SAFAR SE LAUTNE KE AADAAB AUR AHKAAM


SAFAR SE LAUTNE KE AADAAB AUR AHKAAM

FAZILATUSH SHAIKH MAQBOOL AHMAD SALAFI HAFIZAHULLAH/JEDDAH KSA

Jab Ham Kisi Bhi Lambe Safar Se Waapas Aate Hai To Ahal O Ayaal Se Milne Ki Khushi To Yaad Rehti Hai Magar Is Silsile Me Kai Sunnat E Nabawi Bhulaae Rehte Hai. Haa Jab Hajj Ya Umrah Se Lautte Hai To Chand Ek Sunnat Yaad Rehti Hai Magar Us Me Bhi Ifraat Aur Tafreet Ke Shikaar Ho Jate Hai.
Aaiye Sahih Hadees Ki Roshni Me Ikhtisaar Ke Sath Aap Ki Khidmat Me Safar Se Waapsi Ke Aadaab Bayan Karta Hun Taaki Sunnato Ko Zindah Kare Aur Ifraat Aur Tafreet Se Parhez Kare.
Buniyaadi Taur Par Yah Zahan Me Rahe Ke Safar Me Saubato Aur Mushkilaat Ka Saamna Hota Hai Is Liye Raasta Pur Aman Ho Tabhi Aap Safar Kare Aur Safar Ke Waqt Shar Se Allah Ki Panaah Aur Aasaani Ke Liye Rabbul Aalameen Se Dua Kare. Abdullah Bin Sarjis RA Bayan Karte Hai:
وعن عبد الله بن سرجس  قال: كان رسول الله ﷺ إذا سافر يتعوذ من وعثاء السفر، وكآبة المنقلب، والحور بعد الكون، ودعوة المظلوم، وسوء المنظر في الأهل والمال. (رواه مسلم:1343)
Tarjumah: Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Jab Safar Karte To Allah Se Panaah Maangte Safar Ki Mashaqqato Se Aur Gamgeen Ho Kar Lautne Se Aur Bhalaai Ke Baad Buraai Ki Taraf Lautne Se Aur Ahal O Ayaal Me Buraai Ke Dekhne Se.
Safar Ki Wajah Se Ek Taraf Musaafir Ko Pareshani Laahiq Hoti Hai To Dusri Taraf Ahal O Ayaal Aur Uske Maal Ke Liye Diqqat Ka Saamna Ho Sakta Hai Is Liye Shuru Safar Me Hi Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam In Sab Chizo Me Aafiyat Ke Liye Dua Karte The.
* Is Buniyaadi Baat Ko Zahan Me Rakhte Hue Safar Se Lautne Me Sab Se Pehla Adab Yah Hai Ke Jis Maqsad Ke Liye Safar Tha Is Maqsad Ki Takmeel Ke Foran Baad Ahal O Ayaal Ke Paas Laut Aaya Jaae,Isme Taakhir Na Ki Jaae. Hamare Piyare Rasool Muhammad Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Yahi Sunnat Rahi Hai Chunancha Abu Hurairah RA Se Rivaayat Hai Ke Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
السفر قطعة من العذاب، يمنع أحدكم طعامه، وشرابه ونومه، فإذا قضى أحدكم نهمته من سفره، فليعجل إلى أهله.
Tarjumah: Safar Kya Hai Goya Azaab Ka Ek Tukda Hai, Aadmi Ki Nind, Khane Pine Sab Me Rukawat Paida Karta Hai. Is Liye Jab Musaafir Apna Kaam Pura Kar Le To Use Jaldi Ghar Waapas Aa Jana Chaahiye.(Sahih Bukhari: 3001)
* Safar Se Lautne Ka Dusra Adab Yah Hai Ke Lautte Waqt Usi Tarah Dua Parhe Jaise Aap Ne Safar Ke Shuru Me Dua Ki Thi,Kuch Kalimaat Ke Izaafa Ke Sath, Chunancha Aap Safar Se Lautne Ki Dua Is Tarah Parhe.

اللَّهُ أَكْبَرُ ، اللَّهُ أَكْبَرُ ، اللَّهُ أَكْبَرُ . ثُمَّ يَقُولُ : سُبْحَانَ الَّذِي سَخَّرَ لَنَا هَذَا وَمَا كُنَّا لَهُ مُقْرِنِينَ وَإِنَّا إِلَى رَبِّنَا لَمُنْقَلِبُونَ سورة الزخرف آية 13 - 14 ، اللَّهُمَّ إِنِّي أَسْأَلُكَ فِي سَفَرِي هَذَا الْبِرَّ وَالتَّقْوَى ، وَمِنَ الْعَمَلِ مَا تَرْضَى ، اللَّهُمَّ هَوِّنْ عَلَيْنَا السَّفَرَ ، وَاطْوِ عَنَّا بُعْدَهُ ، اللَّهُمَّ أَنْتَ الصَّاحِبُ فِي السَّفَرِ ، وَالْخَلِيفَةُ فِي الأَهْلِ ، اللَّهُمَّ إِنِّي أَعُوذُ بِكَ مِنْ وَعْثَاءِ السَّفَرِ ، وَكَآبَةِ الْمُنْقَلَبِ فِي الْمَالِ وَالأَهْلِ ، آيِبُونَ تَائِبُونَ عَابِدُونَ وَلِرَبِّنَا حَامِدُونَ " .
Tarjumah: Allah Sab Se Bada Hai,Allah Sab Se Bada Hai,Allah Sab Se Bada Hai.
Paak Hai Parwardigaar Jis Ne Hamara Dabeel Kar Diya Is Jaanwar Ko Aur Ham Isko Daba Na Sakte The Aur Ham Apne Parwardigaar Ke Paas Laut Jane Wale Hai, Ya Allah! Ham Maangte Hai Tujh Se Apne Is Safar Me Neki Aur Parhezgaari Aur Ayse Kaam Jise Tu Pasand Kare,Ya Allah! Aasan Kar De Ham Par Is Safar Ko Aur Is Lambaan Ko Ham Par Thoda Kar De,Ya Allah! Tu Rafeeq Hai Safar Me Aur Tu Khaleefah Hai Ghar Me,Ya Allah Me Panaah Maangta Hu Tujh Se Safar Ki Takleefo Aur Ranj Aur Gam Se Aur Bure Haal Me Laut Kar Aane Se Maal Me Aur Ghar Walo Me. Ham Lautne Wale Hai Aur Taubah Karne Wale, Khaas Apne Rabb Ko Pujne Wale Aur Usi Ki Tareef Karne Wale. (Sahih Muslim:1342)
* Safar Se Lautne Ka Teesra Adab Yah Hai Ke Raat Ko Bagair Ittila Diye Ahal O Ayaal Paas Na Jaae. Jaabir RA Se Rivaayat Hai, Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Ne Farmaya:
إذا قدمَ أحدُكُمْ لَيْلًا ، فلا يأتيَنَّ أَهْلهُ طُرُوقًا ؛ حتى تَسْتَحِدَّ المُغِيبَه ، و تَمْتَشِطَ الشَّعِثَه.
Tarjumah: Jab Tum Me Se Koi Raat Ko Aae To Apne Ghar Me Ghusa Na Chala Aae(Balke Thehre) Yaha Tak Ke Paaki Kare Woh Aurat Jis Ka Shohar Safar Me Tha Aur Comb Kare Woh Aurat Jis Ke Baal Pareshaan Ho.(Sahih Muslim:715)
Aaj Social Media Ke Zamaane Me Ek Ek Lamha Ki Khabar Musaafir Aur Ghar Walo Ke Darmiyaan Hoti Hai Is Atebaar Se Kisi Waqt Ghar Pohnche Me Harj Nahi Hai.
* Safar Se Lautne Par Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ki Ek Sunnat Yah Bhi Rahi Hai Ke Aap Jab Basti Me Waapas Lautte Pehle Ahal O Ayaal Ke Paas Nahi Jaate Balke Masjid Jate Aur Waha 2 Rakat Namaaz Ada Karte Chunancha Ka'ab Bin Maalik RA Bayan Karte Hai:
كان عليه الصلاة والسلام إذا قدم من سفر بدأ بالمسجد فركع فيه ركعتين ثم جلس للناس.
Tarjumah: Nabi E Akram Sallallahu Alyhi Wasallam Jab Safar Se Aate To Pehle Masjid Me Jaate Aur Usme 2 Rakat Namaaz Parhte, Fir Logo Se Mulaaqaat Ke Liye Bethte.(Abu Dawood: 2773,Sahhahul Albani)
* Safar Se Lautne Par Ghar Aur Pados Ke Bachcho Ko Pehle Shiddat Ka Intizaar Hota Hai Is Liye Musaafir Ghar Ko Lautte To Istiqbaal Karne Wale Bachcho Se Piyaar Aur Muhabbat Jatlaae,Un Bachcho Me Apne Aur Pados Ke Bhi Ho Sakte Hai,Sab Se Yaksaa Muhabbat Kare Taaki Kisi Ko Ahsaas E Kamtari Na Ho. Ibne Abbas RA. Ne Bayaan Kiya:
لما قدم النبي صلى الله عليه وسلم مكة استقبلته أغيلمة بني عبد المطلب، فحمل واحدًا بين يديه، وآخرَ خلفه.
Tarjumah: Jab Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Makka Mukarrama Tashrif Laae (Fatah Ke Mauqah Par) To Abdul Muttalib Ki Awlaad Ne(Jo Makka Me Thi) Aap Ka Istiqbaal Kiya. (Yah Sab Bachche Hi The) Aap Ne Az Raah Muhabbat Ek Bachche Ko Apne Saamne Aur Ek Ko Apne Piche Bitha Liya.(Sahih Bukhari: 5965)
* Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ke Piyaare Saathiyo Ka Tariqah Tha Ke Jab Woh Ek Dusre Se Mulaaqaat Farmate To Salaam Aur Musafah Karte Aur Jab Safar Se Laut Kar Milte To Muaniqa Karte. Goya Lambe Safar Se Lautne Ki Ek Sunnat Yah Hai Ke Milne Walo Se Muaniqa Kya Jaae. Anas Bin Maalik RA Bayan Karte Hai:
كان أصحاب النبي صلى الله عليه وسلم إذا تلاقوا تصافحوا ، وإذا قدموا من سفر تعانقوا.
Tarjumah: Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Me Ashaab Jab Ek Dusre Se Mulaaqaat Karte To Musafah Karte Aur Jab Safar Se Waapas Aate To Muanqah Karte.(Sahih Attargeeb:2719)
* Aap Sallallahu Alyhi Wasallam Jab Gazwah Tabooq Ya Zaatur Riqa Se Waapas Hue To Aap Ne Ek Jaanwar Zubah Kar Ke Sahaba Karaam Ko Khilaya Tha.
Jaabir Bin Abdullah RA Se Rivaayat Hai
ان رسول الله صلى الله عليه وسلم لما قدم المدينة نحر جزورا او بقرة.
Tarjumah: Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Jab Madinah Tashreef Laae(Gazwah Tabook Ya Zaatur Riqa Se) To Oont Ya Gaae Zabah Ki.(Sahih Bukhari: 3089)
Is Hadees Ki Roshni Me Ahle Ilm Kehte Hai Ke Safar Se Lautne Ki Ek Sunnat Yah Hai Ke Logo Ki Dawat Ki Jaae Chunancha Is Hadees Par Imaam Bukhaari RH. Is Tarah Baab Bhandha Hai. "Baabut Ta'ami Indal Qudoom" Yani Musaafir Jab Safar Se Laut Kar Aae To Logo Ko Khana Khilaae(Dawat Kare)
Aur Isi Hadees Par Imaam Dawood (3747) Ne Is Tarah Baab Bhandha Hai "Baabut Ta'ami Indal Qudoomi Minas Safari" Yani Safar Se Aane Par Khana Khilane Ka Bayaan.
Is Liye Jo Musaafir Dawat Karne Ki Istitaat Rakhta Ho Woh Gulu Aur Fuzool Kharchi Se Bachte Hue Apne Qareebi Logo Ko Dawat Kar Ke Khila Sakta Hai Lekin Jis Ko Dawat Khilane Ki Taaqat Na Ho Woh Dawat Na Kare Taaham Ek Dusre Se Ulfat Aur Muhabbat Qaim Rakhne Aur Usme Izaafa Karne Ke Sabab Apne Qareebi Rishta Daro Aur Mulaaqaatiyon Ko Mamooli Gifts Paish Kar Sake To Achchi Baat Hai. Nabi Sallallahu Alyhi Wasallam Ka Farmaan Hai. تهادوا تهابوا.
Tarjumah: Ek Dusre Ko Hadiya Diya Karo Kuynki Isme Aapas Me Muhabbat Me Izaafa Hota Hai.(Sahih Adabul Mufrad:462)
Hadiya Me Koi Bhaari Bharkam Chiz Dena Zaroori Nahi Hai, Ghar Ke Bachcho Ke Liye Chand Tofiya Sahi, Khajoor Ka Ek Dana Sahi Aur Hajj Aur Umrah Se Laut Rahe Hai To Zamzam Ka Ek Ghunt Pani Hi Paish Kar De. Mulaaqaat Karne Wala Hajj Ya Umrah Se Lautne Wale Ke Ibaadat Ki Qabooliyat Ki Dua De.
Akhir Me Hajj Aur Umrah Se Lutne Wale Khush Nasibo Se Arz Karna Chahta Hu Ke Aap Ko Allah Ne Azeem Ibaadat Ki Sa'aadat Bakhshi Hai,Apni Aankho Se Allah Ka Ghar Ka Deedaar Aur Uska Tawaaf Kar Ke Aae Hai, Is Waqt Aap Ko Is Baat Ki Zaroorat Hai Ke Shukre Ilaahi Ke Sath Allah Se Bakasrat Yah Dua Kare Ke Ay Allah! Mere Hajj Aur Umrah Ko Qabool Farma. Nez Hajj E Mabroor Se Saare Gunaah Maaf Ho Jate Hai Jaise Koi Maa Ke Pet Se Paida Hua Ho. Is Liye Koshish Kare Ke Isi Haalat Par Maut Aae Yani Gunaaho Se Dhule Dhulaae. Iske Liye Aap Ko Kya Karna Hai?
(1) Safar E Hajj Aur Umrah Se Waapsi Par Murawwijah Khuraafaat Aur Fuzool Kaamo Se Bache Jaise Gharo Ki Taziyan Aur Zaibaaish, Bhari Bharkam Israaf Aur Riya Wali Dawat Wagairah
(2) Har Us Kaam Se Bache Jis Ne Shohrat Aur Naamwari Ho Taaki Aap Ki Ibaadat Ki Hifaazat Ho Warna Shohrat E Hajj Jaisi Ibaadat Ko Khaa Le Gi Yaha Tak Ke Yah Jahnnam Me Daakhil Hone Ka Sabab Ban Sakti Hai.
(3) Jaise Hajj Ya Umrah Aap Ne Khaalis Allah Ke Liye Anjaam Diya,Mataaf, Sai, Mina, Arafaat, Muzdalfah Har Jagah Usi Se Dua Maangi, Usi Ko Makka Madinah Me Pukara,Saari Zindagi Usi Tarah Khaalis Ab Rabb Ki Bandagi Baja Laae, Iske Saath Kisi Ko Shareek Na Kare Aur Usi Se Maangte Rahe, In Sha Allah Tauheed Par Khaatma Naseeb Hoga Aur Aap Ka Hajj Qayamat Me Kaam Aae Ga. Yaad Rahe Shirk Saare Aamaal Ko Barbaad Kar Deta Hai.
(4) Aakhri Baat Yah Hai Ke Ab Apne Ko Ek Behtar Insaan Ki Surat Me Badal Kar Zindagi Guzaare Jaise Maloom Ho Ke Waqai Hajj Aur Umrah Ne Aap Ko Badal Diya Hai Ya Hajj Aur Umrah Ke Baad Ab Ek Achche Insaan Ban Gae Hai Allah Bhi Yahi Chahta Hai. Aap Neki Ki Taraf Lag Gae Hai To Is Jaanib Barhte Rahe Aur Usi Par Qaim Rahe Aur Allah Se Hamesha Saabit Qadami Ki Yah Dua
" يا مقلب القلوب ثبت قلبى على دينك. Karte Rahe
Anas RA Kehte Hai:
كان رسول الله صلى الله عليه يكثر ان يقول:يا مقلب القلوب ثبت قلبى على دينك.
Tarjumah: Rasoolullah Sallallahu Alyhi Wasallam Aksar Yah Dua Parhte The
«يا مقلب القلوب ثبت قلبى على دينك.»
Tarjumah: Ay Dilo Ke Ulatne Palatne Wale Mere Dil Ko Apne Deen Par Saabit Qadam Rakh. (Sahih Tirmizi:2140)
 
Top