RAMAZAAN KE BAAD HAMARI AMALI ZINDAGI


RAMAZAAN KE BAAD HAMARI AMALI ZINDAGI
Tahreer: Sheikh Maqbool Ahmed Salafi Hafizahullah

Islamic Dawah Center Taif, KSA
Romanised: Khadija Muhammadi

Ek Muqaddas Purbahaar Mahina Aur Nekiyo Se Labrez Mahina Jaise Laga Palbhar Me Ham Se Rukhsat Ho Gaya. Is Azeemul Ajar Mahine Se Ijtihaad Karne Wala Hasbe Koshish Aur Taufeeq Nekiyo Se Apna Daaman Bharta Raha. Ab Woh Din Rahe Ke Nekiya Laut Sake Woh Lamhe Rukhsat Ho Gae Jo Rab Ko Behad Azeez The. Magar Yaad Rakhe Allah Ka Karam Aam He Woh Kabhi Sakhawat Aur Karam Ka Darwaza Band Nahi Karta. Maangne Wale Hamesha Pate Rahenge Iltija Karne Wale Sada Ummid Bara Hote Rahenge. Yaha Hame Sochna Yah He Ke Jab Waqai Rab Kareem Me Uska Karam Aam He,Is Par Hamara Imaan He To Fir Uske Faiz E Aam Se Kaise Hamesha Lutf Andaaz Hua Jaae?
Hame Yaad Rahe Ke Istiqbaal E Ramazaan Ke Liye Ham Ne Ek Behtareen Laahiha Murattab Kiya Tha Wahi Laahiha Amal Baad E Ramazaan Bhi Murattab Karne Ki Zaroorat He Taaki Zindagi Ke Awqaat Aaine Islaam Ke Mutaabiq Guzarte Rahe. Dar Asal Zindagi Me Wahi Log Nakaam Hote Hai Jin Ka Koi Laahiha Amal Nahi Hota. Islaam Ka Aain Hame Subah Se Shaam Tak Aur Raat Se Din Tak 24 Ghante Ka Ek Dastoor Deta He Jis Ke Mutaabiq Bandah Subah Saadiq Me Hi Bedaar Ho Kar Rab Ki Bandagi Aur Zikar Kar Ke Bharosa Aur Atimaad Ke Sath Kasabe Maash Ke Liye Allah Ki Zameen Me Phail Jata He Fir Muqaddar Ki Rozi Le Kar Waapas Ho Jata He. Sone Se Pehle Bhi Rab Ki Bandagi Baja Lata He Aur Uth Kar Bhi Pehle Rab Ki Bandagi Karta He Fir Zindagi Ke Liye Sochta Hai Yah Raat Aur Din Ki Islaami Tarze Zindagi Insaan Ko Rab Ki Razamandi Ke Sath Dunya Ki Khair Aur Bhalaai Se Bhi Puri Tarah Lutf Andoz Hone Ka Mauqah Maiyssar Karta He.
Ramazaan Hamare Liye Inaam E Ilaahi Ban Kar Aaya Tha,Woh Ab Dubarah Naseeb Ho Paae Ga Ya Nahi Ke Yah Rab Ki Taufeeq Par Munhasir Hai Lekin Rab Ke Farmaan Me Likha He Uski Ne'mat Milne Par Shukar Guzaari Se Woh Ne'mat Dubarah Mil Sakti Hai.
وإذ تأذن ربكم لئن شكرتم لازيدنكم ولئن كفرتم إن عذابى لشديد.(سوره ابراهيم:٧)
Tarjumah:- Aur Yaad Rakho Tumhare Rab Ne Khabardaar Kar Diya Tha Ke Agar Shukar Guzaar Hoge To Me Tum Ko Aur Ziyadah Nawaazunga Aur Agar Kufraan E Ne'mat Karo Ge To Meri Saza Bahut Sakhat He.
Yah Haq Bhi He Ke Ne'mat Par Shukar Guzaari Kare Warna Na-qadri Se Kufraan E Ne'mat Ka Shikaar Ho Jaaenge Aur Allah Ki Pakad Ke Sath Zawaal E Ne'mat Ke Sazawaar Thehrenge Allah Ka Farmaan He:
فاذكروني أذكركم واشكروا لي ولا تكفرون.(البقره:١٥٢)
Tarjumah: Lihaza Tum Mujhe Yaad Rakho Me Tumhe Yaad Rakhunga Aur Mera Shukar Ada Karo Kufraan E Ne'mat Na Karo.
Nez Farmaan He:
مَّا يَفْعَلُ ٱللَّهُ بِعَذَابِكُمْ إِن شَكَرْتُمْ وَءَامَنتُمْ وَكَانَ ٱللَّهُ شَاكِرًا عَلِيمًا.(النساء:١٤٧)
Tarjumah: Aakhir Allah Ko Kiya Parhi He Ke Tumhe Khwaah Makhwa Saza De Agar Tum Shukr Guzaar Bande Bane Raho Ge Aur Imaan Ki Rawish Par Chalo Allah Bara Qadardaan He Aur Sab Ke Haal We Waaqif He.
Shukar Guzaari Yah He Ke Ham Rab Ki Hamd O Sana Bayaan Kare Uski Ne'mat Ki Qadardani Aur Azmat Ka Ahsaas Hamesha Dil Me Basaae Rakhe Aur Jo Jo Nemate Maiyssar Hui Sab Ke Badle Rab Ka Gun Gaate Fire. Shukar Guzaari Ka Sab Se Aham Darja Hamesha Allah Ka Zikar Karte Rehna He Jis Ka Zikar Allah Ne Is Aayat Me Kiya He.
ٱلَّذِينَ ءَامَنُوا۟ وَتَطْمَئِنُّ قُلُوبُهُم بِذِكْرِ ٱللَّهِ أَلَا بِذِكْرِ ٱللَّهِ تَطْمَئِنُّ ٱلْقُلُوبُ.(الرعد:٢٨)
Tarjumah:- Jo Log Imaan Laae Unke Dil Allah Ke Zikr Se Itminaan Haasil Karte Hai Yaad Rakho Allah Ke Zikar Se Dilo Ko Tasalli Haasil Hoti He.
Allah Ke Zikar Se Muraad Uski Tauheed Ka Bayaan He Jis Se Mushriko Ke Dilo Me Inqibaaz Paida Ho Jata He,Ya Uski Ibaadat Tilaawat Quraan,Nawafil Aur Dua Aur Manajaat He Jo Ahle Imaan Ke Dilo Ki Khauraak He Ya Uske Ahkaam Aur Faraameen Ki Ita'at Aur Baja Aawri He Jis Ke Bagair Ahle Imaan Aur Taqwah Aur Beqaraar Rehte Hai.(Tafseer Ahsanul Bayaan)
ٱتْلُ مَآ أُوحِىَ إِلَيْكَ مِنَ ٱلْكِتَٰبِ وَأَقِمِ ٱلصَّلَوٰةَ إِنَّ ٱلصَّلَوٰةَ تَنْهَىٰ عَنِ ٱلْفَحْشَآءِ وَٱلْمُنكَرِ وَلَذِكْرُ ٱللَّهِ أَكْبَرُ وَٱللَّهُ يَعْلَمُ مَا تصنعون.(سوره العنكبوت:٤٥)
Tarjumah:- Jo Kitaab Allah Ki Taraf Wahi Ki Gai He Use Parhte Rahiye Aur Namaaz Qaim Kare Yaqeenan Namaaz Behayaai Aur Buraai Se Rokti He Beshak Allah Ka Zikar Bahut Badi Chiz Be Tum Jo Kuch Kar Rahe Ho Us Se Allah Khabardaar He.
Ramazaanul Mubarak Ka Laahiha Amal Hame Achchi Tarah Maloom Hi He Use Bas Hameshgi Bakhshni He. Wahi Namaaz Usi Tarah Nifli Roze(Shashi Eidi Roze,Ashra Zilhijja Ke Roze,Arfa Ka Roza, Aashura E Muharram, Ayyame Beez Ke Roze,Peer Aur Jumeraat Ke Roze) Qiyaamul Lail,Dua Aur Manajaat Tasbeeh Aur Tehleel, Sadqa Aur Khairaat, Tilaawat Aur Tadbbur E Quraan,Duroos Aur Bayaanat Ko Sunna, Ahkaam Aur Masaail Ko Janna Aur Ta'at Aur Bhalaai Par Mehnat Aur Mushaqqat Musalsal Hote Rehna Chaahiye. Un Chizo Par Jam Jane Aur Tasalsul Ke Sath Qaaim Rehne Ka Naam Istiqamat He.
Apne Laahiha Amal Me Istiqamat Le Aaenge To Ramazaan Ke Fuyuz Aur Barakaat Saal Bhar Milte Rahenge Istiqaamat Hi Imaan Walo Se Matloob He Allah Jalle Jalalahu Ka Farmaan He:
فاستقم كما أمرت.(هود:١١٢)
Tarjumah:- Pas Ay Muhammad! Tum Aur Tumhare Sathi Jo(Kufr Aur Bagawat Se Imaan Aur Ta'at Ki Taraf)Palat Aae Hai Thik Thik Raahe Rasat Par Saabit Qadam Raho.
Dusri Jagah Irshaad Farmaya:
فاستقموا اليه واستغفروه.(فصلت:٦)
Tarjumah:- Tum Sidhe Usi Ka Rukh Ikhtiyaar Karo Aur Usi Se Astagfaar Karo.
Is Waqt E Zamana Nihaayat Purfitan He,Imaan Waliyo Ko Apna Imaan Bachana Aur Sunnat Ke Mutaabiq Zindagi Guzarna Bahut Dushwaar Ho Gaya He. Subah Me Moamin Sham Me Kaafir Aysa Manzar Barpa Ho Gaya He.
Abu Hurairah RA Se Rivayat Karte Hai Ke Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
بَادرُوا بالأعْمَالِ فِتَنًا كقِطَعِ الليلِ المظْلِمِ، يُصْبحُ الرَّجُلُ مؤمنًا ويُمْسِي كافرًا ويُمْسِي مؤمنًا ويُصْبحُ كافرًا، يبيعُ دينَه بعَرَضٍ مِنَ الدُّنِيا» (رواه مسلم:١١٨)
Tarjumah:- Nek Aamaal Karne Me Jaldi Kiya Karo,Fitne Raat Ki Teh Dar Teh Taarikhi Ki Tarah Umadhte Chale Aaenge Kai Moamin Bhi Subah Ke Waqt Imaan Ki Haalat Me Honge Aur Sham Kufr Ke Aalam Me Karenge, Duniya Ki Haqeer Samaan Ke Liya Deen Ka Soda Kar Lenge.
Ayse Haalat Me Deen Par Istiqaamat Hi Hamare Imaan Ko Shar Aur Fasaad Aur Fitna E Zamana Se Mehfooz Kar Sakta He Mujhe Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Ek Farmaan Yaad Aa Raha He:
عن سفيان بن عبدالله رضي الله عنه قال قلت يا رسول الله صلى الله عليه وسلم قال لى فى الإسلام قولا لا اسأل عنه أحدا غيرك قال قل آمنت بالله ثم استقم. (رواه مسلم: ٣٨)
Tarjumah:- Sulaiman Bin Abdullah RA Se Rivayat He Unhone Kaha Ay Allah Ke Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam ! Mujhe Islaam Ki Ek Aysi Baat Batlaae Ke Fir Aap Ke Baad Kisi Se Uske Mutalliq Sawaal Na Karu. To Aap Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya: Kaho Mera Rab Allah He Aur Usi Par Qaim Raho.
Agar Waqai Ham Istiqaamat Ki Raah Ikhtiyaar Karenge To Allah Uske Badle Hame Jannat Naseeb Kare Ga.
إِنَّ الَّذِينَ قَالُوا رَبُّنَا اللَّهُ ثُمَّ اسْتَقَامُوا تَتَنَزَّلُ عَلَيْهِمُ الْمَلَائِكَةُ أَلَّا تَخَافُوا وَلَا تَحْزَنُوا وَأَبْشِرُوا بِالْجَنَّةِ الَّتِي كُنْتُمْ تُوعَدُونَ.(فصلت:30)
Tarjumah:- (Waqai) Jin Logo Ne Kaha Ke Hamara Parwardigaar Allah He Fir Usi Par Qaim Rahe Unke Paas Farishte(Yah Kehte Hue Aate Hai Ke Tum Kuch Bhi Andesha Aur Gam Na Karo Balke) Us Jannat Ki Khushkhabri Sun Lo Jis Ka Tum Wada Diye Gae Ho.
Istiqaamat Se Hame Khud Bakhud Buraai Se Chhutkara Mile Ga Shaitaan Ham Se Door Bhage Ga,Kabhi Uske Behkawe Ka Shikaar Nahi Honge,Awsaaf E Razeela(Geebat,Dhoka, Ayyaari,Badqumashi,Beimaani Wagairah) Se Najaat Mile Gi Zulam Aur Bagaawat Se Dil Me Tanffur Paida Hoga.

Allah Se Dua He Ke Ramazaanul Mubarak Ke Fuyuz Aur Barakaat Se Hamara Daaman Bhar De,Pichle Tamaam Gunaaho Se Paak Kar De, Duniya Aur Aakhirat Ki Bhalaaiyo Se Mala Maal Kar De Aur Hamesha Hame Deen Par Istiqaamat Naseeb Farmaae. Aameen
 

Similar threads


Top