Miyan , Biwi ke raza mandi par hamal shaqit (abortion) karana kaisa hai


Abdul Adil

Member
Topic :- Miyan , Biwi ke raza mandi par hamal shaqit (abortion) karana kaisa hai

Source :- Islam QA

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Sawal :- Mera khawind (Husband) ye nahi chahata ki baccha paida ho , aur hamesha hi wo hamal ke ibtedayi marahil me mujh se mutalba karta hai ki mai hamal saqit (abortion) kara dun {Mahawari (Period) khatm hone se pahle hafte me hi} to isme Islam ka kya huqm hai?

Khawind ka kahna hai ki iske bare me sari masuliyat uski hai, jab wo aisa karne par hareesh ho to mujhe kya karna chahiye , baki mamalat me wo bahut hi accha Musalman khawind hai , Aap se guzarish hai ki Aap meri rahnumayi farmaye.



Note :- Isi Tarah ka sawal shaikh Saleh Al Usaimin Rahimahullah ke samne pesh kiya gaya :

Kya Shadi ke ibtedayi 2 barash (Two Years) me khawind (Husband) ki raza mandi se maney hamal jayez hai, taki khawind aur biwi ke beech ki aj-doozi jindagi me istemrar par itminan ho sake.

Jawab :- Shaikh Saleh Al Usaimin Rahimahullah ne is sawal ka jawab dete huye kaha tha :

Aisa karna haram nahi , lekin behtar aur afzal ye hai ki aisa na kiya jaye balki unhe nek shagun aur nek faal leni chahiye aur Allah Ta'ala par husn e jan rakhna chahiye .

Aur ye bhi ho sakta hai ki jo bacche ki paidaish me jaldi khawind aur biwi ke beech muhabbat wa ulfat aur talluqat me jyadati aur shak wa gabta paida kare , aur wo baccha khawind aur biwi aur unke khandan walon ki aankho ka thandak bane.


Allah Ta'ala Hi Taufeeq bakhsane wala hai.

Wallahu Alam
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Maqubool Ahmad Salafi Islaah e Mu’aashra 1

Similar threads


Top