Ashra E Mubasshara Se Rafadain Ka Saboot


Abdul Adil

Member
Ashra E Mubasshara Se Rafadain Ka Saboot

Asal Mazmoon : Isbaat E Rafadain Safa : 17-19

Roman Script : Abdul Adil Ansari

Imam Tirmizi Rahimahullah Ne Kaha :

عَنْ عَبْدِ الرَّحْمَنِ بْنِ عَوْفٍ، قَالَ:‏‏‏‏ قَالَ رَسُولُ اللَّهِ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ:‏‏‏‏ أَبُو بَكْرٍ فِي الْجَنَّةِ، ‏‏‏‏‏‏وَعُمَرُ فِي الْجَنَّةِ، ‏‏‏‏‏‏وَعُثْمَانُ فِي الْجَنَّةِ، ‏‏‏‏‏‏وَعَلِيٌّ فِي الْجَنَّةِ، ‏‏‏‏‏‏وَطَلْحَةُ فِي الْجَنَّةِ، ‏‏‏‏‏‏وَالزُّبَيْرُ فِي الْجَنَّةِ، ‏‏‏‏‏‏وَعَبْدُ الرَّحْمَنِ بْنُ عَوْفٍ فِي الْجَنَّةِ، ‏‏‏‏‏‏وَسَعْدٌ فِي الْجَنَّةِ، ‏‏‏‏‏‏وَسَعِيدٌ فِي الْجَنَّةِ، ‏‏‏‏‏‏وَأَبُو عُبَيْدَةَ بْنُ الْجَرَّاحِ فِي الْجَنَّةِ

Hazrat Abdurrahman Bin Auf Razi Allahu Anhu riwayat karte hai ki Allah ke Rasool ﷺ ne farmaya :

Abu Bakar Jannati Hai , Umar Jannati Hai , Usman Jannati Hai , Ali Jannati Hai , Talha Jannati Hai , Zubair Jannati Hai , Abdurrahman Bin Auf Jannati Hai , Sa'ad Jannati Hai , Saeed (Saeed Bin Zaid) Jannati Hai Aur Abu Ubaidah Bin Zarrah Jannati Hai

[Jamey Tirmizi Hadees Number : 3747]

Ye Wo 10 Sahaba Hai jinhe Allah ke Rasool ﷺ ne ek baar mein Jannati kaha hai aur in Sahaba Ko Ashra E Mubasshara kaha jata hai aur Ye 10 Sahaba Allah Ke Rasool ﷺ ki Pyari Sunnat Rafadain ki riwayat nakal karte hai.

Chunancha

① Imam Haaqim Aur Imam Baihaqi Rahimahullah Farmate hai :

اتفق علی روایتہا الخلفآء الاربعۃ ثم العشرۃ فمن بعدھم من اکابر الصحابۃ

Ki Rafadain ke masnoon (Sunnat) hone par Khulafa E Araba , Ashra E Mubasshara aur deegar tamam Akabir (Bade) Sahaba ka ittefaq hai.

[Ta'aleeq Ul Mugni Safa : 111]

② Hafiz Ibne Hajar Rahimahullah farmate hai :

اتفق علی روایۃ ھذہ السنۃ العشرۃ المشہود لہم بالجنۃ ومن بعدھم من اکابر الصحابۃ

Ki Rafadain ke Sunnat Hone par Ashra E Mubasshara wa Deegar Tamam Akabir Sahaba Ka Ittefaq hai.

[Talkheesh ul Hubair Safa : 82]

③ Imam Haaqim Rahimahullah Farmate Hai :

قَالَ الْحَاکِمُ وَلَیْسَ بِسُنَّۃٍ مِنَ السُّنَنِ رَوَاہُ الْعَشَرَۃُ الْمُبَشّرَۃُ

Ki Rafadain ke siwa koyi aisi Sunnat nahi jisko Ashra E Mubasshara ne riwayat kiya ho.

[Al-Tanweer Safa : 11]

④ Allama Maziduddin Muhammad Bin Yaqoob Farmate Hai :

رواہ العشرۃ المبشرۃ

Ki Rafadain Ki Hadees Ko Ashra E Mubasshara ne bayan kiya hai.

[Safar Al-Sa'adat Safa : 15]

⑤ Abu Qasim Bin Mundah Farmate Hai :

ممن رواہ العشرۃ المبشرۃ

Rafadain Ki Hadees Ko Alawa Deegar Sahaba ke Ashra E Mubasshara ne bhi riwayat kiya hai.

[Tohfatul Ahwazi Safa : 219]

⑥ Isi Tarah se Allama Subki Rahimahullah ne bhi yahi likha hai .

[Juz Subuki Safa : 10]

Musalman Bhaiyyo! Ye Wo 10 Sahaba hai jinko Rasoolullah ﷺ ne inki Jindagi mein hi Jannat Ki Basharat Di. Ye Sab ke Sab farma rahe hai ki Rasoolullah ﷺ Ruku Jane Aur Ruku Se Sar Uthane ke waqt Rafadain kiya karte the. Aap Log Kyu Is Sunnatb E Nabwi Se Mah room Hai ?
 
Top