Kiya Farz Namaaz Ke Sajde Me Apni Zabaan Me Du'a Kar Sakte Hai?


Kiya Farz Namaaz Ke Sajde Me Apni Zabaan Me Du'a Kar Sakte Hai?
Jawaab:- Is Sawaal Ka Jawaab Yah Hai Ke Kuch Ulma Ne Kaha Hai Ke Namaaz Parhne Wala Farz Namaaz Ke Sajde Me Apni Zabaan Me Du'a Kar Sakta Hai Magar Me Un Ulma Ki Raae Qawi Samjhta Hu Jo Yah Kehte Hai Ke Farz Namaaz Ke Sajde Me Apni Zabaan Me Du'a Nahi Kar Sakte Hai Taham Yah Bhi Maanta Hu Ke Sunnat Aur Nafil Namaaz Ke Sajdo Me Aap Apni Zabaan Me Du'a Kar Sakte Hai.
Is Silsile Me Sahih Bukhari 1200 Ki Hadees Par Gaur Farmaae. Zaid Bin Arqam RA Se Marwi Hai Ke Ham Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Zamane Me Namaaz Parhne Me Baate Kar Liya Karte The. Koi Bhi Apne Qareeb Ke Namaazi Se Apni Zaroorat Bayaan Kar Deta. Fir Aayat
حافظوا علی الصلوات.......
Naazil Hui Aur Hame Namaaz Me Khaamosh Rehne Ka Hukm Hua.
Apni Zabaan Me Du'a Karna Yah Insaani Kalaam Aur Insaani Guftugu(Baat-Cheet) Hai Jo Pehle Namaaz Me Jaiz Thi Fir Baad Me Mana Kar Di Gai Is Liye Is Hadees Ki Roshni Me Behtar Aur Afzal Yahi Ma'loom Hota Hai Ke Aap Farz Namaaz Ke Sajdo Me Agar Tasbeehaat Ke Baad Du'a Karna Chaahe To Masura Du'a Kare Yani Woh Du'ae Jo Qur'an Me Waarid Ho Ya Ahaadees Me Waarid Ho.
Jaha Tak Sunnat Aur Nafil Ka Ma'mla Hai To Isme Amr Was'e Hai. Chunancha Sahih Muslim 772 Ki Ek Hadees Par Gaur Farmaae Huzaifah RA Se Marwi Hai Woh Farmate Hai Ek Raat Me Ne Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Sath Namaaz Parhi Aap Ne Surah Baqarah Shuru Farmaai Mene Dil Me Kaha 100 Aayat Par Ek Ruku Farmaaenge,Lekin Aap Ne Jari Rakha Fir Mene Khayaal Kiya Ke Aap Ek Raka't Me Puri Surat Parhenge Lekin Aap Ne Jari Rakha Fir Mene Khayaal Kiya Ke Aap Surah Mukammal Kar Ke Ruku Farmaaenge Lekin Aap Ne Surah Aale Imraan Shuru Kar Di Aur Ise Bhi Mukammal Kiya, Aap Thehar Thehar Kar Parh Rahe The Aap Jab Kisi Aysi Aayat Se Guzarte Jis Me Tasbeeh Ho To Allah Ki Paaki Bayaan Farmate Aur Jab Kisi Sawaal Wali Aayat Se Guzarte To Allah Se Sawaal Karte Aur Jab Panaah Wali Aayat Se Guzarte To Allah Ki Panaah Talab Karte.
Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Yah Namaaz Nafil Thi Aur Nafil Namaaz Me Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Qur'ani Aayat Parhte Hue Kahi Allah Ki Paaki Bayan Ki, Kahi Allah Se Sawaal Kiya,Kahi Allah Se Panaah Maangi. Is se Yah Samjha Ja Sakta Hai Ke Nafil Namaaz Me Kuch Wus'at Hai Is Wajah Se Nafil Namaaz Ke Sajdo Me Aap Apni Zabaan Me Du'a Kar Sakte Hai.
Aakhir Baat Yah Hai Ke Du'a Ke Liye Koi Zaroori Nahi Hai Ke Aap Sajde Me Hi Du'a Kare Aap Kabhi Bhi Du'a Kar Sakte Hai Aur Du'a Ke Mukhtalif Afzal Awqaat Hai, In Sab Awqaat Me Du'a Ka Ahtimaam Kare.

WALLAHU A'ALAM BISSAWAAB.

Jawab:FAZILATUSH SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAH
Roman: Khadija Muhammadi
 

Similar threads


Top