosat aur khudsakhta Auraad wa Wazaif (Droode Ghosiya, droode Taaj, droode Tanjeena, Droode Lakhi waghairah) in Bid'atiyaun ke imtyazi Aamaal wa Af,aal hai. Ye sab aamal aur in jaise sekraun aamal Deen ke naam par Bid'atiyo ki taraf se ijaad kar liye gaye hai, unhi ko Deen samjha jata hai, Isi ke Erd gird inki zindagi ghoomti hai aur yahi sab kuch karte karte Bid'atiyo ki maut aa jati hai.
Mazkoorah chand Bid'aat ke baad ab aate hai asal topic ki taraf, woh yah hai ke ham ko kaise pata chale ga ke mazkoorah saare aamal Bid'at hai aur ek Bid'ati ko kaise samjhaayange ke in aamal se door raho, ye jahanam me le jane wale hai? Chunache pehle ham Bid'at ki sahih tareef dekhenge aur tareef bhi sha're shareeyat yani Muhammad ﷺ ki zabani maloom kare ge.
Sayyidah Aiysha (رضى الله عنها ) se Riwayat hai ke Rasool Allah ﷺ ne farmaya :
مَن أَحْدَثَ في أَمْرِنَا هذا ما ليسَ مِنْهُ، فَهو رَدٌّ(صحيح البخاري:2697،صحيح مسلم:1718،سنن أبي داود4606, سنن ابن ماجه:14,مشكوة المصابيح:140 )
Tarjuma: Jis ne hamare is Deen me apni taraf se koi aisa kaam ijaad kiya jo deen me se nahi to woh mardood hai.
Yahi hadees sahih muslim me is tarah marwi hai, Sayyidah Aisha (رضى الله عنها) se Riwayat hai, Rasool Allah ﷺ ne farmaya"
مَن عَمِلَ عَمَلًا ليسَ عليه أمْرُنا فَهو رَدٌّ(صحيح مسلم:1718)
Tarjuma: Jo shakhas aisa kaam kare jis ke liye hamara hukm na ho (yani deen mein aisa amal nikaaley) toh woh mardood hai.
Is Hadees ke mutalliq Imam Nawwi (رحمہ اللہ) likhte he: Ye Hadees Islaam ke qawaid me se ek azeem Qaaida hai aur ye Nabi ﷺ ke Jawameul Kalim me se hai aur yeh Bid'aat wa nayi ijaadaat ki tardeed me wazeh hadees hai.
Sharah Muslim Al-nawwi (15/2 ح 1718)

Bid'atiyoon Ki Bid'aat Hadees E Rasool Ki Kasoti Par:
Hadees e Rasool ke mukammal alfaz par nazar rakhte hue Imam Nawwi (رحمه الله ) ke kalaam ke aitebaar se ghaur karte hai ke yah Hadees kis tarah Bid'aat ki sareeh tardeed karti hai ?
مَن أَحْدَثَ :
Jo apni khawhish aur marzi se koi kaam ijaad kare.
في أَمْرِنَا هذا:
Yahan Amar se murad Deen hai yani Deen me koi naya kaam apni taraf se ijaad kare.
ما ليسَ فِيهِ:
Jo Deen me se nahi ho. Barelvi aalim Mufti Ahmad Yaar Khan Naeemi " ِما ليسَ فِيه" ki Sharah me likhte hai jo Qur'an wa Hadees ke mukhaalif ho. (Dawat e Islami website: Bidat Ki Aqsaam)
فَهو رَدّ:
To woh amal Bid'ati ke liye mardood wa baatil hai.
Hadees ki sharah ke sath ab in Bid'aat mein se ek namuna le kar Deen ki kasauti per parakhte hai maslan Nabi Sallallaahu Alyhi Wasallam ka naam aane par anghootho ko aankhon se laga kar chooma jata hai aur yah aitaqaad rakha jata hai, ki yah Deeni Amal hai aisa karna chahiye, is se Sawab milta hai. Jab Deen ki kitaab Qur'an wa Hadees me is amal ko talash karte hai toh maloom hota hai ke ye amal na Qur'an me mazkoor hai aur na hi kisi Hadees me mazkoor hai, is ka matlab hai, ki kisi aadmi ne apni taraf se is amal ko Deen samjh kar ijaad kar liya hai. Isi ka naam Bid'at hai jo Allah aur Allah ke Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam ki nazar me mardood hai.
Ab aaiye Bid'atiyaun ki kuch Shub’haat ka bhi jaaiza lete hai taa-ke mazeed behtar tareeqe se Bid'at ki haqeeqat ko samajh sakain. Mai Bid'atiyaun ke teen bade Shub’haat aur Ek aham Mughalte ka zikr karunga .

Pahla shub’ha :Jab ham Bid'atiyau ko bataate hai ke angutha choomna Bid'at hai, Meelad manana Bid'at hai, kiyaun ki Qur'an wa hadees me in baaton ka kahi par hukm nahi diya gaya hai to aage se Bid'ati yah jawab deta hai, ki Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam ke zamane me gaadi nahi thi, bus nahi thi, train nahi thi, jahaaz nahi tha tum in par kiyaun sawaari karte ho? kiya yeh Bid'at nahi hai? tum khud bhi Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam ke zamane me nahi the lihaza tum bhi Bid'at ho.
JAWAAB:- Is shub’ha ko jan'ne ke liye mandarja bala Hadees e Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam par phir se nazar daale. Is hadees ki sharah me chaar baaton ka maine khulasa kiya hai.
pehli baat to yah hai har woh kaam jo apni taraf se ijaad kar liye jaye jaisa ke alfaaz
"من عمل عملا "
se bilkul waazeh hai.
Dosri baat yah hai ke naye kaam Deen me ijaad kiye jaye yani dunyaawi mamle me nahi.
Teesri baat ye hai ke woh nayi ijaad Qur'an wa hadees me se nahi ho. to woh naya amal Bid'at hai jo ke mardood hai aur ye chaunthi baat hai.
Bidati jab ye kahe ke Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam ke zamane me train nahi thi tum is par sawaari kiyaun karte ho, kiya ye Bid'at nahi hai to ham us se kahenge ke ham ne kab kaha, ki jo cheez Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam ke zamane me nahi thi us ka istemaal Bid'at hai, yah to ham ne kabhi kaha hi nahi, yeh to tum kehte ho. Hum to Bid'at ki wahi tareef karte hai jo Rasool Allah ﷺ ne sikhaayi hai woh yah hai, ki jo koi apni taraf se Deen me koi naya kaam ijaad karle jo Qur'an wa Hadees me se nahi hai to woh kaam mardood hai. ab zara tum hi bataao ke kiya train koi amal hai ya kaam hai? ye to ek samaan hai. Bid'at ka taaluq samaan se to nahi hai balke amal se hai. Doosri baat yah hai ke kiya train ki ijaad deen ke mamle me se hai ya dunyaawi mamla hai? Zaahir si baat hai, ek kam aqal bhi kahe ga yeh dunyaawi mamla hai, jab ki Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Bid'at ki tareef me farmaya hai jo Deen ke mamle me koi naya kaam ijaad kare to woh amal Bid'at hai.

Doosra Shub’ha: Logaun me ek Shub’ha ye bhi aam hai, ke aap kehte hai fulaan kam Bid'at hai, jab ke fulaan Maulvi kehta hai ye kam Deen hai, is ke karne se Sawaab mile ga. To ham kis ki baat sahih maanain? Aap bhi Maulvi, woh bhi Maulvi. Ham kis Maulvi ko durust maanain?
JAWAAB: Is Shub’ha ko Deeni Aamal ki roshni me misaal de kar samjhaata hun. Aap zara ghaur karai, jab aap Namaz padte hai to sab se pehle Namaaz ki niyyat karte hai, phir Takbeer keh kar haath bandhte hai, Qiyaam karte hai, phir Sajdah karte hai, isi tarah ek Rakat hoti hai phir isi tarah Doosri Rakat padte hai. Do Rakaat wali Namaz me Qa'ada kar ke Salam phairte hai, Maghrib ki Namaz me do Rakat pe Qa'ada kar ke phir Teesri Rakat mukamal kar ke Doosra Qa'ada kar ke Salaam pherte hai. Zuhr ,Asr aur Isha me chaar Rakaat padte hai. Namaz ko is shakal me kiyaun padte hai? kiya is liye nahi padte, ki hamai Rasool Allah ﷺ ne isi tarah Namaz ki taleem di hai. Aur Bukhari Sharif me aap ka ye farmaan hai : Tum log usi tarah Namaz pado jis tarah mujhe Namaaz padte huwe dekhte ho.
Isi tarah jab aap Bait-ul-Allah ka Hajj karte hai to Yau-Al-Tarvia (8 Zul'hijjah) se Hajj ka kaam shuru karte hai,is din Mina jate hai, Yaume Arafah ko Arafaat jate hai, isi din sooraj doobne ke baad Muzdalifa aate hai, yaha raat basar karte hai. Yaumun Nahar ko fajr ke baad Jamarat par aa jate hai aur wahan teen Jamaraat hai magar aaj ke din sirf ek Jamrah ko jo Makkah se muttasil hai 7 kankri maarte hai. Phir Qurbani karte hai, Halq karwaate hai aur Haram Shareef pahunch kar Tawwafe Efaza aur Sai karte hai
Is ke baad wapas Mina aajate hai, yahan Ayyame Tashreeq guzarte hai aur teeno din Jamaraat ko 7- 7 kankri marte hai. Aakhir me Tawwafe Al- Wida kar ke watan wapas lot aate hai. Aap se sawaal hai ke aap kiyu aisa karte hai, kiya kisi Peer ne kaha aisa karo?, kisi Wali ke kehne se aisa karte hai? Ya aap aisa is liye karte hai ke yah Allah aur us ke Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam ka hukm hai? Bilashub’ha yeh Allah aur us ke Rasool sallallaahu Alyhi Wasallam ka hukm hai aur ham Hajj isi tarah is liye karte hai ke Rasool Allah ne isi tarah Hajj kiya hai aur karne ka hukm diya hai jaisa ke Jabir Bin Abdullah (رضى الله عنهما ) kehte hai ke aap ﷺ ne farmaya:
يا أَيُّها الناسُ خُذُوا عَنِّي مناسكَكم (صحيح الجامع:7882)
Tarjuma: Ay logo! Tum mujh se Hajj ka tareeka seekh lo.
Maine sirf do cheez namaz aur Hajj ki misaal di hai, jab ki poore Deen ka yahi hukm hai jis ka khulasa yah hai, ki Deen ke tamaam mamlaat me ham wahi karainge jo Allah aur us ke Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam ne hame karne ka hukm diya hai. Allah Ta’aala ka farman hai :
لَقَدْ كَانَ لَكُمْ فِي رَسُولِ اللَّهِ أُسْوَةٌ حَسَنَةٌ (الأحزاب:21)
Tarjuma: Yaqeenan tumhare liye Rasoolullah ki zindagi me umda namuna (mojood) hai.
Ek doosri jaga Irshade Rabani hai:
أطيعوا الله وأطيعوا الرسول (النساء:59)
Tarjuma: Allah ki Eta'at karo aur Rasoolullah ﷺ ki Eta'at karo.
Is liye agar koi Maulvi aap ko Bid'at ki taleem de, ya woh baat bataye jis ki daleel nahi hai, toh us Maulwi ki baat nahi manni hai, kiyaun ki Rasoolullah ne Bid'at se mana kiya hai aur sirf usi Aalim ki baat man'ni hai jo Qur'an aur Hadees ke mutaabiq bataye kiyaun ki Deen Qur'an aur Hadees ka naam hai.

Teesra Shub’ha: Awaam ki taraf se ek teesra Shub’ha paida kiya jata hai, ki Ajar wa Sawaab ki Niyyat se agar koi kaam karta hai to is me Haraj kiya hai, Niyyat to achhi hai.
JAWAAB: Is ke jawaab me ham ye kahainge ki sirf achchi Niyyat hona kaafi nahi hai balke Amal bhi Sunnat ke mutabiq hona zaruri hai, warna wahi Amal bid'at kehlae ga jo Allah aur us ke Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam ke nazdik mardood wa baatil hai. Is Shub’ha ko ek Hadees ki roshni me dekhte hai ki Bid'at ka irtekaab karne me kiya Haraj hai?
Sahih Bukhari (5063) me Anas bin Malik se Riwayat hai, unhaine bayaan kiya ki teen hazraat (Ali bin Abi Taalib, Abdullah bin Amar bin Al Aas aur Usman bin Mazuoon (رضى الله عنهم ) Nabi Kareem ﷺ ki azwaaj Mutaharat ke gharaun ki taraf aap ki Ibaadat ke mutalliq poochhne aaye, jab unhain Nabi Kareem ﷺ ka Amal bataya gaya to jaise unhaune use kam samjha aur kaha ke hamara Nabi Kareem ﷺ se kiya muqabala! Aap ki to agli pichhli tamaam laghzishain mu’aaf kar di gayi hai. Un me se ek ne kaha ki aaj se mai hamesha raat bhar Namaaz padta rahunga. Doosre ne kaha ki mai hamesha Roze rakhunga. Teesre ne kaha ki mai aurato se judai ikhtiyaar kar lunga aur kabhi Nikkah nahi karunga. Phir Nabi Kareem ﷺ tashreef laye aur un se poochha kiya tum ne hi yeh baatain kahi hai? Sun lo! Allah Ta'ala ki Qasam! Allah Rabbul Aalameen se mai tum sab se ziyada darne wala hu. Mai tum me sab se ziyada parhezgaar hun lekin mai agar Roze rakhta hun to Iftaar bhi karta hun. Namaaz parhta hun (raat me) aur sota bhi hu aur mai aurato se Nikkah karta hu.
« فمن رغب عن سنتي فليس مني »
Tarjuma:mere tareeqe se jis ne beraghbati ki woh mujh me se nahi hai.
Is Hadees pe pehle achchi tarah gaur karai, ek taraf teen Jaleel Al-Qadr Sahaba, doosri taraf un sab ki Niyyat bhi achchi, phir kiyaun Rasoolullah Sallallaahu Alyhi Wasallam ne unhai achchi Niyyat se mana kiya? Un sab ke Amal me Haraj kiya hai? Haraj yahi hai ki in sab ka Amal Sunnat ke khilaaf tha, is liye un se Aap ne farmaya jo Sunnat ke khilaaf Amal kare woh ham me se nahi hai. Aap ne dekh liya ki achchi Niyyat ke bawajood Sunnat ki khilaf warzi ki wajah se Amal mardood ho raha hai yahi haal har qism ki Bid'at ka hai yani har Bid'at mardood hai.

BID'AT E HASANA AUR BID’ATE SAIYE’AH KI TAQSEEM KA MUGhALATA.
Bid'ati log awaam me ek mughalata phailate hai, woh mughalata ye hai ki har qism ki Bid'at se Islaam ne mana nahi kiya hai balke kuch Bid'at achchi hoti hai un par Amal kar sakte hai aur kuch Bid'at buri hoti hai jin se bachna hai. Goya in Bid'atiyaun ne apni Bid'aat ki himayat me Bid'at ki do qisme ki hai, ek Bid'ate Hasanah aur doosri Bid'ate Saiye’ah. Is taqseem se Bid'atiyaun ka maqsad ye hai, ki unhaine Deen me jo bhi Bid'aat wa Khurafaat ijaad kar rakhe hai un ko Jawaz faraham karna, take Awaam ko yah batlaya ja sake ki ham jo Bid'at karte hai woh Bid'ate Hasanah hai aur is ke karne se Gunah nahi, Ajar milta hai aur jis Bid'at par Gunah milta hai woh doosri Bid'at hai, bidate saiye’ah.
Haqeeqat me Bid'at ki ye taqseem usi tarah se farzi aur banawati hai jaise unki tamam Bid'aat farzi wa banawati hai. Agar kahin Bid'ate Hasanah ka zikr milta hai to wahan lughwi mana ka aitbaar kiya gaya hai, jab ki Sharayi taur par Rasoolullah ﷺ ne har qism ki Bid'at ko zalaalat wa gumraahi qaraar diya hai. Chunanche Jaabir bin Abdullah (رضى الله عنه) kahte hai ki Rasoolullah ﷺ ne apne Khutbah me Allah ki Hamd wa Sana bayaan karne ke baad farmaya!
إن اصدق الحديث كتاب الله , واحسن الهدي هدي محمد , وشر الامور محدثاتها , وكل محدثة بدعة وكل بدعة ضلالة وكل ضلالة في النار.(صحيح سنن النسائي:1579)
Tarjuma: Sab se sachchi baat Allah ki kitaab hai, aur sab se behtar tareeqah Muhammad (صلى الله عليه وسلم ) ka tareeqa hai, aur badtareen kaam naye kaam hai, aur har naya kam Bid'at hai aur har Bid'at gumraahi hai, aur har gumraahi Jahanam me le jane wali hai.
Is Hadees se ba-khubi maalom hota hai ki Deen me naya kaam koi bhi ho woh Bid'at me shumaar hoga, is liye ye kehna ki Bid'at achchi hoti hai aur buri bhi ghalat hai aur Hadees ke khilaaf hai.
Akhir me bid'atiyo ka hukm bhi jante chalain.
Ye log da'wa karte hai ki ham hi sab se ziyadah Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam se muhabbat karte hai, ham hi ziyadah Aap par Darood padte hai, lehaza ham log hi Aakhirat me Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam ke sath hunge, ham logaun ko Aap ki Shafaa'at naseeb hogi aur Jannat me daakhil hunge. kuch esi qism ki baataun ki tarjumaani karte huwe ek Brelwi Shayer Jamil ur Rahman Rizwi Qadri apne Natiya Kalaam ke Maqtaa me kahta hai.

Mai Woh Sunni Hun Jameele Qadri Marne Ke baad
Mera Laasha bhi Kahega Assalato Wassalam

In Bid'atiyaun ke daawe ki haqeeqat mazkoorah bala aakhri Hadees se lagayai, ki ek taraf Rasoolullah Sallallaahu Alyhi Wasallam ki taleem yah hai ke sab se sachchi kitaab Qur'an hai aur sab se behtar tareeqa Muhammad ﷺ ka hai magar ye log naam to Nabi ka lete hai magar kaam sab Bid'at wale karte hai.
Jo log Qur'an aur Tareeqaye Muhammad Sallallaahu Alyhi Wasallam se hat kar Deen me Bid'at ijaad karte hai aur us par amal karte hai kiya woh log muhibbe Rasool ho sakte hai?
Hargiz hargiz Bid'ati Muhibb e Rasool nahi ho sakta, balke Bid'ati jo khud ko sachcha Muhibbe Rasool kehta hai, us ka da'wa khokhla aur jhoota hai. Yahi wajah hai Rasool Allah Sallallaahu Alyhi Wasallam ne in Bid'atiyaun ke bare me aagah kar diya ki har Bid'at gumraahi hai aur har gumraahi Jahanam me le jane wali hai. Bhala jo Amal Jahanam me le jane wala ho us Amal ki buniyaad par Rasoolullah Sallallaahu Alyhi Wasallam ki Shafaa'at kaise mile gi? Itna hi nahi Allah Tala Aakhirat me Nabi ﷺ ko in Bid'atiyaun ki Bid'at ke bare me aagah bhi karega aur jab Bid'ati log Hauze Kausar ke paas aayainge to bhagaa diye jayainge . Sahih Bukhari me Anas (رضى الله عنه ) se Marwi hai ki Nabi Kareem ﷺ ne farmaya :
لَيَرِدَنَّ عَلَيَّ ناسٌ مِن أصْحابِي الحَوْضَ، حتَّى عَرَفْتُهُمُ، اخْتُلِجُوا دُونِي، فأقُولُ: أصْحابِي! فيَقولُ: لا تَدْرِي ما أحْدَثُوا بَعْدَكَ(صحيح البخاري:6582)
Tarjuma :Mere kuch sathi Hauze Kausar par, mere samne laaye jayainge aur mai unhai pahchan lunga, lekin phir woh mere samne se hata diye jayainge. Mai us par kahunga yah to mere sathi hai, lekin mujh se kaha jayega ki Aap ko maalum nahi ki enhaune Aap ke baad kiya kiya nayi cheezai ijaad kar li thi.
Kitna ajeeb haal hai Bid'atiyo ka? Zindagi bhar Yaa Rasoolallah ka Naara lagate rahe, Meelaad manaate rahe, Juloos nikalte rahe, Jhandiyaan lagate rahe, Taazeeme Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam me Qiyam karte rahe, khade ho kar ijtemayi Darood padte rahe aur anghootha choomte rahe, nateeja ye huwa ki Aakhirat me Rasoolullah Sallallaahu Alyhi Wasallam aur Hauze Kausar se door kar diye gaye.

Na Khuda Hi Mila Na Wisaal Sanam
Na Idhar Key Huwe Na Udhar Ke Huwe

Jo log jaane anjane me kisi tarah bhatak gaye hai un sabhi se darkhast hai ki abhi bhi waqt hai, pichhle Gunahaun se Taubah kar lai aur sachche Muhibbe Rasool banne aur Aakhirat me Aap (صلى الله عليه وسلم ) ke haatho se Hauze Kausar pine ke liye Allah ki kitaab Qur'ane Kareem aur Rasoolullah Sallallaahu Alyhi Wasallam ki piyari Sunnat Ahadeese Taiyibah ke mutaabiq Amal karain. Allah se Dua hai ke is Mazmoon ko bhatke huwe logaun ke liye raahe raast par aane ka zariya banaye. Aameen



Is Mazmoon ka Urdu Version padne ke lia Click karai.

Is Mazmoon ka Video Bayan sunne ke lia Click karai.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abul Husayn Bid’aat 0
Israr Hussain Al-Wahhabi Bid’aat 0
Shona shaikh Bid’aat 0

Similar threads


Top