Wilaadat E Rasoolullah ﷺ par shaitan ka rona : Ek Tahqeeqi Jayeza


Abdul Adil

Member
Wilaadat E Rasoolullah ﷺ par shaitan ka rona : Ek Tahqeeqi Jayeza

Roman Script :- Abdul Adil Ansari

۞ Imam Ibne Kaseer Rahimahuah Likhte hai :

حكى السهيلي عن تفسير بقي بن مخلد الحافظ أن إبليس رن أربع رنات حين لعن وحين أهبط وحين ولد رسول الله صلى الله عليه و سلم وحين أنزلت الفاتحة

Ki Suhaili ne apni tafseer mein jo riwayat naqal ki hai , Baqee Bin Mukhlad se ki Iblees 4 baar Chilla kar roya , jab us par La'anat ki gayi , Jab use Nikala gya , Jab Rasoolullah ﷺ ki wilaadat huyi aur Jab Surah Fatiha Nazil huyi.

[Al-Bidaya Wan-Nihanaha Jild: 03 , Safa : 391]

Imam Ibne Kaseer Rahimahullah ne ye baat Abul Qasim Al Suhaili Rahimahullah se naqal ki hai , Suhaili ki kitab se unke alfaaz mulahiza ho :

۞ Imam Abul Qasim Al Suhaili Rahimahullah likhte hai :

في تفسير بقي بن مخلد أن إبليس – لعنه الله – رن أربع رنات رنة حين لعن ورنة حين أهبط ورنة حين ولد رسول الله – صلى الله عليه وسلم – ورنة حين أنزلت فاتحة الكتاب

Ki Baqee Bin Makhlad ki Tafseer mein hai ki Iblees 4 baar chilla kar roya , jab us par La'anat ki gayi , Jab use. nikala gaya , Jab Rasoolullah ﷺ ki wiladat huyi aur Jab Surah Fatiha Nazil huyi.

[Rauz Ul Unf Jild : 2 , Safa : 149]

Tabseerah :

۩ Pahli Baat :-
Abul Qasim Suhaili ne ise Baqee Bin Makhlad ki Tafseer se naqal kiya hai aur unse naqal karne mein galati huyi hai kyunki asal riwayat mein :

ولد رسول الله – صلى الله عليه وسلم

(Yani Wiladat E Rasoolullah ﷺ ) nahi balki بعثت رسول (Yani Rasoolullah ﷺ ko jab Nabuwat Mili) ki baat hai jaisa ki deegar logon ne Baqee Bin Makhlad se hi naqal kiya hai .

Chunancha

۞ Muhammad Bin Abdullah Al-Sahibli Al-Dimashqi Al-Hanafi Rahimahullah likhte hai :

ذكر بَقِي بن مخلد فِي تَفْسِيره أَن إِبْلِيس رن أَربع رنات رنة حِين لعن وَرَنَّة حِين أهبط وَرَنَّة حِين بعث رَسُول الله صلى الله عَلَيْهِ وَسلم وَرَنَّة حِين أنزلت فَاتِحَة الْكتاب

Ki Baqee Bin Makhlad Ki Tafseer mein hai ki Shaitan 4 baar Chilla kar roya tha , Jab us par lanat ki gayi , Jab Use nikala gaya , Jab Bi'sat (بعثت) huyi Rasoolullah ﷺ ki (Yani Jab Rasoolullah ﷺ ko Nabuwat Mili) Aur Jab Surah Fatiha Nazil huyi.

[Akaam Ul Murjan Fi Ahkaam Ul Jaan Safa : 170]

Aur Agar Suhaili Ne Sahih Naqal kiya hai to Baqee Bin Makhlad ke hi nuskha mein galati huyi aur Asal Alfaaz ولادت ki jagah بعثت hi ke hai jaisa ki Ba-Sanad riwayat hai maslan

۞ Imam Abu Bakar Ibne Ul Anbaari Rahimahullah ne kaha :

حدثني أبي حدثني أبو عبيد الله الوراق حدثنا أبو داود حدثنا شيبان عن منصور عن مجاهد قال: إن إبليس لعنه الله رن أربع رنات: حين لعن، وحين أهبط من الجنة، وحين بعث محمد صلى الله عليه وسلم، وحين أنزلت فاتحة الكت

Imam Mujahid Rahimahullah ne farmaya beshaq Allah Ne La'anat kiya hai Iblees par wo 4 baar Chilla kar royaa , Jab Us par Lanat huyi , Jab use Nikala gaya , Jab Rasoolullah ﷺ ki Bisat huyi (Yani Rasoolullah ﷺ ko jab Nabuwat mili) Aur Jab Surah Fatiha Naazil huyi.

[Tafseer Al Qurtubi Jild : 1 , Safa : 109 , Wa Isnaduhu Sahih Ila Mujahid]

۞ Imam Abul Shaikh Asbahani Rahimahullah ne kaha :

أخبرنا أبو يعلى حدثنا أبو الربيع حدثنا جرير عن منصور عن مجاهد رحمه الله تعالى قال رن إبليس أربعا حين لعن وحين أهبط وحين بعث محمد صلی اللہ علیہ وسلم – وبعث على فترة من الرسل وحين أنزلت الحمد لله رب العالمين

Ki Imam Mujahid Rahimahullah ne farmaya Iblees 4 baar Chilla kar roya jab us par La'nat ki gayi Jab Use Nikala gaya aur Jab Rasoolullah ﷺ ki Bisat huyi aur Unki Bisat Huyi Bataur E Rasool (Yani Jab Rasoolullah ﷺ ko Nabuwat mili) , Aur Jab Alhamdulillahi Rabbil Aalameen Naazil hua

[Al-Azmah Safa : 1679 , Shamela Jild : 5 , Safa : 1679 Wa Isnaduhu Sahih Ila Mujahid]

۞ Imam Abu Naeem Rahimahullah (Died 430 Hijj) ne kaha :

حدثنا محمد بن معمر ثنا يوسف القاضي ثنا أبو الربيع ثنا جرير بن عبدالحميد عن منصور عن مجاهد قال رن إبليس أربعا حين لعن وحين أهبط وحين بعث النبي صلى الله عليه و سلم وقد بعث على فترة من الرسل وحين أنزلت الحمد لله رب العالمين

Ki Imam Mujahid Rahimahullah ne farmaya Iblees 4 baar Chilla kar roya , Jab us par Lanat huyi , Jab use Nikala gaya , Jab Rasoolullah ﷺ ki Bisat huyi aur Bisat Bataur E Rasool ki huyi thi (Yani Jab Rasoolullah ﷺ ko Nabuwat mili) Aur Jab Alhamdulillahi Rabbil Aalameen Naazil huyi

[Hilyatul Auliya Jild : 3 , Safa : 299]

Maloom Hua Ki Asal Riwayat mein wiladat ka nahi balki Bisat ka tazkirah hai

۞ Khud Imam Ibne Kaseer Rahimahullah ne apni isi kitab mein doosre maqam par naqal kiya :

وروى أبو الريبع عن جرير ابن عبد الحسيب عن منصور عن مجاهد قال رن إبليس أربع رنات حين لعن وحين أهبط وحين بعث النبي ( صلی اللہ علیہ وسلم ) وحين أنزلت الحمد لله رب العالمين

Ki Imam Mujahid Rahimahullah farmate hain ki Iblees 4 baar Chilla kar roya , Jab Us par Lanat huyi , Jab Use Nikala gaya , Jab Rasoolullah ﷺ ko Bisat huyi (Yani Rasoolullah ﷺ ko jab Nabuwat mili) aur jab Alhamdulillahi Rabbil Aalameen Naazil hua

[Al-Bidaya Wan Nihaya Jild : 9 Safa : 224-225 Taba Darul Fikr ]

۩ Doosri Baat :

Ye Koyi Hadees nahi hai aur na hi Sahabi Ka asar hai balki ye sirf Imam Mujahid Rahimahullah ka qaul hai aur Imam Mujahid Rahimahullah ne iski koyi Daleel Jikr Nahi ki Hai lihaaza Be-Daleel baat ka koyi etbaar nahi.

Baaz Logon ne Mujahid Rahimahullah se aage Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ka tazkirah kiya hai

Chunancha

۞ Abu Tahir Muhammad Bin Yaqoob Firozabaadi Rahimahullah (Died 817 Hijj) ne kaha :

وقال مجاهد سمعت ابن عبّاس يقول: أَنَّ إِبليسُ أَربع أَنَّات: حين لُعن، وحين أُهبِط من الجنَّة، وحين بُعِث محمد صلَّى الله عليه وسلَّم، وحين أُنزلتْ فاتحة الكتاب

Ki Imam Mujahid Rahimahullah ne kaha ki maine Hazrat Abdullah Ibne Abbas Razi Allahu Anhu ko farmate huye suna Iblees 4 baar chillaya , Jab us par Lanat ki gayi , Jab Use Jannat se Nikala gaya , Jab Rasoolullah ﷺ ki Bisat huyi (Yani Jab Rasoolullah ﷺ ko Nabuwat Mili) , Aur Jab Fatiha Nazil huyi

[Basaair Zuyil Tameez Fi Lataif Ul Kitab Ul Azeez Jild : 1 , Safa : 132]

Lekin Allama Firozabaadi Rahimahullah Ne koyi Sanad zikr nahi ki hai isliye ye Ijafa be-buniyad hai ki Imam Mujahid Rahimahullah ka qaul hai.

۞ Imam Ibne Rajab Rahimahullah ne kaha :

والمعروف هذا عن هذا عن مجاهد من قوله قال: رن إبليس أربع رنات حين لعن وحين أهبط من الجنة وحين بعث محمد وحين أنزلت فاتحة الكتاب

Ki aur Ye MA’ROOF hai , jo riwayat hai Imam Mujahid Rahimahullah ke qaul se ki Unhone farmaya Iblees 4 baar Chilla kar roya , Jab us Par Lanat ki gayi , Jab Use Jannat se nikala gaya , Jab Rasoolullah ﷺ ki Bisat huyi (Yani Rasoolullah ﷺ ko jab Nabuwat mili) Aur Jab Fatiha Tul Kitab Naazil huyi. Ki aur ye MA’ROOF hai jo RIWAYAT hai

[Lata'aif Ul Ma'aarif Lil Ibne Rajab Safa : 34]

Maloom Hua ki ye Ye Mahez Imam Mujahid Rahimahullah ka qaul hai aur Imam Mujahid Rahimahullah ne iski koyi DALEEL pesh nahi ki aur na hi Iski koyi Saheeh Daleel maujood hai is liye ye qaul gair mo'atabar hai , yaad rahe ki asal qaul mein wiladat ka nahi balki Bisat ka zikr hai.

Allah Ham Sabko Haq Samajhne Ki Tayfeeq de

Aameen Ya Rabbul Aalameen
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Abdul Adil Ahadees Ki Tehqeeq 0

Similar threads


Top