Qurbani Tumhare Baap Ibrahim Alaihissalm Ki Sunnat Hai.


Abdul Adil

Member
Qurbani Tumhare Baap Ibrahim Alaihissalm Ki Sunnat Hai.

قَالُوْا یَا رَسُوْلَ اللّٰهِ ماَ هٰذِهِ الْاَ ضَاحِی ؟ قَالَ : سُنّٰةُ أَبِیْكُمْ اِبْرَاهِیْمَ ، قَالُوْا ماَ لَنَا مِنْهَا قَالَ بِكُلِّ شعْرَةٍ حَسَنَةُٗ.

Sahaba ne arz kiya ki Aie Allah ke Rasool ﷺ ye qurbaniyan kya hai? Aap ﷺ ne farmaya Tumhare Baap Ibrahim Alaihissalm ki sunnat hai . Sahaba ne arz kiya hamare liye Inme kya sawab hai? Aap ﷺ ne farmaya har baal ke badle neki.

Tahqeeq :-

1] Hafiz Boasri Rahimaullah ne farmaya iski sanad mein Nafeey bin Harish Rawi matrook hai.

[Masabeh Al-Juzazah 3/233]

2] Ibne Tahir Muqdasi Rahimahullah ne is Rawi ko gair Siqa'a kaha hai.

[Marifatul tazkirah Safa : 172]

3] Shaikh Albani Rahimahullah ne is riwayat ko mauzu kaha hai.

[Al-Zaeefa Hadees Number - 527]

4] Shaikh Shoaib Arnaut ne iski sanad ko zaeef kaha hai aur farmaya ki isme Nafeey Rawi matrook aur Ayazullah Mazashayee Zaeef hai.

[Musnad Ahmad Muhaqkiq 19283]

Isi Tarah se Ibne Maja me ek riwayat hai Mulahiza farmaye

حَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ خَلَفٍ الْعَسْقَلَانِيُّ قَالَ : حَدَّثَنَا آدَمُ بْنُ أَبِي إِيَاسٍ قَالَ : حَدَّثَنَا سَلَّامُ بْنُ مِسْكِينٍ قَالَ : حَدَّثَنَا عَائِذُ اللَّهِ ، عَنْ أَبِي دَاوُدَ ، عَنْ زَيْدِ بْنِ أَرْقَمَ ، قَالَ : قَالَ أَصْحَابُ رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ : يَا رَسُولَ اللَّهِ مَا هَذِهِ الْأَضَاحِيُّ؟ قَالَ : «سُنَّةُ أَبِيكُمْ إِبْرَاهِيمَ» قَالُوا : فَمَا لَنَا فِيهَا يَا رَسُولَ اللَّهِ؟ قَالَ : «بِكُلِّ شَعَرَةٍ ، حَسَنَةٌ» قَالُوا : فَالصُّوفُ؟ يَا رَسُولَ اللَّهِ قَالَ : «بِكُلِّ شَعَرَةٍ مِنَ الصُّوفِ ، حَسَنَةٌ»

Hazrat Zaid Bin Arqam Razi Allahu Anhu se riwayat hai ki Rasoolullah ﷺ ke Ashaab Razi Allahu Anhuma ne kaha : Aie Allah ke Rasool , Ye Qurbaniyan kya hai ? Rasoolullah ﷺ ne farmaya : ‘‘Tumhare baap Ibrahim Alaihissalm ki sunnat hai’’ . Unhone (Sahaba) ne kaha : Isme hamare liye kya (sawab) hai ? Aap ﷺ ne farmaya : Har baal ke badle me neki. Sahaba ne kaha : Aie Allah Ke Rasool Aur Oon ? Aap ﷺ ne farmaya oon ke bhi har baal ke badle neki hai.


[Sunan Ibne Maaja Hadees Number : 3127]

Tahqeeq :- Sanad mein Abu Dawood Nakhayi Matrook ul hadees hai balki mutaham bil-wazeh rawi hai , Mulahiza Farmaye :- Miskatul Masabeh : 1476]

Shaikh Albani Aur Hafiz Zubair Ali Zai Rahimahullah ne is hadees ko zaeef uz ziddah kaha hai .
 

Top