Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum Ajmaeen Se Muhabbat


Abdul Adil

Member
Mazmoon: Sahaba E Kiraam Razi Allahu Anhum Ajmaeen Se Muhabbat

Tehreer: Hafiz Sher Muhammad Al-Asari Hafizahullah

Tehqeeq wa Taqreej: Hafiz Zubair Ali zai Rahimahullah

Romanised: Syed Ibraheem Salafi

Sahaba e Kiraam Razi Allahu Anhum Ajmaeen se muhabbat juz e emaan hai.

Allah ﷻ ka irshaad hai 👇

مُّحَمَّدٌ رَّسُولُ اللَّهِ ۚ وَالَّذِينَ مَعَهُ أَشِدَّاءُ عَلَى الْكُفَّارِ رُحَمَاءُ بَيْنَهُمْ ۖ تَرَاهُمْ رُكَّعًا سُجَّدًا يَبْتَغُونَ فَضْلًا مِّنَ اللَّهِ وَرِضْوَانًا ۖ سِيمَاهُمْ فِي وُجُوهِهِم مِّنْ أَثَرِ السُّجُودِ ۚ

"Muhammad (ﷺ) Allah ke Rasool hain aur aap ke jo saathi hain wo kuffaar par sakth aur aapas mein raham dil hain, aap dekhtey hain ke wo ruku' aur sajday mein paday, apne Rab ka fazl aur razamandi talaash kar rahey hain, unka nishaan yeh hai ke un ke chaheron par sajday ka asar hai. (qayamat ke din un ke chaherey chamak rahey honge)."

(Surah al-Fath: 29)

Aur farmaaya 👇

لَّقَدْ رَضِيَ اللَّهُ عَنِ الْمُؤْمِنِينَ إِذْ يُبَايِعُونَكَ تَحْتَ الشَّجَرَةِ فَعَلِمَ مَا فِي قُلُوبِهِمْ فَأَنزَلَ السَّكِينَةَ عَلَيْهِمْ وَأَثَابَهُمْ فَتْحًا قَرِيبًا

"Allah (ﷻ) momino se raazi ho gaya jab wo (bait e rizwaan waaley) darakht ke neechey aap ki bait kar rahey thhey, in ke dilon mein jo kuch hai usey Allah jaanta hai, pas Allah ne un par sukoon naazil farmaaya aur qareeb waali fatah (mubeen) aata farmaayi."

(Surah al-Fath: 18)

Teesre maqaam par irshaad hai 👇

وَالسَّابِقُونَ الْأَوَّلُونَ مِنَ الْمُهَاجِرِينَ وَالْأَنصَارِ وَالَّذِينَ اتَّبَعُوهُم بِإِحْسَانٍ رَّضِيَ اللَّهُ عَنْهُمْ وَرَضُوا عَنْهُ وَأَعَدَّ لَهُمْ جَنَّاتٍ تَجْرِي تَحْتَهَا الْأَنْهَارُ خَالِدِينَ فِيهَا أَبَدًا ۚ ذَٰلِكَ الْفَوْزُ الْعَظِيمُ

"Muhajireen aur ansaar mein se saabiqon awwaloon aur ahsaan ke sath unki itteba' karney waalon se Allah razi ho gaya aur wo Allah se razi ho gaye, Allah ﷻ ne un ke liye baghaat taiyaar kiya hain jin mein nehren beh rahi hain, wo sab us mein hamesha rahege."

(Surah at-Tawbah : 100)

Rasoolullah ﷺ farmaatey hain

لا تسبوا أصحابي، فلو أن أحدكم أنفق مثل أحد ذهباً ما بلغ مد أحدهم ولا نصيفه

"Mere Sahaba ko bura na kaho, agar tum mein se koi shaksh uhad (pahaad) jitna sona (Allah ki rah mein) kharch kar dey tou bhi in (Sahaba) ke kharch kardah ek mud (mutthi bhar) ya uske aadhey (jaw, ghalley) ke barabar nahi ho sakta."

(Sahih Bukhari: 3673, Sahih Muslim: 222/2541, Darussalaam: 6488)

Aap ﷺ ne farmaaya

أكرموا أصــــــحــــابي

"Mere Sahaba ki izzat karo."

(An-Nasaayi Fi al-Kubra: 5/387, Hadees: 9222, Wa Sanadahu Hasan)

Sayyiduna Ali Razi Allahu Anhu se unke bete Muhammad bin Hanafiyah ne poochaa ki

اي الناس خير بعد رسول الله صلى الله عليه وسلم؟ قال ابو بكر؛ قلت؛ ثم من، قال؛ ثم عمر

Rasoolullah ﷺ ke b'ad logon mein kaun sab se behtar hai? unhon ne farmaaya: Abu Abkr, phir pouchaa: un ke b'ad kaun hai? unhon ne farmaaya: Umar."

(Sahih Bukhari: 3671)

Sayyiduna Ali Razi Allahu Anhu ne Abu Bakr o Umar Razi Allahu Anhum ko: ﴾خير هٰذه الأمة بعد نبيها ﷺ﴿ qaraar diya hai Farmaan e Ali Razi Allahu Anhu mein 'ibrat hai aise logon ke liye jo sirf Ali Razi Allahu Anhu ki muhabbat ka dum bhartey hain lehaza Ali Razi Allahu Anhu se muhabbat ka da'wa karney waalon par laazim hai ke wo Abu Bakr o Umar aur tamaam Sahaba Razi Allahu Anhum se muhabbat karen.

Mashoor taba'yi Maimoon bin Mehraan farmaatey hain

ثلاث ارفضوهن؛ سب أصحاب محمد ﷺ والنظر فی النجوم والنظر فى القدر

"Teen chizon ko (hamesha ke liye) chhor do, Muhammad ﷺ ke Sahaba ko bura kehna, nujomiyon ki tasdeeq karna aur taqdeer ka inkaar karna."

(Fazail e Sahaba Lil Imam Ahmed bin Hanbal: 1/60 Hadees 19, Wa Isnaadahu Sahih, Shaykh Saleh Wasiullah Abbas al-Madni al-Malaki Hafizahullah ne kaha)

Hafiz Ibne Kaseer Rahimahullah ne kya khoob farmaaya

"Ahle Sunnat wal-Jamaa'at ke nazdeek tamaam Sahaba 'Adool (siqah aur qaabil e aitemaad) hain, Allah ne apni kitaab e 'aziz mein in ki sana bayaan farmaayi, Sunnat e Nabawiyah mein in ke tamaam akhlaaq o afaal ki madh maujood hai, unhon ne Allah se ajr o sawaab leyne ke liye apni jaane aur maal o daulat, Rasoolullah ﷺ par qurbaan kar diye."

(Ikhtisaar Uloom ul Hadees: Page 176,177 Anwa': 39)

Aye Allah! hummare dilon mein Sahaba e Kiraam ki muhabbat aur ziyadah kar dey.

Razi Allahu Anhum Ajmayeen (Ameen)



[Mahnama Al-Hadees, Shumara no.2, Safa no.46]
 

Top