RAMAZAAN SE MUTALLIQ KUCH GALAT FEHMIYO KA IZALA


RAMAZAAN SE MUTALLIQ KUCH GALAT FEHMIYO KA IZALA
Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah/ Jeddah Dawah Center -KSA
Romanised By Khadija Muhammadi

Ramazaanul Mubarak Se Mutalliq Ahkaam O Masaail Jasta Jasta Qisto Ki Shakal Me Aap Logo Ki Khidmat Me Paish Karta Hu. In-Sha-Allah
Inme Taqreeban Ramazaanul Mubarak Ke Aksar Ahkaam O Masaail Aa Jaaenge. Barwaqt Point Ki Shakal Me Ramazaan Se Mutalliq Chand Galat Fehmiyo Ka Izala Kar Deta Hu Taaki Un Baato Ki Haqeeqat Hame Pehle Se Maloom Rahe Aur Apne Alawah Dusro Ko Bhi Unse Aagaah Karenge.
(1) Pehli Baat Yah Zahan Nasheen Rahe Ke Ramazaan Ka Istiqbaal Karne Ki Koi Makhsoos Dua Ya Koi Makhsus Tariqah Nahi He Aur Na Hi Istiqbaal E Ramazaan Me Se Ek-Do Din Pehle Rozah Rakhna Saabit He Balke Mumaniat Ki Hadees Aai He.
(2) Ramazaan Ka Chand Dekhna Har Ek Ko Zaroori Nahi He Chand Ne Dekh Liya To Kaafi He Isi Tarah Atimaad Shakhash Khabro Ke Zariya Ramazaan Ke Chand Ka Saboot Milne Par Rozah Rakha Jaae Ga.
(3) Logo Ke Andar Yah Galat Fehmi He Ke Rozah Rakhne Ki Koi Makhsoos Dua He Jab Ke Aysi Koi Baat Nahi Balke Rozah Rakhne Ke Liye Sirf Niyyat Ki Zaroorat He Jo Sehri Khane Se Pehle Pehle Kisi Bhi Waqt Kar Sakte Hai Aur Sehri Khana Masnoon He.
(4) Kuch Log Yah Sochte Hai Ke Rozah Ki Haalat Me Ahtelaam Hone Se Rozah Toot Jata He Is Wajah Se Agar Kisi Ko Din Me Ahtelaam Ho Jaae To Apna Rozah Torh Leta He Jo Ke Bahut Barhi Galti He. Ahtelaam Se Rozah Nahi Tootta Ahtelaam Hone Par Gusal Kar Le Bas.
(5) Kuch Log Yah Sochte Hai Ke Janabat Yani Napaki Ki Haalat Me Sehri Nahi Khaai Jati Yah Bhi Galat He. Napaki Ki Haalat Me Bhi Sehri Kha Sakte Hai Taaham Fajr Se Pehle Gusal Kar Le Taaki Jama'at Se Fajr Ki Namaaz Parh Sake.
(6) Roze Ki Haalat Me Biwi Se Jim'a Karna Mana He. Hansi Mazaaq Karna,Kiss Karna,Bashart Yah Ke Jim'a Waqe Hone Ka Khatrah Na Ho To Jaiz He. Raat Me Biwi Se Jim'a Kar Sakte Hai.
(7) Roze Ki Haalat Me Aurat Apne Bachche Ko Dudh Pila Sakti He Is Se Rozah Nahi Tootta He. Hamila Aur Dudh Pilane Aurto Ko Rozah Rakhne Se Bachche Ko Ya Khud Ko Nuqsaan Na Ho To Woh Rozah Bhi Rakh Sakti He.
(8) Bagair Namaaz Ada Kiye Bhuk Aur Piyaas Bardashat Karne Wale Samjhate Hai Hamara Bhi Rozah Sahih He Jab Ke Namaaz Ki Adaaegi Na Karne Ka Koi Amal Qabool Nahi Hoga Ha Bagair Taraaweeh Parhe Rozah Sahih He Magar Chunki Ramazaan Me Qiyaamul Lail Ka Sawaab Bahut Hi Ziyadah Hai Is Liye Taraaweeh Ka Bhi Khaas Ahtimaam Karna Chaahiye.
(9) Ramazaan Me Aa Kar Koi Shaadi Karna Chaahe To Koi Harj Nahi Haalat E Rozah Me Mubashrat Karna Mana He Raat Me Ijaazat He.
(10) Rozah Me Bagair Taaqat Wala Injection Kaan Aur Aankh Ka Drops Istimaal Kar Sakte Hai Isi Tarah Kam Asar Wala Toothpaste Bhi Istimaal Kar Sakte Hai Yah Amal Raat Tak Let Kar Le To Behtar He Albatta Naak Ke Drops Ke Mutalliq Ikhtilaaf He Ise Bhi Raat Tak Muakhkhar Kar Liya Jaae To Ziyadah Behtar He.
(11) Roze Ki Haalat Me Ajnabi Ladki Se Baat Kar Li,Ya Film Dekh Liya, Gana Sun Liya Taash Khel Liya Ya Cricket Wagairah Me Waqt Barbaad Kar Diya To Un Baato Se Rozah Nahi Tootta Magar Ajnabi Ladki Se Baat Karna,Film Dekhna, Gana Sunna Haraam He Aur Yah Na Sirf Roze Ki Haalat Me Mana Hai Balke Aam Dino Me Bhi Mana He Aur Waqt Ko Barbaad Karne Wale Kaamo Maslan Taash Aur Cricket Wagairah Se Bachna Behtar He Taaki Faraaiz Aur Waajibaat Ki Adaaegi Me Kotaahi Na Ho. Agar Yah Kaam Shart Wala Ho To Haraam He.
(12) Haalat E Rozah Thook Nigalne Se Rozah Faasid Nahi Hota Magar Balgam Baahar Phaink De Kuy Ke Isme Bimaari He Isi Tarah Rozah Me Khoon Nigalne Ya Anjaane Me Halaq Me Kuch Chale Jane Se Rozah Nahi Tootta.
(13) Kuch Aurte Yah Taswwur Karti Hai Ke Rozah Me Hijaab Me Na Rehna Se Rozah Toot Jata He Yah Bhi Galat He Ham Yah Kahenge Ke Khatoon Ke Liye Hijaab Ramazaan Aur Gair Ramazaan Hamesha Zaroori He. Bepardagi Ka Talluq Rozah Tootne Se Nahi He.
(14) Ramazaan Me Sam Taur Se Logo Ke Kirdaar Se Maloom Hota He Ke Islaam Me Achchaai Ka Talluq Sirf Ramazaan Se Hi He Haalanki Achchaai Hamesha Achchaai He Aur Buraai Hamesha Buraai He Is Liye Musalmano Ko Ramazaan Ke Baad Bhi Ramazaan Ki Tarah Hi Achchaai Ki Taraf Ragbat Aur Buraai Se Be-etinaai Honi Chaahiye.
(15) Cigarette Noshi Haraam Kaam Ke Sath Roze Ke Baatil Ka Bhi Sabab He Kuy Ke Iska Asar Stomach Tak Jata He.
(16) Sun Doobne Ke Baad Iftaari Me Ehtiyaat Karna Sarasar Shariat Ki Khilaaf Warzi He. Yah Galati Ahnaaf Aur Barelwi Ke Yaha Paai Jaati He.
(17) Logo Me Yah Baat Mashhoor He Ke Iftaar Ke Waqt Bande Aur Rab Ke Darmiyaan Ka Pardah Utha Diya Jata He. Is Baat Ki Koi Haqeeqat Nahi He Yah Kisi Sahih Hadees Me Mazkoor Nahi.
(18) Taraweeh Ki Namaaz Me Har 2 Rakat Par Buland Aawaaz Se Koi Khaas Zikar Parhne Ka Koi Saboot Nahi He.
(19) Yah Baat Bhi Kisi Sahih Hadees Se Saabit Nahi He Ramazaan Me Faut Hone Se Hisaab Kitaab Nahi Hota Aur Woh Bilahisaab Jannat Me Chala Jata He Ek Hadees Is Tarah Ki Aati He Ke Jo Allah Ki Raza Ke Liye Rozah Rakhe Aur Usi Haalat Me Mar Jaae To Jannat Me Daakhil Hoga.(Musnad E Ahmed:22813)
(20) Kuch Log Zakaat Dene Ke Liye Ramazaan Ka Intizaar Karte Hai Yah Bhi Sahih Nahi He. Zakaat Ka Talluq Nisaab Aur Saal Pura Hone Se He. Nisaab Tak Pohnchne Ke Baad Jaise Hi Saal Pura Ho Jaae Zakaat Ada Kar De Iske Liye Let Karna Aur Ramazaan Ka Intizaar Karna Sahih Nahi He Albatta Agar Ramazaan Me Saal Pura Hota Ho Ya Shawwal Me To Kuch Paishgi Zakaat Di Ja Sakti He. Ha Is Mahine Me Kasrat Se Sadqah De Sakte Hai Jaisa Ke Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Se Saabit He.
(21) 27wi Ki Raat Sadqah Karna Kuch Ke Yaha Khaas He. Iska Mani Hua Ke 27wi Ki Raat Hi Shabe Qadr He Jab Ke Yah Raat Har Saal Badalti Rehti He. Kabhi 21,Kabhi 23,Kabhi 25,Kabhi 27 Aur Kabhi 29 Ki Raat Hoti He Un Raato Me Ta'aat Ke Kaam Karna Barhe Ajar O Sawaab Ka Kaam He Ta'aat Ke Kaamo Me Sadqah Bhi He Lihaza Bagair 27 Raat Surf Kiye Un Sabhi Raato Me Sadqah Aur Khairaat Kare Taaki Shab E Qadr Paane Ka Imkaan Ho.
(22) Ramazaan Ke Aakhir Me Har Jagah Aur Harkis Aur Naakis Ki Zabaan Par Yah Jumla Aam Hota He Ke Is Saal Fitrana Kitna Rupees Hai? Goya Logo Ne Raqam Ko Hi Fitrana Samjh Rakha He Aur Unhe Guid Karne Wale Ulma Bhi Ayse Hi Hai Jo Pehle Se Calculator Se Hisaab Kiye Hue Bethe Hote Hai. Fitrana Ki Asal Fi Kas "Dhaai Kilo" Anaaj He. Fitra Dene Wala Khane Ke Kisi Bhi Anaaj Se Dhaai Kilo De Sakta Hai. Ek Rate Lagane Wale Ulma Ko Anaaj Ke Bajaae Rupees Nikaalne Aur Ek Makhsoos Anaaj Ka Rate Fix Karne Ka Kis Ne Ikhtiyaar Diya He? Ulma Ko Chaahiye Ke Logo Ko Fitrane Ki Haqeeqat Bataae Taaki Fitrana Lene Aur Dene Wale Tamaam Logo Ko Aasaani Ho. Yah Alag Baat He Ke Bawaqt E Zaroorat Fitrane Ki Raqam Bhi Nikaali Ja Sakti Hai.
 

Similar threads


Top