Kya Muawiyah Razi Allahu Anhu ne Mejban E Rasool Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu Ki Tauheen ki thi


Abdul Adil

Member
Sayyadana Muawiya Bin Abi Sufiyaan Razi Allahu Anhu Aur ek Zaeef Riwayat

Tahreer :- Fazilat Shaikh Hafiz Nadeem Zaheer Hafizahullah

Romanised :- Abdul Adil Ansari

Baaz log Sayyadana Muawiya Razi Allahu Anhu se bugz ka izhar zaeef wa Mauzu riwayat ki tashheer ya riwayat ki khud shaktha tafheem ke jariye se karte rahte hai. hamare pesh e nazar aisi hi ek riwayat hai jise social media par

Ba-unwaan :- ‘‘Muawiyah Ne Mezban E Rasool Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu ki Tauheen aur hadees e Rasool Ka mazaak udaya’’ Aam kiya ja rha hai social media ki Tahreer darj e jail hai 👇

____________________________________________

Hazrat Anas Razi Allahu Anhu bayan karte hai ki Nabi Sallallahu Alaihi Wasallam Marz-Ul-Wafaat me bahar tashreef laye , sar mubarak par kapde ki patti bandhi huyi thi , ye Aap akhiri baar membar par tashreef laye the , uske baad Aap kabhi membar par Tashreef na la sake Aap ne Allah Ki Hamd Wa Sana ke baad faramaaya 👇

«أُوصِیكُمْ بِالأَنْصَارِ، فَإِنَّهُمْ كَرِشِی وَعَیْبَتِی، وَقَدْ قَضَوُا الَّذِی عَلَیْهِمْ، وَبَقِیَ الَّذِی لَهُمْ، فَاقْبَلُوا مِنْ مُحْسِنِهِمْ، وَتَجَاوَزُوا عَنْ مُسِیئِهِمْ»

«Main Tumhe Ansaar ke bare me wasiyat karta hun , wo mere jism wa jaan hai , unhone apni jimmedari poori kar di , lekin badla jo unhe milna tha wo abhi baaki hai pas tum unke nek karo ki taraf se uzr kaboo kro aur unki khataao se darguzar karte rahna»

Saheeh Bukhari #3799

Nabi E Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki is jordar wasiyat ke Bawzood Mejban E Rasool Hazrat Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu ki kis tarah Tauheen ki is ko darj e zail Riwayat me dekhiye 👇

أَنَّ أَبَا أَیُّوبَ، أَتَى مُعَاوِیَةَ فَذَكَرَ لَهُ حَاجَةً، قَالَ: أَلَسْتَ صَاحِبَ عُثْمَانَ؟ قَالَ: أَمَا «إِنَّ رَسُولَ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَیْهِ وَسَلَّمَ قَدْ أَخْبَرَنَا أَنَّهُ سَیُصِیبُنَا بَعْدَهُ أَثَرَةٌ» قَالَ: وَمَا أَمَرَكُمْ؟ قَالَ: «أَمَرَنَا أَنْ نَصْبِرَ حَتَّى نَرِدَ عَلَیْهِ الْحَوْضَ»۔ قَالَ: فَاصْبِرُوا، قَالَ: فَغَضِبَ أَبُو أَیُّوبَ، وَحَلَفَ أَنْ لَا یُكَلِّمَهُ أَبَدًا۔
ثُمَّ إِنَّ أَبَا أَیُّوبَ أَتَى عَبْدَ اللهِ بْنَ عَبَّاسٍ فَذَكَرَ لَهُ، فَخَرَجَ لَهُ عَنْ بَیْتِهِ كَمَا خَرَجَ أَبُو أَیُّوبَ لِرَسُولِ اللهِ صَلَّى اللهُ عَلَیْهِ وَسَلَّمَ عَنْ بَیْتِهِ، وَقَالَ: إِیشْ تُرِیدُ؟ قَالَ: أَرْبَعَةُ غِلْمَةٍ یَكُونُونَ فِی مَحِلِّی، قَالَ: لَكَ عِنْدِی عِشْرُونَ غُلَامًا۔

Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu ne ( jo hizrat ke mauqe' par Rasoolullah ﷺ Ki mejban bane the ) Muawiyah Ne unse kaha kya tum qatileen e Usman me shamil nahi? Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu ne faramaaya suno Rasoolullah ﷺ ne hame aagah kar diya tha ki unke baad ham ansaar par doosron ko tarzeeh di jayegi

Muawiyah Ne Kaha fir tumhe kya huqm diya gya? Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu ne kaha ki Rasoolullah ﷺ ne hame faramaaya tha 👇

«تم صبر کرنایہاں تک کہ حوض پر مجھ سے ملاقات کرو»۔

Muawiyah Ne Kaha To fir tum sabr hi karo ( is bohtan aur Tauheen par ) Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu Gazabnaak ho gye aur Kasam uthayi ki ayindah kabhi Muawiyah Se kalam nahi karege

Fir Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu ( Abdullah Bin Abbas Razi Allahu Anhu ) ke pass aayen aur unse is waqye ka tazkirah kiya to ibne Abbas Razi Allahu Anhu apne ghar ko unke liye khali karke is tarah bahar nikal gye jis tarah Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu ne Rasoolullah ﷺ ki mejbani ke liye apne ghar ko khali kar diya tha ( Yani Ibne Abbas Ne apna ghar saaz wa saman samet unko tohfe me de diya )

Fir Poocha Koyi aur haajat? Faramaya muje apni jameen par kaam karne ke liye Char gulamo ki Jarurat Hai , is par Hazrat Abdullah Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ne faramaaya ye lijiye 20 gulam meri taraf sw haazir hai n

Al-Mustadrak Lil Haakim 5935 , Al- Zahbi Saheeh , Al-Mozam-ul_Kabeer Lil Tabraani 3876

is riwayat ki sanad

( 1 ) imam haakim ne is riwayat ki sanad ko" mut-tasil sahih" kaha hai, yani kisi bhi Ravi ki tadlees ka inkaar kiya hai .

( 2 ). phir imam haakim ne is riwayat ki" Shahid " ( supportive ) ABDULLAH bin Abbas ki aik riwayat pesh ki hai, is ka bhi mazmoon yahi hai. is se Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu ki riwayat mazeed Qawi ho jati hai .

( 3 ). Hafiz Al-Zahbi ne" talkhis Al-Mustadrak" mein Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu ki is riwayat ko aur is ki sanad ko" sahih" kaha hai .

( 4 ). kisi bhi Maroof Muhaddis ne mustadrik al-hakim ki iss hadees ko zaeef nahi kaha .

Muawiya ka farmaan Rasool ke sath tauheen :-

iss sahih riwayat mein Muawiya ne maizban Rasool Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu hi ki tauheen nahi ki balki farmaan e Rasool ke sath bhi Tauheen kiya hai yeh kah kar ki" phir tum sabr hi karo" .

bajaye iss ki hadees Rasool sun kar Muawiya farmaan Rasool ka ehtram karte, muawiya ne Rasoolullah ﷺ ki baat ka mazaaq udaya ke" jaao phir tum sabr hi karo! "

sahaba hadees rasool sun kar is ka ehtram iss tarhan karte the jis tarhan ABDULLAH bin Abbas ne iss riwayat ke mutabiq kya. yahi farq tha sahaba mein aur muawiya mein. muawiya sirf Rasoolullah ﷺ ko dekhnay ki had tak sahabi thay, warna un mein sahaba wali khususiyaat nahi payi jati theen .


Muawiya ka Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu par bohtan :

muawiya ne jo Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu ko yeh kaha ke" tum Qatleen e usmaan mein shaamil thay ", to yeh muawiya ka maizban Rasool par bohtan tha. Abu Ayyub Ansari Razi Allahu Anhu ka Qatleen e usmaan se qatan koi talluq nahi tha. yeh Muawiya ka sahaba ke khilaaf aik propaganda tha jo is ne mulk e shaam mein apni reaaya mein phailaya hua tha. agar Muawiya hazrat Ali , aur baaz dosray Jayyad sahaba ke khilaaf Qatleen e Usmaan ke" sahoolat car" honay ka propoganda nahi phailatay to mull e shaam se aik bara lashkar jang-e shiffeen mein Hazrat Ali Razi Allahu Amhu ke khilaaf ladnae ke liye kis bunyaad par ikhatta karkay laate? shaam ke logon ko Ali ke khilaaf ladne ke liye gharon se kaise nikaal kar laatay? aur apne aur apne betay Yazid ke Iqtidaar ka rasta kaisay hamwar karte ?

yeh tha muawiya bin Abi Sufyan jis ne Rasoolullah ﷺ ko apne shaher se nikala aur hijrat par majboor kiya, aur phir fatah mecca ke mauqa par musalman ho gaya, aur is ne tauheen uss azeem sahabi ki ki jis ne mecca se nikalay jane par Rasoolullah ﷺ ko apne ghar mein tahraaya aur aap ki maizbani ki !


internet par share ki jane wali post yahan par khatam hoti hai

__________________________________________

qaryin karaam! is tehreer ki bunyaad chunki aik riwayat par rakhi gayi hai. is liye hum is riwayat ke raawiyon ki mukammal tehqeeq aap ke samnay paish karte hain .

jaiza :

is riwayat ki sanad mein aik Rawi habib bin abi saabit mudallis hain aur yeh teesre tabqe ke kaseer ul tadlees, yani sab ke yahan Musalmah tadlees hain aur aisa Rawi jab tak Samaa ki tasreeh nahi kere to woh riwayat zaeef hoti hai, is se Hujjat nahi pakdi ja sakti aur yahan Samaa ka koi saboot nahi, rahi baat tasheeh haakim ki to yeh bhi sab ko tasleem hai ke woh mutasayil hain, neez wazeh illat ke muqablay mein aisi tasheeh ghair maqbool hai .

ilawa azee sanad o matan mein iztiraab bhi hai. tabraani aur mustadrak ki sanad aik hi hai .

is ka jo dosra Shahid bayan kiya gaya hai is mein bhi اعمش aur hukum bin utna dono mudallis hain aur Samaa ki tasreeh nahi .

algaraz is riwayat ka koi Turaq sahih ya hasan nahi aur yeh riwayat zaeef hi hai .

jab riwayat hi zaeef hai to is se khud sakhta istadlaal kyun kar sahih ho sakta hai. aisay logon se mutaliq bas yahi kaha ja sakta

« مُوتُوا۟ بِغَیۡظِكُمۡۗ»
 

Top