4 Din Qurbani ke mutalliq aqwaal e muhaddiseen wa muhaqiqeen


Abdul Adil

Member
4 Din Qurbani ke mutalliq aqwaal e muhaddiseen wa muhaqiqeen

Tahreer :-
Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

1] Imam Ibne Munzir Rahimahullah (Died 319 Hijj) ne kaha


ووقت الأضحى يوم النحر، وثلاثة أيام بعده أيام التشريق

Qurbani ka waqt Eid ka din aur uske baad Tashreeq ke 3 din hai.

[الإقناع لابن المنذر : 376]

2] Imam Baihaqi Rahimahullah (Died 457 Hijj) ne kaha


وحديث سليمان بن موسى أولاهما أن يقال به والله أعلم

Suleman Bin Moosa (4 Din Qurbani Wali Hadees) Jyada Munasib hai ki uske mutabik mauquf apnaya jaye.

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild-9 Hadees Number - 501]

3] Imam Abu Hasan Al-Wahidi Rahimahullah (Died 468 Hijj) farmate hai


وأول وقـت الـذبـح إذا مضى صدر يوم النحر إلى أن تغرب الشمس من آخر أيام التشريق.

Qurbani ka waqt Eid ke din se lekar Tashreeq ke akhiri din tak hai.

[التفسير الوسيط للواحدی :٢٦٨/٣]


4] Imam Nawawi Rahimahullah (Died 676 Hijj) ne kaha

ويخرج وقت التضحية بغروب الشمس في اليوم الثالث من أيام التشريق.

Qurbani ka waqt Tashreeq ke akhiri din suraj guroob hote hi khatm hoga

[ روضة الــطـالـبيـن لـلـنـووى ٤٦٨/٢]


5] Shaikh ul Islam Ibne Taimiya Rahimahullah (Died 728 Hijj) ne kaha


و آخر وقت ذبح الأضحية آخر أيام التشريق

Qurbani ka akhiri waqt Tashreeq ka akhiri din hai

[الفتاوى الكبرى لابن تيمية :٣٨٤/5 ]

6] Imam Ibne Qaiyyam Rahimahullah (Died 751 Hijj) ne kaha

وقد قال علي بن أبي طالب رضي الله عنه : أيام التخر يوم الأضحى، وثلاثة أيام بعده وهو مذهب إمام أهل البصرة الحسن، وإمام أهل مكة عطاء بن أبي رباح، وإمام أهـل الشـام الأوزاعي، وإمـام فـقـهـاء أهل الحديث الشافعي رحمه الله واختاره ابن الـمـنـذر؛ ولأن الثلاثة تـخـتـص بـگـونها أيام منى، وأيام الرمي وأيام التشريق، ويحرم صيامها، فهـى إخـوة في هذه الأحكام فكيف تفترق في جواز الذبح بغير نص ولا إجماع .وروى مـن وجهـيـن مـخـتـلـفـيـن يشد أحدهما الآخر عن النبي صلى الله عليه وسلم أنه قال : ( كل منى منحر، وكل أيام التشريق ذبح )

Aur Ali Razi Allahu Anhu ne kaha , Qurbani ka din Eid ke din , aur uske baad ka 3 din hai aur yahi ahle basra ke imam hasan basari ka mauquf hai aur yahi ahle macca ke imam ata bin rubah ka mauquf hai aur yahi ahle sham (syria) ke imam auzai ka mauquf hai aur yahi fuqaha e ahle Hadees ke imam Safayi ka mauquf hai aur ise hi imam ibne Munzir ne ikhteyaar kiya hai aur poore ayyam e Tashreeq makhsoosh hai. Mina ke din hone me , rami ke din hone me aur in dino ka roza haram hai, pas jab ye teeno din in tamam ahkaam me barabar hai to fir qurbani ke huqm me kaise alag ho jayenge? (ki kisi din qurbani jayez ho aur kisi din na-jayez) jabki alag hone par na koyi nas sharayi paya jata aur na hi ijma e ummat , balki iske bar-aksh Rasoolullah ﷺ se mutaddad riwayat aayi hai jinse poore Ayyam e Tashreeq me qurbani ka suboot milta hai.

[Zaad ul Ma'ad 2/291]


7] Imam Ibne Kaseer Rahimahullah (Died 774 Hijj) ne kaha

وأن الـراجـح فـي ذلك مذهب الشافعي، رحمه الله، وهو أن وقت الأضحية من يوم النحر إلى آخر أيام التشريق

Aur Is silsile me rayez Imam Safayi Rahimahullah ka mazhab hai aur wo ye ki qurbani ka waqt Eid ke din se lekar tashreeq ke akhir din tak hai.

[Tafseer Ibne Kaseer Publication Darut Tayyaba 1/561]

8] Imam Shaukani Rahimahullah (Died 1250 Hijj) ne kaha

أرجـحهـا الـمـذهـب الأول للأحاديث المذكورة في الباب وهي يقوى بعضها بعضا

4 Din qurbani wala mauquf razeh hai kyunki is silsile me warid Hadees ek doosre se milkar qawi ho jati hai

[ نيل الأوطار ۱۴۹/۵]
 
Last edited:

Similar threads


Top