FIRQA PARASTI: NUQSAANAAT- WUJUHAAT- HAL


FIRQA PARASTI: NUQSAANAAT- WUJUHAAT- HAL
Fazilatush Shaikh Maqbool Ahmad Salafi Hafizahullah
Romanised By Khadija Muhammadi

Islaam Ek Saaf Suthra Deen Hai Is Par Kisi Qism Ka Daag, Dhabba,Mail Kuchail Naam Ki Koi Chiz Nahi. Islaam Ka Har Muamla Waazeh,Ta'leemaat Roshan Aur Afkaar Aur Nazariyaat Se Le Kar Aqaaid Aur Ibaadaat Tak Saare Ke Saare Thos Aur Mustanad Me'yaar Par Qaaim Hai. Yah Deen Apne Maanne Walo Ko Ittihaad Aur Ittifaaq Ki Ta'leem Deta Hai Is Liye Namaaz, Rozah, Haj Jaise Arkaan E Islaam me Wahdaaniyat Nazar Aati Hai.

Allah Ne Qur'an Me Aur Rasool Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Apne Faraameen Me Logo Ko Tafarqa Bazi Karne,Ikhtilaaf Aur Intishaar Phailaane, Nafrat Aur Dushmani Ko Hawa Dene Se Man'a Kiya Hai Aur Ulfat Aur Muhabbat Ittihaad Aur Ittifaaq Aur Bhaichara Ko Qaim Karne Aur Use Barhaane Ka Hukm Diya Hai. Musalmaan Hone Ki Haisiyat Se Jaha Awaam Ki Zimmadari Hai Ke Woh Logo Me Yagaanigat Ki Fiza Qaaim Rakhe Wahi Guftaar Aur Kirdaar Ke Zariya Ulma Ki Bhi Zimmadari Hai Ke Ittihaad Millat Ka Daaman Thaame Rahe,Iske Liye Jo Bhi Jaiz Surat Apnaani Parhe Apnaae Chaahe Tanzeemi Shakl Ho Ya Khilaafat Ka Qiyaam.

Jo Log Deen Me Tafarqa Phailaate Hai Ya Tafarqa Bazi Ka Hissa Bante Hai Chaahe Ulma Ho Ya Awaam Dono Hi Ittihaad E Islaami Ke Dushman,Ta'leemaat E Islaamiya Ke Mukhaalif Aur Allah, Uske Rasool Ke Baagi Hai.

Aaj Deen Aur Maslak Ke Naam Par Hamaare Ikhtilaaf Ne Awaam Ko Badi Mushkilaat Me Daal Rakha Hai,Aam Aadmi Sahih Deen Ko Samjhne Se Qaasir Hai, Deen Par Amal Karne Ke Liye Bahut Sare Masaail Me Tazabzab Ka Shikaar Hai Yaha Tak Ke Ibaadat Ko Anjaam Dene Me Is Qadr Kathinaai Ka Saamna Kar Rahi Hai Ke Aksariyat To Ibaadat Se Rugirah Ho Gai Hai. Ek Dusre Ki Takfeer Karna Ek Dusre Se Nafrat Aur Bugz Rakhna,Ek Dusre Ke Khilaaf Makr Aur Fareb Karna,Dusre Maslak Walo Ki Masjido, Qabrstano Aur Madaaris Par Qabza Karna,Apni Ibaadatgaaho, Kitaabo, Imaamo Aur Aqaaid Aur Nazariyaat Ko Taqseem Aur Khaas Kar Lena, Shadi Biyah Aur Len Den Me Maslaki Munaafirat Baratna, Beqasoor Musalmano Par Jhute Ilzaamaat Lagana,Aur Un Par Jhute Muqaddimaat Daair Kara Ke Harasa Aur Pareshaan Karna Balke Us Par Fakhr Karna Aur Maze Lena,Ek Dusre Ke Makaatib Aur Madaaris Ke Khilaaf Saazish Rachna,Unhe Band Karne Narawa Koshish Karna Mukhlis Duaat Aur Muballegeen Ke Khilaaf Propegande Karna, Aslaaf Aur Bugurgaane Deen Ke Mutalliq Harzah Saraai Karna,Apne Apne Maslaki Quwwat Aur Shan Barhana Aur Uske Liye Jaiz Aur Najaiz Har Qism Ke Zaraae Istimaal Karna, Maslaki Asbiyat, Maslaki Ana Ki, Maslaki Tanaz'e, Maslaki Tashaddud Aur Fasaad Machana,Musalmano Me Bataur E Khaas Hind O Paak,Nepal, Bangladesh Wagairah Me Aam Hai.

Yaha Samjhne Ki Baat Yah Hai Ke Sahaba E Kiraam Aur Tabe'een Aur Tab'a Tabe'een Ke Daur Me Bhi Ikhtilaaf Ka Namuna Milta Hai Magar Woh Ikhtilaaf Nusoos E Aayat Aur Ahadees Me Fahm Aur Basirat Ka Ikhtilaaf Hai Jis Ka Imkaan Kal Bhi Tha, Aaj Bhi Hai,Aur Kal Bhi Rahe Ga. Sahaba Kiraam Aur Tabe'een Izaam Deen Par Amal Karne Ke Liye Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Sunnat Talaash Karte The Aur Us Par Amal Karte The. Sahaba Ke Baad Tabe'een Aur Ittibaa E Tabe'een Ka Bhi Yahi Manhaj Raha Hai. 4Ro Imaam Ke Darmiyaan Ikhtilaaf Ka Baais Ya To Nas Ki Adm Ma'rifat Ya Nas Me Fahm Ka Ikhtilaaf Hai. Yah Ikhtilaaf Hote Hue Bhi Aimma Ke Daur Me Tafarqa Bazi Nahi Thi. Aaj Logo Ne Unke Naam Par Alag Alag Firqa Bana Rakha Hai Aur Un Aimma Ke Ikhtilaaf Ko Buniyaad Kar Aapas Me Ek Dusre Ki Takfeer Me Mubtila Hai. Jaha Tak Kisi Imaam Ke Nas Ki Adme Ma'rifat Ki Wajah Se Kisi Masala Me Khata Hui To Us Galati Ko Chhod Di Jaaegi Aur Yah Khata Jo Aaj Hame Ikhtilaaf Nazar Aa Rahi Hai Dar Asal Is Waqt Ke Lihaaz Se Is Imaam Ka Ijtihaad Tha Jo Unhone Allah Ki Di Hui Deeni Basirat Ki Buniyaad Par Liya Tha, Unke Saamne Koi Khaas Maslak, Koi Khaas Duniyawi Garz Ya Koi Shakhsiyat Parasti Nahi Thi,Woh Ham Se Ziyadah Allah Se Darne Wale The,Apni Zabaan Se Wahi Baat Kehte Jo Woh Apni Deeni Basirat Se Haq Samjhte The. Aaj Daleel Waazeh Ho Jane Ke Baad Bhi Log Imaam Ki Bashari Khataao Par Musir Hai Aur Yah Israar Is Qadr Shadeed Hai Ke Aapas Me Jadl O Jidaal Ka Maahol Bana Hua Hai. Aur Jaha Par Aimma Se Nas Ki Ma'rifat Ke Bawajood Fahm Aur Basirat Me Ikhtilaaf Hua To Is Ikhtilaaf Ko Kitaab Aur Sunnat Par Lautaya Jaae Jo Muwafiq Ho Use Ikhtiyaar Kiya Jaae Aur Jo Mukhaalif Ho Use Chhod Diya Hai. Is Se Kisi Imaam Ki Ahaanat Maqsood Nahi Hoti Hai Aur Na Hi Unke Haq Me Kasr E Shaan Shumaar Hogi. Chaaro Aimma Hamaare Hi Hai, Kisi Gair Ke Nahi Hai. Ham Un Se Bahut Muhabbat Karte Hai, Unse Muhabbat Ka Taqaaza Hai Ke Unki Khata Ya Ikhtilaaf Par Giraft Na Ki Jaae Aur Na Hi Unke Naam Par Firqa Banaya Jaae. Mujtahid Hone Ke Naate Unse Jo Khata Ya Ikhtilaaf Hua Woh Allah Ke Nazdeek Ajr Ka Baais Hai Lekin Ham Jaan Bujh Kar Unke Ikhtilaaf Ko Hawa De,Unke Ikhtilaaf Ki Buniyaad Par Aimma Ko Chaar Hisso Aur Chaar Firqo Me Taqseem Kar De Aur Unki Bashari Khata Ko Bhi Jabran Sahih Saabit Kare Yah Mazmoom Hai. Yahi Tafarqa Bazi Ki Jad Hai. Maloom Yah Hua Ke Nusoos Me Fahm Aur Tadabbur Se Jo Mukhtalif Ma'ni Akhz Ho Woh Mazmoom Nahi Balke Mukhtalif Ma'ni Ko Buniyaad Bana Kar Tafarqa Bazi Karna Yah Mazmoom Hai. Yaqeen Jaaniye Agar Aaj Bhi Ummat Is Nuqta E Nazr Hi Jama Ho Jaae To Saare Firqe Mit Sakte Hai Kuyn Ke Islaam Ek Tariqa E Hayaat Aur Dastoor E Zindagi Ka Naam Hai Is Me Tafarqa Bazi Ki Koi Gunjaaish Hi Nahi.

Hame Agar Imaam Abu Hanifah RH. Se Muhabbat Hai To Muhabbat Ka Izhaar Kar Sakte Hai, Farte Muhabbat Me Nisbat Bhi Karne Me Koi Harj Nahi Hai Jaisa Ke Koi Imaam Maalik Se Farte Muhabbat Ke Taur Par Apne Naam Ke Sath Maaliki Likhe. Logo Ka Siddiqui, Farooqi Aur Usmaani Likhna Bhi Bataur E Muhabbat Hai. Koi Kisi Madrase Se Faarig Hota Hai To Uski Muhabbat Me Khud Ko Us Taraf Intisaab Karta Hai. Muhabbat Ke Izhaar Ke Liye Achchi Nisbato Me Koi Harj Nahi Lekin Agar Nisbat Ka Matlab Alag Firqa Banana Hai To Mazmoom Hai Chaahe Nisbat Kisi Shakhas Ke Naam Par Ho Ya Idaare Ke Naam Par Ya Qaum Aur Ilaaqa Ke Naam Par Ho.
 
Thread starter Similar threads Forum Replies Date
Amaat ullah Manhaj 0
Amaat ullah Manhaj 0
Muhammed Ali Owais Manhaj 0
Ibnatu Ali Manhaj 0

Similar threads


Top