8+3=11 Rakat Taraweeh Ke Mutalliq Hazrat Jabir Razi Allahu Anhu Ki Hadees


Abdul Adil

Member
Imam Ibne Khuzaimah Rahimaullah ne kaha

نا مُحَمَّدُ بْنُ الْعَلَاءِ بْنِ كُرَيْبٍ، نا مَالِكٌ يَعْنِي ابْنَ إِسْمَاعِيلَ، نا يَعْقُوبُ، ح وَثنا مُحَمَّدُ بْنُ عُثْمَانَ الْعِجْلِيُّ، نا عُبَيْدُ اللَّهِ يَعْنِي ابْنَ مُوسَى، نا يَعْقُوبُ وهو ابْنُ عَبْدِ اللَّهِ الْقُمِّيُّ، عَنْ عِيسَى بْنِ جَارِيَةَ، عَنْ جَابِرِ بْنِ عَبْدِ اللَّهِ قَالَ: صَلَّى بِنَا رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ فِي رَمَضَانَ ثَمَانِ رَكَعَاتٍ وَالْوِتْرَ، فَلَمَّا كَانَ مِنَ الْقَابِلَةِ اجْتَمَعْنَا فِي الْمَسْجِدِ وَرَجَوْنَا أَنْ يَخْرُجَ إِلَيْنَا، فَلَمْ نَزَلْ فِي الْمَسْجِدِ حَتَّى أَصْبَحْنَا، فَدَخَلْنَا عَلَى رَسُولِ اللَّهِ صَلَّى اللهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، فَقُلْنَا لَهُ: يَا رَسُولَ اللَّهِ، رَجَوْنَا أَنْ تَخْرُجَ إِلَيْنَا فَتُصَلِّيَ بِنَا، فَقَالَ:

«كَرِهْتُ أَنْ يُكْتَبَ عَلَيْكُمُ الْوِتْرُ»

Ki JABIR BIN ABDULLAH Razi Allahu Amhu se RIWAYAT hai ki ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne hame RAMAZAN me 8 RAKA’AT aur WITR padhayi phir agli bar hum MASJID me JAMA hue aur ye UMMEED ki ki ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hamare pas (IMAMAT) ke liye aayenge yaha tk ki SUBAH ho gayi phir ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hamare pas aaye to hum ne kaha Aie ALLAH ke NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM hume UMMEED thi ki AAP hamare pas aayenge aur IMAMAT karayenge to AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne farmaya mujhe KHTRA hua ki WITR tum par FARZ na kar di jaaye

[SAHEEH IBN KHUZAIMA JILD 2 SAFA 261]




YE HADEES BILKUL SAHEEH HAI IS HADEES KE EK RAWI EESA BIN JARIYAH RH PAR BAAZ JARAH KI JAATI HAI INSHA ALLAH USKA MUDALLAL JAWAB DIYA JAYEGA PEHLE INKO SIQAA KEHNE WAALO KO DEKH LETE HAIN



Esa Bin Jariyah Rahimahullah Muhaddiseen Ki Adalat me

1- IMAM ABU ZAR’AA AL RAAZI RH ne kaha

لا بأس به

Ki inme koi HARJ ki bat nahi yani ye SIQA hain

[[ AL JARAH WA TA’DEEL JILD 6 SAFA 273] ]

2- IMAM HAISHMI RH ne kaha

وثقه أبو زرعة

Ki ABU ZAR’AA ne inhe SIQA kaha hai

[[ MAJMOO AZ ZAWAID JILD 2 SAFA 186 ]]

3- IMAM IBN KHUZAIMAH RH ne bhi is HADEES ko SAHEEH kaha hai jaisa ki unki KITAB SAHEEH IBN KHUZAIMA se ye HADEES NAQAL ki gayi hai

4- IMAM IBN HIBBAN RH ne inhe SIQAAT me zikr kiya hai

[[ SIQAAT JILD 5 SAFA 214] ]

NEZ IMAM IBN HIBBAN RH ne inki HADEES ko SAHEEH bhi kaha hai

[[ SAHEEH IBN HIBBAN JILD 6 SAFA 169 ]]

5- IMAM ABU YA’ALA AL KHALEELI RH ne kaha

عِيسَى بْنُ جَارِيَةَ تَابِعِيُّ ۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔۔ وَرَوَى عَنْهُ الْعُلَمَاءُ مَحِلُّهُ الصِّدْقُ

Ki EESA BIN JARIYAH TABAYI hain,inse ULAMA ne RIWAYAT kiya hai ye SACHCHE hain

[[ AL IRSHAD FI MA’RIFA ULAMA UL HADEES JILD 2 SAFA 785,786 ]]

6- IMAM MUNZIREE RH ne inki ek RIWAYAT ke baare me kaha

رواه أبو يعلى بإسناد جيد وابن حبان في صحيحه

Ki ise ABU YA’ALA RH ne JAYYAD SANAD se RIWAYAT kiya hai aur IBN HIBBAN RH ne ise apni SAHEEH me RIWAYAT kiya hai

[[ AT TARGEEB WAT TARHEEB JILD 1 SAFA 293 ]]

7- IMAM ZAHBI RH ne inki isi RIWAYAT ke baare me kaha

إسناده وسط

Ki iski SANAD AUSATT DARJE ki hai

[[ MEEZAN UL AITEDAL JILD 3 SAFA 311 ]]

8- IMAM HAISHMI RH ne inki ek RIWAYAT ke baad kaha

رواه أبو يعلى والطبراني في الأوسط بنحوه وفي الكبير باختصار ورجال أبي يعلى ثقات.

Ki ise ABU YA’ALA RH ne RIWAYAT kiya hai aur TABRANI RH ne AUSAT me isi jaisa RIWAYAT kiya hai aur KABEER me IKHTISAR ke sath RIWAYAT kiya hai aur ABU YA’ALA ke RIJAAL SIQA hain

[[ MAJMOO AZ ZAWAID JILD 2 SAFA 340 ]]

9- IMAM BUSEERI RH ne inki ek RIWAYAT ke baare me kaha

هَذَا إِسْنَاد حسن يَعْقُوب مُخْتَلف فِيهِ وَالْبَاقِي ثِقَات

Ki ye SANAD HASAN hai YAQOOB MUKHTALIF FEE hai aur baaqi RIJAAL SIQA hain

[[ MISBAH AL ZAJAJAH JILD 4 SAFA 245] ]

10- IMAM IBN HAJAR RH ne inki ek RIWAYAT ke baare me kaha

رجاله ثقات

Ki iske RIJAAL SIQA hain

[[ AL ASABAH JILD 3 SAFA 349] ]

AHNAF KE NAZDEEQ BHI YE RAAWI SIQAA HAI

11- NEEMWI HANAFI ne inki ek RIWAYAT NAQAL kar ke kaha

اسنادہ صحیح

Ki iski SANAD SAHEEH hai

[[ AASAR US SUNAN RIWAYAT NO. 961 ]]

12- MULLA ALI QARI ne kaha

فإنه صح عنه أنه صلى بهم ثماني ركعات والوتر

Kyon ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM se BASANAD SAHEEH SABIT hai ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne SAHABA RZ ko 8 RAKA’AT aur WITR padhayi

[[ MIRQAT UL MAFATEEH JILD 3 SAFA 971 ]]

13- ANWAR SHAH KASHMEERI RH ne kaha

وفي الصحاح صلاة تراويحه عليه الصلاة والسلام ثماني ركعات

Ki aur SAHEEH HADEES ki KUTUB me hai ki AAP SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ki TARAWEEH 8 RAKA’AT thi

[[ ARF US SHUZI JILD 1 SAFA 412 ]]

AB IS RAAWI PAR JO JIRAH HAI INSHA ALLAH USKA JAWAB MULAHIZA HO

1- IMAM IBN MU’EEN RH ne kaha

عيسى بن جارية عنده أحاديث مناكير

Ki EESA BIN JARIYAH,unke paas MUNKIR AHADEES hain

[[ TAREEKH IBN MU’EEN RIWAYAH AD DAORI JILD 4 SAFA 369 ]]

NOTE>> IN ALFAAZ me EESA BIN JARIYAH par BARAH RAAST JARAH nahi hai qki IMAM IBN MU’EEN RH ne kaha hai ki unke paas MUNKIR AHADEES hain,Aur kisi ke paas MAHEZ MUNKIR AHADEES ka hona is baat ko MUSTALZIM nahi hai ki wo RAAWI MUNKIR UL HADEES hai

IMAM ZAHBI RH ne kaha

ما كل من روى المناكير يضعف

Ki aisa nahi hai ki jis kisi ne bhi MUNKIR AHADEES RIWAYAT ki wo ZA’EEF QARAR payega

[[ MEEZAN UL AITEDAL JILD 1 SAFA 118 ]]

MAZEED ye ki Baaz MUHADDISEEN MAHEZ TAFARRUD ke MA’NA me bhi NAKARAT ki jarah karte hain Ya’ni MUNKIR Kehne ka matlab ye hota hai ki Falaa’n RAAWI ke paas aisi AHADEES hain jinki MUTABIAT nahi milti aur MAHEZ is CHEEZ se RAAWI par LAAZMI JIRAH SAABIT nahi hoti dekhiye

[[ SHIFA UL ALEEL BALFAZ WA QAWAID UL JARAH WA TADEEL SAFA 310,311 ]]

Hum EESA BIN JARIYAH hi se MUTA’ALLIQ IMAM IBN MU’EEN RH ke deegar AQWAL dekhte hain to MALOOM hota hai ki IMAM IBN MU’EEN RH ne TAFARRUD ke MA’NA me hi inki AHADEES ko MUNKIR kaha hai chunancha ek doosre mauqe par IMAM IBN MU’EEN RH ne kaha

روى عنه يعقوب القمي لا نعلم أحدا روى عنه غيره وحديثه ليس بذاك

Ki inse YA’QOOB ALQAMI ne RIWAYAT kiya hai aur hum nahi jante ki inke ALAWA bhi kisi ne unse RIWAYAT kiya hai aur inki HADEES A’ALA DARJE ki HADEES nahi hai

[[ TAREEKH IBN MU’EEN RIWAYAH ADDAORI JILD 4 SAFA 365 ]]

IMAM IBN MU’EEN RH ke is QAUL se ye baat SAAF ho gayi ki unhone TAFARRUD ke MA’NA me hi inki AHADEES ko MUNKIR kaha hai aur is MA’NA me agar kisi RAAWI ki HADEES ko MUNKIR kaha jaye to us se RAAWI ki TAZ’EEF LAAZIM nahi aati

Iske alawa IMAM IBN MU’EEN RH ne us ki HADEES ko ”لیس بذاک bhi kaha hai aur is Segaa se HADEES ki TAZ’EEF nahi hoti hai balki A’ALA DARJE ki SEHAT ki NAFI hoti hai lehaza ek taraf IBN MU’EEN RH ka unki HADEES ko MUNKIR kehna aur doosri taraf unki HADEES ko ”لیس بذاک kehna is baat ki DALEEL hai ki IMAM IBN MU’EEN RH ki NAZAR me yaha MUNKIR se MURAAD HADEES ki TAZ’EEF nahi balki A’ALA DARJE ki SEHAT ki NAFI hai isi tarah EESA BIN JARIYAH RH inke NAZDEEQ ZA’EEF nahi balki A’ALA DARJE ke SIQAA nahi hain

NEZ IMAM IBN MU’EEN RH ne inke baare me jo ye kaha

ليس بشيء

Ki unka koi MAQAAM nahi

[[ SAWALAT IBN UL JUNAID SAFA 302 ]]

To isse IMAM IBN MU’EEN RH ki MURAAD JARAH nahi balki unka QALEEL UL HADEES hona hai q ki IMAM IBN MU’EEN RH QALEEL UL HADEES ke MA’NA me bhi ليس بشيء ke ALFAAZ bolte hain dekhiye

[[ AL TAREEF BARIJAAL MUATTA JILD 3 SAFA 812 ]]

[[ FATAHUL MUGEES JILD 2 SAFA 123 ]]

[[ ALTANKEEL SAFA 54 ]]

NEZ IMAM IBN HAJAR RH likhte hain ki

وذكر ابن القطان الفاسي أن مراد ابن معين يقوله في بعض الروايات: ليس بشئ’ يعني أن احاديثه قليلة جداً

Ki IBN QATTAN ALFAASI RH ne ZIKR kiya hai ki BAAZ RIWAYAAT me IMAM IBN MU’EEN RH ke QAUL ليس بشئ se MURAAD ye hota hai ki wo QALEEL UL HADEES hain

[[ HADYUS SAARI MUQADDAMA FATAHUL BARI SAFA 441 ]]

Aur yaha is MA’NA ke liye QAREENA IMAM IBN MU’EEN RH ka ye farmana hai ki mai nahi janta ki YAQOOB ALQUMEE ke alawa kisi aur ne inse RIWAYAT kiya hai KAMA MAZAAA. Ye is baat ki DALEEL hai ki IMAM IBN MU’EEN RH ki nazar me ye QALEEL UL RIWAYAH the aur isi SABAB IMAM IBN MU’EEN RH ne inhe ليس بشئ kaha hai

2- IMAM ABU DAWOOD RH ne kaha

منكر الحديث

Ye MUNKIR UL HADEES hai

[[ TAHZEEB UL KAMAL JILD 22 SAFA 589 ]]

Arz hai IMAM MIZZI RH ne IMAM ABU DAWOOD RH se ye bhi NAQAL kiya hai ki

وَقَال في موضع آخر : ما أعرفه ، روى مناكير.

IMAM ABU DAWOOD RH ne doosre MAQAAM par kaha ki mai ise nahi janta isne MUNKIR RIWAYAAT NAQAL ki hain

[[ TAHZEEB UL KAMAL JILD 22 SAFA 590 ]]

IMAM ABU DAWOOD RH ke is doosre QAUL se ye WAAZEH ho gaya ki IMAM ABU DAWOOD RH ne is RAAWI ko MUNKIR UL HADEES sirf is MA’NA me kaha hai ki inhone MUNKIR RIWAYAT NAQAL ki hain aur sirf itni baat se kisi RAAWI ki TAZ’EEF SABIT nahi hoti q ki kisi RAAWI ka MUNKIR UL HADEES hona aur kisi RAAWI ka MUNKIR RIWAYAAT BAYAN karna dono me FARQ hai KAMA MAZAA

3- IMAM NISAYI RH ne kaha

عيسى بن جارية يروي عنه يعقوب القمي منكر

Ki EESA BIN JAARIYAH inse YAQOOB ALQUMEE RIWAYAT karte hain ye MUNKIR hai

[[ AZ ZUAFAA WAL MATRUKEEN SAFA 176 ]]

Arz hai IMAM NISAYI RH TAFARRUD ke MA’NA me bhi MUNKIR bol dete hain aur EESA BIN JAARIYAH RH kayi RIWAYAT me MUNFARID hain isliye bahut MUMKIN hai ki IMAM NISAYI RH ne TAFARRUD ke MA’NA me NAKARAT ki JARAH ki ho

IMAM IBN HAJAR RH ne kaha

فقد أطلق الإمام أحمد والنسائي وغير واحد من النقاد لفظ المنكر على مجرد التفرد

Ki IMAM AHMAD aur IMAM NISAYI wagairah NAQIDEEN ne lafz MUNKIR ko MAHEZ TAFARRUD ke MA’NA me ISTEMAAL kiya hai

[[ AL NUKT ALA KITAB IBN SALAAH JILD 2 SAFA 674 ]]

Iske alawa IMAM NISAYI Rh MUTASHADDIDEEN me se bhi hain jaisa ki IMAM jaisa ki IMAM ZAHBI aur IMAM IBN HAJAR RH ne kaha hai dekhiye

[[ MEEZAN UL AITEDAL JILD 1 SAFA 437 ]]

[[ MUQADDAMA FATAHUL BARI SAFA 387 ]]

Wazeh rahe ki baaz log IMAM NISAYI RH se is RAAWI se MUTA’ALLIQ MUNKIR UL HADEES aur MATROOK ki JARAH naqal karte hain lekin ye ALFAZ IMAM NISAYI RH se SABIT nahi

IMAM NISAYI RH ki KITAB me sirf MUNKIR ka LAFZ hai galiban baaz AHLE ILM ne ise MUNKIR UL HADEES ke MA’NA me samajh kar MA’NAWI TAUR par MUNKIR UL HADEES NAQAL kar diya hai

Aur MATROOK ka LAFZ IMAM NISAYI RH ne apni KITAB me isse QABL wale RAAWI EESA BIN ABDUR RAHMAN ke baare me kaha hai

[[ AZ ZUAFA WAL MATRUKEEN SAFA 176 ]]

Aur baaz logo ne SABQAT NAZAR ke is JARAH ko baad wale RAAWI EESA BIN JARIYAH ke baare me samajh liya

Is tarah ki misaalon ke liye dekhiye ANWAR UL BADAR FI WAZ’A ALYADAINI ALA SADAR

4- IMAM IBN ADEE RH ne kaha

كلها غير محفوظة

Iski MAZKOORA tamam AHADEES GHAIR MAHFOOZ hain

[[ AL KAMIL JILD 6 SAFA 438 ]]

ARZ hai IMAM IBN ADEE RH ne ye TABSERA karne se QABL EESA BIN JARIYAH baaz MUHADDISEEN se NAKARAT ki JARAH naqal ki hai jo SABIT nahi hai jisse MALOOM hua ki IMAM IBN ADEE RH ki JARAH ki BUNIYAD GHAIR SABIT AQWAL hain lehaza IBN ADEE RH ki JARAH GHAIR MASMOO’A hai

IMAM IBN HAJAR RH ne kaha

فيه لين

Ki isme KAMZORI hai

[[ TAQREEB UT TAHZEEB RAQAM 5288 ]]

ARZ hai ki ye bahut HALKI JARAH hai jisse TAZ’EEF LAAZIM nahi aati hai yahi waja hai ki doosre MAQAM par IMAM IBN HAJAR RH ne kaha

رجاله ثقات

Ki iske RIJAAL SIQAA hain

[[ AL ASAABAH JILD 3 SAFA 349 ]]

Aur ek doosre MAQAM par inki ek RIWAYAT ko HASAN QARAR dete hue likhte hain

كما أخرجه أبو يعلى بإسناد حسن من رواية عيسى بن جارية

Ki jaisa ki ABU YA’ALA ne EESA BIN JARIYAH ki RIWAYAT HASAN SANAD se NAQAL ki hai

[[ FATAHUL BARI JILD 2 SAFA 198 ]]

5- IMAM UQAILI RH ne ZUAFAA me is RAAWI ka tazkira kiya hai lekin khud koi jarah nahi ki hai aur MAHEZ ZUAFAA wali KITAB me kisi RAAWI ke TAZKIRA se ye NATEEJA nikalna DRUST nahi hai ki ZUAFAA ke MUALLIF ki NAZAR me ye RAAWI ZA’EEF hai yahi MAMLA IMAM IBN JAUZI aur IMAM SAAJI RH ka hai dekhi YAZEED BIN MAAWIYAH PAR ILZAMAT KA TAHQEEQI JAAIZA

KHULASA YE HAI KI EESA BIN JARIYAH RH par koi bhi MOTABAR JARAH SABIT NAHI HAI LEHAZA YE SIQAA HAIN BAHUT SAARE MUHADDISEEN NE INKI TAUSEEQ KI HAI JAISA KI SHURU ME TAFSEEL PESH KI GAYI

AB AATE HAIN IS HADEES KE DOOSRE RAAWI YAQOOB BIN ABDULLAH ALQUMEE RH KI TARAF



1- IMAM IBN MU’EEN RH ne kaha

ثقة

Ki ye SIQAA hain

[[ SU’AALAT IBN UL JUNAID SAFA 411 ]]

2- IMAM IBN HIBBAN RH ne inka ZIKR SIQAAT me karte hue kaha

يعقوب بن عبد الله بن سعد الأشعري القمي۔۔۔

[[ SIQAAT JILD 7 SAFA 645 ]]

3- IMAM TABRANI RH ne inki yahi HADEES NAQAL kar ke kaha

ثقة

Ki ye SIQAA hain

[[ AL MU’JAM US SAGEER JILD 1 SAFA 317 ]]

4- IMAM ZAHBI RH ne kaha

صدوق

Ki ye SUDOOQ hain

[[ ALKAASHIF JILD 2 SAFA 394 ]]

Aur ek doosri jaga kaha

الإمام، المحدث، المفسر

Ki Aap IMAM, MUHADDIS aur MUFASSIR hain

[[ SIAR A’LAM UN NUBALA JILD 8 SAFA 299 ]]

IMAM DARQUTNI RH ne kaha

ضعيف

Ki ye ZA’EEF hain

[[ AL ILLAL JILD 3 SAFA 92 ]]

ARZ hai ki ZA’EEF GAIR MUFASSAR JARAH hai IMAM DARQUTNI RH ke doosre QAUL me hi iski TAFSEER aa gayi hai chunancha IMAM DARQUTNI RH ne kaha

ليس بالقوي

Ye bahut ZYADA QAWEE nahi hain

[[ AL ILLAL JILD 3 SAFA 92 ]]

ARZ hai ki ليس بالقوي ki jarah QAADEH nahi hai aur isse RAAWI ka AAM MA’NA me ZA’EEF hona SABIT nahi hota TAFSEEL KE LIYE DEKHIYE YAZEED BIN MAAWIYA PAR ILZAMAT KA TAHQEEQI JAAIZA SAFA 677 se 679 tk

ALGARZ IMAM DARQUTNI RH ke is doosre QAUL se MALOOM hua ki ZA’EEF kehne se IMAM DARQUTNI RH ki MURAAD HAAFZA me MA’MOOLI QAMI hi batlana hai na ki AAM MA’NA me ZA’EEF batlana

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN
 

Similar threads


Top