*DEEN-E-ISLAM HINDUSTAN ME KAB, KYU OR KAISE?*


Muhammad sajid

New member
*DEEN-E-ISLAM HINDUSTAN ME KAB, KYU OR KAISE?*

Source: _Hindustan me isha'at-e-islam written by(Allama qazi Muhammad Sulaimaan mansoorpuri)_

✒Muhammad sajid Kanpuri

______________First part_______________

Puraane zamaane se quraish-e-makkah ek kaarobaari qaum qaum thi, _*nabi kareem sallahu-alaihi-wasllam*_ ke khulafa-e-raashideen {11-hijri 40-hijri} me jo khaleefa bane wo bhi Qarshi-yun-nasl hi the,
Arab se Hindustan tak aane ke liye sabse chota samandari raasta Basra ke alaawa or koi na tha isliye *Ameerul-mumineen umar faarooque raziallahu anhu* ne usko aabaad kiya.
Unke zmaane me arab ne samandar ko paar nhi kiya. Firbhi Basra ki mandii ko markaz qaraar dete huye musalmano ne mashriqi/Eastern Siberia tak ko apna maidaan bnaane me qamyaab hogye.

Iske baad *Ameerul-mumineen usmaan raziallahu anhu* ne apne daur me yambo'o-al-bahr ko nya bndr-gaah/sea port muqarrar kr diya. Madeena se yambo'o tak jo sookha raasta hai use _*nabi sallahu-alaihi-wasllam*_ bhi dekh chuke the..
Hazrat usmaan raziallahu anhu ka bnaaya hua beeda teen hi saal me ek samundri beeda bangya. Usne samundari kashtiyo'n ke liye Dajla/the river Tigris or Furaat/the river Euphrates ka raasta khol diya or Quraish ne Basra se Hindustan ki taraf jahaazo ko bhejne ka silsilaa shuru kiya.
Yahan tak ki sindh ke baadshaah ne unko preshan krna shuru krdiya, unpr bhaari baari tax, khuli tijaarato pr beja qaid or alag alag tarah se takleef pahuncha kr unko preshan krne lge..

Ye waaqiyaat *Abdulmalik umwi* ke zmaana-e-saltanat ke hain, chunki wo bhi quraishi tha isliye usse ye ziyadtiyaan bardaasht na hui lihaaza usne apne Basra+Koofa ke governor *Yusuf bin Hajjaaj saqafi* ko taadeebi muhim rawaana krne ka hukm diya.
*Yusuf hajjaaj* ne *Muhammad bin Qasim* ko mukammal lashkr ke saath sindh bheja. Usne us mulk ko fatah krne ke baad multaan ko isha'at-e-islam ka markaz muqarrar krdiya tha. Or is markaz me aahista aahista kaam hota rha..

Fir *Umar bin abdul azeez umwi* ka daur aaya jo ki ek nek-o-saaleh hakim the. Unhone apni khilafat ke dino me hukmraan-e-sindh ko islaam ki dawat di, fraameen bheje or us nek niyyat baadshaah ne saikdo'n ko musalman bnaya.

_Ye tmaam waqyaat pahli sadi ke hain.._

Isi tarah silsila chalta rha.. Or log deen-e-islam me dakhil hote rhe..
Kuch daaiyaan-e-islaam ka zikr niche hai..

1- *Sayyad ismaeel bukhari rahimahullah* shihaabuddeen gauri ke phle-hamle se qabl aaye or unhone (lahor) me ruk kr tableeg ko bdhaya di thi.

2- *Makhdoom ali hajweri rahimahullah* jo awaam ki zubaan pr _Daata ganj bakhsh_ ke naam se mashhoor hain. Paanchwi sadi me (lahor) pahuche the or unki tableeg se (punjaab) ke naye mulasalmano ka silsilaa (shwaalik or multaan) tak pahuch gya tha.

3- *Sayyad mueenuddeen sanjari ajmeri rahimahullah* (d.o.d=6/rajab 236-hijri) wo buzurg hain jinhone (U.P. ,Raajpootana,Dakkin,Bihaar) me tanzeem ke sath silsila-e-tableeg ko shuru kiya.

4- *Hazrat nizzam auliya* (Delhi) me..
5- *Makhdoom ali sabir* (radki, U.P.) me..
6- *Qutub Jalaluddeen sahab* (Agra, U.P.) me..

7- *Sheikh ubaidullah sahab walad deewaan koti mil sahab* apnii zati tahqeeqat se musalman huye or apne makaanat or apni hr zameen wa huqooq ko jo naabha-o-patyaala ki riyasat se unko mile the sabkuch chhor kr isha'at-e-islam ke liye kamarbasta ho gaye, marhoom mazhaban *Ahle hadees* the. Unke kaam me bid'ati taang adaate the uske bawajood wo 46 saal lgaataar tableeg krte rahe or 1 ramazan 1310-hijri me intiqaal farma gye,unhone wafaat se qabl taqreebn 375 khaandaano ko musalmaan bnaya..

Us waqt deen-e-islam (Bangal or Madras/Chennai) me taraqqi haasil krchuka tha. Ye ilaaqa us waqt hindu khudmukhtaar hukmuraano ke under me tha or ye haqeqt hai ki us taraf koi masalmaan hamla-aawr na pahucha tha..

___________continue__________
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Shona shaikh Islami Tareekh 0

Similar threads


Top