4 Din Qurbani Ke Mutalliq Teeshri Aur Chauthi Riwayat


Abdul Adil

Member
4 Din Qurbani Ki Mashrooyiyat Par Teeshri Aur Chauthi Riwayat {Hadees Abu Hurairah Razi Allahu Anhu , Aur Abu Saeed Khudri Razi Allahu Anhu}

Tahreer :- Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

Imam Baihaqi Rahimaullah (Died 458 Hijj) ne kaha

أخبرنا أبو سعد الماليني أنبأ أبو أحمد بن عدى الحافظ أنبأ عبد الله بن محمد بن مسلم ثنا دحيم ثنا محمد بن شعيب وثنا معاوية بن يحيى عن الزهري، عن سعيد بـن الـمـسيـب، مرة عن أبي سعيد ومرة عن أبي هريرة رضي الله عنهما عن النبي صلى الله عليه وسلم: أيام التشريق كلها ذبح .

Do Sahaba Abu Saeed Khudri Aur Abu Hurairah Razi Allahu Anhuma Allah Ke Nabi ﷺ se riwayat karte hai ki Aap ﷺ ne farmaya Ayyam e Tashreeq ke sare din jabah ke din hai.

[Sunan Al-Kubra Lil Baihaqi 9/499]

Ye Hadees bilkul saheeh aur aur iski sanad mutsil hai iske rizal ka mukhtasar ta'aruf Mulahiza farmaye

1] Saeed Bin Al-Musaib Al-Qarshi Rahimaullah_____

Aap Bukhari wa Muslim aur kutub e sitta ke bahut hi mashoor aur Siqa'a rawi aur bahut bade imam hai Aap kisi Ta'aruf ke mohtaz nahi hai.

2] Muhammad Bin Shahab Al-Johri Rahimaullah_______

Aap bhi Bukhari wa Muslim Kutub e Sitta ke bahut hi bade mashoor Siqa'a rawi aur bahut bade imam hai Aap kisi ta'aruf ke mohtaz nahi , Aap par tadlees ka iljam batil hai iska koyi thosh (solid) saboot mauzood nahi hai nez baaz ne inhe mudallis manne ke bawzood bhi inki tadlees ki qillat ke pesh nazar inke An-Ana ko maqbool karar diya hai.

3] Muawiya Bin Yahya Al-Sadfi Rahimaullah_______

Aap Tirmizi Aur Ibne Maja ke rizal me se hai Apko beshaq Muhaddiseen ne zaeef kaha hai lekin aap alal-itlaq zaeef nahi hai balki aap un riwayat me zaeef hai jinhe aap ne gair sham me bayan kiya hai lekin jin riwayat ko aap ne sham me bayan kiya hai unme aap Siqa'a hai jaisa ki ahle fan ne Sharahat ki hai

Chunancha

a] Imam Ibne Hibban Rahimaullah (Died 354 Hijj) ne kaha

فـجـاء رواية الرازيـن عـنـة إسـخـاق بـن سـليـمان وذويه كأنها مقلوبة وفي رواية الشاميين عند الهقل بن زياد وغيره أشياء مستقيمة تشبه حديث الثقات

Muawiya ke raazi talamzah maslan Suleman aur unke rufqa'a ne Muawiya se jo nakal kiya hai wo maqbool maloom hota hai aur unke shami talamzah Haqal bin Jyad wagairah ne unse aisi bate nakal ki hai jo durust aur Siqa'a ki Ahadees ke muafiq hai .

[Al-Mazrooheen Ibne Hibban 3/3]

b] Imam Abu Jarah Ar-Raazi Rahimaullah (Died 264 Hijj) ne kaha

ليس بقوى أحاديثه كلها مقلوبة ما حدث بالري والذي حدث بالشام أحسن حالا

Ye qawi nahi hai unki wo tamam hadees maqbool hai jo unhone "رے" me bayan kiya hai aur jin hadees ko unhone sham me bayan kiya hai unki halat behtar hai.

[Al-Zarah Wal-Ta'adeel Ibne Abi Hatim 8/383]

Is Ba-bat bahut umdah aur mufassal bahas ke liye dekhiye 👇

[غایۃ التحقیق فی تضحیة ايام التشریق ص ۲۱ تا ۳۶ از علامہ محمد رئیس ندوی رحمہ اللہ]


Baaz Ahle Ilm galiban e farq pesh e nazar na rakh sake jiske sabab unhone is sanad ko zaeef kah diya aur Imam Abu Hatim ne to is sanad ko mauzu tak kah diya jo had darza mubalga aur gulu hai , isliye Allama Albani Rahimahullah farmate hai

قلت: وهـذا مـن حـديثه بالشام، فقد رواه عنه محمد بن شعيب، وهو ابن شابور الـدمـشـقـى، ولذلك فقد غلا أبو حاتم حين قال كما رواه ابنه في العلل (۳۸٫۲) هـذا حـديـث مـوضـوع عـنـدى ، والـصـواب عـنـدى أنـه لا ينزل عن درجة الحسن بـالشـواهـد التـي قبـله، ولاسيما وقد قال به جمع من الصحابة كما في شرح مسلم للنووى، والمجموع لہ (۳۹۰٫۸)۔

Main (Albani) kahta hun ki ye hadees Muawiya ki sham me bayan kardah Ahadees me se hai kyunki unse Muhammad Bin Shoaib ne Riwayat kiya hai aur ye Shaboor Dimashq ke bete hai , Abu Hatim ne ye kahkar gulu kiya hai jaisa ki unke bete ne Illal Jild-2 Safa 38 par nakal kiya hai ki unhone kaha : Ye Hadees mere nazdeek mauzu hai , jabki sahih bat ye hai ki mere nazdeek ye hadees ماقبل me hai . Mazkoor Sawahid ke pesh e nazar hasan darza se kam nahi , bil-khusoosh Sahaba E Kiram Razi Allahu Anhuma ki ek jamat ne iske muwafuq fatwa diya hai jaisa ki Sharaha Muslim Nawawi aur Mazmua'a Al-Nawawi me hai .

[Silsila Ahadees e Sahiha 5/621]

4] Muhammad Bin Shoaib Al-Qarshi Rahimaullah______

Aap Sunan Araba ke rawi aur bil-ittefaq siqa'a hai.

a] Imam مجلی Rahimaullah (Died 261 Hijj) ne kaha

شامی، ثقة

Aap Siqa'a Shami hai .

[تاریخ ال الثقات للعجلي:ص 405 ]

b] Tahreee Al-Taqreeb ke Muallifieen (Doctor Basar Awad aur Shoaib Arnaut) ne kaha

ثقة ، ولا نعلم فيه جرحا معتبرا

Aap Siqa'a hai ham apke silsile me koyi moatabar jarah nahi jante.

[Tahreee Al-Taqreeb Raqam 5958]

5] Abdurrahman bin Ibrahim Duhem Rahimahuah_______

Aap Bukhari , Abu Dawood , Nisai aur Ibne Maja ke rizal me se hai aur bahut bade siqa'a muttaqi imam hai .

Hafiz Ibne Hajar Rahimahuah (Died 752 Hijj) ne apke bare me Muhaddiseen ke aqwal ka khulasha pesh karte huye kaha

ثقة حافظ متقن

Aap Siqa'a , Hafiz aur Muattaqeen hai

[Taqreeb ut Tahzeeb Ibne Hajar Raqam : 3793]

6] Jafar bin Ahmad Al-Dimasqi Rahimahuah______

Aap Imam Tabrani ke shaikh me se hai
, kisi bhi muhaddis ne in par koyi jarah nahi ki hai balki Imam Daraqturni Jaise jaleel ul qadr muhaddis ne inhe Siqa'a kaha hai chunacha

Imam Daraqutni Rahimahuah (Died 385 Hijj) ke shagird Hamza bin Yousuf Al-Sahmi ne kaha

سألته عن جعفر بن أحمد بن عاصم أبي محمد البزار بدمشق فقال ثقة

Maine Imam Daraqturni se Jafar Bin Ahmad Bin Asim Abi Muhammad Al-Bazzar Dimashqi ke bare me poocha to Imam Daraqturni Rahimahuah ne kaha ye Siqa'a hai .

[Sawalat Hamza Al-Daraqutni Safa - 191]

Imam Haishmi Rahimahuah (Died 807 Hijj) ne bhi inhe Siqa'a kaha hai .

[Mazmua'a Al-Zawaid 5/21, Raqam : 7899]

7] Abdullah bin Adi Al-Zurzaani Rahimahuah______

Aap bahut Bade Muhaddis , Naqid Imam aur Al-Kamil Fi Zoafa Al-Rizaal ke musannif hai , Aap kisi taruf ke mohtaz nahi

8] Abu Saeed Ahmad Bin Muhammad Al-Malyni Rahimahuah_____

Aap Bhi Bahut Bade Muhaddis aur bade siqa'a imam hai.

Khateeb Bagdadi Rahimahuah (Died 463 Hijj) ne kaha

كان ثقة صدوقا متقنا

Aap Siqa'a Wa Sadooq aur Muttaqeen the.

Imam Ibne Zauzi Rahimahuah (Died 597 Hijj) ne kaha

كان ثقة

Aap Siqa'a the.

[Al-Muntazim Ibne Zauzi 15/146].

Is Poori Tafseel se maloom hua ki Ye Hadees Bilkul Sahih hai

Walhamdulillah
 

Similar threads


Top