'EID KI MUBAARAKBAAD


'EID KI MUBAARAKBAAD

بسم الله الرحمن الرحيم

• Ibn Qudaamah (Rahimahullaah) ne bayaan kiya:

وَذَكَرَ ابْنُ عَقِيلٍ فِي تَهْنِئَةِ الْعِيدِ أَحَادِيثَ، مِنْهَا، أَنَّ مُحَمَّدَ بْنَ زِيَادٍ، قَالَ: كُنْت مَعَ أَبِي أُمَامَةَ الْبَاهِلِيِّ وَغَيْرِهِ مِنْ أَصْحَابِ النَّبِيِّ - صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ - فَكَانُوا إذَا رَجَعُوا مِنْ الْعِيدِ يَقُولُ بَعْضُهُمْ لَبَعْضٍ: تَقَبَّلَ اللَّهُ مِنَّا وَمِنْك. وَقَالَ أَحْمَدُ: إسْنَادُ حَدِيثِ أَبِي أُمَامَةَ إسْنَادٌ جَيِّدٌ.

"Ibn 'Aqeel (Rahimahullaah) ne 'Eid ki Mubaarakbaad dene ke muta'lliq kuch Ahaadees zikr kee hain, jin mein ye Hadees bhi hai ke: Muhammad Bin Ziyaad kehte hain, main Abu Umaamah Baahili aur deegar Nabi Al-Malhamah (ﷺ) ke Sahaabah Karaam ke saath hota tha, chunaanche jab Sahaabah Karaam Namaaz e 'Eid se faarigh hote toh ek doosre ko kehte: "TAQABBALA-ALLAAHU MINNAA WA MINKA"


• Imaam Ahmad (Rahimahullaah) iske baare mein kehte hain ke Abu Umaamah (Raziyallaahu 'Anhu) ki is Hadees ki sanad Jayyid hai."

[Al-Mughni, Fasl: 1440]

- Naaqil: 'Abdul-Mudhill Hafizahullah
(عَبْدُ المُذِلّ حفظہ اللہ)
 
Top