4 Din Qurbani ka suboot Quran E Mazeed Ki Roshni me


Abdul Adil

Member
ASSALAMU ALAIKUM WARAHMATULLAHI WABARAKATUH

CHAR DIN QURBANI KA SUBOOT QURAN MAJEED KI ROSHNI ME

Tahreer :- Shaikh Kifayatullah Sanabili Hafizahullah

Roman Script :- Amir Adnan

SURAH BAQRAH me ALLAH TA’ALA ARAFAT wa MUZDALFA se HAJJAJ E KARAM ki WAAPSI ke baad DAURAN E QEYAAM MINAA me unhe KHUSOOSIYAT ke sath apne ZIKR ka HUKM dete huye ek jagah farmata hain

وَاذْكُرُوا اللَّهَ فِي أَيَّامٍ مَّعْدُودَاتٍ ۚ فَمَن تَعَجَّلَ فِي يَوْمَيْنِ فَلَا إِثْمَ عَلَيْهِ وَمَن تَأَخَّرَ فَلَا إِثْمَ عَلَيْهِ ۚ لِمَنِ اتَّقَىٰ ۗ وَاتَّقُوا اللَّهَ وَاعْلَمُوا أَنَّكُمْ إِلَيْهِ تُحْشَرُونَ


Yani tum GINTI ke CHAND DINO me ALLAH TA’ALA ko YAAD karo, pass jo koyi DO DIN GUZAR kar (MINAA se) jaldi RAWANA hona chahe to us par koyi GUNAH nahi hai. aur jo der me GUZARNA chahe (Yani TEEN DIN guzar kar) to is par bhi jo PARHEZGARI kare koyi GUNAH nahi hai.

[[ SURAH BAQRAH AAYAT 203 ]]


Is AAYAT E KAREEMA me BA ITTEFAQ E MUFASIREEN “AIYAAMIM MA’DOODAT” (ایام معدودات) se AIYAAM E TASHREEQ YA’NI ZIL HIJJAH ki 11,12,13 TAREEKH MURAD hai chunancha,

IMAM QURTUBI RH is SILSILE me likhte hain

أَمَرَ اللَّهُ سُبْحَانَهُ وَتَعَالَى عِبَادَهُ بِذِكْرِهِ فِي الْأَيَّامِ الْمَعْدُودَاتِ، وَهِيَ الثَّلَاثَةُ الَّتِي بَعْدَ يَوْمِ النَّحْرِ، وَلَيْسَ يَوْمُ النَّحْرِ مِنْهَا، لِإِجْمَاعِ النَّاسِ أَنَّهُ لَا يَنْفِرُ أَحَدٌ يَوْمَ النَّفْرِ وَهُوَ ثَانِي يَوْمِ النَّحْرِ، وَلَوْ كَانَ يَوْمُ النَّحْرِ فِي الْمَعْدُودَاتِ لَسَاغَ أَنْ يَنْفِرَ مَنْ شَاءَ مُتَعَجِّلًا يَوْمَ النَّفْرِ، لِأَنَّهُ قَدْ أَخَذَ يَوْمَيْنِ مِنَ الْمَعْدُودَاتِ


Ki ALLAH TA’ALA ne apne BANDO’N ko GINTI ke CHAND DINO me apne ZIKR ka HUKM diya hai aur ye (GINTI KE DIN) YAUM UN NAHAR (Ya’ni QURBANI ka DIN 10 ZIL HIJJAH) ke baad TEEN ROZ hain jinme YAUM UN NAHAR DAKHIL nahi hai kyunki is baat par logo’n ka IJMAA hai ki QURBANI ke DOOSRE DIN (Ya’ni 11 ko) koi HAAJI MINAA se KOOCH nahi kar sakta.Aur agar YAUM UN NAHAR AIYAAMIM MA’DOODAT me DAAKHIL hota to phir (BAMAWJAB HUKM QURAANI) AJLAT BAAZ ke liye 11 ko MINAA se KOOCH karna DRUST hota, kyunki wo GINTI ke (TEEN DINO me se) DO ROZ GUZAAR chuka hai. (Aur ALLAH TA’ALA ne DO ROZ GUZAR CHUKNE ke baad MINAA se KOOCH karne ki IJAZAT di hai.)


[[ TAFSEER UL QURTUBI JILD 3 SAFA 363 ]]


AIYAAMIM MA’DOODAT JAMERAT ko KANKARI marne ke AIYAAM hain jaisa ki MUFASSIREEN ke AQWAL se WAZEH hai chunancha,

IMAM IBN JAREER AT TABRI RH likhte hain ki HAZRAT IBN ABBAS RAZIALLAHU ANHU se MANQOOL hai

الأيام المعدودات أيام التشريق، وهي ثلاثة أيام بعد النحر.


Ki ye GINTI ke AIYAAM “AIYAAM UT TASHREEQ” hain jo QURBANI ke DIN ke baad TEEN ROZ hain

[[ TAFSEER UT TABRI JILD 3 SAFA 550 ]]

MAZEED likhte hain ki IMAM MALIK RH se bhi yahi MANQOOL hai

” الأيام المعدودات”، ثلاثة أيام بعد يوم النحر

[[ TAFSEER UT TABRI JILD 3 SAFA 552,553 ]]


IMAM AZZAHHAAK aur DEEGAR AHLE ILM se bhi yahi MANQOOL hai

[[ TAFSEER UT TABRI JILD 3 ZAFA 549 TA 553 ]]

IMAM IBN UL ARABI RH farmate hain

وَصَارَتْ أَيَّامُ مِنًى ثَلَاثَةً سِوَى يَوْمِ النَّحْرِ؛ لِأَنَّهُ أَقَلُّ الْجَمْعِ فِي الْأَظْهَرِ عِنْدً الْإِطْلَاقِ حَسْبَمَا بَيَّنَّاهُ فِي كُتُبِ الْأُصُولِ، وَبَيَّنَ النَّبِيُّ – صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ – ذَلِكَ بِالْعَمَلِ الَّذِي يَرْفَعُ الْإِشْكَالَ

Ki AIYAAMIM MA’DOODAT se MURAD AIYAAM E MINAA hai jo YAUM UN NAHAR ke ALAWAH TEEN DIN hain kyunki AQULLU JAM’A hai. Nez NABI SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM ne apne AMAL se ISE BAYAN kar ke har tarah ke ASHKAAL ko KHATM kar diya

[[ TAFSEER IBN UL ARABI JILD 1 SAFA 198 ]]

IMAM IBN KASEER RH is AAYAT ki TAFSEER me farmate hain

ويتعلق بقوله : ( واذكروا الله في أيام معدودات ( ذكر الله على الأضاحي ، وقد تقدم ، وأن الراجح في ذلك مذهب الشافعي ، رحمه الله ، وهو أن وقت الأضحية من يوم النحر إلى آخر أيام التشريق

Ki AIYAAMIM MA’DOODAT me ALLAH ka ZIKR karne ka MATLAB ye hai ki QURBANI ke JANWAR ko ZABAH karte WAQT un par ALLAH ka NAAM liya jaye. Aur ye baat pehle GUZAR CHUKI hai ki is SILSILE me RAAJEH IMAM SHAFAYI RH ka MASLAK hai ki QURBANI ka WAQT YAUM UN NAHAR se le kar AIYAAM TASHREEQ ke AAKHRI DIN tak (Ya’ni 13 tak) hai

[[ TAFSEER IBN KASEER JILD 1 SAFA 418 ]]

IMAM FAKHRUDDEEN RAAZI RH ne apni TAFSEER me IMAM WAHIDI RH ka ye QAUL NAQAL kiya hai

أيام التشريق هي ثلاثة أيام بعد يوم النحر

Ki AIYAAM E TASHREEQ YAUM UN NAHAR ke baad TEEN DIN hai.YAUM UN NAHAR ke sath ye TEENO DIN bhi QURBANI ke AIYAAM hain

[[ TAFSEER ARRAAZI JILD 5 SAFA 208 ]]

TAFSEER E MADARIK ye AHNAAF ki MASH’HOOR TAREEN TAFSEER hai iske MUSANNIF hain ABUL BARKAAT ABDULLAH BIN AHMAD BIN MAHMOOD AN NASFI RH is AAYAT ki TAFSEER me likhte hain

{واذكروا الله فِى أَيَّامٍ معدودات} هي أيام التشريق

Ki AUR ALLAH ko YAAD karo AIYAAMIM MA’DOODAT me Ya’ni AIYAAM E TASHREEQ me

[[ TAFSEER UN NASFI JILD 1 SAFA 173 ]]

IMAM FAKHRUDDEEN AR RAAZI RH farmate hain

وَأَجْمَعَتِ الْأُمَّةُ عَلَى أَنَّ هَذَا الْحُكْمَ إِنَّمَا ثَبَتَ فِي أَيَّامِ مِنًى وَهِيَ أَيَّامُ التَّشْرِيقِ، فَعَلِمْنَا أَنَّ الْأَيَّامَ الْمَعْدُودَاتِ هِيَ أَيَّامُ التَّشْرِيقِ

Ki aur UMMAT ne is BAAT par IJMAA kar liya hai ki ye HUKM AIYAAM E MINAA ke liye SAABIT hai aur wo AIYAAM E TASHREEQ hai. pass hum JAAN gaye ki AIYAAM E MA’DOODAT se AIYAAM E TASHREEQ MURAD hai

[[ TAFSEER AR RAAZI JILD 5 SAFA 208 ]]

ABU HAYYAN MUHAMMAD BIN YUSUF BIN ALI BIN YUSUF BIN HAYYAN ASEER UD DEEN ANDLUSI RH likhte hain

وَقَدْ قَالَ فِي (رَيِّ الظَّمْآنِ) : أَجْمَعَ الْمُفَسِّرُونَ عَلَى أَنَّ الْأَيَّامَ الْمَعْدُودَاتِ أَيَّامُ التَّشْرِيقِ. انْتَهَى.

Ki RAYYAZ ZAM’AAN FI TAFSEER UL QURAN me likha hai ki MUFASSIRO’N ne is baat par IJMAA kar liya hai ki AIYAANIM MA’DOODAT AIYAAM E TASHREEQ hain

[[ TAFSEER AL BAHRUL MUHEET JILD 2 SAFA 119 ]]

Aur DEEGAR AHLE ILM ne bhi AIYAAMIM MA’DOODAT ke AIYAAM E TASHREEQ hone par IJMAA NAQAL kiya hai

NUSOOS E BALA se ye baat bilkul WAZEH ho gayi hai ki AAYAT E KAREEMA me WARID AIYAAMIM MA’DOODAT se MURAD BA IJMAA E UMMAT AIYAAM E TASHREEQ hain Ya’ni ZIL HIJJAH ki 11,12,13 to ab ye pata karna hai ki ALLAH TA’ALA ne in GINTI ke DINO me apne ZIKR ka jo HUKM diya hai is se us ki kya MURAD hai? So ye MALOOM hona chahiye ki is AAYAT me AGARCHA lafz “ZIKR” MUTLAQ WARID hua hai lekin is SILSILE me DOOSRI AAYAT jo SURAH HAJJ me WARID huyi hai us se ZIKR ki WAZAHAT ho jati hai ki is se MURAD AIYAAM E TASHREEQ me QURBANIYO’N ke ZABAH karte WAQT ALLAH TA’ALA ka NAAM lena hai

Is SILSILE me ek DOOSRI AAYAT WARID hui hayi SURAH HAJJ me jisme ALLAH TA’ALA SAYYADNA IBRAHEEM ALAIHISSALAM ko HAJJ ki MUNADI ka HUKM dete huye, Nez HAJJ ke FAWAID ka ZIKR karte huye farmaya

{وَأَذِّنْ فِي النَّاسِ بِالْحَجِّ يَأْتُوكَ رِجالًا وَعَلى كُلِّ ضامِرٍ يَأْتِينَ مِنْ كُلِّ فَجٍّ عَمِيقٍ (27) لِيَشْهَدُوا مَنافِعَ لَهُمْ وَيَذْكُرُوا اسْمَ اللَّهِ فِي أَيَّامٍ مَعْلُوماتٍ عَلى ما رَزَقَهُمْ مِنْ بَهِيمَةِ الْأَنْعامِ فَكُلُوا مِنْها وَأَطْعِمُوا الْبائِسَ الْفَقِي

Ya’ni AYE IBRAHEEM ! Tu logo’n me HAJJ ki MUNADI kar de,woh PEYADAH aur DUBLI PATLI OONTNIYO’N par SAWAR DOOR DARAZ RAASTO’N se tere paas AAWENGE,TAKI apne NAF’A ke KAAMO’N ko dekhe’n aur jo CHAUPAYE ALLAH ne unko diye hain KHAAS DINO’N me un par ALLAH ka NAAM ZIKR kare’n phir tum usme se khud KHAAO aur MOHTAJ FAQEERO’N ko bhi KHILAO

[[ SURAH HAJ AAYAT 27,28 ]]

Is AAYAT E KAREEMA me ALLAH TA’ALA ne AIYAAMIM MA’LOOMAT (ایام معلومات) me JANWARO’N par ALLAH ka NAAM lene ka HUKM diya hai

In AIYAAMIM MA”LOOMAT se AIYAAM E TASHREEQ MURAAD hain chunancha,

IMAM IBN HAJAR RH ne kaha

وقد روى بن أبي شيبة من وجه آخر عن بن عباس أن المعلومات يوم النحر وثلاثة أيام بعده ورجح الطحاوي هذا لقوله تعالى ويذكروا اسم الله في أيام معلومات على ما رزقهم من بهيمة الأنعام فإنه مشعر بأن المراد أيام النحر انتهى


Ki IMAM IBN ABI SHAIBA ne ek DOOSRI SANAD se IBN ABBAS RAZIALLAHU ANHU se RIWAYAT kiya hai ki ABDULLAH BIN ABBAS RAZIALLAHU ANHU farmate hain (ALLAH TA’ALA ne jin MA’LOOM dino me QURBANI ka HUKM diya hai) in MA’LOOM DINO’N se MURAD YAUM UN NAHAR (10 ZIL HIJJAH) ke baad TEEN DIN hain aur ise IMAM TAHAWI RH ne is liye RAJEH QARAR diya hai kyunki ALLAH TA’ALA ka FARMAN hai “aur jo CHAUPAYE ALLAH TA’ALA ne unko diye hain MA’LOOM DINO’N me un par ALLAH ka NAAM ZIKR kare’n” is AAYAT se pata chalta hai ki yaha’n QURBANI ke DIN MURAD hain

[[ FATAHUL BARI JILD 2 SAFA 458 ]]

HAFIZ IBN HAJAR RH ne FATAHUL BARI me IBN ABI SHAIBA ki KITAB se MAZKOORAH BALA RIWAYAT NAQAL ki hai aur iski TAZ’EEF nahi ki hai jisse is baat ki taraf ISHARAH milta hai ki HAFIZ IBN HAJAR RH ki NAZAR me ye SANAD SAHEEH hai kyunki HAFIZ IBN HAJAR ASQALANI RH ne FATAHUL BARI ke MUQADDAMAH me SARAHAT kar di hai ki wo is KITAB me BATAUR E SHARAH jo RIWAYAT DARJ kare’n ge aur un par KALAM nahi karenge woh unke NAZDEEK SAHEEH YA HASAN hongi

IMAM IBN KASEER RH (MUTAWAFFA 774 H) ne kaha

قال الحكم عن مقسم عن ابن عباس: الأيام المعلومات يوم النحر وثلاثة أيام بعده، ويروى هذا عن ابن عمر وإبراهيم النخعي، وإليه ذهب أحمد بن حنبل في رواية عنه.

Ki ABDULLAH BIN ABBAS RAZIALLAHU ANHU se MARWI hai ki AIYAAM E MA’LOOMAT (QURBANI ke MA’LOOM DIN) YAUM UN NAHAR aur uske baad TEEN DIN hain aur yahi baat ABDULLAH BIN UMAR aur IBRAHEEM NAKH’EE se bhi MARWI hai aur ek RIWAYAT ke MUTABIQ yahi QAUL IMAM AHMAD BIN HAMBAL ka bhi hai

[[ TAFSEER IBN KASEER JILD 5 SAFA 365,366 ]]

IMAM SUYUTI RH (MUTAWAFFA 911 H) ne kaha

وَأخرج عبد بن حميد وَابْن الْمُنْذر وَابْن أبي حَاتِم عَن ابْن عَبَّاس رَضِي الله عَنْهُمَا قَالَ: الْأَيَّام المعلومات: يَوْم النَّحْر وَثَلَاثَة أَيَّام بعده

Ki ABD BIN HAMEED,IBN MUNZIR aur IBN ABI HATIM ne IBN ABBAS RAZIALLAHU ANHU se RIWAYAT kiya hai ki ABDULLAH BIN ABBAS RAZIALLAHU ANHU farmate hain ki (ALLAH TA’ALA ne jin MA’LOOM dino me QURBANI ka HUKM diya hai) in MA’LOOM dino’n se MURAD YAUM UN NAHAR ke baad TEEN Din hain

[[ AD DURARUL MANSOOR JILD 10 SAFA 474 ]]

Lekin in TEENO’N SANADO’N tak hamari (SHAIKH KIFAYATULLAH ki) RASAAYI nahi ho saki kyunki ABD BIN HAMEED,IBN UL MUNZIR aur IBN ABI HATIM ki DASTYAB KUTUB me ye RIWAYAT MAUJOOD hain.

Ta hum is KASRAT E TURQ ki BUNIYAD par yahi ZANN GHALIB aata hai ki CHAR DIN QURBANI ki koi na koi ASAL IBN ABBAS RAZIALLAHU ANHU se MARWI ZAROOR hai. Isiliye AHLE ILM ne BIL JAZAM ABDULLAH BIN ABBAS RAZIALLAHU ANHU ko CHAR DIN QURBANI ka QAYEL bataya hai KAMASYATI.

BA’AZ LOG TANWEER UL MIQBAS ko ABDULLAH BIN ABBAS RAZIALLAHU ANHU ki TAFSEER mante hain (jo DRUST nahi) usme bhi hai

{فِي أَيَّامٍ مَّعْلُومَاتٍ} معروفات أَيَّام التَّشْرِيق {على مَا رَزَقَهُمْ مِّن بَهِيمَةِ الْأَنْعَام} على ذَبِيحَة الْأَنْعَام

ABDULLAH BIN ABBAS RAZIALLAHU ANHU farmate hain ki (ALLAH TA’ALA ne jin MA’LOOM DINO’N me QURBANI ka HUKM diya hai) in MA’LOOM DINO’N se MURAD AIYAAM E TASHREEQ hain, in dino’n ALLAH ke ATAA KARDAH CHAUPAYO’N ya’ni QURBANI ke JANWARO’N ko ZABAH karte WAQT un par ALLAH ka NAAM lo

[[ TANWEER UL MIQBAS SAFA 352 ]]

NEZ IMAM RAAZI RH aur IMAM IBN KASEER RH aur DEEGAR MUFASSIREEN WA SHARIHEEN E HADEES ne AIYAAM E MA’LOOMAT ke SILSILE me HAZRAT ABDULLAH BIN ABBAS RAZIALLAHU ANHU ka ye QAUL NAQAL kiya hai ki isse MURAAD YAUM UN NAHAR aur uske baad TEEN DIN hain

IMAM FAKHRUDDEEN AR-RAAZI RH IBN ABBAS RAZIALLAHU ANHU ke isi QAUL ko NAQAL karne ke baad farmate hain

وَهُوَ اخْتِيَارُ أَبِي مُسْلِمٍ قَالَ لِأَنَّهَا كَانَتْ مَعْرُوفَةً عِنْدَ الْعَرَبِ بَعْدَهَا وَهِيَ أَيَّامُ النَّحْرِ وَهُوَ قَوْلُ أَبِي يُوسُفَ وَمُحَمَّدٌ رَحِمَهُمَا اللَّه.

Ki ABU MUSLIM ne bhi ise IKHTIYAR kiya hai aur yahi ABU YUSUF wa MUHAMMAD ki bhi RAAYE hai, aur in dino ka AIYAAM E MA’LOOMAT kehne ki WAJAH ye hai ki ye din ARBO’N ke NAZDEEK QURBANI ke AIYAAM ki HAISIYAT se jaane jate the

[[ TAFSEER AR RAAZI JILD 23 SAFA 30 ]]

Nez IMAM IBN KASEER RH ke BAQAUL ye IMAM AHMAD RH ka bhi ek QAUL hai (OOPAR MULAHIZAH KARE’N)

Aur ALLAMAH SHAUKANI RH ne is QAUL ki NISBAT IBN ZAID RH ki TARAF bhi ki hai likhte hain


وَقَالَ ابْنُ زَيْدٍ: الْأَيَّامُ الْمَعْلُومَاتُ: عَشْرُ ذِي الْحِجَّةِ، وَأَيَّامُ التَّشْرِيقِ

Ki IBN ZAID ne kaha ki AIYAAM E MA’LOOMAT ASHRAH E ZIL HIJJAH aur AIYAAM E TASHREEQ hain

[[ FATAHUL QADEER JILD 1 SAFA 366 ]]

Aur IMAM IBN HAJAR ASQALANI RH ne HANAFIYAT ke AZEEM ILM BARDAAR IMAM TAHAWI RH ki taraf is QAUL ki NISBAT karte huye likhte hain

ورجح الطحاوي هذا لقوله تعالى ويذكروا اسم الله في أيام معلومات على ما رزقهم من بهيمة الأنعام فإنه مشعر بأن المراد أيام النحر

Ki aur ise IMAM TAHAWI RH ne is liye RAAJEH QARAR diya hai kyunki ALLAH TA’ALA ka farman hai “aur jo CHAUPAAYE ALLAH TA’ALA ne unko diye hain MA’LOOM DINO’N me un par ALLAH ka NAAM ZIKR kare’n” is AAYAT se pata chalta hai ki yaha’n QURBANI ke din MURAD hain

[[ FATAHUL BARI JILD 2 SAFA 458 ]]

TAFSEER UL JALALAIN ye KITAB TAMAM MADARIS me padhayi jati hai,iske pehle PANDRAH PARO’N ki TAFSEER ALLAMAH JALALUDDEEN SUYUTI RH ne ki hai aur DOOSRE PANDRAH PARO’N ki TAFSEER JALALUDDEEN MUHALLA RH ne ki hai ye MUHADDIS bhi hain inhone SURAH HAJJ ki AAYAT ki TAFSEER karte huye farmaya

أَيْ عَشْر ذِي الْحِجَّة أَوْ يَوْم عَرَفَة أَوْ يَوْم النَّحْر إلَى آخِر أَيَّام التَّشْرِيق


Ki AIYAAM E MA’LOOMAT ASHRAH E ZIL HIJJAH ya ARFAH ka din hai ya YAUM UN NAHAR se AAKHRI AIYAAM E TASHREEQ tak

[[ TAFSEER UL JALALAIN SAFA 437 ]]

IMAM QURTUBI RH AIYAAM E MA’LOOMAT me ALLAH ka ZIKR karne ki TASHREEH wa TAUZEEH karte hue farmate hain

وَالْمُرَادُ بِذِكْرِ اسْمِ اللَّهِ ذِكْرُ التسمية عند الذبح والنحر، مثل قَوْلِكَ: بِاسْمِ اللَّهِ وَاللَّهُ أَكْبَرُ، اللَّهُمَّ مِنْكَ وَلَكَ. وَمِثْلُ قَوْلِكَ عِنْدَ الذَّبْحِ” إِنَّ صَلاتِي وَنُسُكِي” «1» [الانعام: 162] الْآيَةَ. وَكَانَ الْكُفَّارُ يَذْبَحُونَ عَلَى أَسْمَاءِ أَصْنَامِهِمْ، فَبَيَّنَ الرَّبُّ أَنَّ الْوَاجِبَ الذَّبْحُ عَلَى اسْمِ اللَّهِ



Ki in AIYAAM me ALLAH ka ZIKR karne se MURAD ye hai ki QURBANI ko ZABAH ya NAHAR karte WAQT ALLAH TA’ALA ka NAAM liya jaye MASLAN ye DUA padhi jaye “بِاسْمِ اللَّهِ وَاللَّهُ أَكْبَرُ، اللَّهُمَّ مِنْكَ وَلَكَ” aur sath hi ye AAYAT PADHI jaye “ان صلاتی ونسکی.” ILAA ye KUFFAR (JANWARO’N) ko apne BUTO’N ke NAAM ZABAH karte the to ALLAH TA’ALA ne ye BAYAN farmaya ki ZABAH ke WAQT ALLAH ka NAAM lena ZAROORI hai

[[ TAFSEER UL QURTUBI JILD 14 SAFA 366 ]]

ALLAMAH SHAUKANI RH ne bhi apni TAFSEER me ALLAH TA’ALA ke is QAUL ki TAFSEER kuch isi ANDAZ me ki hai chunancha wo likhte hain

وَيَذْكُرُوا اسْمَ اللَّهِ فِي أَيَّامٍ مَعْلُوماتٍ أَيْ: يَذْكُرُوا عِنْدَ ذَبْحِ الْهَدَايَا وَالضَّحَايَا اسْمَ اللَّهِ، وَقِيلَ: إِنَّ هَذَا الذِّكْرَ كِنَايَةٌ عَنِ الذَّبْحِ لِأَنَّهُ لَا يَنْفَكُّ عَنْه. وَالْأَيَّامُ الْمَعْلُومَاتُ هِيَ أَيَّامُ النَّحْرِ كَمَا يُفِيدُ ذَلِكَ قَوْلُهُ: عَلى مَا رَزَقَهُمْ مِنْ بَهِيمَةِ الْأَنْعامِ


Ki MATLAB ye hai ki BANDE apni QURBANIYO’N ko ZABAH karte WAQT ALLAH ka NAAM len. Nez is SILSILE me ye baat bhi kahi gayi hai ki “ZIKR” ZABAH karne se KINAYAH (کنایہ) hai kyunki ye us se MUNFIK nahi hota,aur ALLAH TA’ALA ke QAUL “عَلى مَا رَزَقَهُمْ مِنْ بَهِيمَةِ الْأَنْعامِ” se pata chalta hai ki AIYAAM E MA’LOOMAT AIYAAM E NAHAR hain

[[ FATAHUL QADEER JILD 3 SAFA 611 ]]

MAULANA IN’AAMULLAH SAHAB QASMI HAFIZAHULLAH apne RISALAH me ALLAH TA’ALA ke is QAUL ki MAZEED WAZAHAT ke liye ALLAMA RAAZI wa KHATTABI ke NUSOOS ko NAQAL karne ke baad farmate hain ki


“Is HIKMAT ka ye MAFHOOM hua ki AIYAAM E MINAA YAUM UM NAHAR ke baad TEEN DIN DAUR E JAHILIYAT hi se QURBANI ke din the jinko SHARIYAT E ISLAMIYAH ne BARQARAR rakha aur unke TA’DAD me koi KAMEE BESHEE nahi ki. ALBATTA SIRF usme TABDEELI kar di ki pehle log QURBANIYA’N apne BUTO’N ke NAAM karte the aur ISLAM ne ALLAH ke liye MAKHSOOS kar diya.

SURAH HAJJ AAYAT 28 par NIGAH E GHAAYER dalne se aisa MA’LOOM hota hai ki goya IMAM KHATTABI RH ki HIKMAT ki WAZAHAT ke liye hi is AAYAT ka NUZOOL hua tha. AIYAAM E MA’LOOMAT pehle se MA’LOOM DIN wahi hain jinme AIYAAM E JAHILIYAT ke log TAWAGHIYAT ke NAMO’N par QURBANIYA’N kiya karte the aur un QURBANIYO’N ka GOSHT khud nahi khate the. ALLAH TA’ALA ne farmaya ki QURBANIYA’N to tum unhi DINO’N me karo jin DINO’N me pehle kiya karte the magar BUTO’N ke NAAM ke bajaye ALLAH ka NAAM le kar kiya karo. Aur unme se KHILAO bhi aur KHAO bhi. GOYA is AAYAT ka MAQSAD E NUZOOL,AIYAAM E TASHREEQ ko AIYAAM E QURBANI SABIT karna hai aur bass,aur AIYAAM E TASHREEQ BA ITTEFAQ ULAMA wa BA IJMA E UMMAT YAUM UN NAHAR ke baad TEEN DIN 11,12 aur 13 ZIL HIJJAH hain”

[[ RISALAH AIYAAM E QURBANI SAFA 23 ]]


SURAH HAJJ AAYAT 28 ke MUTA’ALLIQ IMAM QURTUBI RH likhte hain

ولا خلاف أن المراد به النحر

Ki aur is baat me AHLE ILM ke MABEEN koi IKHTELAF nahi ki AAYAT E MAZKOORAH me QURBANI ka ZIKR hai aur AIYAAM E MA’LOOMAT se MURAAD AIYAAM E QURBANI hai

[[ TAFSEER UL QURTUBI JILD 3 SAFA 364 ]]

ALLAH HUM SAB KO HAQ SAMAJHNE KI TAUFEEQ DE AAMEEN YA RABBUL ALAMEEN
 

Top