4 Din Qurbani ke Mutalliq aqwaal e Tabeyeen


Abdul Adil

Member
4 Din Qurbani ke Mutalliq aqwaal e Tabeyeen

Tahreer :-
Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Roman Script :-
Abdul Adil Ansari

1] Imam Ahle Macca Ata Bin Rubaah Rahimahullah___


Imam Tahawi Rahimahullah (Died 321 Hijj) ne kaha

وكما قد حدثنا محمد بن خزيمة، قال: حدثنا حجاج، قال: حدثنا حماد، عن مطر الوراق، أن الحسن، وعطاء ، قالا : إلى آخر أيام التشريق

Imam Hasan aur Imam Ata Rahimahullah ne kaha ki Qurbani Ayyam e Tashreeq ke din tak yani Eid Se lekar 4 din tak hai.

[أحكام القرآن للطحاوى :٢٠٦/٢ واخرجه ايضا البيهقي في السنن الكبرى 499/9 من طريق حماد به واسناده صحيح]

2] Imam Ahle Basrah Hasan Basri Rahimahullah

Imam Baihaqi Rahimahullah (Deid 458 Hijj) Farmate hai

قَالَ وَحَدَّثَنَا مُحَمَّدٌ حَدَّثَنَا أَبُو دَاوُدَ حَدَّثَنَا شُعْبَۃُ عَنْ قَتَادَۃَ عَنِ الْحَسَنِ قَالَ : الأَضْحَی ثَلاَثَۃُ أَیَّامٍ بَعْدَ یَوْمِ النَّحْرِ ۔ [صحیح ]

Hazrat Hasan Bashri Rahimahullah farmate hai ki Eid ul Azha ke din ke baad teen din qurbani ke hai.

[Sunan Al Qubra Jild-9 , Hadees Number-499]

3] Amirul Momineen Umar Bin Abdul Azeez Rahimahullah

Imam Baihaqi Rahimahullah (Deid 458 Hijj) farmate hai

قَالَ وَحَدَّثَنَا مُحَمَّدُ بْنُ إِسْحَاقَ حَدَّثَنَا ہَیْثَمُ بْنُ خَارِجَۃَ حَدَّثَنَا إِسْمَاعِیلُ بْنُ عَیَّاشٍ عَنْ عَمْرِو بْنِ مُہَاجِرٍ أَنَّ عُمَرَ بْنَ عَبْدِ الْعَزِیزِ قَالَ : الأَضْحَی یَوْمُ النَّحْرِ وَثَلاَثَۃُ أَیَّامٍ بَعْدَہُ ۔ [صحیح ]

Umar Bin Abdul Azeez Rahimahullah ne kaha , Eid ul Azha ke din ke baad teen din tak qurbani ki ja sakti hai.

[Sunan Al Qubra Lil Baihaqi Jild-9 , Hadees Number - 499]

4] Imam Suleman Bin Moosa Rahimahullah

Imam Baihaqi Rahimahullah (Deid 458 Hijj) farmate hai

قَالَ وَحَدَّثَنِی إِبْرَاہِیمُ بْنُ ہَانِئٍ حَدَّثَنَا الْحَکَمُ بْنُ مُوسَی حَدَّثَنَا یَحْیَی بْنُ حَمْزَۃَ عَنِ النُّعْمَانِ عَنْ سُلَیْمَانَ بْنِ مُوسَی أَنَّہُ قَالَ : النَّحْرُ أَرْبَعَۃُ أَیَّامٍ ۔ فَقَالَ مَکْحُولٌ : صَدَقَ ۔ [صحیح ]

Hazrat Noman , Suleman bin Moosa se nakal farmate hai ki qurbani ke 4 din hai , Makhool Rahimahullah kahte hai ki Suleman bin Moosa ne sach kaha hai.

[Sunan Al Kubra Lil Baihaqi Jild-9 Hadees Number - 5408]


Iske Alawa Darz zel Tabeyeen se bhi Ahle Ilm ne 4 Din Qurbani ka qaul nakal kiya hai. maslan

5] Imam Zohri Rahimahullah [At-Tamheed Ibne Abdul Barr 23/196]

6] Ibrahim Nakahyi Rahimahullah [Sharah Nawawi Ala Muslim 13/111]

7] Imam Makhool Rahimahullah [Zaad ul Maad Ibne Qaiyyam 2/291]

8] Imam Awzaai Rahimahullah [Al-Mohalla Ibne Hajam 7/378]

9] Imam Suleman Bin Moosa Rahimahullah [Tafseer Ibne Kaseer Darut Tayyaba Publicatqaul 5/416]


Point to be noted :- Tabeyeen me hame koyi ek bhi aisi ilmi shakshiyat nahi mili jisse 3 din qurbani ka qaul ba-sanad sahih sabit ho iske bar-khilaaf bahut se Tabeyeen se ba-sanad sahih 4 din qurbani ka qaul manqool hai. isliye is bat ki taraf ishara hai ki Sahaba Bhi 4 din qurbani hi ke qayel the aur unme baaz ki taraf jo mansoob hai ki 3 din qurbani ke qayel the ya to ye nisbat galat hai ya fir Unhone 3 din wale qaul se ruzu farma kar Hadees e ﷺ ke muafiq 4 din qurbani wala mauquf apna liya.
 

Similar threads


Top