RAMAZAANUL MUBARAK AUR GUNAAHO KI MAGFIRAT KE MAWAQE


RAMAZAANUL MUBARAK AUR GUNAAHO KI MAGFIRAT KE MAWAQE
Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah/ Jeddah Dawah Center -KSA
Romanised By Khadija Muhammadi

Ramazaan Sarapa Bakhshish Aur Magfirat Ka Mahina He Us Me Har Qisam Ki Khair Aur Barkat Ki Intihaa He. Bilashuba Yah Maah E Mubarak Siyaam Aur Qiyaam Par Ajar E Jazeel Aur Gunaaho Ki Magfirat Ke Sath Apne Andar Nekiyo Par Behad Hisaab Aur Ajar O Sawaab Rakhta He. Yahi Wajah He Ke Aslaafe Kiraam 6 Mahina Pehle Se Hi Ramazaan Paane Ki Rab Se Duaae Karte,Jab Ramazaan Paa Lete To Isme Ijtihaad Karte,Har Qism Ki Ta'at Aur Bhalaai Par Zauq Aur Shoq Aur Allah Se Ajar Ko Ummid Karte Hue Mehnat Karte. Jab Ramazaan Guzar Jata To Baqiya 6 Mahina Ramazaan Me Kiye Gae Aamaal E Swaleha Ki Qabooliyat Ke Liye Dua Karte Goya Salaf E Swaleheen Ka Pura Saal Ramazaan Ki Khishiyo Se Muattar Rehta Aaj Ham Hai Ke Na Ramazaan Ki Azmat Ka Ehsaas,Na Uski Khair Aur Barkat Se Sarokaar He Yaha Tak Ke Apne Gunaaho Ki Magfirat Ka Bhi Khayaal Dil Me Nahi Guzarta Jab Ke Ramazaan Paa Kar Usme Magfirat Na Pane Wala Nihaayat Hi Badnaseeb He. Nabi Ka Farmaan He:
شقي عبد ادرك رمضان فانسلخ منه ولم يغفر له.(صحيح الأدب المفرد: ٥٠٠)
Tarjumah:- Badbakhat He Woh Jis Ne Ramazan Paya Aur Yah Mahina Nikal Gaya Aur Woh Us Me (Nek Aamaal Kar Ke) Apni Bakhshish Na Karwa Saka.
Alfaaz Ke Ikhtilaaf Ke Sath Us Mani Ke Kai Sahih Ahaadees Waarid Hai Jin Se Ramazaanul Mubarak Me Mehroom Hone Walo Ki Mehroomi Ka Na Andazah Lagaya Ja Sakta He.
Ek Jagah He:
رغم انف امرى ادرك رمضان فلم يغفر له(فضل الصلاة للألباني:١٥،صحيح بشواهده)
Tarjumah:- Us Shakhas Ki Naak Khaak Aalood Ho Jis Ne Ramazaan Paya Aur Uski Bakhshish Na Hui.
Dusri Jagah Irshaad Hai:
بعد من ادرك رمضان فلم يغفر له.(صحيح الترغيب: ١٦٧٧)
Tarjumah:- Doori Uske Liye Jis Ne Ramazaan Paya Aur Woh Nahi Bakhsha Gaya.
Teesri Jagah Waarid He:
من ادرك شهر رمضان فلم يغفر له، فدخل النار فابعده الله.(صحيح الترغيب:١٦٧٩)
Tarjumah:- Jis Ne Ramazaan Ka Mahina Paya Uski Magfirat Na Hui Aur Woh Jahnnam Me Daakhil Hua Use Allah Door Kare Ga.
Chothi Jagah Mazkoor He:
من ادرك شهر رمضان فمات فلم يغفر له فادخل النار فابعده الله. صحيح الجامع: ٧٥)
Tarjumah: Jis Ne Ramazaan Ka Mahina Paya Mar Gaya, Uski Magfirat Nahi Hui Aur Woh Jahnnam Me Daakhil Kar Diya Use Allah Apni Rehmat Se Door Kar Dega.
Kahi Ham Kalma Go Ho Kar Ramazaan Ke Rozo Ka Inkaar Kar Ke Allah Ki Rehmat Se Door Na Ho Jaae Uske Liye Rozo Ki Azmat Apne Dil Me Bahaal Karni Hogi Ramazaan Naseeb Hone Par Rab Ka Shukriya Baja Lana Hoga Aur Maah E Mubarak Ko Ganimat Jaante Hue Gunaaho Ki Magfirat Ke Waste Namaaz Rozah Sadqah Khairaat Zikre Ilaahi Qiyaam Aur Sujood Aur Nek Aamaal Kar Ke Rab Ko Raazi Karna Hoga Aur Us Se Is Baat Ki Taufeeq Talab Karni Hogi Ke Woh Hame Apne Fazl O Karam Se Jannat Me Daakhil Kar De.
Bilashuba Bani Aadam Gunehgaar He Lekin Hame Rab Ki Rehmat Aur Magfirat Se Kabhi Bhi Mayus Nahi Hona Chaahiye Allah Apne Bando Ki Nekiyo Ke Badle Gunaah Maaf Karta He Taubah Qabool Karta He Aur Darajaat Buland Kar Ke Kaamiyaabiyo Se Daaman Bhar Deta He Yaad Rahe Magfirat Ke Liye Hamara Aqeedah Sahih Hona Chaahiye Ham Allah Ke Sath Kisi Ko Shareek Aur Saajhi Na Thehraae Warna Fir Na Ibaadat Kaam Aae Gi Aur Na Ramazaan Ke Qiyaam Aur Siyaam Kaam Aaenge. Rab Ka Farmaan He:
إِنَّ اللَّهَ لَا يَغْفِرُ أَنْ يُشْرَكَ بِهِ وَيَغْفِرُ مَا دُونَ ذَٰلِكَ لِمَنْ يَشَاءُ ۚ . (سورة النساء:٤٨)
Tarjumah:- Beshak Allah Us(Gunaah)Ko Nahi Bakhshe Ga Ke(Kisi Ko)Uska Shareek Thehraya Jaae Aur Uske Alawah Dusre Gunaah Jise Chaahe Maaf Kar Dega.
Agar Musalmaan Ka Aqeedah Sahih He To Uske Sare Aamaal Allah Ke Yaha Maqbool Hai Use Allah Bakhsh Deta He Farmaan E Ilaahi He:
الا الذين صبروا وعملوا الصالحات اولئك لهم مغفرة وأجر كبير.(هود: ١١)
Tarjumah:- Siwaae Unke Jo Sabr Karte Hai Aur Nek Kaamo Me Lage Rehte Hai Unhi Logo Ke Liye Bakhshish Hai Aur Bahut Bada Nek Badla Bhi.
Is Mazmoon Me Ikhtisaar Ke Sath Ham Ramazaanul Mubarak Me Allah Ki Jaanib Se Bakhshish Ke Sunhere Mauqe Ka Zikar Karenge Aur Bakhauf E Tawalat Un Mauqo Se Sirf Nazar Karenge Jo Aam Dino Me Bakhshish Ke Bais Hai. Goke Woh Bhi Ramazaan Me Bhi Shaamil Hai Illa Yah Ke Kisi Khaas Mauqa Aur Munasibat Se Ho.
AAIYE UN AAMAAL AUR MAUQO KA ZIKAR KARTE HAI JO RAMAZAAN ME MAGFIRAT KA SABAB HAI.
(1) Ramazaan Pana Aur Gunaah E Kabeerah Se Bachte Rehna: Umooman Log Ramazaan Pane Ko Khaas Ahmiyat Nahi Dete,Ayse Samjha Jata He Ke Maah Aur Saal Ki Gardish Se Ramazaan Aa Gaya Halanki Is Mahine Ka Pana Badi Sa'adat Ki Baat He Jis Ki Qismat Me Ramazaan Na Ho Woh Kabhi Bhi Use Nahi Paa Sakta Lihaza Hame Is Maah Ki Husoolyaabi Par Sajdah Rab Ka Shukriya Baja Lana Chaahiye Aur Uski Azmat Ka Khayaal Karte Hue Uske Aadaab Aur Taqaaze Ko Nibhana Chaahiye Aur Jo Banda Namaaz Qaaim Karta Raha Aur Gunaah E Kabeera Se Bachta Raha Uske Liye Is Maah E Muqaddas Me Saal Bhar Ke Gunaaho Ki Bakhshish Ka Wada He. Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan He:
الصلوات الخمس والجمعة الى الجمعة ورمضان الى رمضان منكرات ما بين إذا اجتنب الكبائر.(صحيح مسلم:٢٣٣)
Tarjumah:- Paancho Namaaze Har Jum'a Dusre Jum'a Tak Aur Ramazaan Dusre Ramazaan Tak Darmiyaani Muddat Ke Gunaaho Maaf Kar Diye Jaate Hai Bashart Yah Ke Bade Gunaaho Se Bacha Jaae.
(2) Imaan Ke Sath Ajar O Sawaab Ki Ummid Se Rozah Rakhna Guzishta Tamaam Khataao Ki Bakhshish Ka Zariya He. Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan He:
من صام رمضان ایمانا واحتسابا غفر لہ ما تقدم من ذنبہ۔(صحیح البخاری:2014)
Tarjumah:- Jis Ne Ramazaan Ka Rozah Imaan Ke Sath Ajar O Sawaab Ki Ummid Karte Hue Rakha Uske Pichle Sare Gunaah Maaf Kar Diye Jate Hai.
Ek Hadees Me Rozah, Namaaz Aur Sadqah Ko Fitna Se Najaat Aur Gunaaho Ka Kaffarah Batlaya Gaya He. Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
فتنة الرجل في أهله وماله وجاره تكفرها الصلاة والصيام والصدقة.(صحيح البخاري:١٨٩٥)
Tarjumah:- Insaan Ke Liye Uske Baal Bachche Uska Maal Aur Uske Parosi Baais E Aazmaaish Hai Jis Ka Kaffarah Namaaz Parhna Rozah Rakhna Aur Sadqah Dena Ban Jata He.
(3) Ramazaan Me Qiyaam Karna Gair Ramazaan Me Qiyaam Karne Se Afzal Hai Aur Uska Sawaab Roze Ki Misal He Agar Imaan Aur Ahtisaab Ke Sath Kiya Jaae. Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan He:
من کان رمضان ایمانا واحتسابا غفر لہ ما تقدم من ذنبہ۔ (صحیح مسلم: 759)
Tarjumah:- Jo Ramazan Me Imaan Aur Ajar Ki Ummid Ke Sath Qiyaam Karta He Uske Sare Gunaah Maaf Kar Diye Jate Hai.
(4) Ramazaanul Mubarak Ki Raato Me Qiyaam Ki Fazilat Aakhri Ashre Me Barh Jati He Kuy Ke Isme Laylatul Qadr(Shabe Qadr)He Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Is Ashre Me Shab Bedaari Karte Aur Khub Khub Ijtihaad Karte. Shab E Qadr Me Qiyaam Ki Fazilat Bayan Karte Hue Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
من قام ليلة القدر ايمانا واحتسابا غفر له ما تقدم من ذنبه.(صحيح البخاري: ١٩٠١)
Tarjumah: Jo Shabe Qadr Me Imaan Aur Khaalis Niyyat Ke Sath Qiyaam Karta He Uske Pichle Gunaah Maaf Kar Diye Jate Hai.
(5) Iftaar Ke Waqt Allah Bando Ko Aazaad Karta He Us Wajah Se Bataur E Khaas Iftaar Ke Waqt Roze Ki Qabooliyat Gunaaho Ki Magfirat Buland Aur Darjaat Jahnnam Se Rastgaari Aur Jannat Me Dukhool E Dua Ki Jaae.
"لله عند كل فطر عتقاء." (رواه أحمد وقال للألباني:حسن صحيح )
Tarjumah:- Allah Ta'la Har Iftaar Ke Waqt (Rozahdaaro Ko Jahnnam Se) Aazaadi Deta He.
Tirmizi Aur Ibne Majah Ki Ek Rivaayat Jise Allama Albani RH Ne Hasan Qaraar Diya He Isme Mazkoor He Ke Har Raat Allah Apne Bando Ko Jahnnam Se Aazaadi Deta He.
Rivaayat Is Tarah He:
إن الله عند كل فطر عتقاء وذالك في كل ليلة.(صحيح ابن ماجه:١٣٤٠)
Tarjumah:- Allah Har Iftaar Ke Waqt(Rozah Daaro Ko Jahnnam Se) Aazaadi Deta He Yah Aazaadi Har Waqt Milti He.
(6) Moamin Ko Ramazaan Ke Din Me Rozah Rakhna Chaahiye Bahaalat E Rozah Bakasrat Aamaal E Swaleha Anjaam Dena Chaahhiye Aur Uski Har Raat Me Shab Bedaari Kar Ke Qiyaam,Dua, Istigfaar Aur Azkaar Me Masroof Rehna Chahaiye Kuy Ke Har Raat Allah Ki Jaanib Se Khair Ka Taalib Ko Nida Lagaai Jati He Aur Jahnnam Se Rastgaari Ki Basharat Sunaai Jati He Abu Hurairah RA Kehte Hai Ke Rasool Sallallaahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
حديث أبي هريرة رضي الله عنه قال : قال رسول الله صلى الله عليه وسلم: ( إِذَا كَانَ أَوَّلُ لَيْلَةٍ من شَهْرِ رَمَضَانَ صُفِّدَتِ الشَّيَاطِينُ وَمَرَدَةُ الْجِنِّ ، وَغُلِّقَتْ أَبْوَابُ النَّارِ فلم يُفْتَحْ منها بَابٌ ، وَفُتِّحَتْ أَبْوَابُ الْجَنَّةِ فلم يُغْلَقْ منها بَابٌ ...) الحديث ، رواه الترمذي (682)
Tarjumah:- Jab Maah E Ramazaan Ki Pehli Raat Aati He To Shaitaan Aur Sarkash Jin Jakad Diye Jate Hai Jahnnam Ke Darwaze Band Kar Diye Jate Hai Unme Se Koi Bhi Darwaza Khola Nahi Jata Aur Jannat Ke Darwaze Khol Diye Jate Hai Unme Se Koi Bhi Darwaza Band Nahi Kiya Jata Pukarne Wala Pukarta He Khair Ke TalabGaar ! Aage Barh Aur Shar Ke TalabGaar Ruk Ja Aur Aag Se Allah Ke Bahut Se Aazaad Kiye Hue Bande Hai(To Ho Sakta He Ke Tu Bhi Unhi Me Se Ho)Aur Aysa (Ramazaan Ki) Har Raat Ko Hota He.
(7) Sadqah Gunaaho Ki Magfirat Ka Aham Zariya He Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan He:
والصدقة تطفي الخطيئة كما يطفئ الماء النار.(صحيح الترمذي: ٢٦١٦)
Tarjumah:- Sadqah Gunaah Ko Ayse Bujha Deta He Jis Tarah Pani Aag Ko Bujhata He.
Is Liye Nabi Kareem Sallallaahu Alyhi Wasallam Ramazaan Me Khair Aur Tilaawat Ke Kaam Tez Hawa Se Bhi Ziyadah Karte Albatta Woh Rivayat Jis Me Afzal Sadqa Ramazaan Ka Sadqah Batlaya Gaya He Zaeef He.
RAMAZAAN ME MAGFIRAT SE MUTALLIQ KUCH RIVAAYAT.
(1) Ramazaan Me Bakhshish Se Mutalliq Ek Bahut Hi Mashhoor Hadees He Jo Taqreeban Ramazaan Me Nashr Hone Wale Aksar Risaale, Calender Aur Pamphlet Wagairah Me Likhi He Woh Is Tarah Se He:
أول شهر رمضان رحمة، وأوسطه مغفرة، وآخره عتق من النار. (السلسلة الضعيفة:١٥٦٩)
Tarjumah:- Is Maah Ka Ibtidaai Hissa Rehmat He Aur Darmiyaani Hissa Bakhshish Aur Aakhri Hissa Jahnnam Se Aazaadi Ka Bais He.
Is Hadees Ko Imaam Nasai,Haafiz Ibne Hajar Aur Allama Suyuti Ne Zaeef Kaha He Aur Abu Haatim,Allama Ayni Hanfi Aur Allama Albani RH Ne Munkar Kaha He.
(2) Ramazaan Me Allah Ka Zikar Karne Wala Bakhshish Diya Jata He Aur Allah Se Maangna Wala Mehroom Nahi Hota Rivaayat Dekhe.
ذاكر الله في رمضان مغفور له وسائل الله فيه لا يخيب.(السلسلة الضعيفة:٣٦٢١)
(3) Is Tarah Mundarja Zail Rivaayat Bhi Zaeef He.
يغفر لأمته في آخر ليلة من رمضان قيل يا رسول الله أهي ليلة القدر قال: لا، ولكن العامل إنما يوفى أجره إذا قضى عمله.
Tarjumah:- Ramazaan Ki Aakhri Raat Me Ummat Maaf Kar Di Jati He Kaha Gaya Ay Allah Ke Rasool Kiya Yah Qadr Ki Raat He To Aap Ne Farmaya: Nahi Jab Mazdoor Apne Kaam Se Faarig Hota He To Use Pura Ajar Diya Jata He.
Is Rivaayat Ko Allama Albani RH Ne Zaeef Kaha He.(Takhreej Mishkaatul Masaabih:1909)
Is Rivaayat Me Yah Bhi Waarid He Ke Rozah Daaro Ke Liye Farishte Iftaar Tak Astagfaar Karte Hai Kuch Me Fish Ke Astagfaar Ka Zikar He Jo Ke Zaeef He.
Khulasa Kalaam Yah He Ke Ramazaan Me Har Qisam Ki Neki Ka Gunaah Maaf Hote Hai Is Liye Dua,Namaaz,Zikar Taubah Astagfaar Tilaawat Dawat Aur Sadqah Zakaat Wagairah Har Qism Ki Bhalaai Anjaam Di Jati He Aysa Nahi He Ke Ramazaan Me Sirf Upar Zikar Aamaal Hi Anjaam Diye Jane Ke Qaabil Hai Aur Sirf Unhi Se Magfirat Hoti He Yah To Woh Aamaal Aur Asbaab He Jin Me Khususiyat Ke Sath Ramazaan Me Magfirat Ki Jati He Un Par Ziyadah Tawjjoh Di Jani Chaahiye.
Allah Se Dua He Ke Ham Sab Ki Ibaadato Ko Qabool Farma Le Aur Ramazaan Me Saari Khataao Ko Bakhash Kar Jannatul Firdaus Me Daakhil Kare. Aameen
 

Similar threads


Top