Kya Hussain Razi Allahu Anhu ko shaheed karne ka huqm Yazeed Ne Diya tha


Abdul Adil

Member
Kya Hussain Razi Allahu Anhu ko shaheed karne ka huqm Yazeed Ne Diya tha.

Roman Script :-
Abdul Adil Ansari

Imam Jareer Tabri Rahimaullah (Died 310 Hijj) ne kaha

"حدثنا ابن حميد قال: حدثنا جرير، عن مغيرة، قال: (؟) كتب يزيد إلى ابن مرجانة: أن اغز ابن الزبير، فقال: لا أجمعهما للفاسق أبدا، أقتل ابن بنت رسول الله ﷺ ، وأغزو البيت! قال: وكانت مرجانة امرأة صدق، فقالت لعبيد الله حين قتل الحسين : ويلك! ماذا صنعت! وماذا ركبت!"

Yazeed ne Ibne Zyad ko likha ki Abdullah Bin Zubair {Razi Allahu Anhu} se qitaal karo To Ubaidullah bin Zyad ne jawab diya main is faashiq ke liye do galtiyan kabhi nahi kar sakta . Ek to Hussain Razi Allahu Anhu ko qatl kar chuka aur doosra ye ki Baitullah mein bhi qitaal karun . Moogeera kahte hai ki Ibne Zyad ki waalida Marzana nek khatoon thi aur jab Hussain Razi Allahu Anhu qatal kiye gaye to usne Ubaidullah se kaha tha teri tabahi ho tune ye kya kar diya.

[Tareekh E Tabri 5/484]

Ye Riwayat jhoothi aur manghadat hai iske andar kayi Illaten hai. maslan

1] Mugeera Bin Muqsim Al-Zubhi Ne Apna Maakhaz nahi bataya hai , unki wafat 136 Hijj mein huyi hai Kibaar Tabeyeen se unki mulakat sabit nahi hai , lihaza unhe waqya Harra ka daur mila hi nahi

2] Mugeera Bin Muqsim Al-Zubhi Teesre tabqe ke mudallis hai

Dekhiye 👇

[Tabqaat E Mudalliseen Libne Hajar Safa - 46]

Aur inhone is riwayat mein sima'a ki sharahat to door ki baat apne ustaad ka name bhi nahi bataya hai.

3] Imam Tabri ke ustaad "Muhammad Bin Humaid Bin Hayan Ar-Raazi" kazzab bahut bada jhootha aur matrook hai .

Maloom hua ki ye riwayat jhoothi aur manghadat hai
 

Top